Saturday, May 22, 2010

Aaj Ashkon Ka Taar Toot Gaya

Aaj Ashkon Ka Taar Toot Gaya, 
Rishta-E-Intezaar Toot Gaya, 

Yun To Thukra Ke Chal Diye Goya,
Ek Khilona Tha Pyaar Toot Gaya, 

Roye Reh Reh Kar Hichkiyaan Lekar, 
Saaz-E-GaM Baar Baar Toot Gaya, 

Aap Ki Berukhi Ka Shikwa Kya, 
Dil Tha Na-Paidaar Toot Gaya, 

Dekh Li Dil Ne Besabati-E-Gul,
Phir TilisM-E-Bahar Toot Gaya, 

Kya Chaar Dinki Ranjish Se, 
Itni Muddat Ka Pyaar Toot Gaya...

Maroon To Main Kisi Chehre Mein Rang Bhar Jaun

Maroon To Main Kisi Chehre Mein Rang Bhar Jaun,
NadeeM Kaash Yehi Ek KaaM Kar Jaun,

Ye Dasht-E-Tark-E-Mohabbat Ye Tere Qurb Ki Pyaas, 
Jo Izaan Ho To Teri Yaad Se Guzar Jaun,

Mera Wajood Meri Rooh Ko Pukarta Hai, 
Teri Taraf Chlaun To Theher Theher Jaun,

Tere JaMal Ka Saya Hai Sab Haseeno Par, 
Kahan Kahan Tujhe Dhundoon Kidhar Kidhar Jaun,

Main Zinda Tha Ke Tera Intezar KhataM Na Ho, 
Jo Tu Mila Hai To Ab Sochta Hoon Mar Jaun,

Ye Sochta Hoon Ke Main But-Parast Kyon Na Hua, 
Tujhe Kareeb Jo Paun To Khud Se Dar Jaun,

Kisi ChaMan Mein Bas Is Khauf Se Guzar Na Hua, 
Kisi Kali Pe Na Bhoole Se Paanv Dhar Jaun,

Ye Jee Mein Ati Hai Takhleeq-E-Fun Ke LaMhon Mein,
Ke Khoon Bunke Rang-E-Sung Mein Utar Jaun...

Awara Hai Galiyon Mein Main Aur Meri Tanhayi

Awara Hai Galiyon Mein Main Aur Meri Tanhayi, 
Jayein To Kahan Jayein Har Mod Pe Ruswayi,
Main Aur Meri Tanhayi, 

Ye Phool Se Chehre Hai Haste Hue Guldaste, 
Koi Bhi Nahi Apna Begane Hai Sab Raaste, 
Main Aur Meri Tanhayi, 

ArMaan Sulagte Hai Seene Mein Chita Jaise, 
Qatil Nazar Aati Hai Duniya Ki Hawe Jaise, 
Roti Hai Mere Dil Par Bajti Hui Shehnayi, 
Main Aur Meri Tanhayi, 

Har Rang Mein Ye Duniay Sau Rang Badalti Hai, 
Ro Kar Kabhi Hansti Hai Hans Kar Kabhi Gaati Hai, 
Ye Pyar Ki Baahein Hai Ya Maut Ki Angdayi, 
Main Aur Meri Tanhayi, 

Aakash Ke Maathe Par Taaron Ka Charaghaan Hai, 
Pehloo Mein Mere Magar Mere ZakhMon Ka Gulistaan Hai, 
Aankhonse Lahoo Tapakta DaMan Mein Bahar Aayi, 
Main Aur Meri Tanhayi...

Utri Ajeeb Roshniyaan Raat Khwaab Mein

Utri Ajeeb Roshniyaan Raat Khwaab Mein,
Kay Kya Na Aks Tair Rahe The Sharab Mein,

Kab Se Hai Ek Harf Pe Nazrein JaMi Hui, 
Wo Padh Raha Hon Jo Nahi Likha Kitaab Mein,

Phir Tareeki Ki Khwaab Se Chaunka Hai Rasta, 
Phir Roshni Se Door Gayi Hai Shabab Mein,

Paani Nahi Ke Apne Hi Chehre Ko Dekh ****, 
Manzar ZaMeen Ke Dhundta Hoon Mehtaab Mein,

Kab Tak Rahega Rooh Pe Pairhaan-E-Badan,
Kab Tak Hawa Aeer Rahegi Hubaab Mein,

Jeene Ke Sath Maut Ka Dar Hai Laga Hua, 
Khooshki Dikhayi Di Hai SaMundar Ko Khwab Mein,

Ek Yaad Hai Ke Chheen Rahi Hai Labon Se JaaM, 
Ek Aks Hai Ke Kaanp Raha Hai Sharab Mein...

Meri Zuban Se Meri Dastan Suno To Sahi

Meri Zuban Se Meri Dastan Suno To Sahi, 
Yaqeen Karo Na Karo Meherbaan Suno To Sahi, 

Chalo Ye Maan Liya MujriM-E-Mohabbat Hai, 
HaMare JurM Ka HuMse Bayaan Suno To Sahi, 

Banoge Dost Mere TuM Bhi DushMano Ek Din,
Mere Hayat Ki Aah-O-Fugaan Suno To Sahi, 

Labon Ko See Ke Jo Baithe Hai BazM-E-Duniya Mein,
Kabhi To Unki BhikhaMoshiyan Suno To Sahi,

Kahoge Waqt Ko MujriM Bhari Baharon Mein,
Jala Tha Kaise Mera Aashiyana Suno To Sahi...

Meri Tanhaiyan TuM Hi Laga Lo Mujhko Seene Se

Meri Tanhaiyan TuM Hi Laga Lo Mujhko Seene Se, 
Ke Main Ghabra Gaya Hoon Is Tarah Ro Ro Ke Jeene Se, 

Ye Aadhi Raat Ko Phir Chudiyan Se Kya Khanakti Hai, 
Koi Aata Hai Ke Meri Zanjeerein Chhanakti Hai, 
Ye Baatein Kis Tarah Main Puchhun Sawan Ke Mahine Se, 
Ke Main Ghabra Gaya Hoon Is Tarah Ro Ro Ke Jeene Se, 

Bahut LaMbi Hai Raahein Pyaari Ki Aur Zindagi KaM Hai, 
Ghata Bhi Ghir Aayi Hai Diye Ki Lau Bhi MaddhaM Hai, 
Kinara Door Hota Jaa Raha Hai Phir Safeene Se, 
Ke Main Ghabra Gaya Hoon Is Tarah Ro Ro Ke Jeene Se, 

Mujhe Peene Do Apne Hi Lahoo Ka JaaM Peene Do, 
Na Seene Do Kisiko Bhi Mera DaMan Na Seene Do, 
Meri Wehshat Na Badh Jaye Kahin DaaMan Ke Seene Se, 
Ke Main Ghabra Gaya Hoon Is Tarah Ro Ro Ke Jeene Se...

Aaj Ki Raat Koi Chhat Par So Nahi Sakta


Aaj Ki Raat Koi Chhat Par So Nahi Sakta,
Chaand Nikla Hai Ab Aaram Nahi Ho Sakta,

Raat Bhar Chaand Ke Humrah Phire Meri Tarah,
Ab Koi Itna Bhi Pagal To Nahi Ho Sakta,

Ghere Rehte Hai Shab-O-Roz Ye Gam Khaar Mujhe,
Kaash Main Teri Tarah Chhup Ke Kahin Ro Sakta,

Jisne Phoolonki Tarah Zakham Diye Hai Mujhko,
Wo Meri Raah Mein Kaante To Nahi Bo Sakta,

Koi Aansu Meri Palkein To Bhigo Sakta Hai,
Dil Pe Jo Daagh Hai Inko To Nahi Dho Sakta...

Ek Bekasi Hai Hijr Ke Maron Ke Sath Sath

Ek Bekasi Hai Hijr Ke Maron Ke Sath Sath, 
Toota Hai Mera Dil Besaharon Ke Sath Sath, 

Jee Bhar Ke Dekh Bhi Na Paaye The Ke Chhup Gaye, 
ArMaan Bhi Hai Udaas Nazron Ke Sath Sath, 

Dil Mein Wafoor-E-Shauq Ka Toofan Liye Hue, 
KhaMosh Jagta Hoon Sitaron Ke Sath Sath, 

Itni To Mehviyat Ho Tasavuur Mein Tere Dost, 
Khud Ko Bhi Bhool Jaun Nazron Ke Sath Sath,

Ye Aag Ishq Ki Phri Bhi Na Bujh Sak, 
Hai Dil Mein Ashq-E-GaM Besehraon Ke Sath Sath...

Wo Ek LaMha Jo Meri Ek Bhool Tha



Wo Ek LaMha 
Jo Meri Ek Bhool Tha, 
Aur Wo Shakhs, 
Jo Mujhe Har Roop Mein Qabool Tha, 
Lekin Hakeekat Ye Na Thi, 
Na Ab Mujhe Wo Kabool Tha, 
Kyonke
Usne Jana Mujhko Dhool Tha, 
Wo Shakhs, 
Jo Meri Ek Bhool Tha...

Teri Socho Mai Teri Soch Ke Mehver Mai Kiya Hai


Teri Socho Mai Teri Soch Ke Mehver Mai Kiya Hai
Tu Mujh Se Sunn Teri Khudi Ki Tamanaa Kiya Hai

Mai Teri Rooh Mai Uttra Tha Kahan Kab Kaise
Tujhe Maloom Hai Sun-ney Ka Bahana Kiya Hai

Mai Terey Hijr Mai Sadiyan Guzaar Sakta Hon
Ye Chaar Din Ki Judayee Ka Nibhana Kiya Hai

Mai Teri Zaat Pe Khud Ko Bhi Waar Sakta Ho
ye Suraj Chand Sitaron Ka Lutana Kiya Hai

Apni Ulfat Ke Ek Lamhey Se Nawaz Mujhe
Us Ek Lamhey Mai Sadiyon Ka Guzar Jana Kiya Hai

Her Ek Jannam Mai Musalsal Mera Hasil
Tum Ho Terey Liye Faqat Ek Umr Lutana Kiya Hai

Meri Dua Mere Allah Tak Bhi Puhanchey Gi
Mujhe Zamii Ko Is Falaq Ko Hilana Kiya Hai

Meri Ankhon Ki Jheelon Mai Wo Izteraab Aaya
Ke Samander Ke Tufanon Ka Fasana Kiya Hai

Kahi Phir Se Na Ankhain Toot Barsain Sawan Si
Mujh Se Na Pooch Ke Ashkon Ka Fasana Kiya Hai

To Kisi Shajar Ke Ujjrey Hovey Pattey Se Pooch
Tujhe Ro Ro Ke Sunaye Ga Fasana Kiya Hai..........

Meri Aankh Ko Aansu Denewale


Meri Aankh Ko Aansu Denewale, 
Meri Saans Ko Hulchul Denewale, 

Ye To Bata Inhe Puchhun Kaise, 
Ye To Bata Inhe Rokun Kaise,

Jo Ye Chalti Hai To Lagta Hai Tu Aas Paas Hi Baitha Hai, 
Jo Ye Behte Hai To Lagta Hai Tera Anchal Mere Hathon Mein,

Tere Haath Ki Laqeerein Jo Mujhse Baaghi Dikhti Hai, 
Jee Karta Hai Rukh De Dun Sabko Apni Raahon Mein,

Chahat Ki Is Baazi Mein Kyon Hara Hara Rehta Hoon, 
Jee Karta Hai De Dun Khudko Teri Raahon Mein,

Raat Ke Kisi Sannate Mein Jo Aati Tu Meri Aankhon Mein,
Teri Aankh Se Main Dekhta Hoon Ye Duniya Achhi Lagti Hai, 

Phir Rona Achha Lagta Hai, 
Aur Hasna Achha Lagta Hai, 

Yaad Karta Jab Un LaMhon Ko Jab Tu Mujhse Nazdeeq Hoti Thi, 
Tere Badan Ki Wo Mehek Jo Mujh Mein Bas Jaya Karti Thi, 

Raat Ko Tanhayi Mein Us Mein Kho Jaya Karta Tha, 

Tujhko Zahir Karta Tha, 
Aur Khud Ko Baatein Karta Tha, 

Phir Tujhse Baatein Karta Tha, 
Aur Tujhko Chaha Karta Tha, 

Sard Hawa Ke Jhonke Se Aankh Khuli To Dekha Kya, 
Main Yunhi Tanha Leta Hoon Aur Chand Se Baatein Karta Hoon, 

Bahar Ka Ek Patta Hoon Jo Khizaan Mein Aakar Thehra Hoon, 
Main Ab Bhi Yunhi Tanha Hoon Jaise Tanha Rehta Hoon, 

Khol Ke Saare Darwaze Main Chokhat Par Yun Baitha Hoon, 
Ke ZaMane Ke Sataye TuM Jab Tanha Ho Jaoge, 

TuM Laut Kar Wapis Yahan Aaoge, 
To Main Istaqbaal Par Baitha Hoon,

TuM Kab Wapas Aaoge, 
TuM Kab Wapas Aaoge...

PayaaM Aaye Hai Us Yaar-E-Bewafa Ka Mujhe

PayaaM Aaye Hai Us Yaar-E-Bewafa Ka Mujhe, 
Jise Qarar Na Aya Kahin Bhool Ke Mujhe, 

Nashe Se Kahoon To Nahi Yaad-E-Yaar Ka AalaM, 
Ke Le Uda Hai Koi Dosh Par Hawa Ke Mujhe, 

Judaiyan Ho To Aisi Ke UMr Bhar Na Mile, 
Fareb To Do Zara Silsile Bada Ke Mujhe, 

Main Khudko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Wale, 
Udaas Chhod Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe...

Thaki Thaki Si Aas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai

Thaki Thaki Si Aas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai, 
Koi To Dard Raas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai, 

Ye To Hai Ya Lapata Hua Ko Khayal Hai, 
Koi To Aas Paas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai, 

Nidhal Yun Hue Ke Sab Zarooratein Hai Mar Gayi, 
Na Bhook Hai Na Pyaas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai, 

Na Jane Kis Khayal Se Bujha Bujha Hai Aajkal, 
Yehi Jo Tera Udaas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai, 

Har Ek Ek Se Yahi Pakar Ke Puchhte Rahe,
Kahan Wo GaM-E-Hehnaashay, Ye Dil Bahut Udaas Hai, 

Ajab Tarah Ke Wasoon Mein Ghir Gayi Hai Zindagi, 
UMMid Hai Na Aas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai, 

Na Jao JisM Par Saje Hue Haseen Libaas Par, 
Badan To Khush Libaas Hai, Ye Dil Bahut Udaas Hai...

Kuch Sawal Aise Hai Jo Jawab Chahte Hain

Kuch Sawal Aise Hai Jo Jawab Chahte Hain, 
Zindagi Ki Saanso Ka Har Hisaab Chahte Hai, 

Kar Sake Na HuM Sajde Jo KhukaM Hue HuMpe, 
Aur Ab Duwaon Ka Har Sawab Chahte Hain, 

Zindagi Ke Verkon Mein Har Taraf Hi Tanha Hai, 
Lut Gaye Zara Zara Tere Sheher Mein Bas Kar, 

Ab Ye Apne Hisse Hi Ek Kitaab Chahte Hain, 
Ab Sheher Walon HuM Ehtasaab Chahte Hain, 

TuMne ShaaMi Usko Bas Hasraton Mein Dekha Tha, 
Puchh Hi Liya Hota Kya Janaab Chahte Hain... 

Aansuon Ko Ankhonki Dehleez Pe Aaya Na Karo

Aansuon Ko Ankhonki Dehleez Pe Aaya Na Karo, 
Ghar Ke Haalat ZaMane Ko Bataya Na Karo, 

Log Mutthi Mein NaMak Leke Phirte Hai, 
ZakhM TuM Apne Kisiko Bhi Dikhaya Na Karo, 

Saanp Khushbuon Ke Ihaate Mein Rehte Hai, 
Phool Ke Pairon Ko Aangan Mein Lagaya Na Karo, 

Haath Aaye Usi LaMhe Ko GaniMat Jaano, 
Apni Palkon Pe Koi Khwaab Sajaya Na Karo, 

Yaas Ki Tapti Huidhoop Mein Jalne Do Mujhe, 
Aas Ke Badalo Sar Pe Mere Aaya Na Karo, 

Aaj Ke Daur Ka PaigaM Yehi Hai Talib, 
Koi Gir Jaaye To Bhule Se Uthaya Na Karo...

Har Waqt Mere Dilse Ye Dua Nikalti Hai

Har Waqt Mere Dilse Ye Dua Nikalti Hai, 
Har Chahat Ho Puri Teri, Tere Chahne Se Pehle,
Har Khwab Ho Pura Tera, Teri Aankhein Khulne Se Pehle, 
Darz Ho Jaaye KaaMyabiya NaaM Tere, Tere QadaM Badhane Se Pehle, 

Hogi Kabool Dua Meri, 
Hai Mujhe Puri UMMid, 

Aye Uparwale! 
De Khushiyan Use Uski KaaMyabiyon Ke Roop Mein,
De Khushiyan Mujhe Uski Maayusiyon Ke Roop Mein...

Ada Hai IsMein Koi Shak Nahi

Ada Hai IsMein Koi Shak Nahi, 
Fida Koi Aur Hai Unhe MaluM Nahi, 

GuMshuda Hoon, Kisi Ko Kuch Khabar Nahi, 
Irada Kya Hai, TuMhe Andaaza Nahi, 

Laalchi Nahi Hoon, Par Zyada Bhi Mangta Nahi, 
Bas Ek Muskaan Ki Talash Mein Jee Raha Hoon Yahi, 

Doobta Hoon, Pani Ab Sar Se Upar Chala Gaya Hai, 
Izhaar Nahi Karun Tab Tak Aashiyana Dhundta Hoon Kahin...

Yaad Bhi Khwaab hui, Yaad Wo Aate Kyon Hai

Yaad Bhi Khwaab hui, Yaad Wo Aate Kyon Hai, 
Roz-O-Shab Ek Naya Afsana Sunate Kyon Hai, 

Roz Mar Mar Ke Bhala Jiye Jaate Kyon Hai, 
Zindagi HuM Tere Ehsaas Uthate Kyon Hai, 

Sab Ko MaluM Hai Duniya Ki Haqeeqat Phir Bhi, 
Qissa-E-Dard ZaMane Ko Sunate Kyon Hai, 

Kaun SaMjhaye Ye SaMjhane Ki Baatein Kab Hai, 
Kisliye Khwaab Hue, Hosh Se Jaate Kyon Hai, 

Ranj-O-AalaM Ka, Ruswayi-O-NaakaMi Ka, 
Log Har Baat Ka Afsana Banate Kyon Hai, 

Aah Duniya Ki Ye Unghast NuMayi, Tauba!
Puchhiye HuMse Yun Jaan Se Jaate Kyon Hai, 

Bandagi Se HaMein Kab Aapki Inkaar Raha, 
Baat Be Baat Phir Ehsaan Jatate Kyon Hai, 

Ishq To Thik Hai Lekin Ye Khayanat faysal, 
Jaan Jab Apni Nahi, Jaan Lutate Kyon Hai...

Roye Hai Bahut Tab Zara Karaar Mila Hai

Roye Hai Bahut Tab Zara Karaar Mila Hai, 
Is Jahan Mein Kisko Bhala Sacha Pyar Mila Hai, 

Guzar Rahi Hai Zindagi IMtehaan Ke Daur Se, 
Ek KhataM Hua To Dusra Taiyar Mila Hai, 

Mere DaMan Ko Khushiyon Ka Nahi Malal, 
GaM Ka Khazana Jo Isko BeshuMar Mila Hai, 

Wo KaM Naseeb Hai Jinhe Mehboob Mil Gaya, 
Main Khushnaseeb Hoon Mujhe Intezar Mila Hai, 

GaM Nahi Mujhe Ke DushaM Hua Ye ZaMana,
Jab Dost Haathon Mein Liye Talvar Mila Hai, 

Sab Kuch Khuda Ne TuMko Bhala Kaise De Diya, 
Mujhe To Uske Dar Se Inkaar Hi Mila Hai...

Phool Khud Hi Bikhar Gaya Hoga

Phool Khud Hi Bikhar Gaya Hoga, 
Muskurane Se Dar Gaya Hoga, 

Ek Parwana Apni ShaMa Ko 
Zindagi Deke Mar Gaya Hoga, 

Jab Suna Hoga Ke Main Zinda Hoon,
Unka Chehra Utar Gaya Hoga, 

Ishq Ki Manzilein To Aasan Thi, 
Husn Dushwar Kar Gaya Hoga, 

Ashq Aankhon Mein Phir Uhar Aaye, 
GaM Se PaiMana Bhar Gaya Hoga, 

Aaj Kyon Hai Udaasiyan Tanha, 
Dard Dil Mein Theher Gaya Hoga...

Magroor The Apni Zaat Par HuM

Magroor The Apni Zaat Par HuM, 
Rone Lage Baat Baat Par HuM, 

Aye Dil Teri Maut Ka Bhi GaM Hai, 
Khush Bhi Hai Teri Nijaat Par HuM, 

Lut Jayenge Zabt GaM Ke Haathon, 
Mar Jayenge Apni Baat Par HuM, 

Ye Bhi Tere GaM Ka Aasra Hai, 
Hanste Hai GaM Hayaat Par HuM, 

Kya Naaz Tha HaMein Apne Hosle Par, 
Chup Ho Gaye Ek Baat Par HuM...

Waqt Ki Chaaal Se Bekhabar Ho Gaye

Waqt Ki Chaaal Se Bekhabar Ho Gaye, 
Raat Din UMar Ke Yun Basar Ho Gaye, 

Roshni Se Ulajh Is Qadar Main Gaya, 
Andhere Mere HuMsafar Ho Gaye, 

Manzil To Khadi Thi Mere SaMne, 
Magar Raaste Darguzar Ho Gaye, 

Karwaan Se Pata Puchha Main Raha, 
Gard-O-Gubaar Meri Nazar Ho Gaye...

Dilne Jab Bhi Fareb Khaya Hai


Dilne Jab Bhi Fareb Khaya Hai, 
Tera Andaz Yaad Aaya Hai, 

Ye Bhi Kuch Manzilon Se KaM To Nahi, 
Raaston Mein Jo Khoya Paaya Hai, 

TuM NuMayish Ke Liye Dikhate Ho Aansuon Ko, 
HuMne ZakhMon Ko Bhi Chhupaya Hai, 

Koi Marta Nahi Kisike Liye, 
HuMne Duniya Ko AazMaya Hai, 

Waqt-E-Hizraan Ya Wasl Ho, 
HuMne Dono Mein Tujhko Paya Hai...

Kuch Door To Mere Sath Chalo, Phir Beshak Raah Badal Lena

Kuch Door To Mere Sath Chalo, Phir Beshak Raah Badal Lena, 
Kuch Pal TuM Mere Sath Chalo, Phir Beshak Raah Badal Lena, 

Kuch Der To ThaMo Mera Haath Kuch Der Raho TuM Mere Paas, 
Ya Yaadein Mujhko TuM De Do, Phir Beshak Raah Badal Lena, 

Auron Ke Sath To Rehte Ho Auron Ke Sunte Kehte Ho, 
Do Baatein Mujhse Bhi Kar Lo, Phir Beshak Raah Badal Lena, 

Kandhe Pe Tere Sar Rakh **** Aankhon Ko Apni Band Kar ****, 
Palkon Ki ChilMan Girne Do, Phir Beshak Raah Badal Lena, 

Kyon Mujhse Chupke Rehte Ho Kyon Dil Ki Baat Nai Kehte Ho, 
Jo Dil Mein Hai Wo Keh Dalo, Phir Beshak Raah Badal Lena, 

TuM Kehte Na Kehti Hai Kyon Aankhon Saath Na Deti Hai, 
Ya Aansu Bhi Apne Chun ****, Phir Beshak Raah Badal Lena, 

Bin Tere Jee Na Paunga Main Mitti Mein Mil Jaunga, 
Meri Maiyyat Ko Kandha De, Phir Beshak Raah Badal Lena...

Zindagi Tujhko Bhala Kya Apna Banayein HuM

Zindagi Tujhko Bhala Kya Apna Banayein HuM, 
Maut Se Khud Baithe Hai Dil Lagaye HuM, 

KadMon Ki Aahat Ho To Lagta Hai Wo Aaye, 
Rakhte Hai Khud Apna Kafan Sajaye HuM, 

Koi Aayega Aur Phir Kahega Bewafa HaMein,
Baithe Hai Dekho Apna Sar Jhukaye HuM, 

Likh De Koi Kahani Meri Chahe Adhuri Sahi, 
Phirte Hai Haath Mein Kora Kaagaz Uthaye HuM, 

Har Shakhs Ke Do Chehre Nazar Aate Hai HaMein,
Ab Kisko Dein Dua Aur Kise Baddua HuM... 

Ab Saath Mera Chhod De To Kya Hua Aye Zindagi

Ab Saath Mera Chhod De To Kya Hua Aye Zindagi, 
HuMne To NaaM Unke Kar Di Thi Apni Zindagi, 

Anjaane Se Chehron Mein Apna Chehra Talashte Hue, 
Kho Gaye HuM Bheed Mein To Kya Hua Aye Zindagi, 

Sach Kehne Walon Ko To Thokarein Hi Milti Hai Yahan, 
Pehchaan Gaye HuM Tujhko Ke Tu Kya Bala Hai Zindagi, 

Maut Ke Dard Se Dar Kar Bhagta Hai Har Insaan Yahan,
Koi Inko Ye Bata De Ke Dardon Ka Ek Sila Hai Zindagi, 

UMr Saari Guzar Gayi Apni To Rote Hue Behlate Hue Khudko, 
Kaun Kehta Hai Ke Bahtu Ye KhushnuMa Hai Zindagi, 

SaMbhalna Isko Hai Mushkil Hai Bewafayi Karna Iski Fitrat, 
Ek Din Hath Se Phisal Jayegi Geeli Ret Si Ye Zindagi...

Phir Sawan Rutt Ki Pawan Chali TuM Yaad Aaye

Phir Sawan Rutt Ki Pawan Chali TuM Yaad Aaye,
Phir Patton Ki Paazeb Baji TuM Yaad Aaye, 

Phir Koonjein Boli Ghaas Ke SaMundar Mein,
Rutt Aayi Peele Phoolonki TuM Yaad Aaye, 

Phir Kagaa Bola Ghar Ke Sune Aangan Mein,
Phir AMrat Ras Ki Boond Padi TuM Yaad Aaye, 

Pehle To Main Cheekh Ke Roya Aur Phir Hasne Laga, 
Baadal Garja Bijli ChaMki TuM Yaad Aaye, 

Din Bhar To Main Duniya Ke Dhandon Mein Khoya Raha, 
Jab Deewaron Se Dhoop Dhali TuM Yaad Aaye...

Popular Posts