Wednesday, May 19, 2010

Wo to yun tha k hum apni apni zaroraton ki khatir milay

Wo to yun tha k hum apni apni zaroraton ki khatir milay
apne apne takazoon ko poora kiya
apne apne iradoon ki takmeel ki
teera o taar sanghlakh khuwaishoon ki
rahoo pay chaltay rahe
phir bhi rahoo mai kitnay shagoofay khilay
wo to youn tha k barhtay gaye silsilay
warna youn hai k ajnabi kal bhi thay
ajnabi ab bhi hain
ab bhi youn hai k tum her qasam toor do
sab hadain chorr do
ager youn na tha to youn hi sooch lo
tum ne iqrar hi kab kiya tha k mai tum se mansoob hoon
main ne izhaar hi kab kiya tha tum yaad aoo mujhe
BHOOL JAO MUJHE...!!!

Aik waham tha dil main



Aik waham tha dil main 

Shayad kabhi milo tum 

kuch dair ruk ker poocho 

Beetay dinoon ka moosam 

Aawaz main ho larzish 

Aankhoon main ho tajassus 

Mazay ka koi lamha 

Shayad atak gaya ho 

Sab bhool ker bhi shayad 

kuch yaad agaya ho 

Phir main tumhain bataoon 

Apni khushi ki baatain 

Her dukh ko chupa ker dil main 

Aasoodgi ki baatain 

Wo chand chudhween ka 

Taroon bhari wo aankhain 

Dilkash haseen shamain 

Maasoom wardatain 

Wo piyaar ka tasawwor 

wo bandagi ki batain 

Wo rooz rooz marna 

Aur zindagi ki baatain 

Tum dukh say muskurao 

Dheeray say muskurao 

Dheeray say paas aao 

Sar ko jhuka kay apnay 

Chup chaap loot jao 

Phir main bhi muskuraon 

Maan kay diyay jalaon 

Duhraon apnay dil main 

Taa'luq say haqeeqat 

Aik khuwab zindagi ka 

Haan umer bhar jo daikha 

Kabhi ho saka na pora 

Younhi rah gaya adhoora 

Aik khuwab-e-zindagi tha 

Khwaab tha shyed……

Janay Yeh Kesa Rishta Hai


Janay Yeh Kesa Rishta Hai

Yeh Kaisa Bandhan Hai?
Main Akser Sochti Hoon,

Kiya Rishta Hai,

Mera Tum Say

Aisa Kia Hai Tum Main,

Jo Mujhay Tum Say Bandhay Howa Hai,

Kiya Yeh Pyaar Hai.

Ehsaas Hai?

Dhokha Hai?

Ya,

Aziyat Hai?

Janay Kesa Rishta Hai?

Jis Main Wafa Nahi Jafa Hai,

Jis Main Pyaar Nahi,

Aziyat Hai,

Jis Main Tum Nahi,

Tumhara Feraib Hai,

Janay Main Kyun

Tum Say Dorr Ho Nahi Paati,

Tumhara Har Teer Sahi Jaati Hoon,

Tumhari Har Baat Mera Dil Ko Cheer Deti Hai

Tumhari Har Aziyat Mujhay Qabool Hai,

Janay Yeh Kesa Rishta Hai,

MUHOBT HO JATI HAI

Kehne ko muhabt hai lekin,

ab aesi muhobt kya krni,
Jo neend chura ly aankhon se,

Jo khawb dikha kr phoolon k,

tabeer mei kaante de Jaye,

Jo gham ki kali raaton se,

hr aas ka Jugnu ly Jaye,

Jo khawb sJati aankhon ko,

aansu hi aansu de Jaye,

Jo mushkil kr de Jeene ko,

marne ko Jo aasan kre,

wo Dil Jo pyar ka mandir ho,

wo Yaadon ko mehman kre,

ab aesi muhobt kya krni,
Jo Umer ki naqdi ly Jaye,

aur phir bhi Jholi khali ho,

Jo surat dekhi bhali ho,

Jo Qais bna de Insan ko,

Jo RanJha aur Farhad kre,

ab aesi muhobt kya krni,
Jo khushiyon ko barbad kre,

dekho to muhobt k bare mei,

hr shaqs Yhi kuch kehta hai,

socho to muhobt k andar,

ek dard hmesha rehta hai,

phir bhi Jo cheez muhobt hai,

kb Inn baaton se darti hai,

kb Inn k baandhi rukti hai,

Jis Dil mei Iss ko basna ho,

chupke se bas hi Jati hai,



MUHOBT HO  JATI HAI....!

Aik jaisa waqt guzarta hai roz

Aik jaisa waqt guzarta hai roz;
Magar rukta nahi har roz;
Ajab yaadon ka silsila ruka rehta hai;
Beetay dino ki yaad delata hai;
Magar waqt laut ker nai ata...........

Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai

Mayoos mat
hona yeh aik gunnah hota hai
,
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai
,

Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
,
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai
,

Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain
,
Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai
,

Har aik ko barsar-e-ilzam kiun thehrayein hum,

Ap......ne samne bhi tou aik ayeena hota hai
Hum,

apni zindagi se kiun haar jayein
Gar,
doobta hai sooraj tou kal bhi ujala hota hai

Sunao Tum Koii Khowab Apna

Sunao Tum Koii Khowab Apna

Phir Us Ki Tabeer Sochnay Do

Raat Yeh Main Nay Khowab Main Dekha

Tum Tanha Ho Sara Din

Main Bheer Main Thi Or Rahi Akaili

Roz sahil pe khare hoke yahi dekha hai

Roz sahil pe khare hoke yahi dekha hai
Shaam ka pighla hua surkh-sunhari rogan
Roz matiyale-se paani mein yeh ghul jaata hai 
Roz sahil pe khare ho k yahi socha hai
Mein jo pighali huee rangeen shafaq ka rogan
Ponchh loo haathon pe 

Aur chpuke se ik baar kabhi
Tere gulnaar se rukhsaaron pe chhap se mal doon
Shaam ka pighala hua surkh-sunhari rogan

Na koi khushi mere roobaroo aaey………na koe aarzoo likhoon

Na koi khushi mere roobaroo aaey………na koe aarzoo likhoon
Mujhay is simt aanay main
Abhi kuch waqt lagna hai...

Na hum sa khush feham koi……..na koi bewafa un sa
Tamanna ko sulanay main
Abhi kuch waqt lagna hai.!

Zehar aaloud se batain………..hoyeen pewast rag rag main
Hamain khud ko choranay main
Abhi kuch waqt lagna hai..!

Nahi milna muqaddar tha………..muqaddar kub badalta hai
Yaqeen khud ko dilanay main
Abhi kuch waqt lagna hai.!

Bala ka zabt hai mujh main…………magar ye zarb Kadee hai
So khud ko aazmanay main
Abhi kuch waqt lagna hai..!

jo umar bhar roye hain........ ......tootay Jo har baar
so usay muskuranay main
abhi kuch waqt lagna hai...!

Tere naam ki thi jo roshni

Tere naam ki thi jo roshni
Usay khud hi tu ne bujha diya
Na jala saki jise dhoop b
Usay chandni ne jala diya

Main hoon grdishon mein ghira howa
Muje aap apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rahnuma
Usay raaston me ganwa diya
Jo teri nazar me ajeeb tha

Wohi shakhs tera habib tha
Tere hath ki wo lakeer tha
Usy hath se hi mita diya
Mujhe ishq hai k janun hai

Abi fesla nahi hosaka
Mera naam zenat-e-dasht tha
Mujhe aandhiyon ne mita diya.

tere jalave ab mujhe har suu nazar aane lage

tere jalave ab mujhe har suu nazar aane lage 
kaash ye bhii ho ke mujh me.n tuu nazar aane lage 


ibtadaa ye thii ke dekhii thii Khushii kii ek jhalak 
intahaa ye hai ke Gam har suu nazar aane lage 


beqaraarii ba.Dhate ba.Dhate dil kii fitarat ban gaii 
shaayad ab taskiin kaa pahaluu nazar aane lage 


Khatm karade ae 'Sabaa' ab shaam-e-Gam kii daastaa.N 
dekh un aa.Nkho.n me.n bhii aa.Nsuu nazar aane lage

mera ehsas mat cheeno

mera ehsas mat cheeno!!!!
wo jazbe cheen lo mujh se
jo mere ang, meri rooh, mere dil mein baste hain
jinhen khud mein samone ke liye seene taraste hain
wo lamhe cheen lo mujh se
jo mere zahan ki tareekiyon mein shama roshan hai
meri khilwat ki khusho hai, meri yadon ke gulshan hain
wo chehre cheen lo mujh se
jo khal-o-khad nahen ab aaiine hain meri seerat ke
jo har pehlo se aks zofishan hain meri surat ke
wo rishte cheen lo mujh se
jo mere zahan-o-dil mein roshni ke beej bote hain
jo rag rag mein laho ki chap se mansob hote hain
wo ankhen cheen lo mujh se
jo meri rooh ka noha hain, meri zaat ka lehja
jahan dhalta hai aaiinon mein ehsasat ka lehja
wo sapne cheen lo mujh se
jo in weeran ankhon mein abhi tak jagmagate hain
abhi tak sans lete hain, abhi tak muskurate hain
ye sab kuch cheen lo mujh se
magar ai zalimo! mujh se mera ehsas mat cheeno
talab ki aas mat cheeno
jo mere zabt ki pehchan hai wo piyas mat cheeno
mera ehsas mat cheeno!!!!!

Tum Is Dard Say Guzray Ho Na

Tum Is Dard Say Guzray Ho Na ?
Woh Rut Jis Main Jal Jati Hain Aankhain
Tum Par Bhi To Guzri Hai Na ?
Woh Shab Jo Mahtaab Se Tapkay
Aanso, Aanso Shab-num Shab-num Woh Shab
Mujh Par Bhi Utri Hai
Woh Din Jab Ghariyaan So Jaain
Lamhay Pather Ke Ho Jaain
Woh Din Tum Ne Bhi Kaata Hai ??
Donoo Ke Jismoon , roohoon Main
Yaksaan Dukh Ka San-naata Hai
Phir Kyun Mujh Say Pochti Ho Tum ?
Meri Palkain Kyon Pur-Nam Hain ?????
Aakhir Mujh Ko Koon Say Gham Hain ??
TUM IS DARD SAY GUZRAY HO NA ?????

iss adaa se bhi hoon main aashena

iss adaa se bhi hoon main aashena
tujhey itna jis pe guroor hai
main jiyoon ga tere bagair bhi
mujhey zindagi ka shauor hai
jo samjh liya tujhey bewafa
tu phir is main teri bhi kiya khata
yeh khalal hai mere demaagka
yeh meri nazar ka kasoor hai
main nikal ke bhi tere daam se
na geroon ga apney maqam se
main qateel jo ru-e-situm sahi
mujhey tum se ishq zaroor hai ..

kuchh ishq thaa kuchh majabuurii thii so mai.n ne jiivan vaar diyaa

kuchh ishq thaa kuchh majabuurii thii so mai.n ne jiivan vaar diyaa
mai.n kaisaa zindaa aadamii thaa ik shaKhs ne mujh ko maar diyaa

ye sajaa sajaayaa ghar saaqii merii zaat nahii.n meraa haal nahii.n
ai kaash kabhii tum jaan sako jo us sukh ne aazaar diyaa

mai.n Khulii hu_ii ik sachchaa_ii mujhe jaanane vaale jaanate hai.n
mai.n ne kin logo.n se nafrat kii aur kin logo.n se pyaar kiyaa

vo ishq bahut mushkil thaa magar aasaan na thaa yuu.N jiinaa bhii
us ishq ne zindaa rahane kaa mujhe zarf diyaa pindaar diyaa

ik sabz shaaKh gulaab kii thaa ik duniyaa apane pyaar kii thaa
vo ek bahaar jo aa_ii nahii.n us ke liye sab kuchh haar diyaa

mai.n rotaa huu.N aur aasmaan se taare TuuTate dekhataa huu.N
un logo.n par jin logo.n ne mere logo.n ko aazaar diyaa

vo yaar ho.n yaa mahabuub mere yaa kabhii kabhii milane vaale
ik lazzat sab ke milane me.n vo zaKhm diyaa yaa pyaar diyaa

Kabhi Yaad Meri Aye Toh

Kabhi Yaad Meri Aye Toh,
Meri Zaat Ko Zara Sochna,
Tere Ishq Mein Mujhe Kya Mila,
Is Baat Ko Zara Sochna,
Teri Be-rukhi Meri Be-Khudi Tera Chupna,
Mera Talashna Meri Haar Pe Tera Jheetna,
Meri Mat Ko Zara Sochna,
Pehle Hath Mera Jhatak Diya,
Phir Chor Kar Bhi Chala Gaya,
Kaise Bikhri Main Ek Lamhay Mein,
Us Raat Ko Zara Sochnaaaa......

Hawa Ki Bhi Marzi Ho

Hawa Ki Bhi Marzi Ho,

MuQaddar Jo Bhi Kuch Chahe,

Zameen Par Chaar Soo,

Ranj-O-Alam Ki Baarishein Barsein,

Tumhare Lab Par Bikhre Sare Nagme,

Nohe Ban Jayein,

Safar Ki Dhool Ban Jayein,

Koi Taara Na Jugnu Ho,

Andhere Hi Andhere Ho,

Sabhi Sapne Bikhar Jayein,

Sabhi Lamhe Badal Jayein,

Meri Yaadon Se Ek Pal,

Kabhi Gaafil Nahi Hona,

Suno Pathar Nahi Hona...

lams zinda rahay

Jotshi nay kaha
teray maqsoom mein ik muhabbat hay
aisi muhabbat
azal say abad takk ki,sabb 
chahton ka jo hasil hai,
ishq ki rooh bhi 
jiss mein jiss mein jari-o-sarihai
[ik wehshiyana tarap aur kasak]
aur ulfat ki dheemi,mehekti howi
aanch bhi jiss ka hissa hai
teri qismqt mein aisi muhabbat hai
jo lams say mawra
wasl ki khwahishon say juda hai
dahnay hath ki aik rekha batati hai,
tujh ko mehboob kay wasl say 
kuchh ta'aaluq nahin
uss ki chahat faqat uss ki chahat
tera muntaha-e-nazar ho 
to behtar rahay ga''
meray dill say ik aah nikli,
magar uss muhabbat say kya faeyda?
main bhi jalti rahoon
woh bhi jalta rahay,
abb to mehboob ko devta jaan karr
ya khuda maan karr
poojnay ki kahani-fasana huwi
abb haqeeqat jo hai woh faqat wasl hai
uss ki aur meri hasti ka shahid
faqat lams hai!
meray maqsoom mein peyar hai to
meray hath mein ay Khuda!
wasl qayam rahay!!
lams zinda rahay!!!

khirki' chand' kitab aur main

khirki'
chand'
kitab aur main,

mudat se aik baab aur main,

shab bhar khelain aapas main,

do ankhain aik khuwab aur main,

mouj aur kashti sahil per,

dariya main gardaab aur main,

sham'
udasi'
khamoshi,

khuch kankar,
talab aur main,

her shab pakrey jate hain,

gehri neend,
tere huwab,aur main..........

ShamA O ParwanA

ParwanA tUjh Say Karta hAi Aey ShamA Pyar kyOn
Yeh Jaan e Be-Qarar hAi tUjh Par NiSaaR kyOn
Semaab Waar Rakhtii hAi Teri Adda Issay
Aadaab e IShq tOo Nay Sikhaye hAin Kya Issay ?
Karta hAi Yeh Tawaaf Teri jAlwa-Gaah Ka
PhOonka hAi Kya Teri Barq e NiGaah Ka ?
Aazaar e mOat Mein Isay Aaraam e jAan hAi Kya?
ShOlay Mein Teri ZindGii e Jaa-VidaaN hAi Kya?
Gham e Khana e Jhaan Mein jO Teri Ziya Na hO
Is Tifna Dil Ka Nakhal e tAmAnA Harra Na hO
GiRna Teray HazOor Mein Is Kii Namaaz hAi
Nanhay Say Dil Mein Lazat e Soz o Gudaaz hAi
Kuch Is Mein jOsh e AaShiq e hUsan e Qadeem hAi
ChOta Sa tOor tOo, Yeh Zara Sa Kaleem hAi

Mohabbat Har Insaan Ko Azmati Hai


Mohabbat Har Insaan Ko Azmati Hai 

Kisi Se Rooth Jati Hai Or Kisi pe Muskurati Hai 

Mohabbat Khel Hi Aisa Hai, 

Kisika Kuch N Jata Or Kisi ki Jaan Chali Jati Hai !! ?


Aadat Hai Teri Yaad Ane Ki.

En Aankho ko Teri Ek Zalak Pane Ki, 

Hamari To Tamanna Hai Apko Pane Ki 

Par Shayad Aapki Aadat Hai Hame Tadpane Ki !! ?


Teri Yaado Me Jiyenge Marenge 

tujhe Apni Palkon Me Chuppa Lenge 

Uss Chand Se Hume Kya Lena Hum to Is 

Dharti Ke Chand Ko Seene Se Laga Lenge !! ?


Kya Hai Dil Ki Haalat Bataana Nahi Aata, 

Kisi Ko Aise Tadpana Nahi Aata, 

Sunna Chahte Hai ek Baar Fir Aawaz Uski, 

Magar Baat Karne Ka Bahaana Bhi Nahi Aata !! ?


Zara Si Roshni Mujh Ko Achhi Lagi, 

Mujhe Aap ke Ek Lamhe Ki Hansi Achi Lagi, 

Aap Se Baat Ki Jo Ek Roz, 

Us Hi Din Se Mujhe Aapni Zindagi Achhi Lagi !! ?


Dil-E-Aarzoo Ne Dewana Bana Diya 

roye The Na Kabhi Par Tune Rula Diya 

tujhe Meri Yaad Na Aayi Bhule Se Kabhi 

Hamne Teri Yaad Me Zamana Bhula Diya !! ?


Gham Me Hasane Walo Ko Kabhi Rulaya Nahi Jata, 

Lehro Se Pani Ko Hataya Nahi Jata, 

Hone Wale Ho Jate Hain Khud Hi Dil Se Aapne, 

Kisi Ko Kehkar Apna Banaya Nahi Jata !! ?


Kanch Ko Chahat Thi Pather Pane Ki, 

Ek Pal Mein Tut Ke Bikhar Jane Ki, 

Chahat Bas Itni Thi Us Diwane Ki, 

Apne Hazar Tukdo Mein Uski Hazar Tasvirein Sajane Ki !! ?


Nazaro Ki Aas Kuch Aur Hoti Hai 

Kasmo Me Baat Kuch Aur Hoti Hai 

kaun Chahta Hai Kuch Kahe na Bin Kahe 

Samajh Jane Ki Baat Kuch Aur Hoti Hai !! ?

Zindgi Ka Har Khwab Haqiquat Ban Jaye 

Khushi Ke Chirago Se Zindgi Roshan Ho Jaye 

Mahak Jaye Zindgi Aapki Ki Gulab Ki 

Khushboo Bhi Aapke Samne Kam Ho Jaye !!? 


Mujhse Apna Pyar Kabhi Wapas Mat Laina 

Mujhse Ye Iqrar Kabhi Wapas Mat Laina 

Kehte Rehna Har Pal Main Tumhari Hu 

Mujh Sai Ye Izhar Kabhi Wapas Mat Laina !!

Woh Larki Bhi Ek Ajeeb Pheli Thi

Woh Larki Bhi Ek Ajeeb Pheli Thi,
Piyasay Hont Thay,
Ankh Samandar Jaisi Thi,
Aatay Jatay Mousam Usko Dastay Thay,
Hanstay Hanstay Palkon Se Ro Parti Thi,
Aadhi Rat Ganwa Deti Thi,
Chup Reh Kar Aadhi Raat Chand Se Baatein Karti Thi,
Kal Shab Chikna Chor Hua Tha Dil Uska,
Yeh Phir Pehli Bar WOh Khul Kar Royi Thi.....!!!!

Tum Jo Meri Baat Suno


"Tum Jo Meri Baat Suno.."

EK Qissa Tume Sunata Hon,
Yeh Qissa Nahi Zamanay Ka,
Yeh Qissa Hai Parwanay Ka,
Jo Pal Pal Jeeta Marta Tha,
Jo Pyaar Buhat Hi KArta Tha,
Har Baat Usay Maloom Toh Thi,
Ek Baat Magar Woh BHula Betha,
Shama Ko Hasil Karne Mein,
Khud Apna Ap Jala Betha,
Yun Ishq Ki Had Se Guzarne Mein,
Parwanay K Jal Mein,
Ab Jagti Hai NA Soti Hai,
Shama Ab HAr Pal Roti Hai.....

us junoon mein ek rahat thi

us junoon mein ek rahat thi

jo sirf teri chahat thi

us chahat mein ek andaz tha

jo meri dhadkano ka raaz tha

us raaz mein ek khushbo thi

jo meri soch ki justju thi

us justju mein ek hasrat thi

jo meri khushiyoun ki sharat thi

us shahrat mein ek ehsaas tha

jo hamesha mere pass tha

us pass mein jo ek araam tha

Woh bus sirf ek tera naam tha.......

lamha lamha tere waJood mein basar hota


lamha lamha tere waJood mein basar hota,
khoob hota Jo main teri rooh ka mehwar hota,
teri In Jheel si ankhon mei mera ghar hota,
teri ankhein Jo dekhti main wo manzar hota,
kbi patJhar,
kbi rimJhim,
kbi sawan,
kbi badal,
kbi panchi,
kbi amber hota,
teri Umeed ka hasil,
teri khawhish ka sila,
main tere Ishq tere sabar ka samar hota,
kya khoob hota Jo main teri rooh ka mehwar hota,

Kaash....

lamha lamha tere waJood mein basar hota..!

ek khwaab aur ai himmat-e- dushwaar pasand


Ek khwaab aur

Khwaab ab Husan_e tasawur k ufaq se haiN pare
Dil k ek Jazbaa_e ma’soom ne dekhe the Jo khawaab
aur ta’beeroN k tapte hue sehraaoN meiN
Tashnagii aabla'paa, sh’ola_bekaf mauJ_e sarab
Ye to mumkin nahi bachpan ka koi din mil Jaye
Ya palat aaye koi sa’aat_e naayaab_e shabaab
phoot nikle kisi afsurdah tabassum se kiran
Ya damak uthe kisi dast_e bureedah meiN gulaab
AAh ! patthar ki lakireiN haiN k YaadoN k nuqoosh
Kon likh sakta hai phir umr_e guzishta ki kitaab
Beetey lamHaat k soye hue tufanoN meiN
Tairte phirte haiN phooti hui aaNkhoN k Habaab
Taabish rang_e shafaq, aatish ruu_e Khursheed
Mal k cHehre pe seHar aayi hai KhooN aHbaab
Jaane kis mor pe, kis raaH meiN kya beeti hai
kis se mumkin hai tamanaoN k zakhmoN ka Hisaab
AastinoN ko pukaareiN ge kahaaN tk aaNsu
ab to daaman ko pakarte haiN lahuu k gardaab
dekhti phirti hai ek ek ka muh khamoshi
Jaane kya baat hai sharmindah hai andaaz_e Khitaab
Dar_ba dar thokareiN khaate hue phirte haiN sawal
aur muJrim ki tarah un se gurezaaN haiN Jawab
sarkashi, phir maiN tuJhe aaJ sda deta hoN
maiN tera shaayr_e aawaaraa_o be'baak_o Kharaab
pheink phir Jazba_e betaab ki aalam pe kamand
ek khwaab aur ai himmat_e dushwaar pasand

Hum kya krte kis raah chalte

Hum kya krte kis raah chalte
har raah mein kaaNTe bikhre the
un rishtoN k Jo chooT gaye
un sadiiyoN k YaaraanoN k
Jo ik-ik kar k Toot gaye


Jis raah chale Jis simt gaye
YuN paaoN lahuu-luhaan hue
sab dekhne wale kehte the
Ye kaisii reet rachaa’ii hai
Ye mehNdii kyuN lagvaa’ii hai
wo kehte the, kyuN qaht_e wafaa
ka naahak charchaa kerte ho
paaoN se lahuu ko dho Daalo

Ye raateN Jb kaT JaayeN gi
So raste in se phoTeiN ge
Tm Dil ko sambhaalo Jis meiN abhi
So tarah k nashtar TooteiN ge

Ek Tere Na Hone Se

Ek Tere Na Hone Se

ek tere na hone se kuch badal nahin jata
phoolon ki khushboo salamat hoti hai
parindey b chehekte rehte hen
badal b barastey rehte hen
per ek tere naa hone se koi ha
jo
hansna bhool jata hai
jeena bhool jata hai
ek tere na hone se

Mohabbat kuch nahi deti

Mohabbat kuch nahi deti

Tham Kar Kalam Aj Ta Diar Hum
Sochty Rehy..
Kia Likhain
Kayee Bar Tara Naam Likha
Aur Mita Dala
Phir Ek Nazam Likhee
Jiss Main Tara Milna ..
Taray Sang wo bity Pal Likhy
Akhar Main Tara Bichernay Wala Pal Likha
Aur Phir Ess Nazam Ko
Ek Naam Dia..
Mohabbat Kuch Nahin Dati
Ansoo Kay Siwa

Han ....
Mohbaat Kuch Nahin Deti
Ansoo Kay Siwa

Basaat-e-dil pe azaab utarte hain kis tarhan

Basaat-e-dil pe azaab utarte hain kis tarhan
Shab-o-roz dil per ataab utarte hain kis tarhan

Kabhi ishq ho tu pata chale!!

Yeh jo log se hain chupe hue pas-e-dostaan
Tu yeh kaun hain??


Yeh jo rog hain chupe hue pas-e-jism-o-jaan
Tu yeh kis liye??

Yeh jo kaan hain mere ahaton pe lage hue
Tu yeh kyun bhala??

Yeh jo hont hain saf-e-dostaan mein sile hue
Tu yeh kis liye??

Yeh jo aztaraab racha hua hai wajood mein
Tu yeh kyun bhala??

Yeh jo sang sa koi agira hai jamood mein
Tu yeh kis liye??

yeh jo dil mein dard charha hua hai lateef sa
Tu yeh kab se hai??

Yeh jo putlion mein hai aqs koi khafif sa
So yeh kab se hai??

Yeh jo aankh mein baraf si hai kab se jami hui
Tu yeh kis liye??

Yeh jo doston mein nayi nayi si hai kami hui
Tu yeh kyun bhala??

Yeh jo log peechay pare hue hain fazul mein
Unhe kia pata,unhe kia khabar

kisi rah k kisi mor pe unhe zara

Kabhi ishq jo tu pata chale..!!

Mujhe tere dard ke ilawa bhi

Mujhe tere dard ke ilawa bhi
Aur dukh the ye manta hun
Hazar gham the jo zindagi ki
Talash main the ye janta hun
Mujhe khabar thi keh tere aanchal main 
Dard ki rait chanta hun
Magar har ik baar tujh ko chu kar
Ye rait rang-e-hina bani hai
Ye zakham gulzar ban gaye hain
Ye aah-e-sozan ghata bani hai
Ye dard moj-e-saba huwa hai
Ye aag dil ki sada bani hai
Aur ab ye sari mata-e-hasti
Ye phool ye zakhm sab tere hain
Ye dukh ke nohay,ye sunk ke naghme
Jo kal mere the wo ab tere hain
Jo teri qurbat teri judai
Main kat gaye roz-o-shab tere hain
Wo tera sha’air tea mughanni
Wo jis ki baten ajeeb si theen
Wo jis ke andas khusarwana the
Aur adaain gharib si theen
Wo jis ki jeene ki khahishen bhi
Khud us ke naseeb si theen
Na pooch us ka keh wo dewana
Both dinon ka ujar chuka hai
Wo kohkan to nahin tha lekin
Kari chatanon se larh chuka hai
Wo thak chukka tha aur us ka tesha
Ussi ke seenay main garh chuka hai

MUJHE KAHIN AUR LE CHALO

"MUJHE KAHIN AUR LE CHALO",,,
jahan raat kabhi soyi na ho,,
jahan subah kisi p royi na ho,,
jahan hijir ne wehshat boyi na ho,,
jahan koi cheez kisi ki khoyi na ho,,
jahan log ho sare begane,,
jahan sab k sab hon deewane,,
jahan koi jhoot ho na afsane,,
jahan koi HUM ko na pehchane,,
"MUJHE KAHIN AUR LE CHALO",,
jahan nafrat dil m bas na sake,,
jahan koi kisi ko das na sake,,
jahan koi kisi p hans na sake,,
"MUJHE KAHIN AUR LE CHALO"..

un-kahi batoon ko

un-kahi batoon ko
un -sunay lafzoon ko
qaid say rehayi do
k warna .....
guzrya hue kal ki
chubhan ki bazgasht ....
meri koye-unkahi
tumhari koye-unsuni
aanay walay kal main
achanak kabhi takrai to
ankhain khoon rooain gi
zubaan laRkharaye gi
samma'At kalbalaye gi .
zindigi dagmagaye gi.
jis chubhan pe zinda thay
ik pal main na rahi
to
usi pal mar jao gay

shehr-e-dil ki galiyun main

shehr-e-dil ki galiyun maiN
shaam sey bhataktey haiN
chaand ke tamanayi
be-qaraar sodayi
dil gudaaz tareeki
jaaN gudaaz tanhayi
rooh-o-jaaN ko dasti he
rooh-o-jaaN maiN basti he
shehr-e-dil ki galyooN maiN

taak shab ki belooN per
shabnami sarkashooN ki
be-qaraar logooN ne
be-shumaar logoN ne
yaadgaar chorhi he
itni baat thorhi he

sad hazaar bataiN thiiN
heela-e-shakibayi
sooratooN ki zebayi
qamatooN ki ra'anayi
in siyah ratooN maiN
aik bhi na yaad aayi
ja-ba-ja bhataktey haiN
kis ki raah taktey haiN
chaand ke tamanayi

ye nagar kabhi pehley
is qadar na viraaN tha
kehney waley kehtey haiN
qiryaa-e-nigaraaN tha
khair apney jiney ka
ye bhi aik samaaN tha

aaj dil maiN virani
abr ban ke ghar aayi
aaj dil ko kia kehye
ba-wafa na herjayi
phir bhi loog diwaney
aa gaye haiN samjhaney
apni vehshat-e-dil ke
bun liye haiN afsaney
khush khayal dunya ne
germiyaaN to jati haiN
wo ruteeN bhi aati haiN
jab malool ratooN maiN
dostooN ki batooN maiN
ji na chain paye ga
or aub jaye ga
aahatooN se gonjey gi
shehr-e-dil ki pehnayi
or chaand ratooN maiN
chandni ke shedayi
her bahaney niklaiN gey
aazmaney niklaiN gey
aarzo ki gerayi
dhoondhney ko ruswayi

sard sard ratooN ko
zard chaand bakhshey ga
be-hisaab tanhayi
be-hijaab tanhayi
shehr-e-sil ki galyooN maiN

ussay apni zaat ki fikar thi wo jo mera wakif e haal tha

ussay apni zaat ki fikar thi wo jo mera wakif e haal tha
woh jo us ki subhe urooj thi woh mera waqt e zawal tha 

mera dard woh kaisay janta meri baat woh kaisay manta
woh to khud fanna k safar main tha usay rokna bhi mohal tha 

kahan jao gay mjhay chor kar main yeh poch poch k thak gaya
woh jawab mujh ko na de saka woh to khud sarapa sawal tha 

woh mila to saddiyon baad bhi mera lab per koi gila na tha
ussay meri chup ne rula dia jisay guftugu main kamal tha

hawa nazer ke tahi dareechon main jane waale ko dhoondti hai

hawa nazer ke tahi dareechon main jane waale ko dhoondti hai 
gul-e-tamasha ,na jaane kab or kahan se phootay!
her aik manzerpe us ki khushbu se hairaton ke ilm garay hain 
talash ritay bohat karay hain 
kahin se shams muraad ubhray toseher shab haye kuher tootay 
bikhertay khuaabon ka saath chutay 
guzartay lamhon ka rasta bhi ajeeb jadoo ka silsila hai 
ke main khara hoon pe chal raha hai 
kabhi wo ghogha ke baat mushkil 
kahin wo aalam ke saans atkay 
kahin hawa se nijaat mushkil 
her aik saaye main us ka paiker ajeeb jadu jaga raha hai 
usi ki khushbu her aik manzer ki zindagi hai 
ke jis ki furqat ke sard waqfay ne aarzoo ke jahan lootay 
gul-e-tamasha ,na jaane kab or kahan se phootay!
hawa nazer ke tahi dareechon main jane waale ko dhoondti hai

Kisi haath nay kisi looh pay jo nahi likha

Kisi haath nay kisi looh pay jo nahi likha 
Wohi aik hurf-e-guman hain hum 
Khat-e-gumshuda main likhi gaiee 
Koi ajnabi si zuban hain hum 
Kisi aur khita-e-dard par jo guzar gaya 
Usi waqt ki tag-o-taaz ka 
Koi be nishan sa nishan hain hum 
Kabhi apnay wahimay say nikal k dunia ko deakhiea 
Tu na khul sakay k kahan hain hum 
Meri jaan humari ya dastaan 
Isi aasmaan ki chat talay 
Isi kahkashaan k darmiyan 
Kaiee baar likhi gaiee kaiee bar suni gaiee 
Ya hadees nagm-e-bay sada 
Kabhi surkh phoolon ki taiz khushboon main ruk gaiee 
Kabhi aansoon main rawan hwee 
Ya woh shame-e-sham-e-wisal ha 
Jo tamaam raat jali kabhi 
Kabhi aik pal main dhuwan hwee 
Kabhi roshni ka yakeen bani 
Kabhi tarige ki gumaan hwee 
Tu jo hogaya usay maan lay 
K wo daag wo hain jo saath behroon 
K panioon say na dhul sakain gain 
Hwa k rastay main urnay walay udas lamhay 
Na ruk sakay hain na ruk sakain gain 
Tu jo hogaya usay maan lay...........!!

Hum Tum Se Keh Rahe They

Hum Tum Se Keh Rahe They,
Mushkil Hai ab Bichharna,
Or Door Tum se Rehna,
Tum Sun ke Hans Pari Thein,
Or Hum Se Ye kaha Tha ,
Hum Tum ko Bhool Jaen,
Tum ko Na Yaad Aaein ,
Sun ker Tumhari Batein ,
Hum Chup Se Ho Gaye They,
Phir Tum Bichhar Gaye They,
Tum Se Bichhar ke Hum Bhi,
Her Lamha Gin Rahey They,
Mausam Badal Rahey They,
Aur Hum ke Jal Rahey They,
Her Sans Thi ke sakat ,
Khushbu Bhi Aur Hi Thi,
Barish ka Pehla Qatra ,
Jab Bhi Gira Zameen Per,
Hum ko Lag Raha Tha,
Jungal Pighal Raha Tha,
Phir Hum Behal Gaye They,
Or Ho Gaye They Aadi,
Dunya Ki Mehfilon Ke ,
Ab Phir Se Mil Gaye Ho ,
Or Hum Se Keh Rahey Ho ,
MUSHKIL HAI AB BICHARNA,
AB DOOR TUM SE REHNA. !!!

Popular Posts