Friday, July 23, 2010

Har Mauj Ke Daman Mein Bedaar Jo Dariya Hai


Har Mauj Ke Daman Mein Bedaar Jo Dariya Hai
Ek Ret Ke Zarre Mein Aabad Jo Sehra Hai,
Kya Uski Wazahat Hai, Kya Uska Taqaza Hai,
Jo Saamne Aata Hai Manzar Hai Ke Parda Hai,

Be-Ant Sawalon Ki Zanjeer Hai Ye Duniya,
Us Aqs Ke Sayon Ki Tasveer Hai Ye Duniya,
Jis Aqs Ke Jalwe Ko Hoor Aankh Tarasti Hai,
Hai Ek Ghata Aisi, Khulti Na Barasti Hai,

Kyon Rang Nahi Rukte, Kyon Baat Nahi Chalti,
Kyon Chaand Nahi Bujhta, Kyon Raat Nahi Jalti,
Mausam Ki Sada Sun Kar Kyon Shaakh Larazti Hai,
Kyon Udaas Kaf-E-Gul Par Pal Bhar Ko Theherti Hai,
Kyon Khwaab Bhatakte Hai, Kyon Aas Bikharti Hai,
Is Ek Tasalsul Se Kyon Waqt Nahi Thakta,
Bas Ek Tahayyur Mein Kyon Umar Guzarti Hai...

No comments:

Popular Posts