Saturday, July 10, 2010

diyaa hai dil agar us ko, bashar hai kyaa kahiye



diyaa hai dil agar us ko, bashar hai kyaa kahiye
huaa raqiib to ho, naamaabar hai, kyaa kahiye

ye zid, ki aaj na aave aur aaye bin na rahe
qazaa se shikavaa hame.n kis qadar hai, kyaa kahiye

rahe hai yuu.N gah-o-begah ke kuu-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman kaa ghar hai, kyaa kahiye

zih-e-karishma ke yuu.N de rakhaa hai hamako fareb
ki bin kahe hii u.nhe.n sab Khabar hai, kyaa kahiye

samajh ke karate hai.n baazaar me.n vo pursish-e-haal
ki ye kahe ki sar-e-rahaguzar hai, kyaa kahiye

tumhe.n nahii.n hai sar-e-rishtaa-e-vafaa kaa Khayaal
hamaare haath me.n kuchh hai, magar hai kyaa kahiye

u.nhe.n savaal pe za_om-e-junuu.N hai, kyuu.N la.Diye
hame.n javaab se qat_a-e-nazar hai, kyaa kahiye

hasad sazaa-e-kamaal-e-suKhan hai, kyaa kiije
sitam, bahaa-e-mata_a-e-hunar hai, kyaa kahiye

kahaa hai kisane ki "Ghalib" buraa nahii.n lekin
sivaay isake ki aashuftaa_sar hai kyaa kahiye

No comments:

Popular Posts