Friday, July 23, 2010

Ibtidaa-E-Shauq Ka Ailaan-E-Mastaana Hoon Main


Ibtidaa-E-Shauq Ka Ailaan-E-Mastaana Hoon Main
Intehan-E-Ishq Ka Izhaar-E-Rindana Hoon Main,

Khel Hai Duniya Ki Har Farzaanagi Mere Liye,
Aur Zalim Ye Samajhti Hai Ke Deewana Hoon Main,

Aashna-E-Husn Hoon, Mast-E-Hawa-E-Shauq Hoon,
Mehfil-E-Ahl-E-Khiradm Ein Ek Hi Daana Hoon Main,

Wo Fughaan Seene Mein Jo Ghut Ghut Ke Akhir Mar Gayi,
Jo Adhura Reh Gaya Honthon Pe, Afsana Hoon Main,

Dukh Ye Rang-E-Khudee, Deewana Deewano Mein Hoon,
Aur Ye Bhi Dekh, Farzanon Mein Farzana Hoon Main,

Wo Hareem-E-Shauq Aru Khalvat Ki Wo Rangiyaan,
Kaisi Alam-Saaz Yaadon Ka Sanam Khana Hoon Main,

Koi Din Jaata Hai Mehfil Mein Chhalak Jaunga Main,
Aab-E-Talkh-E-Zeest Se Labrez Paimana Hoon Main,

Ye Tamasha-Gaah-E-Aalam Aur Ye Meri Bekhudi,
Kya Kahoon Duniya Ki Jab Khud Se Hi Begana Hoon Main,

Chhedte Hai Kyon Mujhe Ye Ma'e-Gusaaran-E-Sukhan,
Laakh Beqeemat Hoon Par Ma'yaar-E-Ma'e-Khana Hoon Main,

Yaad-E-Maazi Bhi Idhar Aate Hue Ghabraye Hai,
Kis Qadar Wehshat Hai, Weerana Sa Weerana Hoon Main,

Yaad Aata Hai Mujhe Sarwar, Sar-E-Daar-E-Khirad,
Wo Tera Kehna Ke Deewana Hoon, Deewana Hoon Main...

No comments:

Popular Posts