haseen lagta tha hum ne jin dino mein usko dekha tha
basanti mosamon , bheegi ruton mein usko dekha tha
usi k akas ne ankhain khumaar e khuvaab se bhar dain
chamaktey chand jesey aaiino mein usko dekha tha
jisey ab rait k kachey gharondon se mohabbat hai
sumander k sunehrey paniyun mein usko dekha tha
jo tanhayee ki chadar orh kar sota hai rasston mein
kabi is shehar ki sab mehfilon mein usko dekha tha
bagolon ko pehan kar ab jo sehra mein bhatakta hai
gulab o yasman k junglon mein usko dekha tha
jo apney qarya e dil ki udasi se behalta hai
ghataon mein ghirri gum bastiyun mein usko dekha tha
zaroorat hai jisey ab dhoop ka ujla kafan Mohsin
badan par baraf orhey parbaton mein usko dekha tha
No comments:
Post a Comment