Dukh kee leher nay chheRa hoga
Yaad nay kankar phainka hoga
Aaj to mera dil kehta hai
Tu is waqt akayla hoga
Meray choomay hooay hathoN say
Aoron ko KHat likhta hoga
Bheeg chaleeN ab raat kee palkaiN
Tu ab thak kar soya hoga
Rail kee gehree seetee sun kar
Raat ka jangal goonja hoga
Sheher kay khalee station par
Koi musafir utra hoga
Aangan maiN phir chiRyaaN boleeN
Tu ab so kar utha hoga
YadoN kee jaltee shabnam say
Phool sa mukhRa dhoya hoga
Motee jaisee shakl bana kar
Aeenay ko takta hoga
Shaam hooee ab tu bhee shayad
Apnay ghar ko lauta hoga
Neelee dhundlee khamoshi maiN
Taron kee dhun sunta hoga
Mera saathi shaam ka taaraa
Tujh say aankh milata hoga
Shaam kay chaltay haath nay tujh ko
Mera salaam to bhaija hoga
Pyasee kurlaatee koonjon nay
Mera dukh to sunaya hoga
MaiN to aaj bohot roya hooN
Tu bhee shayad roya hoga
'Nasir' tera meet purana
Tujh ko yaad to aata hoga
No comments:
Post a Comment