Friday, July 23, 2010

Tumhari Aas Ke Gamlon Mein Rakhe Phool Murjhane Lage Hain


Tumhari Aas Ke Gamlon Mein Rakhe Phool Murjhane Lage Hain,
Judayi Dhup Lagti Hai Bahut Hi Talkh Chubhti Si,
December June Lagta Hai,
Kisike Naam Ki Ghanti Baje, Mujhko Tumhara Phone Lagta Hai,
Tumhare Laut Aane Tak, Najane Kis Kadar Lambi Udaasi,
Aankh Ke Bistar Mein Chhup Ke Ret Likhegi,
Na Jane Kis Kadar Sapnon Ko Degi Beghari Ka Dukh,
Abhi To Phir Bhi Baaki Hai Koi Sapna,
Tumhare Lams Ke Zinda Warq Par,
Tumhari Khushbuein Zinda Hai, Phoolon Ke Badan Par,
Magar Aisa Na Ho Ke Phool Jal Jayein Kisi Sapne Ke Bujhte Hi,
Tumhara Lams Mar Jaye,
Gulabon Ke Badan Mein Zang Lag Jaye,
Kahin Aisa Na Ho Jana,
Aana Ki Surkh Tehni Par Koi Talwar Ug Aaye,
Kahin Aisa Na Ho Ke, Soch Ki Khidki Mein Koi Wahem Aa Baithe,
Main Is Takmeel Ke Aadhe Safar Mein Hi Na Mar Jaun,
Ye Mausam Jo Adhura Hai, Adhura Hi Na Reh Jaye,
Abhi To Aaina, Chehra Dikhata Hai,
Saraab Hi Sahi Janan Ye Rasta Per Ke Niche Hi,
Abhi To Aas Likhta Hai,
Abhi Hai Waqt Mutthi Mein,
Agarche Ret Ki Maanind Phisalta Jaa Raha Hai,
Par,
Tumhare Laut Aane Tak, Sambhalungi Koi Lamha,
Ye Sara Waqt Girne Se,
Mere Haathonse Behne Se,
Zara Ek Lamha Pehle Tak, Agar Tum Lauto To,
Agar Tum Laut Aao To, Meri Takmeel Ho Jaye...

No comments:

Popular Posts