Saturday, May 22, 2010

Meri Aankh Ko Aansu Denewale


Meri Aankh Ko Aansu Denewale, 
Meri Saans Ko Hulchul Denewale, 

Ye To Bata Inhe Puchhun Kaise, 
Ye To Bata Inhe Rokun Kaise,

Jo Ye Chalti Hai To Lagta Hai Tu Aas Paas Hi Baitha Hai, 
Jo Ye Behte Hai To Lagta Hai Tera Anchal Mere Hathon Mein,

Tere Haath Ki Laqeerein Jo Mujhse Baaghi Dikhti Hai, 
Jee Karta Hai Rukh De Dun Sabko Apni Raahon Mein,

Chahat Ki Is Baazi Mein Kyon Hara Hara Rehta Hoon, 
Jee Karta Hai De Dun Khudko Teri Raahon Mein,

Raat Ke Kisi Sannate Mein Jo Aati Tu Meri Aankhon Mein,
Teri Aankh Se Main Dekhta Hoon Ye Duniya Achhi Lagti Hai, 

Phir Rona Achha Lagta Hai, 
Aur Hasna Achha Lagta Hai, 

Yaad Karta Jab Un LaMhon Ko Jab Tu Mujhse Nazdeeq Hoti Thi, 
Tere Badan Ki Wo Mehek Jo Mujh Mein Bas Jaya Karti Thi, 

Raat Ko Tanhayi Mein Us Mein Kho Jaya Karta Tha, 

Tujhko Zahir Karta Tha, 
Aur Khud Ko Baatein Karta Tha, 

Phir Tujhse Baatein Karta Tha, 
Aur Tujhko Chaha Karta Tha, 

Sard Hawa Ke Jhonke Se Aankh Khuli To Dekha Kya, 
Main Yunhi Tanha Leta Hoon Aur Chand Se Baatein Karta Hoon, 

Bahar Ka Ek Patta Hoon Jo Khizaan Mein Aakar Thehra Hoon, 
Main Ab Bhi Yunhi Tanha Hoon Jaise Tanha Rehta Hoon, 

Khol Ke Saare Darwaze Main Chokhat Par Yun Baitha Hoon, 
Ke ZaMane Ke Sataye TuM Jab Tanha Ho Jaoge, 

TuM Laut Kar Wapis Yahan Aaoge, 
To Main Istaqbaal Par Baitha Hoon,

TuM Kab Wapas Aaoge, 
TuM Kab Wapas Aaoge...

No comments:

Popular Posts