Thursday, August 12, 2010

Zamanay kay andaaz badlay gaey


Zamanay kay andaaz badlay gaey
Naya raag hai saaz badlay gaey

Khirad ko ghulami say aazad kar
Jawanon ko peeron ka ustad kar

Zamanay kay andaaz badlay gaey
Naya raag hai saaz badlay gaey

Jigar say wohi teer phir par kar
Tamanna ko seenon main bedar kar

Jawanon ko sozi jigar bakhsh de
Mera ishq meri nazar bakhsh de

Zamanay kay andaaz badlay gaey
Naya raag hai saaz badlay gaey

Khirad ko ghulami say aazad kar
Jawanon ko peeron ka ustad kar

Zamanay kay andaaz badlay gaey
Naya raag hai saaz badlay gaey

Pila de mujhe woh may pardah soz
Keh aati nahin fasl-e-gul roz roz

Woh may jis say roshan hai zameer-i-hayaat
Woh may jis say hai mastee-e-kainaat
mastee-e-kainaat

Zamanay kay andaaz badlay gaey
Naya raag hai saaz badlay gaey

Khirad ko ghulami say aazad kar
Jawanon ko peeron ka ustad kar

Zamanay kay andaaz badlay gaey
Naya raag hai saaz badlay gaey

Alāma Moḥammad Iqbāl 

Zara Si Dair Ko Sab Kuchh Bhula K Dekh Lete Hain



Zara Si Dair Ko Sab Kuchh Bhula K Dekh Lete Hain
Tujhe Hum Samny Apny Bitha K Dekh Lete Hain,

Suna Hai Madh Bhari Nazrain Teri Peeny Nahi Deti`n
Ijazat Ho To Hum Nazrain Mila K Dekh Lete Hain,

Wo Chehry Kese Hoty Hain Keh " Jin Se Chand Sharmaye
Tere Rukh Se Siyah Zulfain Hata k Dekh Lety Hain,

Shama K Paas Ja Kar Kis Tarah Jalty Hain Parwany
Zara Hum Bhi Tere Nazdeeq Aa K Dekh Lety Hain,

Kahin Be-Tab Dil Ko Es Tarah Se Chain Aa Jaye
Teri Tasweer Ko Dil Se Laga K Dekh Lety Hain,

Khiyalon Mein Tarasha Hai Tera Pekar Bhi Ay Jana`n
Kabhi Khuwabon Mein" Tujh Ko Bhi Basa k Dekh Lety Hain

hum dono jo harf hain hum ek roz mile


hum dono jo harf hain
hum ek roz mile
ek lafz bana
aur humne ek maani paaye
phir jaane kya hum per guzri aur
ab yun hai
tum ek harf ho ek khaane mein
main ek harf hoon ek khaane mein
beech mein kitne lamhoN ke khaane khaali hain
phir se koi lafz bane
aur hum dono ek maane paayeiN
aesa, ho sakta hai
lekin sochnaa hogaa
in khaali khaanoN Mein humeiN bharnaa kya hai............

sham samay aaik oonchi seehriyon walay ghar kay angan mein


sham samay aaik oonchi seehriyon walay ghar kay angan mein
chand ko utaray daikha hum nay, chand bhi kaysa ? poora chand

insha jee in chahnay wali, daikhnay wali ankhoon nay
mulkoon mulkon, shehroon shehroon, kaisa kaisa daikha chand

har aik chand ke apni dhuj thi, har aik chand ka apna roop
laykin aisa roshan roshan, hansta battain karta chaand ?

dard ke tees tu uth'ti thee, par itni bhi , bharpor kabhi ?
aaj say pehlay kab utra tha dil mein itna gehra chaand !

hum nay tu kismat kay dar say jab paye andhayaray paye
yeah bhi chand ka sapna ho ga, kaisa chand, kahaan ka chand ?

insha jee duniya waloon mein bay sathi bay doost rahay
jaisay taroon kay jhurmat mein tunha chand, akayla chand

in ka daman iss doulat say khali ka khaali hee raha
warna tha duniya mein kitnay chandi chand aur soona chand

jug kay charoon koot mein ghooma seelani hayraan howa
iss basti kay iss koochay kay iss angan mein aisa chand ?

ankhoon mein bhi chitwan mein bhi chand he chand jhalaktay hain
chand hee teeka, chand hee jhoomar, chehra chand aur matha chand

aik yeh chand nagar ka baasi jiss say door raha sunjoog
warna iss duniya mein sab nay chaha chand aur paya chand


anbar nay dharti par phaikee noor ke cheent udaas udaas
aaj ke shab tu andhi shab th, aaj kidhar say nikla chand ?

insha je yeh aur nagar hai, iss basti ke reet yeahi hai
sab ke apni apni ankhain, sab ka apna apna chand

apnay seenay kay mat'la par jo chamka woh chaand howa
jis nay man kay andhyaaray mein aan kiya uj'yaara, chaand

chanchal muskaati muskaati goori ka mukhra mehtaab
bath jhar kay pairoon mein at'ka peela sa ik patta chand

dukh ka darya skh ka sagar iss kay dam say daikh liyeah
hum ko apnay saath he lay kar dooba aur ubhra chaand

jhuki jhuki palkoon kay neechay numnaaki ka naam na tha!
yeah kanta jo humain chubha hai kaash tujhay bhi chubhta chand

roshniyoon ke peeli kirchain, poorab pacham phail gaieen
tu nay kis shay kay dhookay mein pathar pay day tapka chand

hum nay tu dono ko daikha, dono he bay dard khathoor
dharti walla, anbar walla, pehla chand aur dooja chand

chand kissi ka ho nahi sakta, chand kissi ka hota hai ?
chand ke khatir zind nahi kartay, aye mairay achay insha chand

Rooh ko serd likhtay raho Shaa'iron dard likhtay raho



Rooh ko serd likhtay raho
Shaa'iron dard likhtay raho

Aansu'on ko sitara likho
Khawaab ko ik ishara likho
Ishq main sab gawara likho
Dil ki qismat khasara likho
Rat Jagay Ista'ara likho
Waqt kaisay guzara likho
Raat ko bay-sahara likho
Kis ne kis ko pukara likho
Chaand hai zard likhtay raho
Shaa'iron dard likhtay raho

Soch ko shabnami likh diya
Dhoop ko chandni likh diya
Aah ko shaairi likh diya
Saans ko zindagi likh diya
Zabt ko bay-bassi likh diya
Rabt ko ajnabi likh diya
Piyaar ko dosti likh diya
Baat ko ser-seri likh diya
Dil pe hai gerd likhtay raho
Shaa'iron dard likhtay raho

Tum likho jeenay waloon ka gham
Zakhm-e-dil seenay waloon ka gham
Ya ke ghamm peenay waloon ka gham
Ya likho jalnay waloon ka gham
Aag per chalnay waloon ka gham
Shaam ko dhalnay waloon ka gham
Bay wajah ronay waloon ka gham
Khwahishain bonay waloon ka gham

Haath hain sard likhtay raho
Rang hai zard likhtay raho
Baal hain gard likhtay raho
Shaa'iron dard likhtay raho

Wo shaks kabhi dasht se guzrey to usey kehna


Wo shaks kabhi dasht se guzrey to usey kehna
Ek pal mere ghar mein bhi thehrey usey kehna



Kehna ke samundar ke kinarey pe na jaye
Kuch log samandar se bhi hai gehrey usey kehna



Zarkhaiz zameenein kabhi banjar nahi hoti
Darya he badal lete hain raasta usey kehna



Kuch log safar ke liye mozu nahi hote
Kuch rastey kat'tey nahi tanha usey kehna



Iss shehar mein such keh ke gunehgaar na hona
Ke basti ke sabhi log hain behrey usey kehna

Tum Ko Aata Hee Nahi Shikwa Shikayat Karna



Tum Ko Aata Hee Nahi Shikwa Shikayat Karna
Meri Maano, Tum Kissi Se Na Mohabbat Karna

Ab Kay Bikhra To Mushkil Se Samaito Gay Mujhay
Phir Na Aisi Kabhi Mujh Se Tum Shararat Karna

Zulm Sehnay Se Halat Na Badlein Gay Kabhi
Ab Zaroori Hai Ameer-e-Shehr Se Baghawat Karna

Zubaan Jo Kholi To Uljhein Gay Zamanay Walay
Chup Rehna, Iz'haar Ki Na Himmat Karna

Tum Ne Dekha Hai Meray Ghar Ki Udasi Ko Kabhi?
Ho Sakay To Kissi Shaam Zara Zehmat Karna

Mohabbat Khud Batati Hai


Mohabbat Khud Batati Hai....
Kahan Kiss Ka Thikana Hai...

Kissay Aankhon Mein Rakhna Hai....
Kissay Dil Mein Bassana Hai...

Ri'ha Karna Hai Kiss Kiss Ko...
Kissay Zanjeer Karna Hai....

Mittana Hai Kissay Dil Se.....
Kissay Tehreer karna Hai....

Gharoonda Kub Girana Hai...
Kahan Tameer karna Hai....

Mohabbat Khud Batati Hai...
Kahan Kiss Ka Thikana Hai...

Kar Kay Waada Woh Nibhana Bhool Jata Hai


Kar Kay Waada Woh Nibhana Bhool Jata Hai..
Khafa Kar kay Mujhay Woh Manana Bhol Jata Hai..

Yun To Mujh Se Woh Kya Kya Nahi Kehta..
Zarori Ho Jo Bat Woh Batana Bhool Jata hai..

Kiss Qadar Tang Woh Mujhay Kia Karta Hai...
Khud Ho Pareshan To Satana Bhool Jata Hai..

Hamesha Se Yun Hi Rahi Hai Aadat Uski..
Sun Kar Mere Dukh Apnay Sunana Bhool Jata Hai..

lipti rahi wajood sy khushbo tamam raat


lipti rahi wajood sy khushbo tamam raat
ata raha he yaad mujhe wo tamam raat,

usny baray khaloss sy mangi thi roshni
girty rahy makan pe jugnu tamam raat,

rota raha wo app hi apny naseeb per
apny galy mein dal kar bazu tamam raat,

fursat na thi tabeeb ko apny hi kaam sy
pety rahy marez bhi ansu tamam raat.

Koi dost hai na raqeeb hai


Koi dost hai na raqeeb hai................
Tera shehar bhi kitna ajeeb hai.............

Wo jo ishq tha wo janon tha............
Yeh jo hijar hai yeh naseeb hai...........

Yahan kis ka chehra paraha karon...........
Merey kon itna qareeb hai............

Main kisey kahon mere sath chal.............
Yahan sab ki soch ajeeb hai.............

Gila karein tou kis se karein.................
Ke jo ho gaya wo naseeb hai.........
Tera shehar kitna ajeeb hai...................

Ho Gaee Rukhsat Ghata Barish Kay Baad



Ho Gaee Rukhsat Ghata Barish Kay Baad
ek Deya Jalta Raha Barish Kay Baad

Meray Behtay Aansoon Ko Dekh Ker
Ro Paree Thandi Hawwa Barish Kay Baad

Meri Tanhai Ka Daman Thaam Ker
Kuch Uddasi Nay Kaha Barish Kay Baad

Yaad Teri Orhd Ker Main So Gaya
Khawab Ka Der Khul Gaya Barish Kay Baad

Chaand Dekh Ker Badlon Ki Qaid Main
ek Sitara Ro Deya Barish Kay Baad

Apnay Kachay Ghar Ki Her deewar Per
Naam Tera Likh Deya Barish Kay Baad

us habs e be-khalal ki ada par na jaeyo


us habs e be-khalal ki ada par na jaeyo !
ab ghar k bam o dar b sanbhal k sajaeyo !

tu hairaton ki zad mein ghirri moj e kam nishaan
main seel e be kinaar , merey munh na aeyo !!

ankhon mein aik ashk hai baqi hava e shaam
yeh akhiri dia hai , isey mat bujhaeyo !

hona hain asmaan se "shahabon" ki barishain
gar hosakey to ghar ka andhera bachaeyo !

ya aam kijiyeo na junoon ki hikaayatain !
yeh shehar chor dijiyeo , sehra basayeo !

har shakhas kab sanbhaal sakeyga mataa e dard ?
har shakhas ko na apni kahani sunayeo !

Mohsin diyaar e hijar mein lazim hai ahtiyat
rassta kathan sahi , kahin thokar na khayeo !

haseen lagta tha hum ne jin dino mein usko dekha tha


haseen lagta tha hum ne jin dino mein usko dekha tha
basanti mosamon , bheegi ruton mein usko dekha tha

usi k akas ne ankhain khumaar e khuvaab se bhar dain
chamaktey chand jesey aaiino mein usko dekha tha

jisey ab rait k kachey gharondon se mohabbat hai
sumander k sunehrey paniyun mein usko dekha tha

jo tanhayee ki chadar orh kar sota hai rasston mein
kabi is shehar ki sab mehfilon mein usko dekha tha

bagolon ko pehan kar ab jo sehra mein bhatakta hai
gulab o yasman k junglon mein usko dekha tha

jo apney qarya e dil ki udasi se behalta hai
ghataon mein ghirri gum bastiyun mein usko dekha tha

zaroorat hai jisey ab dhoop ka ujla kafan Mohsin
badan par baraf orhey parbaton mein usko dekha tha

Hijar k Mousam mein ya Barish ka barsna kesa?


Hijar k Mousam mein ya Barish ka barsna kesa?
Ek sehra se samandar ka guzarna kesa?

Aey! mere DiL na pareshan ho tanha ho kar,
Wo tere sath chala kab tha' Bicharna kesa?

Log kehte hain Gulshan ki tabahi dekho,
Main to viran sa jangal tha' Ujarna kesa?

Dekhne mein to koi dard nahi' Dukh bhi nahi,
Phir ye Ankhon mein Yun Ashkon ka Ubharna kesa?

Bewafa Kehne ki Jurrat bhi na karna usko,
Us ne iqrar kiya kab tha' mukarna kaisa?

Dewana banaana hai to dewana bana day


Dewana banaana hai to dewana bana day
Warna kahin taqdeer tamasha na bana day

Aye dekhnay waalon mujhy hans k na dekho
Tum ko bhi mohabbat kahin mujh sa na bana day

Main dhond raha hun meri wo shama kahan hai
Jo bazm ki her cheez ko parwana bana day

Aakhir koi soorat bhi to ho Khana_e_dil ki
Kaaba nahe banta hai to but_Khaana bana day

Behzad her ek jaam pe ek sajda_e_masti
Her zar'ray ko sang_e_dar_e_jaana'n na bana day

Kabhi Teri Rafaqat Se Nikalna Hee Nahi Mumkin



Kabhi Teri Rafaqat Se Nikalna Hee Nahi Mumkin
Kabhi Damman Churra Lena Bohat Aasan Lagta Hai

Kabhi Tum roth'tay Ho To Ajjab Mushkil Si Parti Hai
Kabhi Tum Ko Manna Lena Bohat Aasan Lagta Hai

Kabhi Samjha Karo Kuch faislay Haalat Kartay Hein
Kabhi Waaday Nibha Lena Bohat Aasan Lagta Hai

Kabhi Kuch Din Tumharay Bin Guzartay Hee Nahi Lekin
Kabhi Muddat Bitta Lena Bohat Aasan Lagta Hai

Gham-e-firaaq se pehlay,shab-e-visaal ke baad


Gham-e-firaaq se pehlay,shab-e-visaal ke baad,
Hai aur kya jisse dekhein tere jamal ke baad....

Tamaam umer kati intezar mein apni........
Koi bhi dukh na mila phir, tere malal ke baad....

Jawab mil gaya mujh ko teri khamoshi ka...,
Tumharey lafz jo khoye ,mere sawal ke baad...

Tumaray meray ta'aluq pe yun khizan chahi ,
Koi urooj nahi hai jaisey ,iss zawal ke baad....

Main teri yaad ke chehray ko dhaanp doon lekin,
Bachay ga kya meri jholi mein,iss kamal ke baad...

woh ab ki bar mila iss qader takaluf say...,
K kuch na poch saka uss se,us ke haal ke baad

zakhm jo dil pe laga hai ke dikhai na bane


zakhm jo dil pe laga hai ke dikhai na bane
Aur Chahe ke chupale to chupai na bane.

Hai bechargiye-ishq ki us mehfil main
Sir jhukai na bane aankh uthai na bane.

Ye samajh lo k ghum-e- ishq ki taqmeel hui
Hosh main aake bhi jeb hosh main aaye na bane.

Kis kader husna bhi majboore-kashakesh hai, k aah
Muh chupai na bane saamne aaye na bane.

Hai wo aalame-purshok k jis waqt Jiger
Uski tasveer bhi seena se lagai na bane.

Bewafa koi sitamger bhi to ho sakta hay



Bewafa koi sitamger bhi to ho sakta hay
Mera qatil mera rehber bhi to ho sakta hay

Ek mudat say tujay wird main rekha jis ney
Wo mohbat main qalandar bhi to ho sakta hay


Teray kochay main jo aya ha ghulamon ke terha
Apni basti ka sikandar bhi to ho sakta hay


Silslawar agr ashak giraey jaen
Yeh jo sehra hay samandar bhi to ho sakta hay


Kab talak tray khyalon k saharay jieye jaen Mohsin
Dil tri yad say munkar b to ho sakta hay

Humain koi gum nahin tha gumain aashiqi se pehle


Humain koi gum nahin tha gumain aashiqi se pehle
Na thi dusmani kisi se teri dosti se pahle

Ye thi meri badnasibi teera kya kasoor isme,
tere gum ne maar dala mujhe zindgi se pahle.

Main kabhi na muskarata jo mujhe ye Ilm hota,
Ki hazaar gum milenge mujhe ek hansi ke badle.

Ye Ajeeb Imtahan hai ki tujhi ko bhool na hai,
Mile kab is tarah hum, tujhe dekhne se pahle.

Humain koi gum nahin tha gume Aashiqui se pahle.

Kabhi aankhon mai kabhi dil mai basanay wala



Kabhi aankhon mai kabhi dil mai basanay wala,
Kya yeh andaz bhi hai mujhko bhulanay wala,

Is tawaqqo per dil ko khula rakha hai,
Laut aye ga kabhi rooth ker janay wala,

Ab to woh pehle se din hain na raatain meri,
Ab kahan koi mere naaz uthanay wala,

Yeh woh misra hai jo her daur mai sach hai yaaron,
Dost hota nahi her koi haath milanay wala.

Kahan ho tum chalay Aao mohabbat ka taqaza hai


Kahan ho tum chalay Aao mohabbat ka taqaza hai

Gham-e-duniya say ghabra kar tumhain dil nay pukara hai

Kahan ho tum

Tumhari bay rukhi ik din hamari jaan lay lay gee

Qasam tum ko zara socho, keh dastoor-e-wafa kya hai

Kahan ho tum

Na hai faryaad hoantoan per na Aankhoan mein koye Aansu

Zamanay say mila jo gham usay geetoan mein dhala hai

Kahan ho tum chalay Aao mohabbat ka taqaza hai

Gham-e-duniya say ghabra kar tumhain dil nay pukara hai

Kahan ho tum

Ek Vehem Tha Dil Mein Shayad Kabhi Milo Tum



Ek Vehem Tha Dil Mein Shayad Kabhi Milo Tum
Kuch Deer Rukh Ke Pochoo Betay Dinoo Ka Mosam

Awaz Mein Ho Larzish Aankhoon Mein Ek Tajassus
Mazi Ka Koi Lamha Shayad Aatak Gaya Ho

Sab Bhool Ker Bhi Shayad Kuch Yaad Aagaya Ho
Phir Mein Tumhain Bataoon Apni Khushi Ki Bateen

Har Dukh Chupa Ke Dil Mein Aasudgi Ki Bateen
Wo Chand Choudwiin Ka Taroon Bhari Wo Rateen

Pyaar Ka Tassauwur Aur Bandagi Ki Bateen
Woh Roz Roz Marna Aur Zindagi Ki Bateen

Tum Dukh Se Muskuraoo Aur Dheray Se Paas Aao
Sir Ko Jhuka Ke Apne Chup Chap Lout Jaoo

Phir Mein Bhi Muskuraoo Aur Dil Ke Diyee Bhujaon
Lehraoon Apnay Je Main Ek Talk Si Haqeqat

Ek Khuwab Zindagi Ka Haan Omer Bhar Jo Dekha
Kabhi Hosaka Na Pora Yun Hi Reh Gaya Aadhora

Tum Tu Bus Ek Hi Dukh Pochte Ho


Tum Tu Bus Ek Hi Dukh Pochte Ho

KaUn se dukh ki kareen baat zara yah to bata

Mosmoon , serd hawaoon ki masihai ka dukh

Rah ki dhuul main bikhri hui benaai ka dukh

Sang k shaher main khud se shanasai ka dukh

Ya bhagi bersaat main tanhai ka dukh

Koan se dukh ki kareen baat kah dil ka derya

Itni tughyaani ki zaad per hai kah kuch yaad nahin

Kab hamain bhuul gia koan se herjai ka dukh

Tum to bas aik hi dukh puchty hoo

Us ka tu her andaaz nirala sa lagay hai


Us ka tu her andaaz nirala sa lagay hai
Qatil hai mera aur masiha sa lagay hai

Wo jis se koi khas taaruf bhi nahi hai
jub bhi nazer aajaye hai apna sa lagay hai

hum us ke bina jaise mukammal hee nahi ?
jo kaam bhi kertay hain adhura sa lagay hai

mein us ki her aik baat ko kis terha na manoo
wo jhoot bhi bolay hai tow sachcha sa lagay hai

aik umr hui tootay huay dil ko hamare
ye zakhm mager aaj bhi kal ka sa lagay hai

itni si khata per keh tera naam liya tha
her shaks mere khoon ka piyasa sa lagay hai

chalo ub faisla karlo ke apni jo muhabbat thi



chalo ub faisla karlo
ke apni jo muhabbat thi
nasha tha woh jawani ka
khumar utra to jana
muhabbat yoon nahi hoti
jo main ne khawab daikhe the
ub un ki kirchiyaan hain
aur zakhmi paoon hain maire
tumhara humqadam rehna
mujhe mumkin nahi lagta
tumhare aur maire darmiaan
dewar hai shayad jo
hurgiz gir nahi sakti
tumhain woh loog pyare hain
jo mujh ko zehar lagte hain
mujhe tum ub bhi pyare ho
magar ub morr aisa hai
jahan itnay mukhalif hain
tumhain yeh to pata hoga
mukhalif simt chalnay se
kabhi manzil nahi milti
to phir kion waqt khote ho
chalo ub faisla karlo.

IDHER DEKHO YEH KHAMOSHI ZARA ACHI NAHI LAGTI


IDHER DEKHO YEH KHAMOSHI
ZARA ACHI NAHI LAGTI
KAHO!!!
KUCH TU KAHO JANA'N
RUTEIN KAISAY BADALTIEN HAIN
BAHAREIN GUM HOI KAISAY
KHIZAAN KA RAAJ KAISA HAI ??????
CHALO IK LAFZ GHALAT FEHMI
YA IK RISHTEY KI SACHAAIEE
MUHABBAT, DOSTI NAFRAT
KISI MAUZO KO CHAREIN HAM
KOI TU RAEY DO APNI
KOI TU SILSILA NIKLAY
MERAY IN SOOKHEY BALOO'N PER
MERI BANJAR SI AANKHOON PER
MERAY IN MAILAY DANTOO'N PER
CHALO TANQEED KAR DALO
SITAREY AISI PALKOO'N PER
NAHI JANA NAHI ACHAY
TUMHARI TU YE! AADAT THI
MERI HAR BAAT PAR HANSNA
ZAMEEIN PER APNI UNGLI SAY
AREY KYA LIKH RAHEY HO TUM
SUNO TUM SAY MUKHATIB HOON
MUJHEY DEKHO MAIN KAISAY HOON
AGARCHEY MAR GYA HOON MAIN
TUMHARA HUKM MANA HAI
TU PHIR KIS BAAT KA RONA
TUMHEY TU MUSKURANA HAI
INHI IK DO DINOO'N MAIN TU
MUJHEY BAS BHOOL JANA HAI..!!

Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa


Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa
Daikh To Gori Kaisay Pukaray
Basti Basti Dawaray Dawaray
Bar Main Jholi Hath Main Kaasa
Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa

Dil Main Aag Dabi Hay, Darna
Ankhon Main Ashkon Ka Jharna
Lab Par Dard Ka Bara Maasaa
Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa

Kanton Say Chalni Hain Paaon
Dhoop Mili Chahray Par Chaaon
As Mili Ankhon Main Nirasa
Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa


Bat Hamari Man K Gori
Sab Duniya Say Chori Chori
Ghon'Ghat Ka Pat Khol Zara Sa
Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa


Surat Hay Insha Je Ki Se
Baal Paraishan Ankhien Neechay
Naam Bhi Kuch Insha Je Sa
Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa

Soch Nahi Saajan Ko Bula Lay
Agay Barh, Seenay Say Laga Lay
Tujh Bin Day Isay Kun Dilasa
Ghoom Raha Hay Peet Ka Piyasa

Humari simat na dekho kay koi Dair Mein


Humari simat na dekho
kay koi Dair Mein
Hum Kabila-e-Dil-O-Jaan se guzarnay walaay hain
Bay basaye huay shehar apni Ankhon kay
Misal-e-Khana-e-Veraan Ujaarnay walay hain
Hawa ka shoor yehi hai
tau Dekhtay Rehna
Humari Umaar Kay Khaemay Ukharanay Walay Hain.......

Dil k verane main Ek shama hay ab tak roshan



Dil k verane main
Ek shama hay ab tak roshan
Koi parwana magar ab na idhar aye ga
Zindagi beet gayi piyar main jalte jalte
Koi umeed bar ayi na koi baat bani
Jagmagaya na setara koi armanoon ka
Ham ne dil ko bhi jalaya to seya raat bani
Diljaloon par koi mahshar sa guzar jaee ga
Jin ki dharkan main suni
Ham ne wafaoon ki sada
Akhar_e_kaar wohi ban gaye
Pathar k sanam
Na saji hathoon pe mahndi
Na baji shyhnai
Ab to karta huwa apni hi wafa ka matam
Piyar maksal ki taraf khaak basar jaee ga
Kitne gate huwe armanoon ki barsaat k baad
Aas ki jheel main lahraee the kuch neel kanwal
Kiya khabar thi k woh mahfel hi ujar jaee gi
Jis main gai thi kabhi ham ne mohabbat ki ghazal
Apna har nagma flahoon main bikhar jaye ga
Kitna behes huwa karte naheen ahlewafa
Jane kiya soch k toheen_e_wafa ki tu ne
Koi jhonka bhi jise chou na saka tere bagair
Apne hathoon se wohi shama bujha de tu ne
Kiya khabar thi tera ahsaas bhi mar jaye ga
Ban k parwana kabhi tu na idhar aye ga

Humara kia hai Hum to chiraag-e-shab ki tarha


Humara kia hai,
Hum to chiraag-e-shab ki tarha....
Agar Jalay bhi to buss itni roshni ho gi....
Kay jaisay Tuund andheron mein koi Jugno Zara se dair ko....
chamakay,Chamaak kay kho jaye....
Phir uss k baad na kuch dekhaii de....
Na shab katay na chirga-e-sahar dekhaii de....
Humara kia hai hum to puss ..
Ghubar-e-Safar....
Agar chalay bhi to buss itni raah teh ho gi.....
Kay jaisay tund hawaoon ki zud mei Naqsh-e-Qadam....
Zara se dair ko ubhray ubhar k mit jayen....
Phir uss k baad na manzil na rah guzar milay....
Hadh-e-Nigah talaak Dasht-e-Be-Keenar milay

jisse pather bhi pighal jaye bilkul mom ki tarah



jisse pather bhi pighal jaye bilkul mom ki tarah,
kisi ko muhabbat main asi purkashish hasil hi nahi

sabke dilon main rang-e-armaan hain bharne k liye zindagi,
dayre main khade hue hum aaj bhi in rango main bheege hi nahi

ro kar duaen manbte hue ab to khushk ho gayi neegahe bhi,
per khuda hai ya pather dil ab bhi pighalta hi nahi

har pal waqt-e-bereham se mili johaar wo to mita di maine,
per fir bhi majhdhaar se nikalne ki koshish mujhmain dafan hoti hi nahi

kya sachmuch maan lun use bereham ya hai ye kudrat ka usul,
kubul ker le mere dil tere sawalon k javab is jahan-e-fani main hain hi nahi

us halat main aa gayi hoon jab mout aa jati hai,
fir bhi jine ki KEFIYAT zehan(dimagh) se juda hoti hi nahi

shayd in akhri lamhon main koi gham or lakleef na mile,
lekin wo pal kahan se lau jinmain ashqon ka shumar hi nahi

agar mile khuda to wapis magungi usse apni khushiyan,
per suna hai wo bhi hai bereham marne se pehle milta hi nahi.

jab hijar ki aag jalatay hain kuch log bohat yaad aatay hain


jab hijar ki aag jalatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

ankhon mai raakh sajatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

mausam k rang badaltay hain
lahraa kar jhonkay aatay hain

shaakhon say boor uratay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

yaadon ki garam havaon say
ankhon ki kaliyan jalty hain

jab aanso dard batatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

baydard havain sah sah kar
suraj k dhaltay saaon main

jab panchi laut k aatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

jab log jahan k qison main
dam bhar ka mauqa miltay hain

lafzon k teer chalatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

yah ishq mohabat kuch b nahi
fursat ki kaar satani hay

jab log mujhay samjhatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

jab kaalay badal ghir aay
aur barish zor ki hoty ho

darwazay shor machatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

jab aangan mai khamoshi
apnay hont pay ungli rakhty ho

sanaatay jab dar aatay hain
kuch log bohat yaad aatay hain

jab sard hava ka bistar ho
aur yaad say us ki liptay hon

tab naghma sa lahraatay hain
kuch log bohat yaad aatay hai

Qurb K Na Wafa K Hote Hain


Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain

Bicharrne wale Tujhe khabar hai?



Bicharrne wale...!

Tujhe khabar hai?

K tere jaane se mera jeevan,

Hazaar khanoun main batt gaya hai,

Tujhe khabar hai bicharrne wale...!

K meri khushian he kho gai hain,

Main kitna tanha sa ho gaya hoon,

Wajood mera tou is safar main ,

Ye dekh zakhmoun se att gaya hai,

Main sochta hoon...

Magar yeh sochen,

Kyon aik nuqte pe jamm gai hain,

Mujhe yeh mahsoos ho raha hai,

K Jese saansen he thamm gai hain...

Mujhe bata de bichrrne wale...!

K khud ko kese sambhalna hai,

Hijar k rastouN pe chalte chalte,

Ye mere paaon lahoo main tarr hain,

Yaqeen ker le main thakk gaya hoon...

Bicharrne wale...! Tujhe Khabar hai?

Main kub ka khud se bicharr chuka hoon...!!!

Park Ki Puraani Seaton Par Baitay Baitay Do Saaye Thay


Park Ki Puraani Seaton Par
Baitay Baitay Do Saaye Thay
Un Saayon Ke To Dil Bhi Thay
Wo Saaye To Hum Tum Hee Thay

Kiya Bhool Gaye Un Baaton Ko
Jo Bait Ke Hum Kiya Karthay Thay

Wo Teri Hansi Ki Aawazein
Wo Mere Zakhmo Par Jaise Marham
Wo Tere Waaday Aur Dillasay Bhi
Mein Jin Pe Umeed Ki Dorain Bandtta Tha

Wo Tera Mil Ke Bicharna Phir
Mujhe Yaad Hai Wo Haqeeqat Bhi
Aur Phir Tera Na Mujh Se Kabhi Milna
Mera Un Seaton Par Bait Kar Akelay Rona

Phir Yaadon Ki Ghatlee Nikal Kar
Un Mein Kuch Achi Yaadein Chunna
Kuch Pagalpan Ki Baatein Thee
Kuch Chahat Ke Sapnay Bunna

Aur Phir Khatam Hoye Saaray Qissay
Jab Kaghaz Par Tehreer Banay
Mein Bhoola Nahi Hoon Saari Baatein
Magar Kiya Karon inhain Yaad Kar Ke

ik pagli mera naam jo le sharmaye bhi ghabraye bhi



ik pagli mera naam jo le sharmaye bhi ghabraye bhi
galion galion mujh se milne aye bhi ghabraye bhi

raat gaye ghar jane wali gum sum ladki rahon mein
apni uljhi zulfon ko suljhaye bhi ghabraye bhi

kon bichad kar phir lotey ga kiun awara phirte ho
raton ko ik chand mujhey samjhaye bhi ghabraye bhi

ane wali rut ka kitna khof hai us ki ankhon mein
jane wala door se hath hilaye bhi ghabraye bhi

kiya jane woh kon hai mohsin jis ki khatir raton ko
tez hawa pani par naqsh banae bhi ghabraye bhi

kon Is Raaz Ki Sadiyon Puranii Kaifiyet Sey Aashna hai


kOn Is Raaz Kii SadiyOn Puranii Kaifiyet Sey AaShna hAi
Yeh Meray CharOn Traf kyOun Eik SakOot e Be-Sada hAi
Main Kisey KhOn?
Meri Ujrii hOii AankhOn Key Khaalii RoznO Key Us Paar Kya hAi
Khala hAi Yeh Sitarey Phainktii Andhi Hawa hAi
Kis Pey KhUl Saka hAi
K Jisam Key Khaali KhandrOn Mein Kon Ab Tak Bas Rha hAi
tUm mUjhey Dekho
Main KhUd Sey Darta hOn Shab Ko
Jab Andhaira bOlta hAi
Dil Ka Sanata Puraanii DaaStaanOn Sey Attey BhaidOn Kii Girhien KhOlta hAi
LahOo Kii Aag Sey Lat-Pat KawaarOn Sey Ulajhtii hAin Meri Cheekhien
kOii Sunta Nahii hAi mUjh Ko
Bikhartey tOot-tey KhwaabOn Mein jAb TaQseem hOta hOn
kOii Chunta Nahi hAi mUjh Ko
tO Aisa hAi
tUm Apni Mehaktii Neend Sey Khailo
Na Dukh Jhailo
Merii tAnhAii Key Israar Mat POocho
Khien Aisa Na Ho K
tUm Bhi Apney Ko Ganwa Baitho
mUjhey SadiyOun Puraanii Andhii Hawa Key Saath Pur-Asraar Rehney dO
mUjhey ..... Rehney dO

US KO BHI BACHANA HAI, KHUD KO BHI BACHANA HAI


US KO BHI BACHANA HAI, KHUD KO BHI BACHANA HAI
IK SIMT HAI ZAAT APNI, IK SIMT ZAMANA HAI

HUM SE NA KOI ULJHAY HUM LOG HAIN DEEWANEY
AANDHI SE HAMAIN ZID HAI IK DEEP JALANA HAI

HUM DONON KO BANTA HAI DARYA KAY KINARON NEY
IS SIMT BHI REHNA HAI, US SIMT BHI JANA HAI

YEH ISHQ TOH FITRAT HAI KAISEY HO JUDA MUJH SEY
YEH ROG HAI MATTI KA AUR SADDION PURANA HAI

KEHNAY KO BUHAT KUCH HAY SAAD MAGAR HAM NE
IK WADA NIBHANA HAI IK DARD CHUPANA HAI

zindagi ke naey hawalooN se



zindagi ke naey hawalooN se
hum ne seekha na kuch misalooN se

khaak kyoN chaaNte haiN balooN se !
poochte kya ho khasta haalooN se

khatm kab hoga zindagi ka safar!
khoon risne laga hai chaalooN se

cheen kar ley gaya mujhe khud se
kis qadar dil.nasheen chaalooN se

kaheiN mit.tee hai dil ki tareeki!
maaNge taaNge ke in ujaalooN se

kab nikal paaya khud se koi kabhi
khud.sari ke bichaaey jaalooN se

ghaaou gehray diye haiN nazrooN ne
aise chubhtay howay sawalooN se

jis ko apna kaheiN hum bhi
din voh nikla nahi hai saalooN se

Suno Jaana! Judai Mout Hoti Hay


Suno Jaana!
Judai Mout Hoti Hay
kabhi fursat milay tto daikhna
paton ka girna tum
kay jab yeh shajar say kat ker
zameen per aan girtay hain
tto kesay ronday jatay hain
kabhi qatar say bichri huvi
kunjon kay nohon per nigah kerna
kay kesay aik doojay ki judai per
tarap kar bain kerti hain
kabhi rukhsat kay lamhon main
kisi ki aankh say larakhtay huvay
aansoo ko daikho gay
tto shayed jaan jao gay
Judai Mout Hoti Hay
abhi tum nay muhabbat kay
barastay' bheegtay mosam nahin daikhay
abhi tum titliyon kay rang muthi main chupatay ho
abhi tum muskuratay ho
Suno Jaana!
kabhi jo zindagi nay
ajnabi' viraan raahon per
tumhari yeh hansi cheeni
tto phir aansoo bahao gay
tum itna jaan jao gay
Judai Mout Hoti Hay

Na fiker-e-ferda na yaad-e-mazi


Na fiker-e-ferda na yaad-e-mazi
Na Chain dil Ko na be-qarari
Na wasal Ki lerzishain nazer main
Na be-basi hijer K samay Ki
Na had se Guzera hua Junoon woh
Na be-Kali woh pahlie jaise
Bass aaK uddasi Se dheemi dheemi
Bass aaK Khamoshi Se be-keran Se
Bass aaK be-naam Se jalan hay
Bass aaK be-derd se thakan hay
Jo zindgi K udhoray pan Ko
Hadon Se agay berha rahe hay

Duniya waloo tumari duniya main



Duniya waloo tumari duniya main
Yun guzari hay zindagi hum ne

Har qadam par freeb khaya hay
Lute dekhi hay har khushi hum ne

Phool koi na aarzo ka khela
Jab khushi ka kaheen pata na mila

Apni tanhaiyon se gahbra kar
Gham se kar li hay dosti hum ne

Jooth ko sach main dhaal lete hain
Loog matlab nikaal lete hain

Aisa lagta hay jasey duniya main
Jena sekha naheen abhi hum ne!!!

Popular Posts