Pehle Sa Haal Pehle Si Wehshat Nahi Rahi,
Shayad Ke Tere Hijr Ki Aadat Nahi Rahi,
Shehron Mein Ek Sheher,
Mere Ratt-Jagon Ka Sheher,
Koche To Kya Dilon Mein Bhi Wehshat Nahi Rahi,
Logon Mein Mere Log,
Wo Dil Dariyon Ke Log,
Bichhde To Door Door Tak Safaqat Nahi Rahi,
Shamon Mein Ek Shaam,
Wo Awargi Ki Shaam,
Ab Naye Darichon Ki Zaroorat Nahi Raho,
Raaton Mein Ek Raat,
Mere Ghar Ki Chand Raat,
Aangan Ko Chandni Ki Zaroorat Nahi Rahi,
Raahon Mein Ek Raah,
Wo Ghar Lutne Ki Raah,
Thehre Kisi Gagha Wo Tabiyat Nahi Rahi,
Yaadon Mein Ek Yaad,
Koi Dil Shikan Si Yaad,
Wo Yaad Ab Kahan Ke Fursat Nahi Rahi,
Naamon Mein Ek Naam,
Sawal-E-Aashna Ka Naam,
Dilpe Aisi Koi Ibarat Nahi Rahi,
Baaton Mein Ek Baat,
Teri Chahaton Ki Baat,
Aur Ab Ye Ittefaq Ke Chahat Nahi Rahi,
Yaadon Mein Ek Yaar,
Wo Aayariyon Ka Yaar,
Milna Nahi Raha To Shikayat Nahi Rahi,
Zakhmon Mein Ek Zakham,
Mata-E-Unhi Ke Zakham,
Ab Koi Aarzu-E-Jurrat Nahi Rahi,
Sannata Bolta Raha,
Sada Mat Laga Seher,
Awaz Reh Gayi Hai Sama'at Nahi Rahi...
No comments:
Post a Comment