dil dharakne ka sabab yaad aya
wo teri yaad thi ab yaad aya
aj mushkil tha sambhalna ay dost
tu musibat main ajab yaad aya
din guzra tha bari mushkil se
phir tera wada-e-shab yaad aya
tera bhula hua paiman-e-wafa
mar rahenge agar ab yaad aya
phir kai log nazar se guzre
phir koi shahar-e-tarab yaad aya
hal-e-dil ham bhi sunatey lekin
jab wo rukhsat hue tab yaad aya
baith kar saya-e-gul main 'Nasir'
ham bohat roye wo jab yaad aya
No comments:
Post a Comment