Dhuup ke saath gayaa saath nibhaane vaala
ab kahaan aayegaa vo laut ke aane vaala
ret par chhorh gayaa naqsh hazaaron apne
kisii paagal kii tarah naqsh mitaane vaala
sabz shaakhen kabhii aise to nahiin chikhtii hain
kaun aayaa hai parindon ko daraane vaala
safar-e-shab kaa taqaaza hai mere saath raho
dasht pur_haul hai tuufaan hai aane vaala
mujh ko dar_pardaa sunaata raha qissa apna
agale vaqton kii hikaayaat sunaane vaala
shabnamii ghaas ghane phuul laraztii kirnein
kaun aayaa hai khazaanon ko lutaane vaala
ab to aaraam karen sochtii aankhen merii
raat kaa aakhrii tara bhii hai jaane vaala
No comments:
Post a Comment