Ye shab-e-firaq ye bebasii hain qadam qadam pe udaasiyaan
Meraa saath koii na de sakaa merii hasaraten hain dhuaan dhuaan
Main tadap tadap ke jiyaa to kyaa mere Khvaab mujh se bichhad gaye
Main udaas ghar kii sadaa sahii mujhe de na koii tasalliyaan
Chalii aisii dard kii aandhiyaan mere dil kii bastii ujad gaii
Ye jo raakh-sii hai bujhii bujhii hain isii me merii nishaaniyaan
Ye fizaa jo gard-o-Gubaar hai merii bekasii kaa mazaar hai
Main vo phuul huun jo na khil sakaa merii zindagii me vafaa kahaan
No comments:
Post a Comment