Rahe hazaar baras ham-kanaar khushbu ka
Koi bhi rabt bane ga na khaar, khushbu ka
Bacha k laakh rakhein, hai nira zeyaaN is mein
Kise hai raas bhala kaarobaar khushbu ka !
Wo ap kam hai k baaloN mein gul liye ghoome !
Kise hai taab k jheile ye vaar khushbu ka
Meri zubaaN ko to jurrat kabhi nahi ho gi
Payaam-e-dil ! tu zara roop dhaar khushbu ka
Wo gul-azaar raha sair-e-baagh par jab tak
Kiye raha wo jia be-qaraar khushbu ka
Mehek jo tayre nafas se mere nafas aaee
Wohi raha hai safar yaadgaar khushbu ka
HawaayeN dil k kHanDar ki hui hain kaafoori
Ye zaayeqa hai kisi sogavaar khushbu ka
Sambhaal rakkhi hui pattiyaaN hain gajre ki
Meri bayaaz kahaaN ! hai mazaar khushbu ka
Mehek uThe hain tere she'r kis tarha Zaamil
Hua hai tujh pe asar khush-gavaar khushbu ka
No comments:
Post a Comment