Saturday, June 26, 2010

Likh Na Paoon Ga Teri Bewafai Ki Daastaan


Likh Na Paoon Ga Teri Bewafai Ki Daastaan
Main Nay Aye Dost Tujhay Chaha Tha Buhat

Dil Dharakta Tha Mera Terey Naam K Sath
Main Nay Aye Dost Tujhay Soocha Tha Buhat

Utha Jab Bhi Haath Mera Duaa Kay Liey
Apnay Rab Say Aye Dost Tujhay Maanga Tha Buhat

Dasti Hain Terey Bin Yeh Chaandni Raatain
Hoti Hain Terey Bin Aankhon Say Barsaat Buhat

Main Nay Chaha Tujhay Bhool Jaoon Bewafa Sanam
Bhool Kar Bhi Teri Yaad Aatti Hai Buhat

Barey mukhtasar se huroof mai,mujhe gehri baat bata gaya


Barey mukhtasar se huroof mai,mujhe gehri baat bata gaya
k wo khwab sa koi shakhs tha jo sehar se pehle jaga gaya

kisi meherban ki duaon se ye safar tamam hua mera
jinhe rehbari ka ghurur tha unhe raston ne mita dia

Hume assman se gila nahi teri rehmatoon p yaqeen hai
jahan zindagi ne shikast di,kisi moajze ne bacha lia

Hume zinda rehne ka hosla teri arzoo ne ata kia
Bare gehrey zakham mile the hume,jinhe rafta rafte mita dia

Pehli Mohbbat ho bahut Khubsurat ho Tum


kabhi main jo keh doo mohabbat hai tum se
to mujh ko khudara galat mat samajhna
ke meri zaroorat ho tum
bahut khubsurat ho tum.

hai phoolon ki dali yeh bahein tumhari
hai khamosh jadoo nigahein tumhari
jo kantein ho sab apne daman mein rakh lon
sajaon main kalyoun se rahein tumhari

nazar se zamane ki khud ko bachana
kissi aur se dekho dil na lagana
ke meri amanat ho tum
bahut khubsurat ho tum.

hai chehra tumhara ke din hai sunhera
aur us par yeh kali ghataon ka pehra.
gulabo sa nazuk mehekta badan hai
yeh lab hai tumhare ya khilta chaman hai.

bikheron jo zulfein to sharmaye badal
yeh zahid bhi dekhe to ho jaye pagal
oh pakiza murat ho tum
bahut khubsurat ho tum.

jo ban ke kali muskurati hai aksar
shab - e - hejrr mein jo rulati hai aksar
jo lamho he lamho mein duniya badal de
jo shayer ko de jaye pehlo gazal ke

chupana jo chaha chpayee na jaye
bhulana jo chaha bhulayee na jaye
woh pehli muhabbat ho tum
bahut khubsurat ho tum.

Teri raah mein rakh kar apni shaam ki aahat


Teri raah mein rakh kar apni shaam ki aahat
Dam bakhud se baithi hai mere baam ki aahat
.
.
Kiyun thehr gayee dil mein us maqaam ki aahat
Kiyun guzar nahin jati us maqaam ki aahat
.
.
Haath ki lakeeron se kiss tarah nikaaloon main
Teri yaad k mausam tere naam ki aahat
.
.
Aankh mein machalti hai haath par tarrapti hai
Is qayaam ki aahat us qayaam ki aahat
.
.
Jab yeh dil rafaqat ki kachi neend se jaaga
Tau mujhe sunaai di ikhtitaam ki aahat
.
.
Furqaton k boseeda saahilon pe utri tau
Har taraf thi bas tere hi kalaam ki aahat
.
.
Raat k utartay hi dil ki sooni galiyon mein
Jaag uthti hai phir se tere naam ki aahat
.
.
Baith jati hai aa kar dar pe kiyun mere humdum
Tere sath ki aahat,tere gaam ki aahat.......!!!

Bohat thakaan badan mein mere safar ki rehi


Bohat thakaan badan mein mere safar ki rehi
Magar shook ki manzil k har nagar mein rehi

Woh jis pe chal kay sadah paoon zakhm zakhm huwe
Na jane khooj humahin kiun ess he dagar ki rehi

Khuda Ney fitrat e aazadi woh baanai hai
L jis mein ruh shaheed e bey khatar ki rehi

Jo meri zaat ki pinhaiyaaN samjh leiti
Tammam umar zarorat ous ek nazar ki rehi

Jab Apne app mein duobey falak ko chuoh aaye
K eihtiyaat humain ab baal o par ki rehi

Humain say sunnatain ab bhi zindaa hai
K har zamaney ko hajat humhare sar ki rehi

Billa sababb Toh karamat pe apni Naaz nehi
K chaar daang mein shohrat mere aasar ki rehi

Rehna tha mujh ko teri nazar k kamaal mein


Rehna tha mujh ko teri nazar k kamaal mein
Lekin main din guzaar rahi hoon zawaal mein
.
.
Ghaira hai is tarah mujhe wehshat k jaal ne
Sab khawab mere doob gaye is malaal mein
.
.
Mujh se nazar chura k guzarnay lagi hawa
Aanay lagi jo hijr ki khushbu wisaal mein
.
.
Hoon saa-at-e-azaab mein kiyun main abhi talak?
Ik umar se ghhiri hoon issi ik sawaal mein
.
.
Bay chainiyaan tamaam hi main uski orrh loon
Shamil mujhe karay tau kabhi apnay haal mein
.
.
Main sun rahi hoon phir se judaai ki aahatein
Jeena parray na phir se inhi maah-o-saal mein
.
.
Qismat se raah mein jo jazeeray humain milay
Tere gumaan mein thay,na mere khayyaal mein

Hum ne shama bana liya dil ko


Hum ne shama bana liya dil ko
Jab bhi chaha jala liya dil ko

Dard ne azma liya dil ko
Behisi ne bacha liya dil ko

Raja rani ki dastan perh ker
Hum ne phir se sula liya dil ko

Tor dena tha zindagi ne per
Khudkhushi ne bacha liya dil ko

Zakham rakhey hain kis qareeney sey
Dekh mein ne saja liya dil ko

Log seeney mein Qaid rakhtey hain
Hum ne sir per charha liya dil ko

Khawahishain hoti hain kiya kiya baarishon ki raat mein


Khawahishain hoti hain kiya kiya baarishon ki raat mein
Main hoon aur lams tera baarishon ki raat mein
.
.
Maangtay hain bheegi rut k saray manzar tera qurb
Ab main inhain samjhaaun kiya baarishon ki raat mein
.
.
Teergi mein gham ki saaya bhi kahan hota hai sath
Main agar hoti hoon tanha baarishon ki raat mein
.
.
Main yeh samjhi yeh bhi maara hai kissi k hijr ka
Phoot kar baadal jo roya hai baarsihon ki raat mein
.
.
Din tau jaisay taisay duniya k jhamailon mein kata
Hijr ne tere rulaaya baarishon ki raat mein
.
.
Munh chhupaaye aik konay mein parri thi dam bakhud
Meri tanhai bhi tanha baarishon ki raat mein
.
.
Daaman-E-Qaatil pe koi chheent tak aayee nahin
Yun hua khoon-e-tamanna baarishon ki raat mein

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon


Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon
Mera Rang Roop Bigad Gaya
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor HoonMera Yaar Muhjse Bichad Gaya
Jo Chaman Fiza Mein Ujad Gaya
Main Usi Ki Faasle Bahar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Main Kahan Rahoon Main Khahan Basu
Na Yeh Mujhse Khush Na Woh Mujhse Khush
Main Zamin Ki Peet Ka Boj Hoon
Main Falak Ke Dil Ka Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Pade Faatiha Koyi Aaye Kyon
Koyi Chaar Phool Chadaye Kyon
Koyi Aake Shama Jhalaye Kyon
Koyi Aake Shama Jhalaye Kyon
Main Woh Be-Kasi Ka Mazaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
Na Kisi Ke Dil Ka Karar Hoon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake
Main Woh Ek Musth-E-Gubaar Hoon
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon

Nazar jab tumse milti hay mein khud ko bhool jata hoon


Nazar jab tumse milti hay mein khud ko bhool jata hoon
Bus ik dharkan dharakti hay mein khud ko bhool jata hoon

Tumhen milne se pehle mein bohat sajta sanwarta hoon
Magar jab tum sanwarti ho mein khud ko bhool jata hoon

Mein aksar kitabon py tera hi naam likhta hoon
Magar kuch tum jo likhti ho mein khud ko bhool jata hoon

Mein aksar yahi kehta hoon mein tum se payar karta hoon
Magar jab tum yeh kehti ho mein dunyaa bhool jata hoon

unn ki mehfil mai chal k dekhte hain


unn ki mehfil mai chal k dekhte hain
ham bhi nazrain badal k dekhte hain


kitni tauqeer hamko milti hai
unki aankho'n mai dhal k dekhte hain


ham bhi yakta nahi hai iss fun mai
wo bhi hamko sambhal k dekhte hain


khoob waqif hain tumse ham lekin
chund lamhe behl k dekhte hain


wo bhi aata hai ghar se bahar kya
ham bhi bahar nikal k dekhte hain


kyu'n mohabbat se kaam chal na saka
gard, nafrat ki mull k dekhte hain


apni pehchan k liye jana'n
apna chehra badal k dekhte hain

Kon Kehta Hai Ke Moat Aaie To Mar Jaaon Ga


Kon Kehta Hai Ke Moat Aaie To Mar Jaaon Ga
Main To Dariyaa Hoon Samandar Mein Utar Jaaon Ga

Tere Pehloo Se Jo Uthoon Ga To Mushkil Hai Ye
Sirf Aik Shakhs Ko Paaon Ga Jidhar Jaaon Ga

Ab Tere Shehar Mein Aaon Ga Musaafir Ki Tarha
Saaya-A-Abr Ki Maanind Guzar Jaaon Ga

Tera Paimaan-A-Wafaa Raah Ki Deewar Bana
Warna Socha Tha Ke Jab Chahoon Ga Mar Jaaon Ga

Chaara Saazon Se Alag Hai Mera Mayaar Ke Main
Zakham Khaaon Ga To Kuch Or Sanwar Jaaon Ga

Ab To Khursheed Ko Doobay Huay Sadiyaan Guzreen
Ab Usay Dhoondanay Mein Taa Basehar Jaaon Ga

Zindagi Shamma Ki Maanind Jalaata Hoon Faraz
Bujh To Jaaon Ga Magar Subhaa To Kar Jaaon Ga

Meri nazar mai apni nazar baar baar rakh


Meri nazar mai apni nazar baar baar rakh
ik teer dil, jigar k hamesha hi paar rakh

Dharkan Per Apni Kuch Bhi To, Tu Ekhtiyar Rakh
Aye Beqraar Dil Too Zara To Qaraar Rakh

Sarchashma Terey Dil Mein Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hount Pey Aansoo Ki Dhaar Rakh

Aye Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh

Dil Mein Nahin Jo Ishq To Kaa'hey Ki Bandaagi
Sajday Mein Apnay Sar Ko Agarchey Hazaar Rakh

Kaaba Agar Nahin To Isay Butkada Bana
Dil Mein Khuda Ki Yad, Ya Tasveer-e-Yaar Rakh

Hamlay Shadeed Hoon'gey Anaa Key "Khateeb" Phir
Qaayem Khudi Key Gird Khuda Ka Hisaar Rakh

Eik Baar Kar Ke Eitbaar Likh Do


Eik Baar Kar Ke Eitbaar Likh Do
Kitna Hai Mujh Se Pyar Likh Do


Kat'ti Nahin Ye Zindagi Ab Tere Bin
Kitna Aur Karun Intizaar Likh Do


Tarastey Rahey Hein Bari Muddat Se
Is Baar Apni Muhabbat Ka Izhaar Likh Do


Deewaney Ho Jayen Jise Parh Ke Hum
Kuch Aisa Tum Merey Yaar Likh Do


Zyada Nahin Likh Sakte To Mat Likho Tum
Muhabbat Bharey Lafz Do Chaar Likh Do


Ek Baar Likho Muhabbat Hai Mujhe Tum Se
Phir Yehi Jumla Baar Baar LIkh Do

Tujhe ai bevafaa hum zindgi kaa aasraa samjhe


Tujhe ai bevafaa hum zindgi kaa aasraa samjhe,
Badey naadaan thay hum haaye samjhe bhi to kya samjhe,

Muhabbat mein hamein taqdeer ne dhokhe diye kya kya,
Jo dil kaa dard thaa iss dard ko dil ki davaa samjhe,

Hamari be-basi yeh keh rahi hai haaye ro ro ke,
Duboyaa usne kashti ko jise hum nakhudaa samjhe,

Kidhar jaayein ki is duniyaa mein koi bhi nahi apna,
Ussi ne bevafaai ki jise jaan-e-vafaa samjhe

Jab Tumhari Aankh Say Girey Khoon Aanso-on Ki Jagah


Jab Tumhari Aankh Say Girey Khoon Aanso-on Ki Jagah
Tab Jaano Gey Tum Judai, Kis Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Har Koi Tumhein Be-wafa Sa Lagney Lagey Kuch Aisey
Tab Jaano Gey Tum Be-wafai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Saadgi Ke Badley Mein, Tumhein Kuch Na Haasil Ho
Tab Jaano Gey Tum Buraai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Dil Pey Haath Phairney Say, Uss Ka Naam Likha Mehsoos Ho
Tab Jaano Gey Tum Likhaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Pyar Mein Tumhein Ghamon Ki Dolat Haasil Ho Jayey
Tab Jaano Gey Tum Kamaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain

Jab Tumhara Dil Tumhari Maney, Na Ke Tum Uss Ki Maano
Tab Jaano Gey Tum Rihaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain !

band dareeche'sooni galyian'undekhe anjane log


band dareeche'sooni galyian'undekhe anjane log,
kis nagri main aa nikle hain sajid hum dewane log,

aik hum hi nawakif thairay roop nagar ki galioun se,
bhais badal ker milne wale sub jane pehchane log,

din ko raat kahain so bar haq'subah ko sham kahian so khoob,
ap ki bat ka kehna hi kia'ap huwe farzane log,

shikwa kia aur kaisi shikayat'akhir khuch buniad to ho,
tum per mera haq hi kia hai'tum theray begane log

teri yadoon k samander main main doob jati hoon


teri yadoon k samander main,
main doob jati hoon,
tujhe yaad kr k hi,
ab to dil ko behlati hoon,
aksar tanhai main....

jab bhi teri yad aati hay,
khawaboon ki dunia main kho jati hoon,
tera nam le k hi,
laboon ko thandak pouhanchati hoon,
aksar tanhai main....
tum meri zindagi ho,
jise dil-o-jaan say chahti hoon,
tumhara chehra dekh ker hi,
main ab muskurati hoon,
aksar tanhai main....

kuch din hain judai k,
per inhain mahenay,
saal kehlati hoon,
ab jaldi milan ho ga,
ye soch ker hi jee pati hoon,
aksar tanhai main...

Dil ki baat laboon per la kar ab tak hum dukh sehtay hein


Dil ki baat laboon per la kar ab tak hum dukh sehtay hein
Hum ne suna tha is bastii mein dil walay bhi rehtay hein

Beet gaya sawan ka maheena, mausam ne nazrein bedleen
Lakin inn pyaari ankhon se ab tak aansoo` behtay hein

Ik hamein aawarah kehna koi bara ilzaam nahi
Duniya walay dil waloon ko aur bohat kuch kehtay hein

Jin ki khatir shehar bhi chora jin ke liye budnaam howaye
Aaj wohi hum se be-ganay be-ganay se rehtay hein

Aflaak say baala hai kisi dar ka nehi hai


Aflaak say baala hai kisi dar ka nehi hai
Rishtaa mera tum say jo hai pal bhar ka nehi hai

Pikhley ga na mere zabt say ghaabraa kay sitamgar
Insaan hai woh bhi koi pathar ka nehi hai

Woh chaak jigar rakh kay yoon kehty hain k dilbar
Yeh kaam tere jeisey rafuuGarR ka nehi hai

Dunia ko badalney ki naii ho koi tarkeeb
Aye Eihl e janoon waqt yeh ab daar ka nehi hai

Dunia jo kehti hai kehye meri balaa say
Aalam toh abi mere barabar ka nehi haii

aah! ye baaraanii raat


aah! ye baaraanii raat
mii.nh, havaa, tuufaan, raqs-e-saayeqaat
shash-jahat par tiirgii uma.Dii huii
ek sannaaTe me.n bazm-e-hadasaat
aur merii khi.Dakii ke niiche
kaa.Npate pe.Do.n ke paat
chaar suu aavaaraa hai.n
bhuule bisare vaaqayaat
jhakka.Do.n ke shor me.n
jaane kitanii duur se
sun rahaa huu.N terii baat

Phir Khafa Ho Gaye Hai Zindagi Humse


Phir Khafa Ho Gaye Hai Zindagi Humse,
Kab Haath Tera Chhoota Mere Daaman Se,
Ab Nahi Kuch Bhi Haasil Na Hi Koi Manzil,
Hum Ko Tanhayi Mili Hai Is Mohabbat Se,

Ab Bhi Yaad Aate Hai Hame Guzre Wo Lamhe,
Ashq Rukte Nahi Hai Meri Aankhon Se,
Dhadkane Tham Jati Hai Rukti Hai Saansein,
Yaad Jaati Nahi Kyon Teri Is Dil Se,

Socha Tha Humne Kya Aur Humko Mila Kya,
Gila Kismat Se Hai Humko Tumse Gila Kya,
Ab To Tanha Guzar Rahe Hai Hum Is Dagar Se,
Phir Khafa Ho Gaye Hai Zindagi Humse...

Mojhay Ach'haa Naheen Lagtaa


Mojhay Ach'haa Naheen Lagtaa

Tomhaara K'hilk'hila Kar Dosto(n) Say Goftogoo Karnaa
Onhai(n) G'har Par Bolaanay Kee Mosalsal Jostojoo Karnaa
Mojhay Ach'haa Naheen Lagtaa


Tera Maanoos Hona Har Kissi Say Chand Lamho(n) Mai(n)
P'hir Uss Kay Baad Uss ko "Aap" Say "Tom" Aur "Too" Karnaa
Mojhay Ach'haa Naheen Lagtaa

Meray Hotay Howay Ghairo(n) Say Ummeed-e-wafa Kyoo(n) Hai
Tera Darya Main Reh Kay Baarisho(n) Kee Aarzoo Karnaa
Mojhay Ach'haa Naheen Lagtaa

Inaayat Gar Zaroori Hai, Parak'hnaa Bhee To Laazim Hai
Yoo(n)hee Chaahat Kee Bandar-baant Tera Chaar-soo Karnaa
Mojhay Ach'haa Naheen Lagtaa

Bhalaa Lagtaa Hai Tojh Say Baat Apnay Dill Kee Keh Dainaa
Meray Har Raaz Kee Tash-heer Tera Koo-ba-koo Karnaa
Mojhay Ach'haa Naheen Lagtaa
Mojhay Ach'haa Naheen Lagtaa

Ek beqarari main doob ker Ek masti main jhoom ker


Ek beqarari main doob ker
Ek masti main jhoom ker....
Muhabbat nay apna Izhaar chaha!
Zindgi main pehli baar....
Dil nay kisi ko dil say chaha!

Khawab baney Aarzoo ki terha....
Umeed bani zindgi ki terha....
Her Ehsaas nay Iqraar chaha!
Zindgi main pehli baar....
Dil nay kisi ko dil say chaha!

Etabaar ka hath thaam ker....
Yadoon ko hamrah ley ker....
Is Masoom nay bey-ikhtiar chaha!
Zindgi main pehli baar....
Dil nay kisi ko dil say chaha!

Ek khoobsurat Etminaan ki terha....
Tum huey hamari Duaa ki terha....
Hum ney tumhain Toot ker chaha!
Zindgi main pehli baar....
Dil nay kisi ko dil say chaha!

Ye shab-e-firaq ye bebasii hain qadam qadam pe udaasiyaan


Ye shab-e-firaq ye bebasii hain qadam qadam pe udaasiyaan
Meraa saath koii na de sakaa merii hasaraten hain dhuaan dhuaan

Main tadap tadap ke jiyaa to kyaa mere Khvaab mujh se bichhad gaye
Main udaas ghar kii sadaa sahii mujhe de na koii tasalliyaan

Chalii aisii dard kii aandhiyaan mere dil kii bastii ujad gaii
Ye jo raakh-sii hai bujhii bujhii hain isii me merii nishaaniyaan

Ye fizaa jo gard-o-Gubaar hai merii bekasii kaa mazaar hai
Main vo phuul huun jo na khil sakaa merii zindagii me vafaa kahaan

tere paas aane ko ji chahata hai


tere paas aane ko ji chahata hai
naye zaKhm khane ko ji chahata hai

idhar aaye shayad vo mauj-e-taranum
Gazal gungunane ko ji chahata hai

zamana mera aazamaaya hua hai
tujhe aazamaane ko ji chahata hai

vahi baat rah rah ke yaad aa rahi hai
jise bhul jaane ko ji chahata hai

labon par mere khelata hai tabassum
jab aansu bahaane ko ji chahata hai

ka_i martabaa dil pe bijali giri hai
magar muskuraane ko ji chahata hai

takalluf na kar aaj barq-e-tajalli
nasheman jalaane ko ji chahata hai

ruKh-e-zindagi se naqaben ulat kar
haqiqat dikhaane ko ji chahata hai

dil kehta hai chal unse mil uthte hai kadam ruk jaate hain


dil kehta hai chal unse mil uthte hai kadam ruk jaate hain,
dil humko kabhi samjhata hai hum dil ko kabhi samjhate hain,

dil ke halat na tum samje naa hum samaj paate hain,
apne aap ko khud hi gehrai mein liye jaate hain,

Anjaam pata nahi kya hoga is haalat ka,
Lekin jab bhi Sochte hain Khud ulaj jaate hain

Shuhrat ka chand hay Dolat ki chandni
magar tum se bechar k lagay he mujhay esa
meray pas to kuch bhi nehen
pana tum ko mumkin hi nehen
sochen bhi to ham ghabratay hein

dil kehta hai chal unse mil uthte hai kadam ruk jaate hain,
dil humko kabhi samjhata hai hum dil ko kabhi samjhate hain,

woh khaloos tha ke khumar tha woh janoon tha ke saraab tha


woh khaloos tha ke khumar tha
woh janoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zaman laga
mujhey munzilon ne bhoola diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya

kai humsafar kai rahguzr
mujhey rastey mein miley magar
meri tushnagi kuch aur hai
meri justajoo koi aur hai

woh jo roshni ki tarha barhey
magar ansuon mei sama sakey

jo subha ki pehli kiran bane
mere dil ka aangan nikhaar de
jo muhabbaton ki ravaytein
laho ki bali se sanwaar de
mujhey us wafa ki talaash hai
mujhey us wafaki talaash hai

magar is jahan-e-kharab mein
yahan khahishon ke saraab mei
mujhey kaun de aisy wafa
mein kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanon mein ghira hua
yehi sochta mein chala gya

Farz karo hum ahlay wafa hon,Farz karo deewanay hon


Farz karo hum ahlay wafa hon,Farz karo deewanay hon,
Farz karo yeh dono batien jhooti hon,afsanay hon,

Farz karo yeh ji ki bipta,ji say jhoot sunayee ho,
Farz karo abhi or ho itni,adhi hum nay chuppayee ho,

Farz karo tumhien khush karnay kay dhonday hum nay bahanay hon,
Farz karo yeh nain tumharay sach much kay maykhanay hon,

Farz karo kay yeh rog ho jhota,jhoti preet humari ho,
Farz karo is preet kay rog mien sans bhi hum par bhari ho,

Farz karo yeh jog ka hum nay dhong rachaya ho,
Farz karo bas yeh hi haqeeqat baqi sub kuch maya ho

Teri Judai se kya kya na sikha hai


Teri Judai se kya kya na sikha hai
Pehle hasna aur phir rona sikha hai
Tujh hi se sab sikha hai
Dard mein hasna bhi
Teri judai se sikha hai
Logo se Mohabbat karna
logo ke dard ko apna samjhna bhi
Teri judai se sikha hai
Dard sahna, dard mein muskrana Aur
Tanhai main rona bhi
Teri judai se sikha hai
Har waqt tarapna
Raaton ko uth uth ke rona bhi
Teri judai se sikha hai
Teri judai se kya kya na sikha hai
“main ne pehle hasna aur phir rona sikha hai

Kissi ka Sath nebhana kamal hota hai


Kissi ka Sath nebhana kamal hota hai
Kissi Ko pHir se Bulana Kamal hota hai

Woh mujh Ko Chor gaya hai to Koi Baat nahi
k Dil ko saber dilana Kamal hota hai

Khud Apne dard ko her koi jheel leta hai
Kissi ka dard batana Kamal hota hai

Koi pahar gerana nahi hai na mumkin
Geray houy Ko uthana Kamal hota hai

Kissi Andheray ko sehna Kamal lugta hai
Phir is main Deep jalana Kamal hota hai

Kisi ke aankh se dori to Zulm hai HaSraT
Kisi k Dil main samana Kamal hota hai

Aik Mohabbat Main Nay Ki Hai


“Aik Mohabbat Main Nay Ki Hai“

Roshan Aankhain Ujlay Aansoo
Terey Pyaar Ko Daan Kia Hai
Chahat Ka Ehsaas Tumharay Naam Kia Hai
Neendain Di Hain Khuwab Bunay Hain
Ruswaye Ka Naam Kia Hai
Apni Zaat Pay Daagh Sahay Hain
Sachay Jazbon Wali Mohabbat
Teri Zaat Par Sadqay Ki Hai
Raat Raat Bhar Jaagh K Kitni
Num Aankhon Say Duaain Ki Hain
Aik Mohabbat Main Nay Ki Hai
Aik Mohabbat Tum Nay Ki Hai
Aisi Thoos Aur Aisi Bebasi
Jis Par Dil Ka Har Har Aansoo
Paani Ki Tarhan Beh Jaye
Merey Undar Sholay Jalain
Aur Us Ki Aana Par Aanch Na Aye
Banjar Jazbay, Pathar Aankhain
Yeh Jazboon Ki Dolat Di Hai
Aik Mohabbat Tum Nay Ki Hai

meri daastan-e-hasrat woh suna suna ke roye


meri daastan-e-hasrat woh suna suna ke roye
mere aazmanay walay, mujhe aazma ke roye

koi aisa ehl-e-dil ho ke fasana-e-muhabbat
main osay suna ke roun, woh mujhe suna ke soye

meri aarzoo ki duniya, dil-e-natawan ki hasrat
jise kho ke shadmaan they, ose aaj pa ke roye

teri bewafayun par, teri kajadayun par
kabhi sar jhuka ke roye, kabhi moo chupa ke roye

jo sunaee anjuman main, shab-e-ghum ki aapbeeti
kaee ro ke muskurae, kaee muskura ke roye

Hum Apnay Ikhtiyar Ki Had Say Ghuzar Gaye


Hum Apnay Ikhtiyar Ki Had Say Ghuzar Gaye
Chaha Tumhain Tu Pyaar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Likhi Gayein Naseeb Main Kuch Aisi Hijratain
Har Ajnabi Deyaar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Jagi Hai Apnay Dil Main Gulaboon Ki Aarzoo
Jab Mousam-E-Bahar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Ab Zakhm Haye Dil Ka Kahan Tak Shumar Ho
Yeh Zakhm Tu Shumar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Teri Nigha-E-Mast Say Hum Itnay Pee Gaye
Itni K Har Khummar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Ehsaas Mar Chuka Hai Khushi Hai Na Gham Koi
Jaisey K Jeet Haar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Hasrat Say Mouj-E-Gham Bi Humain Dekhti Rahin
Hum Behr-E-Bar Kinaar Ki Had Say Ghuzar Gaye

Itne Dino Ke Baad To Aya Hai Aaj


Itne Dino Ke Baad To Aya Hai Aaj,
Sochta Hoon Kis Tarah Tujhse Milun,

Mere Andar Jaag Uthi Ek Chandni,
Main Zameen Se Aasman Tak Ek Ang Hoon,

Aur Ujla Ho Gaya Qurbat Ka Chand,
Aur Gehra Ho Gaya Tere Fusun,

Aye Saraapa Rang-O-Nikahat Tu Bata,
Kis Dhanak Se Tera Pairaahan Bunoon,

Saare Gul-Buute Tar-O-Taaza Hue,
Dur Tak Pahuchi Hai Meri Mauj-E-Khun,

Kar Rahe Hai Lamhe Lamhe Ka Hisab,
Milke Phir Baithe Hai Yaaran-E-Junoon,

Dasht-E-Gam Ki Dhoop Mein Mujhpar Khula,
Main Khud Apna Saya-E-Diwaar Hoon,

Naaz Kar Khud Par Ke Tu Hai Beshumaar,
Qadar Kar Meri Ke Main Bas Ek Hoon...

bohat dino ki baat hai fiza ko yaad b nahi


bohat dino ki baat hai
fiza ko yaad b nahi
yeh baat aaj ki nahi
bohat dinoo ki baat hai
shabab par bahar thi
fiza b khush gawar thi
najanay kyon machal para
main apnay ghar se chal para
kisi ne muj ko rokk kar
bari ada se tokk kar
kaha tha loat aiyee
meri kasam na jaiyee

mager muje khabar na thi
mahool pe nazar thi
najanay kyon machal para
main apnay ghar se chal para

main shehar se phir aa geya
khayal tha k pa geya
ossay jo muj se door thi
mager meri zaror thi

aur ek hassen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh kar
nai tarang dekh kar
muje bari khushi hoi
main kuch isi khushi mein tha
kisi ne jhaank kar kaha
paraaye ghar se jaiyee
meri kasam na aiyee

wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hon ghar ko chhor kar
najanay jaoon ga kidhar
koi nahi jo rokk kar
koi nahi jo tokk kar
kahay k loat aiyee
meri kasam na jaiyee
meri kasam na jaiyee

koi nagmaa muhabbat kaa gayeN chalo


koi nagmaa muhabbat kaa gayeN chalo
sare shikwe gile bhool jayeN chalo

tanha tanha chale der tak door tak
ab kadam se kadam phir milayeN chalo

ek muddat hui ek dooje se hum
roothe roothe se haiN man jayeN chalo

manzileN thak gayeeN rastaa dekhti
raaste de rahe haiN sadaa'eN chalo

pyar ki raushani baaNtne ke liye
hum diyoN ki tarah jhilmilayeN chalo

khar nafart ke chun kar sabhi rah se
pyar ke gul chaman meiN khilayeN chalo

haath se haath humne milye bahut
ab diloN se diloN ko milaayeN chalo

chaaNd maddham hai, aasmaaN chup hai


chaaNd maddham hai, aasmaaN chup hai
niiNd kii god meN jahaaN chup hai
duur vaadii meN duudhiyaa baadal
jhuk ke parbat ko pyaar karte haiN
dil meN naakaam hasrateN lekar
ham teraa intizaar karte haiN
in bahaaroN ke saaye meN aa jaa
phir muhabbat javaaN rahe na rahe
zindagii tere naa-muraadoN par
kal talak meh’rbaaN rahe na rahe
roz kii tarah aaj bhii taare
subh kii gard meN na kho jaayeN
aa ! tere Gham meN jaagtii aankheN
kam se kam aik raat so jaayeN

poocha kissi ne haal kissi ka to ro diye


poocha kissi ne haal kissi ka to ro diye
pani mein aqs chaand ka dekha to ro diye

naghma kissi ne saaz per cHeRa to ro diye
ghuncha kissi ne shaakh se toRa to ro diye

uRta howa ghubaar sar-e-rah dekh kar
anjaam hum ne ishk ka socha to ro diye

baadal fiza mein aap ki tasweer ban gae
saayaa koi khayal se guzra to ro diye

rang-e-shafaq se aag shagoofoo.n mein lag gaee
saghar hamaray haath se chhalka to ro diye.

raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa


raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa
dil bahut kuchh jalaa ke dekh liyaa.

vah mere ho ke bhii mere na hue
un ko apanaa banaa ke dekh liyaa.

aur kyaa dekhane ko baakii hai
aap se dil lagaa ke dekh liyaa.

faiz, taqamiiil-e-Gam bhii ho na sake
ishk ko aazamaa ke dekh liyaa..

aayeh hath uthein hum bhi hum jinhein rusm-e du'aa yaad nahin


aayeh hath uthein hum bhi
hum jinhein rusm-e du'aa yaad nahin
hum jinhein soz-e muhabat ke siwa
koi buth, koi khuda yaad nahin
aayeh urz guzarein keh nigar-e hustee
zehar-e imroz mein shirenya furda bhar de
wo jinhein taab-e garaan bary-a iyaam nahin
un ki pulkoon peh shaub-e roz ko hulka ker de
jin ki aankhoon ko roz-e subh ka yaara bhi nahin
un ki raatoon mein koi shuma munawar ker de
jin ke kadumoon ko kisi reh ka sahara bhi nahin
un nazroon peh koi raah ujagar ker de
jin ka deeN pariw-e kizb-o riya hai un ko
himet-e kufr mile, jurat-e tehqiq mile
jin ke sir muntazar-e tegh-e jafa hein un ko
dust-e qatil ko jatuk deenay ki taufiq mile
ishq ka sir-e nihaaN jaan tapaaN hai jis se
aaj iqrar karein aur tapish mit jaa'e
hurf-e haq dil mein khatakta hai jo kante ki turhaaN
aaj izhar karein aur khalish mit jaa'e

safar-e-manzil-e-shab yaad nahii.n


safar-e-manzil-e-shab yaad nahii.n
log ruKhsat huye kab yaad nahii.n


dil me.n har vaqt chubhan rahatii thii
thii mujhe kis kii talab yaad nahii.n

vo sitaaraa thii ke shabanam thii ke phuul
ik suurat thii ajab yaad nahii.n

aisaa ulajhaa huu.N Gam-e-duniyaa me.n
ek bhii Khvaab-e-tarab yaad nahii.n

bhuulate jaate hai.n maazii ke dayaar
yaad aaye.n bhii to sab yaad nahii.n


ye haqiiqat hai ke ahabaab ko ham
yaad hii kab the ke ab yaad nahii.n


yaad hai sair-e-charaaGaa.N "Nasir"
dii ke bujhane kaa sabab yaad nahii.n

Mumkin nahiN mata-e-sukhan mujh say chheen lay


Mumkin nahiN mata-e-sukhan mujh say chheen lay
Go baGHbaaN yeh kanj-e-chaman mujh say chheen lay

Gar ehtiram-e-rasm-e-vafa hai to ai KHuda
Yeh ehtiraam-e-rasm-e-kohan mujh say chheen lay

Manzar dil-o-nigah kay jab ho gaey udaas
Yeh bay faza ilaqa-e-tan mujh say chheen lay

Gul raiz meree nalah kashtee say hai shaaKH shaaKH
Gul cheeN ka bas chalay to yeh fan mujh say cheen lay

Seenchee haiN dil keh khoon say maiN nay yeh kyariyaN
Kis kee majal mera chaman mujh say chheen lay

Neeyat-e-shauq bhar na jaey kaheeN


Neeyat-e-shauq bhar na jaey kaheeN
Tu bhee dil say utar na jaey kaheeN

Aaj dekha hai tujh ko dair kay baad
Aaj ka din guzar na jaey kaheeN

Na mila ker udaas logoN say
Husn tera bikhar na jaey kaheeN

Aarzoo hai keh tu yahaaN aaey
Aur phir umr bhar na jaey kaheeN

Ji jalaata hooN or yeh sochta hooN
RaeygaaN yeh hunar na jaey kaheeN

Aao kuch dair ro hee laiN 'Nasir'
Phir yeh dariya utar na jaey kaheeN

Dukh kee leher nay chheRa hoga


Dukh kee leher nay chheRa hoga
Yaad nay kankar phainka hoga

Aaj to mera dil kehta hai
Tu is waqt akayla hoga

Meray choomay hooay hathoN say
Aoron ko KHat likhta hoga

Bheeg chaleeN ab raat kee palkaiN
Tu ab thak kar soya hoga

Rail kee gehree seetee sun kar
Raat ka jangal goonja hoga

Sheher kay khalee station par
Koi musafir utra hoga

Aangan maiN phir chiRyaaN boleeN
Tu ab so kar utha hoga

YadoN kee jaltee shabnam say
Phool sa mukhRa dhoya hoga

Motee jaisee shakl bana kar
Aeenay ko takta hoga

Shaam hooee ab tu bhee shayad
Apnay ghar ko lauta hoga

Neelee dhundlee khamoshi maiN
Taron kee dhun sunta hoga

Mera saathi shaam ka taaraa
Tujh say aankh milata hoga

Shaam kay chaltay haath nay tujh ko
Mera salaam to bhaija hoga

Pyasee kurlaatee koonjon nay
Mera dukh to sunaya hoga

MaiN to aaj bohot roya hooN
Tu bhee shayad roya hoga

'Nasir' tera meet purana
Tujh ko yaad to aata hoga

Araaish-e-KHayal bhee ho dil kusha bhee ho


Araaish-e-KHayal bhee ho dil kusha bhee ho
Woh dard ab kahaN jisay jee chahta bhee ho

Yeh kya keh roz aik sa GHam aik see umeed
Is ranj-e-bay_KHumaar kee ab intiha bhee ho

Yeh kya keh aik taur say guzray tamaam umr
Jee chahta hai ab koi teray siva bhee ho

Tootay kabhi to khwab-e-shab-o-roz ka tilism
Itnay hujoom maiN koi chehra naya bhee ho

Deevangee-e-shauq ko yeh dhun hai in dinoN
Ghar bhee ho aur bay_dar-o-deevar sa bhee ho

Juz dil koi makaan nahiN dehr maiN jahaN
Rehzan ka KHauf bhee na rahay dar khula bhee ho

Har zarra aik mehmil-e-ibrat hai dasht ka
Laikin kisay dikhaooN koi daikhta bhee ho

Har shai pukaartee hai pas-e-pardah-e-sukoot
Laikin kisay sunaooN koi humnava bhee ho

Fursat maiN sun shugaftagee-e-GHunchah kee sada
Yeh woh sukhan nahiN jo kisi nay kaha bhee ho

Baitha hai aik shaKHs miray paas dair say
Koi bhala sa ho to hamaiN daikhta bhee ho

Bazm-e-sukhan bhee ho sukhan-e-garm kaileeay
Taoos bolta ho to jangal hara bhee ho

Kuch yaadgaar-e-sheher-e-sitamgar hee lay chalaiN


Kuch yaadgaar-e-sheher-e-sitamgar hee lay chalaiN
Aaey haiN is galee maiN to pathar hee lay chalaiN

YooN kis tarha katay ga kaRi dhoop ka safar
Sar per khayaal-e-yaar kee chaadar hee lay chalaiN

Ranj-e-safar kee koee nishaani to paas ho
ThoRee see khaak-e-koocha-e-dilbar hee lay chalaiN

Yeh keh kay chaiRtee hai humaiN dil gariftagee
Ghabraa gaey haiN aap, to bahar hee lay chalaiN

Is shehar-e-bay_chiraaGH maiN jaey gee tu kahaaN
Aa ai shab-e-firaaq tujhay ghar hee lay chalaiN

dil dharakne ka sabab yaad aya


dil dharakne ka sabab yaad aya
wo teri yaad thi ab yaad aya


aj mushkil tha sambhalna ay dost
tu musibat main ajab yaad aya


din guzra tha bari mushkil se
phir tera wada-e-shab yaad aya


tera bhula hua paiman-e-wafa
mar rahenge agar ab yaad aya


phir kai log nazar se guzre
phir koi shahar-e-tarab yaad aya


hal-e-dil ham bhi sunatey lekin
jab wo rukhsat hue tab yaad aya

baith kar saya-e-gul main 'Nasir'
ham bohat roye wo jab yaad aya

kyaa sarokaar ab kisii se mujhe


kyaa sarokaar ab kisii se mujhe
vastaa thaa to thaa tujhii se mujhe

behisii kaa bhii ab nahii.n ehasaas
kyaa huaa terii beruKhii se mujhe

maut kii aarazuu bhii kar dekhuu.N
kyaa ummiide.n thii zindagii se mujhe

phir kisii par na aitabaar aaye
yuu.N utaaro na apane jii se mujhe

tera Gam bhii na ho to kyaa jiinaa
kuchh tasallii hai dard hii se mujhe

kar gaye kis qadar tabaah
dushman, andaaz-e-dostii se mujhe

Waqt se pehle,kuch Na mila Taqdir se zyada,pana tha


Waqt se pehle,kuch Na mila,
Taqdir se zyada,pana tha,
tarakki ki chahat,itni thi,
ke Dua karnNa,Bhul gAye.


damm bharte the,Manzil ka,
waqtan fa_waqtan,chalna tha,
Bulandi ki,Unsiyat,itni thi,
ke safar karNa,Bhul gAye.


milne ki Arzu,itni thi,
pane ka jazba,itna tha,
darpan me khoye,itne hum,
ke waqt dekhNa,Bhul gAye.


Mann ke in,Registano me,
baghicha,pyar ka banana tha,
yakin me Milawat itni thi,
ke koshish karna,Bhul gAye.


sukun se Darr yu lagta hain,
Dard_e_dil ka,Alam tha,
Andhero ki adat itni thi,
ke roshni karNa,Bhul gAye.


bhul gaye hain,Ab yeh bhi,
kya_kya humne manga tha,
Mohabbat se Nafrat itni thi,
ke khuwahish karNa,Bhul gAye.

ZINDAGI NE KAHAA MUSKRAATE HUE


ZINDAGI NE KAHAA MUSKRAATE HUE
MIL TO JAAO KABHI AATE JAATE HUE

WOH BHI SHAED PASHEMAN THA MERI TaRAH
MUD KE DEKHA TO THA US NE JAATE HUE

AADMI KI BAHUT SI HAIN MAJBOORIAN
YEH KAHAA US NE MUJHKO SUNAATE HUE

APNE VAADE PE JIN KO BAHUT NAAZ THA
UN KO DEKHA BAHAANE BANAATE HUE

AI SANAM HUM BHI MANZIL PE AA HI GAYE
DAGMAGAATE HUE LADKHDAATE HUE

apna ehsaas mar na jaye kahin

apna ehsaas mar na jaye kahin
dard had se guzer na jaye kahin

un ko dekhe huye hoin sadiyan
un ka chehra bekher na jaye kahin

ab ke awaz doon to aa jana
dil dewana sudher na jaye kahin

un ka wada to hai mager dil ko
darr hai ke kafer muker na jaye kahin

dard,jugnoo, hawa,gilley shikway
yeh mukader sawer na jaye kahin

meri duniya hai dard ki surat
gull ki surat nikher na jaye kabhi

khak se aab tak tu aa pohchey
ab yeh derya uter na jaye kahin

yeh muhabbat bhi ek balla tehri
hum ko derr hai woh derr na jaye kahin

is liye muskuraye phirta hoon
un ki aakh bhi na bhar jaye kahin

dil se guzra to hai mager wasif
apni jaan se guzer na jaye kahin

Badnam mairy piyar kaa afsaanaa howa hay


Badnam mairy piyar kaa afsaanaa howa hay

Deevaanay bhe kahtay hain kay deevaanaa howa hay

Rishtaa thaa tabhe to kisii baydard nay tooraa

Apanaa thaa tabhe to koee begaanaa howa hay

Baadal kee tarah aa kay baras jaaiyay aik din

Dil aap kay hotay howay veeraana howa hay

Bajtay hain Khayaaloon mein teree yaad kay ghungaroo

Kuch din say meraa ghar bhe pareeKhaana howa hay

Mausam nay banayaa hay nigaahoon ko sharaabee

Jis phuul ko dekhoon wohee paimaanaa howa hay

Mujhe kabhi kabhi ye khayal aata hai


Mujhe kabhi kabhi ye khayal aata hai
Ke koi hai jisey mujh per bhi piyar aata hai.

Mera her gham uss ko lagta hai apna
Meri har khusi pe uss ko qarar aata hai

Phir janey kiun woh kehne se darti hai
Aisa janey kia uss ke mann main khayal aata hai

Ankhon se aqsar iqrar karti hai
Kiun honthon per har baar inkar aata hai

Sochta hoon main hi kehe doon.woh jo kehe na saki
Lekin phir na sunn kar bicharne ka khayal aata hai

Chalo acha hai hastey hastey hi main chala jaon ga
Ke shayed koi hai jisey mujh per bhi piyar aata hai

Rang aur noor ki baarat kise pesh karun


Rang aur noor ki baarat kise pesh karun,
ye muradon ki hansi raat kise pes karun.

Maine jazbaat nibhaye hain uslon ki jageh,
aapna aarman piro layan hui phool ki jageh,

tere sahere ki ye saugad kise pesh karun.
Yeah mere sher mere aakhri nazrane hain,

mein unhe aapnon mein huin jo aaj se begano mein hain,
be-taaluk si mulakat kise pesh karun.

Surkh jode ki tabo-taab mubarak ho tuje,
Teri aankhon naya khwab mubarak ho tuje,

main yeah kwasish ye khayalat kise pesh karun.
Kaun kehta hai ke chahat pe sabhi ka haq hai,

tu jise chahe tera pyar usi ka haq hai,
mujse kah de mein tera haath kise pesh karun,

Aik chota sa larka tha main jin dinoon


Aik chota sa larka tha main jin dinoon
aik mailay main pohuncha humakta howa
ji machalta tha aik aik shay par magar
jaib khali thee kuch moal lay na saka
laut aya liyay hasratain sainkroon
aik chota sa larka tha main jin dinoon

khair mehroomioon kay wo din to gaiy
aaj maila laga hai isi shan say
aaj chahoon to aik aik dukaan moal loon
aaj chahoon to sara jahan moal loon
naarsai ka ji main dharka kahan?
par wo chota sa, alhar sa larka kahan?

Bool samandur bool keh tujh main kitna pani


Bool samandur bool keh tujh main kitna pani
jitna tujh main utrain utni barh jaiy hairani
bool samandur bool keh tujh main kitna pani
ooper ooper chup chup rehna
andar andar chhup chhup behna
laikin poonum raat jab aiy, tab karna munmani
bool samadur bool keh tujh main kitna pani
seerhi tujh main kaun lagaiy
koi tairi tha na paiy
har ik raah kathin hai tairi, har manzil toofani
bool samandur bool keh tujh main kitna pani
jhaank zara tu mairay undar
maira mun bhi aik samandar
farq hai itna tujh main pani, mujh main hai hairani
bool samandur bool keh tukjh main kitna pani

Hum kay thehray ajnabi kitni mulaqatoon kay baad


Hum kay thehray ajnabi kitni mulaqatoon kay baad
Phir banain gai aashna kitni madaratoon kay baad

Kab nazar main aaiy gi bay-daagh sabzay ki bahaar
Khoon kay dhab’bay dhulain gai kitni barsatoon kay baad

Thay bohut bay-dard lamhay khatm-e-dard-e-ishq kay
Theen bohut bay-mehar subhain meharbaan ratoon kay baad

Dil to chaha par shikast-e-dil nay mohlat hi na di
Kuch gilay shikway bhi kar laitay munajatoon kay baad

Un say jo kehnay gaiy thay faiz jaan sadqa kiyay
Unkahi hi reh gai wo baat sab baton kay baad

kisi ki aankh say sapnay chura kay kuch nahi milta


kisi ki aankh say sapnay chura kay kuch nahi milta
mundairoon pay chiraghoon ko bujha kar kuch nahi milta

koi aik aadh sapna ho to acha bhi lagta hai
hazaroon khwab aankhoon main saja kar kuch nahi milta

yeh acha hai kay apas kay bharam na toot pain
kabhi bhi doostoon ko aazma kar kuch nahi milta

najanay kon say jazboon ki youn taskeen karta hoon
bazahir to tumharay khut jala kar kuch nahi milta

faqt tum say hi karta hoon main sari raaz ki batain
har aik ko daastan-e-dil suna kar kuch nahi milta

mujhay aksar sitaroon say yehi awaaz ati hai
kisi kay hijr main neendain ganwa kar kuch nahi milta

jigar ho jaiy ga chalni, yeh aankhain khoon roin gi
wasi bay faiz logoon say nibah kar kuch nahi milta

Ranjish hi sahi, dil hi dukhanay kay liyay aa


Ranjish hi sahi, dil hi dukhanay kay liyay aa
aa phir say mujhay choor kay janay kay liyay aa
pehlay say marasim na sahi, phir bhi kabhi to
rasm-o-rahay duniya hi nibhanay kay liyay aa
kis kis ko batain gai judai ka sabab hum
tu mujh say khafa hai to zamanay kay liyay aa
kuch to mairi pindaar-e-muhab'bat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko mananay kay liyay aa
ik umer say hoon laz'zat-e-girya say bhi mehroom
aiy rahat-e-jaan mujh ko rulanay kay liyay aa
ab tak dil-e-khushfeham ko tujh say hain umeedain
yeh aakhri sham'ain bhi bujhanay kay liyay aa

kahan aa kay rukay thay raastay! kahan moar tha! usay bhool ja


kahan aa kay rukay thay raastay! kahan moar tha! usay bhool ja
wo jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahi mila usay bhool ja

wo tairay naseeb ki barishain kisi aur chat pay baras gaien
dil-e-baikhabar mairi baat sun, usay bhool ja, usay bhool ja

kiun ata howa hai ghubaar main, gham-e-zindagi kay fishaar main
wo jo darj tha tairay bakht main, so wo ho gaya, usay bhool ja

na wo aankh hi tairi aankh thee, na wo khwab hi taira khwab tha
dil-e-muntazir to yeh kis liyay, taira jagna, usay bhool ja

yeh jo raat din ka khail sa, usay daikh, us pay yaqeen na kar
nahi aks ko bhi mustaqil, sar-e-aaina, usay bhool ja

jo bisat-e-jaan hi ulat gaya, wo jo raastay say palat gaya
usay rooknay say hasool kia, usay mat bula, usay bhool ja

to yeh kis liayy shab-e-hijr kay usay har sitaray main dhoondna
wo falq kay jis pay milay thay hum, koi aur tha, usay bhool ja

tujhay chaand bun kay mila tha jo, tairay sahiloon pay mila tha jo
wo tha ik darya wasaal ka, so utar gaya, usay bhool ja

Dil mein jo baat hai woh baat kahogi kab tak


Dil mein jo baat hai , woh baat kahogi kab tak....
Dekhna yeh hai kai, khaamosh rahogi kab tak

kab tak is baat ko honton pay na laaoigi tum
kab tak is jazba-e-ulfat ko chupaaoigi tum

kab tak is raah say katra kay chalogi tanhaa
kab tak is aag mein chup chaap jalogi tanha

Dard furqat ka meri jaan sahogi kab tak.......
dil ki woh baat jo honton pay thehar jaati hai

jii jalaati hai tumhara, tumhein tarpaati hai
lab pay laatey hua bhi jis ko hijaab aata hai

bin kahe bhi jisay dil chain nahin paata hai
chup kay darya mein khamoshi say bahoogi kab tak......
Dekhna yeh hai kai, khaamosh rahogi kab tak

Kabhi tum nay ya bhi socha k tumharay dil girufta


Kabhi tum nay ya bhi socha
k tumharay dil girufta
tumhain kitna chahtay hain
tumhain zindagi say barh kar
jo azeez hum nay jana
so' koi sabub to ho ga

Kabhi tum nay ya bhi soocha
sar e shaam muntazir thay
kahin neelmi ujalay
kahin titliyan laboon ki
kahin phool jaisay aariz
kahin qumqumo si ankhain
ya jo chara gur humaray
koi saatay rifakat
sar e shaam mangtay thay
unhain kia khabur k hum nay
tumhain sounp di hain ratain
tumhain daan ki hain ankhain

Kabhi tu nay ya bhi soocha
k tumharay dil girufta
pas e baam o dur akailay
kisi shuma e sookhta say
ya jo kar rahain hain batain
tumhain kitna chahtay hain
tumhain rooz o shub k dukh main
kabhi bhoolna bhi chahain
to kabhi na bhool paein
k ya ahd e zindagi hai
jisay toorna bhi chahay
to kabhi na toor paien.............

Popular Posts