Saturday, June 26, 2010

Araaish-e-KHayal bhee ho dil kusha bhee ho


Araaish-e-KHayal bhee ho dil kusha bhee ho
Woh dard ab kahaN jisay jee chahta bhee ho

Yeh kya keh roz aik sa GHam aik see umeed
Is ranj-e-bay_KHumaar kee ab intiha bhee ho

Yeh kya keh aik taur say guzray tamaam umr
Jee chahta hai ab koi teray siva bhee ho

Tootay kabhi to khwab-e-shab-o-roz ka tilism
Itnay hujoom maiN koi chehra naya bhee ho

Deevangee-e-shauq ko yeh dhun hai in dinoN
Ghar bhee ho aur bay_dar-o-deevar sa bhee ho

Juz dil koi makaan nahiN dehr maiN jahaN
Rehzan ka KHauf bhee na rahay dar khula bhee ho

Har zarra aik mehmil-e-ibrat hai dasht ka
Laikin kisay dikhaooN koi daikhta bhee ho

Har shai pukaartee hai pas-e-pardah-e-sukoot
Laikin kisay sunaooN koi humnava bhee ho

Fursat maiN sun shugaftagee-e-GHunchah kee sada
Yeh woh sukhan nahiN jo kisi nay kaha bhee ho

Baitha hai aik shaKHs miray paas dair say
Koi bhala sa ho to hamaiN daikhta bhee ho

Bazm-e-sukhan bhee ho sukhan-e-garm kaileeay
Taoos bolta ho to jangal hara bhee ho

No comments:

Popular Posts