Friday, July 23, 2010

Yunhi Hansi Hansi Mein Hum Dilonse Khel Jaate Hain


Yunhi Hansi Hansi Mein,
Hum Dilonse Khel Jaate Hain
Koi Chhoti Si Tikhi Baat,
Koi Chubhta Hua Jumla,
Koi Zehar Aalod Lehja
Koi Be-Zaraz Domani Baat
Sunne Wale Ke Dil Par Ghaav Laga Jaati Hai
Phir Kitne Hi Talafi Ke Marham Lagao
Qatra Qatra Khoon
Tapakta Hi Rehta Hai
Woh Aansoo
Jo Aankh Se Girta Hi Nahi
Andar Hi Andar Jam Jaata Hai
Barf Par Gire Garam Mom Ke Qatre Ki Tarah
Aur Woh Barf To Shayad
Waqt Ki Garmi Se Pighal Jaati Hai
Magar Woh Qatra
Jab Bhi Pighalne Lagta Hai Phail Jaata Hai
Badh Jaata Hai Bas Khatam Nahin Hota
Aur
Yun Hi Hansi Hansi Main
Hum Dilon Se Khel Jaate Hain

No comments:

Popular Posts