Friday, July 23, 2010

Ibtidaa-E-Shauq Ka Ailaan-E-Mastaana Hoon Main


Ibtidaa-E-Shauq Ka Ailaan-E-Mastaana Hoon Main
Intehan-E-Ishq Ka Izhaar-E-Rindana Hoon Main,

Khel Hai Duniya Ki Har Farzaanagi Mere Liye,
Aur Zalim Ye Samajhti Hai Ke Deewana Hoon Main,

Aashna-E-Husn Hoon, Mast-E-Hawa-E-Shauq Hoon,
Mehfil-E-Ahl-E-Khiradm Ein Ek Hi Daana Hoon Main,

Wo Fughaan Seene Mein Jo Ghut Ghut Ke Akhir Mar Gayi,
Jo Adhura Reh Gaya Honthon Pe, Afsana Hoon Main,

Dukh Ye Rang-E-Khudee, Deewana Deewano Mein Hoon,
Aur Ye Bhi Dekh, Farzanon Mein Farzana Hoon Main,

Wo Hareem-E-Shauq Aru Khalvat Ki Wo Rangiyaan,
Kaisi Alam-Saaz Yaadon Ka Sanam Khana Hoon Main,

Koi Din Jaata Hai Mehfil Mein Chhalak Jaunga Main,
Aab-E-Talkh-E-Zeest Se Labrez Paimana Hoon Main,

Ye Tamasha-Gaah-E-Aalam Aur Ye Meri Bekhudi,
Kya Kahoon Duniya Ki Jab Khud Se Hi Begana Hoon Main,

Chhedte Hai Kyon Mujhe Ye Ma'e-Gusaaran-E-Sukhan,
Laakh Beqeemat Hoon Par Ma'yaar-E-Ma'e-Khana Hoon Main,

Yaad-E-Maazi Bhi Idhar Aate Hue Ghabraye Hai,
Kis Qadar Wehshat Hai, Weerana Sa Weerana Hoon Main,

Yaad Aata Hai Mujhe Sarwar, Sar-E-Daar-E-Khirad,
Wo Tera Kehna Ke Deewana Hoon, Deewana Hoon Main...

Majal Hai Koi Tujhse Mujhe Juda Kar De


Majal Hai Koi Tujhse Mujhe Juda Kar De
Jahan Bhi Jayega Tu Main Tujhe Sada Dunga,

Teri Gali Mein Bahtu Der Se Khada Hoon Magar,
Kisine Puchh Liya To Jawab Kya Dunga,

Meri Khamoshi Nigahon Ko Chashm-E-Nam Se Na Dekh,
Main Ro Pada To Dilon Ke Tabaq Hila Dunga,

Yunhi Udaas Raha Main To Dekhna Ek Din,
Tamam Sheher Mein Veeraniyan Bichha Dunga,

Wo Dard Hi Na Raha Warna Aye Maat-E-Dil,
Mujhe Guman Bhi Na Tha Main Tujhe Bhula Dunga,

Abhi To Raat Hai Kuch Der So Lo,
Koi Bulayega To Main Tujhe Jaga Dunga...

Dilke Sannaton Mein Rehne Wale Tanha Tum Hi Nahi


Dilke Sannaton Mein Rehne Wale Tanha Tum Hi Nahi,
Tanhayi Se Baatein Karne Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Is Ishq Ne Barbaad Kiya Hai Har Shakhs Ko,
Is Ishq Mein Bikharne Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Kehne Ko To Faqt Ek Dil Hi Toota Hai,
Apna Sab Kuch Lutane Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Hanste Hue Chehre Hai Yahan Sabke,
Dard Yun Chhupane Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Shab-E-Tanhayi Ki Dastan Ek Si Hai Sabki,
Andheron Mein Rehne Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Aisa Lagta Hai Ek Saza Ho Zindagi Meri,
Is Qaid Mein Rehne Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Is Sheher Mein Aur Bhi Deewane Hai SAHIL,
Dar Dar Bhatakne Wale Tanha Tum Hi Nahi...

Ye Maan Lete Hain Ke Pyar Humein Nahi Mila


Ye Maan Lete Hain Ke Pyar Humein Nahi Mila
Ye Maan Lete Hain Ke Humein Hamara Yaar Nahi Mila
Ye Maan Lete Hain Ke Duniya Ne Saath Nahi Diya
Ye Maan Lete Hain Ke Woh Bewafa Ho Gaya
Ye Maan Lete Hain Ke Woh Dil Tod Ke Chala Gaya
Ye Maan Lete Hain Ke Hamare Naseeb Mein Ye Sab Tha
Ye Maan Lete Hain Ke Taqdeer Mein Kuch Aur Likha Hai
Ye Maan Lete Hain Ke Woh Kasmein Jhooti Thi
Lekin Yeh Mein Kaise Maan loon  Ke Jo Kal Tak Mere Saath Tha
Aaj Woh Kisi Aur Ke Saath Hai

Dhoor Se Dekhti Houn Usko
Woh Usse Pyar Kar Raha Hai
Uske Saath Woh Kasmein Le Raha Hai
Jo Kuch Din Pehle Mujhse Ki
Usko Us Nazar Se Dekh Raha Hai
Jis Tarah Woh Mujhe Dekhta Tha
Mera Dil Toot Gaya To Kya Hua
Humne To Pyar Kiya Tha Bina Kisi Shart Ke
Afsos Hai Ke Yeh Dil Aaj Bi Usko Chahta Hai
Rehta Hai Is Aas Pe Ke Woh Aa Jaayega
Jaanta Hai Ke Aisa Nahi Hoga
Lekin Nadaan Hai Na Yeh Dil
Yeh Kuch Samajna Nahi Chahta...

Dil-E-Nadan! Unse Pyaar Ki Ummid Na Kar


Dil-E-Nadan! Unse Pyaar Ki Ummid Na Kar,
Sang-E-Dil Mein Jagah Dhundne Ki Koshish Na Kar,

Gar Manzoor Nahi Unko Pyaar Tera,
Bewajah Dil Lagane Ki Koshish Na Kar,

Dil-O-Dimag Se Nikal De Unko,
Justuju Bhi Unki Na Kar,

Bhool Ja Unko Agar Ho Sake To,
Ab Khayalon Mein Bhi Laane Ki Koshish Na Kar,

Suna Hai Sirf Dard, Dard Aur Dard Milta Hai Is Pyaar Ke Khel Mein,
Haar Jaa Baazi Apni, Jeetne Ki Koshish Na Kar...

Karta Hoon Jaama Mein To Bikharti Hai Zaar Aur


Karta Hoon Jaama Mein To Bikharti Hai Zaar Aur
Baaqi Hai Kitni Aye Mere Maula Ye Raat Aur,

Leti Hai Jaldi Shamma Bhi Bujhne Mein Waqt
Hai Aadmi Sa Koi Kahan Besabaat Aur,

Sailab Jaise Leta Hai Deewar Ke Qadam,
Karta Hai Gam Bhi Dilse Koi Vaardaat Aur,

Yun To Huzoor-E-Paak Ke Lakhon Hai Maddakhwaan,
Taa'ib Sa Likh Raha Hai Magar Kaun Na'at Aur,

Mazhar Az'l Ke Husn Ke "Amjad" Hai Beshumar,
Lekin Jo Dekhiye To Hai Baarish Ki Baat Aur...

Yaad Phir Mujhko Wo Aane Laga Jiski Harb Aat Mehez Khushbu Hai


Yaad Phir Mujhko Wo Aane Laga
Jiski Harb Aat Mehez Khushbu Hai

Aap Se Tum, Tumse Phir Tu Kehna,
Baat Hi Baat Mein Dilki Aarzu Kehna,

Mere Ehsaas Pe Chha Gaya Hai Yun,
Mujhko Deewana Bana Gaya Hai Yun,

Har Taraf Uska Aqs Hai Ab To,
Jaise Mujh Mein Sama Gaya Hai Wo,

Uski Sargoshiyan Hai Charon Taraf,
Aur Kuch Sunne Ko Hai Na Kehne Ko...

Khizaan Ke Rang Mein Abhi Bahar Baaqi Hai


Khizaan Ke Rang Mein Abhi Bahar Baaqi Hai,
Chirag-E-Seher Hai Par Intezaar Baaqi Hai,

Hamein Salam Karo Aye Hawadis-E-Dauran,
Tumhare Sath Hai Phir Bhi Qaraar Baaqi Hai,

Guzar Chuka Hai Ummidon Ka Qaafila Kab Ka,
Raah-E-Yaqeen Pe Ab Bhi Gubaar Baaqi Hai,

Hamein Pukar Lo Jab Chaho Hum Milenge Wahin,
Mile Hai Khaak Mein Lekin Vaqaar Baaqi Hai...

Kasam Di Thi Tumne Mujhko Juda Karogi Na Mujhse Khud ko


Kasam Di Thi Tumne Mujhko,
Juda Karogi Na Mujhse Khudko,

Jab Mana Tha Tumne Apna,
Toda Phir Mera Kyon Sapna,

Tumko Thi Mujhse Mohabbat,
Kyon Sama Gayi Phir Tum Mein Nafrat,

Yaadein Hai Dil Mein Uthti,
Mujhko Hai Bechain Rakhti,

Tumse Nahi Ab Shikwa,
Nata Ye Mujhse Bikhra,

Aaj Zindagi Ne Roop Hi Badla,
Meri Soch, Adat, Mera Mazaj Hi Badla,

Bas Aaj Ek Baat Kehne Do,
Mohabbat Ko Ab Tanha Rehne Do,

Mohabbat Ko Ab Tanha Rehne Do,
Aaj Ye Baat Kehne Do...

Ek Kahani Sabse Sunayi Magar Chaand Khamosh Tha


Ek Kahani Sabse Sunayi Magar Chaand Khamosh Tha,
Uski Awaz Ka Muntazir Tha Nagar Shaam Ke Baad,

Kaun Tha Jiske Aajoo Ke Gam Mein Sard Hawa Thi Sheher Ki,
Kisi Ki Veeran Aankhon Ka Leke Asar Chaand Khamosh Tha,

Wo Jo Sehta Raha Ratt Jago Ki Saza Chaand Ki Chaah Mein,
Mar Gaya Jab Tu Noha Kitne The Shajer Chaand Khamosh Tha,

Isse Milke Main Yun Khamoshi Aur Awaz Mein Qaid Tha,
Ek Sada To Meri Thi Humsafar Chaand Khamosh Tha,

Kal Kehne Phir Khuda Ki Zameen Apr Koi Sanha Ho Gaya,
Maine Kal Raat Jab Bhi Uthayi Nazar Chaand Khamosh Tha...

Tum Bin Guzar To Jayegi Zindagi Par Main Jee Na Paunga Tum Bin


Tum Bin Guzar To Jayegi Zindagi,
Par Main Jee Na Paunga Tum Bin,

Hazaron Sitaron Ki Bhid Mein Bhi Dekho,
Ye Chaand Kitna Tanha Hai Tum Bin,

Rahun Kahin Bhi, Kisike Sath Bhi,
Par Main Hamesha Udaas Hoon Tum Bin,

Agar Charagon Ki Roshni Mein Hoon Main,
Par Meri Zindagi Mein Andhera Hai Tum Bin,

Baharon Ka Mausam To Hai Gulshano Mein,
Par Phoolon Mein Khushbu Nahi Hai Tum Bin,

Is Hansi Ke Kehkahon Mein Dekho,
Mera Dil Ro Raha Hai Tum Bin,

Mera Sab Kuch To Tum Ho,
Main To Kuch Bhi Nahi Hoon Tum Bin...

Ek Baras Ke Arse Mein Char Chhe Mulaqaatein Shaam Ki Haweli Mein


Ek Baras Ke Arse Mein,
Char Chhe Mulaqaatein,
Shaam Ki Haweli Mein,
Subah Ke Maikhane Ki Beyaqeen Si Baatein,
Kuch Azab Maazi Ke,
Guftugu Ke Mozoo The,
Kuch Sawal Khwabon Ke,
Kuch Jawab Aankhn Ke Mushtarik Se Jazbo Ke,
Aaiyno Mein Dekhte The,
Aayine To Sachhe The,
Aur Wo Mulaqaatein,
Chaar Chhe Mulaqatein,
Jin Mein Teri Baaton Ki Barishon Ke Mausam Ne,
Jitne Jhuth Bole The,
Shaam Ki Haweli Mein,
Jitne Zeher Ghole The,
Tera Bewafa Lehja Dhyan Mein Jab Aata Hai,
Tab Sawal Karti Hai,
Meri Umr Ki Raatein,
Ek Baras Ke Arse Mein,
Char Chhe Mulaqaatein...

Mere Dil Mein Kyon Chubhta Sa Ehsaas Hai


Mere Dil Mein Kyon Chubhta Sa Ehsaas Hai,
Main Hoon Tanha Yahan Tu Kisi Aur Ke Paas Hai,

Tanha Hai Ye Raatein, Doobi Hui Har Aas Hai,
Judayi Ke Is Daur Mein Har Lamha Kyon Udaas Hai,

Har Ek Pal Daste Hue Guzar Gaya Tere Intezaar Mein,
Bechain Dilko Nahi Qarar, Teri Chahat Ki Bas Pyaas Hai,

Waqt Ki Aandhi Uda Le Gayi Har Ek Yaad Teri,
Phir Yaadon Ke Ye Naqoosh Kyon Mere Paas Hai?

Aankhein Rahi Muntazir Aur Ye Jism Zinda Laash Hai,
Saya Bhi Chhod Gaya Sath, Sirf Teri Yaadein Aas Paas Hai...

Har Khushi Mein Koi Kami Si Hai


Har Khushi Mein Koi Kami Si Hai,
Hansti Aankhon Mein Bhi Nami Si Hai,

Din Mein Chup Chap Sar Jhukaye The,
Raat Ki Nabz Bhi Thami Si Hai,

Kisko Samjhayein Kiski Baat Nahi,
Zehen Aur Dil Mein Phir Thani Si Hai,

Khwab Tha Ya Gubar Tha Koi,
Gard In Palkon Pe Jami Si Hai,

Keh Gaye Hum Kisse Dilki Baat,
Sheher Mein Ek Sansani Si Hai..

Kabhi Shikaston Ke Dukh Uthe To Usse Puchhun


Kabhi Shikaston Ke Dukh Uthe To Usse Puchhun,
Wo Meri Manind Toot Jaye To Usse Puchhun,

Use Bhi Koi Sitara Manzil Se Door Kar De,
Use Bhi Rasta Nazar Na Aaye To Usse Puchhun,

Safar Mein Wo Bhi Kisi Kade Imtehaan Se Guzre,
Use Bhi Yun Kio Aazmaye To Usse Puchhun,

Use Mohabbat Mein Kaunsa Dukh Diya Hai Maine,
Kabhi Nazar Se Nazar Milaye To Usse Puchhun,

Meri Tarah Din Chadhe Tak Wo Bhi Soye,
Use Bhi Shab Bhar Na Neend Aaye To Usse Puchhun...

Main Tujhe Chahta Nahi Lekin Phir Bhi Jab Paas Tum Nahi Hoti


Main Tujhe Chahta Nahi Lekin,
Phir Bhi Jab Paas Tum Nahi Hoti,
Khudko Kitna Udaas Paata Hoon,
Gumse Apne Hawas Pata Hoon,
Jaane Kya Dhun Samayi Rehti Hai,
Ek Khamoshi Si Chhayi Rehti Hai,
Dilse Bhi Guftagu Nahi Hoti,
Phir Bhi Jab Paas Tu Nahi Hoti,

Main Tujhe Chahta Nahi Lekin,
Phir Bhi Shab Ki Taveel Khalwat Mein,
Tere Aukat Sochta Hoon Main,
Teri Har Baat Sochta Hoon Main,
Kaunse Phool Tujhko Bhaate Hai,
Rang Kya Kya Pasand Aate Hai Tujhe,
Kho Sa Jata Hoon Teri Jannat Mein,
Phir Bhi Shab Ki Taveel Khalwat Mein,

Main Tujhe Chahta Nahi Lekin,
Phir Bhi Ehsaas Se Nijaat Nahi,
Sochta Hoon To Ranj Hota Hai,
Jaise Dilko Koi Dabota Hai,
Jisko Is Darja Chahta Hoon Main,
Jisko Itna Sarahta Hoon Main,
Usmein Teri Si Koi Baat Nahi,
Phir Bhi Ehsaas Se Nijaat Nahi...

Main Hoon Ya Tu Hai Khud Apne Se Gurezan Jaise


Main Hoon Ya Tu Hai, Khud Apne Se Gurezan Jaise,
Mere Aage Koi Saya Hai Kharaman Jaise,

Tujhse Pehle To Baharon Ka Ye Andaz Na Tha,
Phool Yun Khilte Hai, Jalta Ho Gulistan Jaise,

Yun Teri Yaad Se Hota Hai Ujala Dil Mein,
Chandni Mein Chamak Uthta Hai Bayaban Jaise,

Dil Mein Roshan Hai Abhi Tak Tere Waadon Ke Chirag,
Tootti Raat Ke Taare Hon Farozan Jaise,

Tujhe Paane Ki Tamanna, Tujhe Khone Ka Yaqeen,
Tere Gaisoo, Mere Mahol Mein Galtan Jaise,

Waqt Badla Pe Na Badla Mera Mayar-E-Wafa,
Aandhiyon Mein, Sar-E-Kohsaar, Charagan Jaise,

Zakhm Barta Hai Zamana, Magar Is Tarah janna,
Si Raha Ho Koi Phoolon Ke Girebaan Jaise...

Aye Ane Wale Saal Bata Tere Rang Barange Daman Main


Aye Ane Wale Saal Bata
Tere Rang Barange Daman Main
Teri Bagya Main Tere Gulshan Main
Wo Piyare Chehre Hain Ke Nahi
Wo Dilkash Aankhain Hain Ke Nahi
Jinhain Dekh Kar Moj-E-Bahar Aye
Har Ek Ada Pe Piyar Aye
Jeenay Ki Umangain Jag Uthain
Jungle Main Mor Bhi Raqs Karain
Ik Soorat Khawab Hawida Ho
Ik Alam-E-Hairat Paida Ho
Aye Ane Wale Saal Bata

Jab Bedard Thandi Raaton Mein Na Koi Saath Nibhayega


Jab Bedard Thandi Raaton Mein,
Na Koi Saath Nibhayega,
Jab Is Behis Duniya Mein,
Khudko Tanha Payenge,
Jab Jab Kabhi Zindagi Mein,
Kisi Dost Ki Kami Payenge,
Jab Chahte Hue Bhi Zubaan Se,
Kuch Na Keh Payenge,
Jab Kabhi Gam Mein Nidhaal Ho Kar,
Tumhari Baahon Mein Jhulenge,
Jab Tapte Pehron Mein,
Kisi Ped Ka Saya Chahenge,
Jab Tumhari Judayi Ke Dar Mein,
Kahin Chain Na Payenge,
Jab Zindagi Dikhaye,
Kisi Anhoni Ka Rukh,
Jab Kabhi Khushi Ke Do,
Lafzon Ki Chahat Hogi,
Jab Chaaron Taraf Tanhaiyon Ka Ho Ghera,
Jab Dukhon Ka Ho Dil Pe Dera,
Jab Zindagi Mein Mehsoos Hogi Kami Humsafar Ki,
Kya Hamara Haath Thamoge,
Kya Tum Hamein Sambhaloge...

Kuch Bikhre Hue Se Khwab Hain


Khwaab! Kuch Bikhre Hue Se Khwab Hain
Kuch Adhoori Khwahish,
Tishna Lab Aawargi Ke Shab-O-Roz,
Ek Kadmon Se Thakan Lipti Hui,
Ek Gehri Beyaqeeni Ka Naqoosh,
Jaane Kab Se Do Dilon Par Sabat Hai,
Raat Hai Aur Waswason Ki Yurish,
Ye Achanak!
Taaq Pe Jalte Diye Ko Kya Hua,
Subah Hone Mein To Khasi Der Hai,
Aayine Aur Aqs Mein Doori Hai Kyon,
Rooh Pyaasi Hai Azal Se,
Darmiyan Taakher Ka Ek Dasht Hai,
Nagahaan Fir Nagahaan,
Ye Wohi Dastak, Wohi Aahat To Hai,
Haa! Guldan Duriyon, Majbooriyon Ke Darmiyan,
Kaun Aayega Chalo Phir Chale,
Shayad Usko Yaad Aaye Koi Bhooli Bisri Baat,
Wo Dareecha Band Hai To Kya Hua,
Chand Hai Is Baam Pe Jaga Hua...

Kisne Kaha Tha Itni Door Jane Ke Liye


Kisne Kaha Tha Itni Door Jane Ke Liye,
Shama Bhi Na Jal Saki Is Parwane Ke Liye,

Saari Raat Koi Tadpata Raha Paagalon Ki Tarah,
Chirag Lekar Baitha Raha Main Us Chand Ko Dekhne Ke Liye,

Ek To Waise Hi Door Tha, Us Par Aur Door Jaane Ka Sitam,
Kahan Tak Jaogi Bhaag Kar, Koi To Aayega Manane Ke Liye,

Dhoond Le Koi To Rasta, Koi To Khat Bhej De Sitamgar,
Kasid Bhi Nahi Aya In Raahon Mein, Apna Chehra Dikhane Ke Liye,

Kitna Waqt Guzaroge Wahan, Jaise Chaman Mein Bahar Hi Nahi,
Bulbul Ro Rahi Hai Yahan, Tere Saath Ko Paane Ke Liye,

Umr Ke Us Mukaam Par Tu Khada Hai Wahan,
Ek Pal Hi Kaafi Hai, Khushiyon Ko Laane Ke Liye,

Tum Jitni Jaldi Ho Aa Jaa Apne Thikane Par Aye Sanam,
Khushi Dehleez Par Baithi Hai, Tere Daman Ko Sajane Ke Liye,

Kya Kahoon Kya Na Kahoon Tu Hi Bata Aye Jaana,
Lafz Nahi Hai Mere Paas Bas Ashq Hai Tumhe Dikhane Ke Liye...

Mere Pyaase Khwab Jazeeron Par Ummid Tadapti Rehti Hai


Mere Pyaase Khwab Jazeeron Par
Ummid Tadapti Rehti Hai
Ek Aas Machalti Rehti Hai,
Ek Sawan Aag Lagata Hai,
Bin Barse Guzre Jata Hai,
Ye Jeewan Tanha Tanha Sa,
Ye Raahein Suni Suni Si,
Meri Jagi Jagi Aankhon Ko
Kyon Har Pal Chubhti Rehti Hai,
Kisi Hamdam Ki Kisi Raah Ki,
Ummid Mein Jagti Rehti Hai,
Dil Seene Ke Is Pinjre Mein,
Kyon Bekal Bekal Rehta Hai,
Khamoshi Ke Is Parde Mein,
Jane Mujhse Kya Kehta Hai,
Hum Khush Hai Bahut Ye Baat Alag
Har Saans Sisakti Rehti Hai 

Ghutno Pe Sar Jhukaye Hum Roye Saari Raat


Ghutno Pe Sar Jhukaye, Hum Roye Saari Raat,
Yaadon Ka Gam Uthaye, Hum Roye Saari Raat,

Himmat Hi Nahi Chhodi Tanhayin Mein Jee Lein,
Waade Na Raas Aaye, Hum Roye Saari Raat,

Bhigi Hui Palkein Aur Raat Ja Chuki Hai,
Taare Na Dekh Paye, Hum Roye Saari Raat,

Kis Aur Se Hai Nikla Ye Chand Bekhudi Ka,
Jugnoo Bata Na Paye, Hum Roye Saari Raat,

Ek Baar Bhi Na Socha Ke Kya Hai Dil Lagi Sanam,
Gairon Se Dil Lagaye, Hum Roye Saari Raat,

Bhige The Baarison Mein Kabhi Is Tarah Nahi,
Boondon Ne Sitam Dhaaye, Hum Roye Saari Raat,

Qurbat Ke Jaam Ko Ab Nosh Kya Karenge,
Honthon Ko See Silaye, Hum Roye Saari Raat,

Jeene Ki Sab Ummidein Hi Khaak Hui Saaki,
Zindagi Ki Talab Haaye, Hum Roye Saari Raat...

Jab Zubaan Par Chuppi Ke Taale Lag Jayein


Jab Zubaan Par Chuppi Ke Taale Lag Jayein,
To Dil Mein Uthne Wale Toofan,

Andar Hi Andar Tod Fod Karte Rehte Hai,
Zahen Mein Uthnewali Sochein,
Wajood Ko Hila Kar Rakh Deti Hai,

Aankhon Mein Banane Wale Aks Dhundle Ho Kar,
Palkon Ke Paar Kain Gum Ho Jaate Hai,

To Phir

Alfaaz Yunhi Kaagaz Par Utarne Lagte Hai,
Jisko Tum Sher Kehte Ho,
Use Hum Azab-E-Shahor Kehte Hai...

Pehle Sa Haal Pehle Si Wehshat Nahi Rahi


Pehle Sa Haal Pehle Si Wehshat Nahi Rahi,
Shayad Ke Tere Hijr Ki Aadat Nahi Rahi,
Shehron Mein Ek Sheher,
Mere Ratt-Jagon Ka Sheher,
Koche To Kya Dilon Mein Bhi Wehshat Nahi Rahi,
Logon Mein Mere Log,
Wo Dil Dariyon Ke Log,
Bichhde To Door Door Tak Safaqat Nahi Rahi,
Shamon Mein Ek Shaam,
Wo Awargi Ki Shaam,
Ab Naye Darichon Ki Zaroorat Nahi Raho,
Raaton Mein Ek Raat,
Mere Ghar Ki Chand Raat,
Aangan Ko Chandni Ki Zaroorat Nahi Rahi,
Raahon Mein Ek Raah,
Wo Ghar Lutne Ki Raah,
Thehre Kisi Gagha Wo Tabiyat Nahi Rahi,
Yaadon Mein Ek Yaad,
Koi Dil Shikan Si Yaad,
Wo Yaad Ab Kahan Ke Fursat Nahi Rahi,
Naamon Mein Ek Naam,
Sawal-E-Aashna Ka Naam,
Dilpe Aisi Koi Ibarat Nahi Rahi,
Baaton Mein Ek Baat,
Teri Chahaton Ki Baat,
Aur Ab Ye Ittefaq Ke Chahat Nahi Rahi,
Yaadon Mein Ek Yaar,
Wo Aayariyon Ka Yaar,
Milna Nahi Raha To Shikayat Nahi Rahi,
Zakhmon Mein Ek Zakham,
Mata-E-Unhi Ke Zakham,
Ab Koi Aarzu-E-Jurrat Nahi Rahi,
Sannata Bolta Raha,
Sada Mat Laga Seher,
Awaz Reh Gayi Hai Sama'at Nahi Rahi...

Hawa Mein Saans Chali Gayi Saza Mein Aas Chali Gayi


Hawa Mein Saans Chali Gayi
Saza Mein Aas Chali Gayi

Mehsoos Hui Itni Mujhe,
Paani Ki Pyaas Chali Gayi,

Jis Dava Ki Chah Thi Itni Mujhe,
Wo Dua Bhi Aaj Chali Gayi,

Mohabbat Ibadat Hoti Hai,
Kabhi Thi Paas Chali Gayi...

Lafz Ehmiyat Rakhte Hain Ye Lafz Ehmiyat Rakhte Hain


Lafz Ehmiyat Rakhte Hain
Ye Lafz Ehmiyat Rakhte Hain
Kabhi Yeh Rooh Ko
Katal Kar Dete Hai,
Aur Kabhi
Ye Rooh Ko Jhulsa Dete Hai,
Lekin Ye Lafz Hi Hai
Jo Khwahishon Ke Tapte Hue Sehra Mein,
Jeevan Ke Phool Khila Dete Hai,
Ek Haare Hue Insaan Ko
Jeevan Ki Naveed Suna Dete Hai,
Kabhi Ye Saath Chhod Dete Hai,
Kabhi Ye Saath Chhudwa Dete Hai,
Kabhi Inke Zariye Nafrat
Doosron Ke Dilo Mein Utar Jati Hai,
Jo Rooh Ki Gehraiyon Ko Bhi
Zeher Zeher Kar Jaati Hai,
Lafzonki Wajashe Ye Zindagi
Bemaani Hoke Reh Jati Hai,
Aur Kabhi In Lafzon Ki Wajahse Ye Zindagi
Jannat Bhi Ban Jati Hai,
Kitni Takat Hai In Lafzon Mein,
Ke Zindagi Badal Jaati Hai,
Ye Lafz Hi Hai Jo Logonke
Dilon Ko Bhi Pigla Deti Hai,
Ye Lafz Hi Hai Jo Jism Ke Sath,
Rooh Ko Bhi Jhulsa Dete Hai,
Ye Lafz Ehmiyat Rakhte Hain,
Ye Lafz Ehmiyat Rakhte Hain...

Lazzat-E-Zakhm-E-Jigar Tujhse Chhupa Bhi Na Sakun


Lazzat-E-Zakhm-E-Jigar Tujhse Chhupa Bhi Na Sakun,
Dard Is Darja Badha Hai Ke Bata Bhi Na Sakun,

Aaj Rukhsat Hua Jaata Hoon Bas Itna Keh Ke,
Main Gaya Waqt Hoon Ke Phir Aa Bhi Na Sakun,

Tohfa-E-Ishq Jo Zakhmon Ka Diya Hai Tune,
Ye Tere Harf Hai Jinko Main Mita Bhi Na Sakun,

Wo Tere Khat Tujhe Waapis Main Karunga Jinko,
Khudko Padhta Nahi Auron Ko Suna Bhi Na Sakun,

Teri Furqat Mein Yehi Haal Hua Hai Apna,
Khud Sambhal Bhi Na Sakun Tujhko Bhula Bhi Na Sakun,

Ye Gam-E-Dil Jo Zamane Se Mila Hai Mujhko,
Zeest Ka Baar Hai Aisa Ke Utha Bhi Na Sakun,

Zikr Kyon Karte Ho Bewajah Tum Unka Humse,
Door Itna Hai Ke Paas Usko Bula Bhi Na Sakun,

Aaj Maikhane Mein Mil Jaye Jo Mujhko Galib,
Zahid-E-Khushk Nahi Hoon Ke Pila Bhi Na Sakun,

Jalte Rehne Do Ye Deepak Jo Ba Shakl-E-Zahid,
Ek Akela Hi Bacha Hai Ke Bujha Bhi Na Sakun...

Udaas Mat Ho Mere Sanam Sukh Dukh To Do Kinarein Hain



Udaas Mat Ho Mere Sanam
Sukh Dukh To Do Kinarein Hain
Dukh Aate Hai To Sukh Ke Paigam Leke,
Thodi Hulchal To Hoti Hai Dukh Se,
Lekin Sukh Ke Wo Pal Ab Door Nahi,
Jo Manga Hai Koi Khuda Se Kabse,
Bas Yaqeen Karna Hoga Us Khuda Pe,
Jo Milaye Aap Aur Humko Naseeb Se,
Jo Haqeeqat Hai Afsaane Nahi,
Udaas Mat Ho Mere Sanam,
Sukh Dukh To Do Kinaarein Hain...

Ghum Ki Tabah Kariyon Ko Kam Na Kar Sake


Ghum Ki Tabah Kariyon Ko Kam Na Kar Sake
Koi Ilaaj Hum Dil-E-Barham Na Kar Sake,

Dil Ke Dyar-E-Shauq Mein Jalta Hua Diya,
Lau Uski Khwahishaat Ki Madham Na Kar Sake,

Sazeena-E-Hayat Ko Chheda To Baar Baar,
Sur Mein Kisi Bhi Saans Ki Sargam Na Kar Sake,

Zakhmonko Mere Jo Bahut Humdardiyan Mili,
Alfaaz Mere Dard Ka Marham Na Kar Sake,

Rasmone Dali Paanv Mein Zanjeer Is Tarah,
Kuch Tum Na Kar Sake Kabhi Kuch Hum Na Kar Sake,

Aansu Diye Kisine, Kisise Mile Fareb,
Hum Dastras Mein Wasl Ke Mausam Na Kar Sake,

Badle Meri Hayat Ki Ek Ek Saans Ke
Ashraf Mujhe Wo Pyar Faraaham Na Kar Sake...

Mere Zakhm Puchhte Hain Mere Dost Kyon Khafa Hain


Mere Zakhm Puchhte Hain
Mere Dost Kyon Khafa Hain
Kayi Dino Se Koi Khankar Koi Neza Koi Teer
Na Hua Mere Muqaddar,
Koi Bhool Koi Gaflat,
Koi Taza Jurm Mera,
Koi Na-Qubool Lehja Ke,
Zuban Ki Koi Lakant, Na Koi Sunane Aaya,
Na Koi Kahin Malamat, Na Lagi Koi Aadat,
Mere Zakhm Puchhte Hain,
Mere Dost Kyon Khafa Hain...

Kaha Tha Tumse Mera Intezaar Na Karna


Kaha Tha Tumse Mera Intezaar Na Karna
Duniya Chahe Jo Kahe Tum Aitbaar Na Karna,

Aisa Ho Chuka Hai Kayi Baar Pehle Bhi,
Ab Ke Baar Tum Koi Bhi Sawal Na Karna,

Din Raat Kat Rahe Hai Ab To Usike Khayal Mein,
Wo Lamhe Wo Raatein Unko Yaad Baar Baar Na Karna,

Zindagi Ranha Hi Sahi Kat Rahi Hai Ab Tak,
Kisine Keh Diya Tha Mohabbat Ka Izhar Na Karna...

Nahi Ke Milne Milane Ka Silsila Rakhna


Nahi Ke Milne Milane Ka Silsila Rakhna
Kisi Bhi Satah Pe Kio To Raabta Rakhna,

Madad Ki Tumse Tawaqqo To Khair Kya Hogi,
Garib-E-Shaher-E-Sitam Hoon Mera Pata Rakhna,

Marenge Aur Hamare Siwa Bhi Tumpe Bahut,
Ye Jurm Hai To Phir Is Jurm Ki Saza Rakhna,

Naye Safar Pe Rawaana Hua Hai Az-Sar-E-Nau,
Jab Aaunga To Mera Naam Bhi Naya Rakhna,

Hisaar-E-Shauq Uthana Zaroor Magar,
Kisi Taraf Se Nikalne Ka Raasta Rakhna...

Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota



Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota
Nigah Usko Bhi Padh Leti Hai Jo Likha Nahi Hota,

Use Main Dekhti Rehti Hoon Yaadon Ke Chanaron Se,
Nigahon Ki Tapish Se Wo Kabhi Shola Nahi Hota,

Hawa Ko Chhuna Chahti Hoon Ke Ye Usko Bhi Chhuti Hai,
Magar Mera Junoon Mujhse Kabhi Pura Nahi Hota,

Sunana Chahti Hoon Haal-E-Dil Jis Ek Jumle Mein,
Bikhar Jata Hai Wo Jumla Kabhi Yakjaa Nahi Hota,

Tapish Is Dilki Aa Pahuchi Meri Namnaak Aankhon Tak,
Kaash Jo Jal Gaya Kandha Wohi Tera Nahi Hota,

Mujhe Is Haal Tak Pahucha Diya Teri Mohabbat Ne,
Sitam Kaisa Bhi Ho Tujhse Koi Shikwa Nahi Hota...

Gar Apne Bas Mein Hota To Muskura Lete


Gar Apne Bas Mein Hota To Muskura Lete
Phir Khud Se Gila Karne Ka Tumhe Na Kio Mauqa Dete,

Kuch Kismat Na Thi Sath Kuch Himmat Na Thi Paas,
Gar Itna Hosla Hota To Hum Tumhe Bata Dete,

Tum Doshay Ruswayi Sirf Hamein Hi Maat Do,
Mohabbat Gar Hoti Humse To Tum Hame Thaam Lete,

Tum Sath Nahi To Zamane Se Kyon Ladein Hum,
Tum Haan Gar Keh Dete To Jaan Apni Waar Dete,

Apnone Zakhmi Kar Diya Rooh Tak Ko Hamari,
Majboori Gar Na Hoti To Gharon Ka Na Sath Dete,

Tumhare Liye To Bas Ye Pyaar Bhara Dil Hai,
Khazane Gar Koi Hote To Sab Tum Pe Luta Dete,

Jinko Bhula Diya Tha Tumhe Yaad Rakhte Rakhte,
Un Logonko Tum Hi Batao Kis Baat Ki Saza Dete,

Aaj Tum Kahin Aur Ho Aur Main Kahin Aur,
Gar Tum Jo Meherbaan Hote Na Raste Yun Juda Juda Hote...

Dekhe Hia Jo Khwab Likh Rahe Hain


Dekhe Hain Jo Khwab Likh Rahe Hain
Aankhon Ka Azab Likh Rahe Hain,

Guzri Hai Jo Dil Pe Lamha Lamha,
Kuch Uska Hisab Likh Rahe Hain,

Mausam To Nahi Nami Ka,
Deewane Gulab Likh Rahe Hain

Ek Wasl Ka Pesh Lafz Likh Kar,
Ab Hijr Ka Baab Likh Rahe Hain

Nafrat Ka Sabak Bhula Ke faysal,
Ek Taza Nisab Likh Rahe Hain

Dard Hi Dard Hai Meri Zindagi Mein


Dard Hi Dard Hai Meri Zindagi Mein
Tum Nahi Ho To Chain Ek Pal Nahi Hai,

Mila Hai Mujhe Har Jagah Se Jo Sila,
Khuda Na Kare Kisi Chahne Wale Ko Mile,

Main Sochun Tumhe Chahun Tumhe,
Aisa Bhi Waqt Guzra Hai Harjayi,

Teri Yaadne Kya Kya Na Sitam Kiye Hai,
Ek Baar Dard Ko Mehsoos To Kiya Hota,

Apne Haath Ko Mere Haath Mein Rakha To Hota,
Hum Wafa Na Karenge Itna Yaqeen Kyon Tha,

Aaj Bhi Teri Yaad Rula Rahi Hai,
Tum Kahan Ho Dekho Ye Dard Bahut Betaab Hai,

Kehta Hai Dil Ek Dard Aur Chahiye Jeene Ke Liye,
Dard Hi Dard Hai Meri Zindagi Mein...

Samundar Kinare Udaas Baithe Hue Hain


Samundar Kinare Udaas Baithe Hue Hain
Samundar Kinare Tanha Akele Baithe Hue Hain,

Samundar Kinare Aansu Baha Rahe Hain,
Is Tanhayi Mein Akele Aaj Roye Jaa Rahe Hain,

Suraj Ko Samundar Mein Doobta Dekh Ke,
Hum Bhi Apne Aansuon Mein Doobte Jaa Rahe Hain,

Maut Ki Fariyaad Kiye Jaa Rahe Hain,
Hum Kitna Bada Gunaah-E-Kareeba Kiye Jaa Rahe Hain,

Na Jaane Hum Kis Kis Baddua
Apne Sar Liye Jaa Rahe Hain,

Hum Akele Tanha Chalte Jaa Rahe Hain,
Bas Akele Tanha Rote Jaa Rahe Hain,

Har Kaisi Ko Hasate Jaa Rahe Hain,
Bas Apni Bazati Karwa Ke Har Kaisi Ko Khushi Kiye Jaa Rahe Hain,

Shaam Ho Rahi Hai AAMIR Aur
Tera Saaya Bhi Tera Saath Chhode Jaa Rahi Hain...

Main To Bhool Gaya Uski Yaadon Ko Jo Dil Mein Basera Karte The


Main To Bhool Gaya Uski Yaadon Ko Jo Dil Mein Basera Karte The
Subah Shaam Din Raat Uski Yaad Mein Aansu Baha Karte The,

Ab To Aansu Bhi Khushk Hogaye Hai Magar Wo Hai Naraz Ab Tak,
Aye Khuda Tu Bhi Aise Hi Rula Usko Meri Jaan Zinda Hai Jab Tak,

Main Mila Hi Kyon Tha Usko Na Jane Kaunsi Wo Ghadi Thi,
Shayad Barsaat Ki Raat Thi Aur Wo Bhigi Hui Baagh Mein Khadi Thi,

Dekhke Maine Kaha Use Yun Na Bhigo Barsaat Hai Badi Sakht,
Shayad Mera Ye Kehna Tha Use Aur Wo Ro Padi Bad Bakht,

Rota Dekhke Mere Bhi Aansu Nikal Aaye Aur Puchha Maine Usse,
Kyon Roti Ho Aye Haseena Hcup Ho Jao Kya Naraz Hai Koi Tujhse,

Kaha Usne Main Toot Gayi Hoon Bikhar Gayi Hoon Aye Khuda Maut Aajaye Mujhe,
Na Jane Kahan Hoga Wo Jo Mujhe Dilasa De Apni Bahon Mein Uthaye Mujhe,

Ye Sunke Maine Kaha Bhool Jao Usko Ye Duniya Badi Bewafa Hai,
Kal Wo Tera Tha Aaj Kisi Aur Ka Hai Dhoka Yahan Nahi Har Jagah Hai,

Main Bhi Uski Yaad Mein Toota Tha Roya Tha Har Jagah Fariyaad Karta Tha,
De Deta Jaan Apni Magar Mere Dost Apne Khuda Se Main Darta Tha,

Bas Isiliye Maine Soch Liya Bhool Jaunga Main Uski Yaadon Ko,
Uske Sharbati Nain Jheel Jaisi Aankhein Aur Uski Meethi Baaton Ko,

Tum Bhi Hans Do Muskurao Ye Zindagi Bahut Chhoti Hai,
Mohabbat Sirf Ek Dhoka Hai Jisne Kar Li Sari Umar Roti Hai...

Har Mauj Ke Daman Mein Bedaar Jo Dariya Hai


Har Mauj Ke Daman Mein Bedaar Jo Dariya Hai
Ek Ret Ke Zarre Mein Aabad Jo Sehra Hai,
Kya Uski Wazahat Hai, Kya Uska Taqaza Hai,
Jo Saamne Aata Hai Manzar Hai Ke Parda Hai,

Be-Ant Sawalon Ki Zanjeer Hai Ye Duniya,
Us Aqs Ke Sayon Ki Tasveer Hai Ye Duniya,
Jis Aqs Ke Jalwe Ko Hoor Aankh Tarasti Hai,
Hai Ek Ghata Aisi, Khulti Na Barasti Hai,

Kyon Rang Nahi Rukte, Kyon Baat Nahi Chalti,
Kyon Chaand Nahi Bujhta, Kyon Raat Nahi Jalti,
Mausam Ki Sada Sun Kar Kyon Shaakh Larazti Hai,
Kyon Udaas Kaf-E-Gul Par Pal Bhar Ko Theherti Hai,
Kyon Khwaab Bhatakte Hai, Kyon Aas Bikharti Hai,
Is Ek Tasalsul Se Kyon Waqt Nahi Thakta,
Bas Ek Tahayyur Mein Kyon Umar Guzarti Hai...

Humko To Muskurane Ki Aadat Si Hai


Humko To Muskurane Ki Aadat Si Hai
Aansuon Ko Chhupane Ki Aadat Si Hai,

Dua Na Hi Dua Kaam Karti Hai Hum Par,
Ab To Zakhm Khane Ki Aadat Si Hai,

Sab Kehte Hai Gam Se Koi Rsihta Nahi Hamara,
Kya Karein Mehfil Mein Gaane Ki Aadat Si Hai,

Raasta Nahi Manzil Dikhayi Deti Hai,
Tareekiyon Mein Chalne Ki Aadat Si Hai,

Zor Nahi Chalta Kyonki Bebas Hai Hum,
Is Bebasi Mein Dilko Rulane Aadat Si Hai,

Raat Guzarti Hai Hamari Tanhayi Ke Sath,
Tanhayi Ko Sang Jagane Ki Aadat Si Hai,

Mar Jaun To Mere Munh Par Khafan Dale Rakhna,
Zamane Se Munh Chhupane Ki Aadat Si Hai,

Aaj Hai To Kal Wo Log Nahi Rehte,
Logonko Yahan Aane Jaane Ki Aadat Si Hai...

Dard Kya Hota Hai Batayenge Kisi Roz



Dard Kya Hota Hai Batayenge Kisi Roz
Kamal Ki Gazal Tumko Sunayenge Kisi Roz,

Thi Unki Zid Ke Main Jaun Unko Manane,
Mujhko Ye Vahem Tha Wo Bolenge Kisi Roz,

Allah Kasam Maine To Socha Bhi Nahi Tha,
Wo Itna Mere Dilko Dukhayenge Kisi Roz,

Har Roz Aaine Se Yehi Puchhta Hoon Main,
Kya Rukh Pe Tabassum Bhi Sajenge Kisi Roz,

Udne To In Paridon Ko Aazad Fiza Mein,
Tumhare Honge Agar Laut Hi Ayenge Kisi Roz,

Apne Sitam Ka Dekh Lena Khud Hi Asar Tum,
Zakhm-E-Jigar Tamaam Dikhayenge Kisi Roz,

Jo Peete Rahe Yun Hi Doston,
Hum Keh Rahe Hai Jaan Gawayenge Kisi Roz...

Har Palke Sunepan Mein Tum Hi Tum Samaye Ho


Har Palke Sunepan Mein Tum Hi Tum Samaye Ho
Meri Aankhon Se Dekho Har Shay Mein Nazar Aaye Ho,

Akele Mein Gungunati, Kabhi Khamosh Sa Rehti Hoon,
Dilki Dhadkan Mein Bhi Rehkar Kyon Lagte Paraye Ho,

Jab Jab Ye Doori Tarsati Hai, Majboori Muskurati Hai,
Duniya Walon Batao Kyon Deewane Ko Sataye Ho,

Raat Ki Chandi Faili Ho, Ya Dinka Ujala Chamke,
Kaise Batayein Jana Tum Yaad Bahut Hi Aaye Ho,

Wajood Hai Tumse Mera, Tumhi Se Bahar Hai,
Tumhi Meri Duniya Ko Phoolon Se Sajaye Ho...

Siyaahiyon Ke Bane Harf Harf Dhote Hain


Siyaahiyon Ke Bane Harf Harf Dhote Hain
Ye Log Raat Mein Kaagaz Kahan Bhigote Hain,

Kisiki Shah Mein Dehliz Par Diya Na Rakho,
Kivaar Sukhi Hui Lakdiyon Ke Hote Hain,

Charaag Paani Mein Maujon Se Puchhte Honge,
Wo Kaun Log Hai Jo Kashtiyan Dubote Hain,

Qadeem Qasbon Mein Kya Sukun Hota Hai,
Thake Thakaye Hamare Buzurg Sote Hain,

Chamakti Hai Kahin Sadiyon Mein Aansuon Ki Zameen,
Gazal Ke Sher Kahan Roz Roz Hote Hain...

Bahut Dino Ke Baad Use Ek Mehfil Mein Dekha Tha


Bahut Dino Ke Baad Use
Ek Mehfil Mein Dekha Tha
Ek Lamhe Ko Hijr-O-Wisal Ke Saare Mausam
Aankhon Mein Lehra Se Gaye,
Dil Mein Chirag Se Jal Uthe,
Usse Gale Milne Ke Tasavvur Se Hi
Jaise Sara Wajood
Phool Ki Soorat Khil Utha,
Un Hathon Se Lims Ka Soch Ke
Saara Jism Sulag Utha,
Un Honthon Ke Garm Gulabi Nari Ka Khush Rang Khayal
Hothon Pe Muska Utha
Halq-E-Yaara'n Se Aakhir
Pal Bhar Ki Fursat Paakar
Meri Taraf Wo Aya Bhi,
Meri Jaanib Dekha Bhi,
Par Jo Kaha To Itna Kaha,
Aap Se Mil Kar Khushi Hui,
Mere Sehan-E-Dil Mein Achanak Hone Wali,
Patjhad Se Yaksaa'n La Elm...

Kal Shab To Asmaan Pe Nazara Ajeeb Tha


Kal Shab To Asmaan Pe Nazara Ajeeb Tha
Taare To Bahut The Per Ek Tara Ajeeb Tha,

Aao Sunaun Uski Tumhe Daastan-E-Ishq,
Kuch Iska Tha Qasoor Ya Sara Naseeb Tha,

Taare To Bahut The Per Ek Tara Ajeeb Tha,
Sab Chaand The Door Ke Hum Paas Na Jayein,

Agar Paas Chale Jayein To Madham Na Par Jayein,
Ye Soch Kar Sab Chaand Ke Jate Nahi The Paas,

Un Sab Se Be-Nyaz Wo Tara Ajeeb Tha,
Taare To Bahut The Par Ek Tara Ajeeb Tha,

Anjaam-E-Mohabbat Wo Apni Jaanta To Tha,
Chanda Ka Ishq Chandni Se Maanta To Tha,

Par Ishq Mein Wo Dil Ka Aisa Hua Ghulam,
Khud Apne Hi Haathon Se Bigada Naseeb,

Taare To Bahut The Par Ek Taara Ajeeb Tha,
Lamha Lamha Chaand Ke Nazdeek Wo Gaya,

Khud Apna Husn Apni Jawani Dubo Gaya,
Aisi Kadi Mohabbat Ke Mit Gaya Wajood,

Kyon Sab Se Munfarid Wo Bechara Gareeb Tha,
Taare To Bahut The Par Ek Tara Ajeeb Tha!!!

Chalo Ke Raasta Purana Badal Ke Dekhte Hain


Chalo Ke Raasta Purana Badal Ke Dekhte Hain
Yahan Se Door Thikana Badal Ke Dekhte Hain,

Bahut Dinon Se Chali Aa Rahi Hai Shab Din Mein,
Ye Teergi Ka Zamana Badal Ke Dekhte Hain,

Ye Kya Nishane Pe Hum Khud Aaye Jate Hain,
Khala Mein Ab Ke Nishana Badal Ke Dekhte Hain,

Mein Apni Ankhein Tumhe Dun Tum Apna Chehra Do,
Khazane Se Ye Khazana Badal Ke Dekhte Hain,

Yaqeen Nahin Hai Use Aitbar Aa Jaye,
Kaho To Phir Bhi Bahana Badal Kar Dekhte Hain,

Nigah Chahti Hai Ab Koi Naya Manzar,
Tumhara Khwab Suhana Badal Ke Dekhte Hain,

Khulos Dostan Jis Se Hua Hai Kam Asghar,
Wo Bebasi Ka Fasana Badal Ke Dekhte Hain...

Ye Gulaab Hai Akela Is Hare Bhare Chaman Mein


Ye Gulaab Hai Akela Is Hare Bhare Chaman Mein
Koi Chameli Bhi Nahi Hai Saath Nibhane Ke Liye,

Wo Bewafa Hai Lekin Mere Ishq Ki Qatil Nahi,
Main Bewafa Hoon Magar Uske Qaabil Nahi,

Peena Ka Shoq Nahi Hai Mujhko, Ye To Ek Sahara Hai,
Jisse Sanam Bewafa Mile, Usika Ye Asan Guzara Hai,

Raat Ko Aasman Mein Chamakte Hai Chand Sitare,
Dinko Zameen Pe Phirte Hai Log Pyaare Pyaare,

Kabhi Zindagi Mein Tumse Mulaqaat Hogi,
Dilki Hasraton Ko Pura Karunga Yehi Meri Baat Hogi,

Na Jaane Kyon Tum Chup Chup Si Rehti Ho,
Dil Mein Koi Shararat Hai Phir Bhi Khoyi Khoyi Si Rehti Ho,

Tu Pyaar Kar Ya Na Kar Hum Tujhe Pyaar Karenge,
Tune Agar Bewafayi Bhi Ki To Tumhi Pe Dilse Marenge,

Yeh Filmi Dialogue Nahi Ye To Mere Dilki Daastaan Hai,
Tu Koi Ajnabi Nahi Tu To Mere Dilki Mehmaan Hai,

Tu Meri Zindagi Tu Mujhe Chhod Ke Jaana Nahi,
Main Tera Hi Deewana Hoon Koi Ajnabi Begana Nahi,

Modern Age Hai Mera Dil Love Ka Stage Hai,
Tujhko Ek Din Paunga Main Mera Dil Mohabbat Ka Cage Hai,

Inkaar-E-Mohabbat Kiya Tha Jo Humne Wo To Ek Paheli Hai,
Jis Ladki Se Main Mohabbat Karta Hoon Wo To Aapki Saheli Hai,

Meri Life Badi Suhani Hai, Ek Ladki Meri Deewani Hai,
Mera Dil Use Chahta Nahi Wo Hazaron Majnuon Ki Kahani Hai...

O Aasman Ke Taare Tujhko Roz Main Dekha Karti Hoon


O Aasman Ke Taare Tujhko
Roz Main Dekha Karti Hoon
Par Tune Bhi Kya Kisi Pal,
Mujhko Jhuk Ke Dekha Hai,
Teri Chamak Se Saare Khush Hote,
Teri Doori Ek Hai Chahat Si,
Par Ek Baar Jhuk Kar Tune Bhi,
Gar Mujhko Dekha Hota,
To Meri Maang Mein Saje Hue,
Us Taare Ko To Chahne Lagte,
Tu Door Sa Hai Wo Paas Mein Hai,
Tu Sabka Hai Wo Mera Hai,
Tu Aasman Ka Tara Sahi,
Wo Mere Pyaar Ka Tara Hai...

Na Jaana Aaj Tak Kya Sahi Khushi Hai


Na Jaana Aaj Tak Kya Sahi Khushi Hai
Hamari Zindagi Bhi Kay Zindagi Hai,

Tere Gam Se Shikayat Si Rahi Hai,
Mujhe Sachmuch Badi Sharmindgi Hai,

Mohabbat Mein Kabhi Socha Hai Yun Bhi,
Ke Tujhse Dosti Ya Dushmani Hai,

Koi Dam Ka Hoon Meherbaan Munh Na Phero,
Abhi Aankhon Mein Kuch Kuch Roshni Hai,

Zamana Zulm Mujh Par Kar Raha Hai,
Tum Aisa Kar Sako To Baat Bhi Hai,

Jhalak Masumiyon Mein Shokhiyon Ki,
Bahut Rangeen Teri Saadgi Hai,

Ise Sun Lo Sabab Iska Na Puchho,
Mujhe Tumse Mohabbat Ho Gayi Hai,

Suna Hai Ke Nagar Hai Aansuon Ka,
Usika Dusra Naam Aankh Bhi Hai,

Wahi Teri Mohabbat Ki Kahani,
Jo Kuch Bhuli Hui Kuch Yaad Bhi Hai,

Tumhara Zikr Aaya Ittefaqan,
Na Bigdo Baat Par Baat Aa Gayi Hai...

Pehli Hi Mulaqaat Mein Hum Dil To De Baithe


Pehli Hi Mulaqaat Mein
Hum Dil To De Baithe
Kya Pata Tha Aye Zalim,
Pyaar Bewafa Bhi Hota Hai,

Tumko Kya Pata
Ke Pyar Kya Chiz Hai,
Chaha Tha Tumse Kya,
Tumne Kya Sila Diya,
Mera Yaar Bewafa,

Gam Ke Aansu Behte Hai,
Toot Raha Hai Dil Har Pal,
Yeh Dard Tum Kya Jano,
Mere Yaar Bewafa,

Kehte Hai Pyaar Ek Hi Baar Htoa Hai,
Hum Apne Hisse Ka Pyar Kar Chuke,
Na Dohrayenge Is Galti Ko,
Na Ho Payenge Aur Kisi Ke,
Mere Yaar Bewafa,

Tumse Kya Karein Shikayat,
Samjha Tumne Hamein Kahan,
Pyar Kiya Tha Beshumar,
Paya Hai Sirf Humne,
Ek Bewafa Yaar...

Yunhi Hansi Hansi Mein Hum Dilonse Khel Jaate Hain


Yunhi Hansi Hansi Mein,
Hum Dilonse Khel Jaate Hain
Koi Chhoti Si Tikhi Baat,
Koi Chubhta Hua Jumla,
Koi Zehar Aalod Lehja
Koi Be-Zaraz Domani Baat
Sunne Wale Ke Dil Par Ghaav Laga Jaati Hai
Phir Kitne Hi Talafi Ke Marham Lagao
Qatra Qatra Khoon
Tapakta Hi Rehta Hai
Woh Aansoo
Jo Aankh Se Girta Hi Nahi
Andar Hi Andar Jam Jaata Hai
Barf Par Gire Garam Mom Ke Qatre Ki Tarah
Aur Woh Barf To Shayad
Waqt Ki Garmi Se Pighal Jaati Hai
Magar Woh Qatra
Jab Bhi Pighalne Lagta Hai Phail Jaata Hai
Badh Jaata Hai Bas Khatam Nahin Hota
Aur
Yun Hi Hansi Hansi Main
Hum Dilon Se Khel Jaate Hain

Abalay Puchhte Hai Paunv Se Kya Milega Tumhe Wafaon Se


Abalay Puchhte Hai Paunv Se
Kya Milega Tumhe Wafaon Se

In Munderon Pe Kuch Charag Bhi The,
Kaun Puchhega Ab Hawaon Se,

Bastiyan Zay-Raay Aab Aati Gein,
Honth Jalte Rahe Duwaon Se,

Titliyan Kyon Safar Mein Rehti Hai,
Bachhiyan Puchhti Hai Maaon Se,

Abr Pawanday Khaak Lagta Hai,
Ret Girne Lagi Khalaon Se,

Bhook Ki Dhoop Humko Kha Jaati,
Bach Gaye Mehnaton Ki Chhanv Se,

Dil Ne Hijrat Kabool Kar Li Thi,
Hosley Ho Sake Na Paanv Se...

Mile Hum Kabhi To Aise Ke Hijaab Bhool Jaye


Mile Hum Kabhi To Aise Ke Hijaab Bhool Jaye,
Main Sawal Bhool Jaun, Wo Jawab Bhool Jaye,

Wo Kisi Khayal Mein Ho Aur Usi Khayal Mein Hi,
Kabhi Mere Raste Mein Wo Gulaab Bhool Jaye,

Jo Kabhi To Padhne Baithe, Mujhe Harf Harf Dekhe,
Teri Aankhein Bheeg Jayein, Tu Kitab Bhool Jaye,

Teri Soch Par Ho Haavi Meri Yaad Is Tarahse,
Ke Tu Apni Zindagi Ka Ye Nisaab Bhool Jaye,

Mujhe Gam Wo De Raha Hai Magar Uspe Chahta Hai,
Main Hisaab Rakh Na Paun, Wo Hisaab Bhool Jaye,

Mujhe Saath Jaate Jaate Faqt Itna Keh Gaya Hai,
Jise De Dikhayi Achha Wo Kharab Bhool Jaye...

Kya Sunau Tumko Main Apne Safar Ki Dastan


Kya Sunau Tumko Main Apne Safar Ki Dastan,
Na Koi Rehbar Tha Mera Na Koi Tha Karwan,

Chal Raha Tha Zindagi Bhar Ek Andheri Raah Mein,
Door Tak Taarikiyan Thi Dhundh Thi Aur Tha Dhuan,

Sochta Tha Ek Din Pichhe Ye Gam Reh Jayega,
Khatam Hokar Na Diya Lekin Ye Gam Ka Aasman,

Kyon Bhatakta Main Na Phirta Dehar Ke Toofan Mein,
Na Khuda Koi Na Tha Kashti Meri Thi Bekaran,

Yaad Bhi Mit Jayegi Meri Mere Marne Ke Sath,
Na Rahega Naam Mera Na Mera Koi Nishaan...

Tumhari Aas Ke Gamlon Mein Rakhe Phool Murjhane Lage Hain


Tumhari Aas Ke Gamlon Mein Rakhe Phool Murjhane Lage Hain,
Judayi Dhup Lagti Hai Bahut Hi Talkh Chubhti Si,
December June Lagta Hai,
Kisike Naam Ki Ghanti Baje, Mujhko Tumhara Phone Lagta Hai,
Tumhare Laut Aane Tak, Najane Kis Kadar Lambi Udaasi,
Aankh Ke Bistar Mein Chhup Ke Ret Likhegi,
Na Jane Kis Kadar Sapnon Ko Degi Beghari Ka Dukh,
Abhi To Phir Bhi Baaki Hai Koi Sapna,
Tumhare Lams Ke Zinda Warq Par,
Tumhari Khushbuein Zinda Hai, Phoolon Ke Badan Par,
Magar Aisa Na Ho Ke Phool Jal Jayein Kisi Sapne Ke Bujhte Hi,
Tumhara Lams Mar Jaye,
Gulabon Ke Badan Mein Zang Lag Jaye,
Kahin Aisa Na Ho Jana,
Aana Ki Surkh Tehni Par Koi Talwar Ug Aaye,
Kahin Aisa Na Ho Ke, Soch Ki Khidki Mein Koi Wahem Aa Baithe,
Main Is Takmeel Ke Aadhe Safar Mein Hi Na Mar Jaun,
Ye Mausam Jo Adhura Hai, Adhura Hi Na Reh Jaye,
Abhi To Aaina, Chehra Dikhata Hai,
Saraab Hi Sahi Janan Ye Rasta Per Ke Niche Hi,
Abhi To Aas Likhta Hai,
Abhi Hai Waqt Mutthi Mein,
Agarche Ret Ki Maanind Phisalta Jaa Raha Hai,
Par,
Tumhare Laut Aane Tak, Sambhalungi Koi Lamha,
Ye Sara Waqt Girne Se,
Mere Haathonse Behne Se,
Zara Ek Lamha Pehle Tak, Agar Tum Lauto To,
Agar Tum Laut Aao To, Meri Takmeel Ho Jaye...

Raat Madhosh Thi Pehloo-E-Samundar Mein Mehtaab Tha


Raat Madhosh Thi Pehloo-E-Samundar Mein Mehtaab Tha
Us Andheri Raat Unke Chehre Par Noor-E-Aftaab Tha,

Unki Aankhon Ke Saher Mein Hum The Khogaye,
Jawahir-E-Duniya Mein Wo Ek Jauhar-E-Nayab Tha,

Haathon Unke Pee Gaye Hum Wo Jaan,
Chahe Wo Sharab Thi Ya Zeher-E-Aab Tha,

Dekthe Hi Jisko Madhosh Ho Gaye Hum,
Khilte Hue Kanwal Sa Wo Chehra-E-Janab Tha,

Bandh Aankhon Se Tumne Dekha Jo Qais,
Kya Wo Haqeeqat Thi Ya Koi Khwab Tha...

Is Bandagi Ko Nibhaun Kaise


Is Bandagi Ko Nibhaun Kaise,
Teri Mohabbat Ko Bhulaun Kaise,

Tu Basta Hai Meri Har Saans Mein,
Main Apni Saansein Rok Paun Kaise,

Mujhse Juda Ho Kar Jo Silsila Toda Tha Tumne,
Main Aaj Wo Silsila Chalaun Kaise,

Tu Kehta Hai Ke Tu Khush Hai Kisi Aur Ke Aagosh Mein,
Lekin Main Apne Gam Ko Bhul Jaun Kaise,

Agarche Ye Sawal Hota Meri Maut Ka To Thik Tha,
Ab Main Jeete Jee Bewafa Ban Jaun Kaise,

Mujhe Maut Ki Dua Hi De De Jaate Jaate,
Main Tere Bina Ye Gamgeen Zindagi Bitaun Kaise...

Popular Posts