woh khaloos tha ke khumar tha
woh janoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zaman laga
mujhey munzilon ne bhoola diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya
kai humsafar kai rahguzr
mujhey rastey mein miley magar
meri tushnagi kuch aur hai
meri justajoo koi aur hai
woh jo roshni ki tarha barhey
magar ansuon mei sama sakey
jo subha ki pehli kiran bane
mere dil ka aangan nikhaar de
jo muhabbaton ki ravaytein
laho ki bali se sanwaar de
mujhey us wafa ki talaash hai
mujhey us wafaki talaash hai
magar is jahan-e-kharab mein
yahan khahishon ke saraab mei
mujhey kaun de aisy wafa
mein kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanon mein ghira hua
yehi sochta mein chala gya
No comments:
Post a Comment