Ranjish hi sahi, dil hi dukhanay kay liyay aa
aa phir say mujhay choor kay janay kay liyay aa
pehlay say marasim na sahi, phir bhi kabhi to
rasm-o-rahay duniya hi nibhanay kay liyay aa
kis kis ko batain gai judai ka sabab hum
tu mujh say khafa hai to zamanay kay liyay aa
kuch to mairi pindaar-e-muhab'bat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko mananay kay liyay aa
ik umer say hoon laz'zat-e-girya say bhi mehroom
aiy rahat-e-jaan mujh ko rulanay kay liyay aa
ab tak dil-e-khushfeham ko tujh say hain umeedain
yeh aakhri sham'ain bhi bujhanay kay liyay aa
No comments:
Post a Comment