Saturday, June 26, 2010

kahan aa kay rukay thay raastay! kahan moar tha! usay bhool ja


kahan aa kay rukay thay raastay! kahan moar tha! usay bhool ja
wo jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahi mila usay bhool ja

wo tairay naseeb ki barishain kisi aur chat pay baras gaien
dil-e-baikhabar mairi baat sun, usay bhool ja, usay bhool ja

kiun ata howa hai ghubaar main, gham-e-zindagi kay fishaar main
wo jo darj tha tairay bakht main, so wo ho gaya, usay bhool ja

na wo aankh hi tairi aankh thee, na wo khwab hi taira khwab tha
dil-e-muntazir to yeh kis liyay, taira jagna, usay bhool ja

yeh jo raat din ka khail sa, usay daikh, us pay yaqeen na kar
nahi aks ko bhi mustaqil, sar-e-aaina, usay bhool ja

jo bisat-e-jaan hi ulat gaya, wo jo raastay say palat gaya
usay rooknay say hasool kia, usay mat bula, usay bhool ja

to yeh kis liayy shab-e-hijr kay usay har sitaray main dhoondna
wo falq kay jis pay milay thay hum, koi aur tha, usay bhool ja

tujhay chaand bun kay mila tha jo, tairay sahiloon pay mila tha jo
wo tha ik darya wasaal ka, so utar gaya, usay bhool ja

No comments:

Popular Posts