Saturday, July 10, 2010

Nahi mil raha hai yahaaN kaheiN meri zaat ka hi nishaaN mujhey


Nahi mil raha hai yahaaN kaheiN meri zaat ka hi nishaaN mujhey
sun aey jus’tuju de jawaab tu ke ley aai hai ye kahaaN mujhey!

wo sabaq meiN parrh ke bhula chuka ke usool banatey heiN zindagi
mujhey mantaqi si daleel de, ye muhawarey na suna mujhey

tujhey kya khabar meiN dil meiN dard, leeye phi raha hooN ajab ajab
teri mashq puraani hai yaar tu, kya ghaao de ga naya mujhey

nahi kuch gila ke ye sab hai kya, bhala kuch ajab hai ye maajra
ke merey aik jurm pe baar baar, koi de raha hai sazaa mujehy

ye jo chaahatoN ke bazaar heiN yahaaN bik raha hai sabhi magar
yahaaN kon ley ga wafaa ki jins, bhala kya miley ga nafaa mujhey!

merey hum’nawa bhala meiN kahaN, terey waastey mujhey bhool ja
tu ne khuwahishoN ke aoraaq par, kaheeiN likh dia to mitta mujhey

yuN diye na rakh merey haath pe ke katteiN ge nahi phir raastey
kabhi rok leiN gi baarisheiN to kabhi tang karey gi hawaa mujhey

kattaa zindagi ka katthin safar, meiN muflisi meiN maraa magar
meiN gulshanoN ka makeen tha, zara khushbuweiN to laga mujhey

No comments:

Popular Posts