Friday, July 23, 2010

Lazzat-E-Zakhm-E-Jigar Tujhse Chhupa Bhi Na Sakun


Lazzat-E-Zakhm-E-Jigar Tujhse Chhupa Bhi Na Sakun,
Dard Is Darja Badha Hai Ke Bata Bhi Na Sakun,

Aaj Rukhsat Hua Jaata Hoon Bas Itna Keh Ke,
Main Gaya Waqt Hoon Ke Phir Aa Bhi Na Sakun,

Tohfa-E-Ishq Jo Zakhmon Ka Diya Hai Tune,
Ye Tere Harf Hai Jinko Main Mita Bhi Na Sakun,

Wo Tere Khat Tujhe Waapis Main Karunga Jinko,
Khudko Padhta Nahi Auron Ko Suna Bhi Na Sakun,

Teri Furqat Mein Yehi Haal Hua Hai Apna,
Khud Sambhal Bhi Na Sakun Tujhko Bhula Bhi Na Sakun,

Ye Gam-E-Dil Jo Zamane Se Mila Hai Mujhko,
Zeest Ka Baar Hai Aisa Ke Utha Bhi Na Sakun,

Zikr Kyon Karte Ho Bewajah Tum Unka Humse,
Door Itna Hai Ke Paas Usko Bula Bhi Na Sakun,

Aaj Maikhane Mein Mil Jaye Jo Mujhko Galib,
Zahid-E-Khushk Nahi Hoon Ke Pila Bhi Na Sakun,

Jalte Rehne Do Ye Deepak Jo Ba Shakl-E-Zahid,
Ek Akela Hi Bacha Hai Ke Bujha Bhi Na Sakun...

No comments:

Popular Posts