Sunday, August 8, 2010

Neendain meri aankhon se churaata hey wohi shakhs


Neendain meri aankhon se churaata hey wohi shakhs--
so jaaon tau khaabon main bhi aataa hey wohi shakhs--

jis zakhm ka khaliq bhi koi aur naheen hey --
us zakhm pa marham bhi lagata hey wohi shakhs--

haathon ki lakeeron main bhi talashey wo mujhko--
hathon ki lakeerain bhi mitaata hey wohi shakhs--

rakhta hey mujhey qaid bhi ek band galli main--
rastey bhi niay mujhko sujhata hey wohi shakhs--

har lamha yeh koshish main ussey bhool hi jaaon--
pehlay se siwa yaad bhi aataa hey wohi shakhs--

ham jin se tallab roshinian kartey rahey hain--
aata hey tau shmain bhi bujhata hey wohi shakhs--

jo aaiena main apnay liay dhoond ka laaya--
us main bhi hamesha nazzar aata hey wohi shakhs--

us shakhs ki khaatir hoon main dunia se judaa bhi--
laiken maira dunia se bhi naataa hey wohi shakhs--

jis shakhs kay honay se thi es shehar ki rozaq--
suntay hain kay es shehar se jaataa hey wohi shakhs--

mohabat ki kahani main masafat ki basharat thi


mohabat ki kahani main masafat ki basharat thi
masafat tay hoyee to phir
jala dally thin main nay bhy
wahin sub kashtiyan apny
jahan pehla parraoo tha
shikasta jism tha merra
maray sinnay main ghaoo tha
bharakta ik alaoo tha
kissy ki chah main sub kuch lutta kar
a gaya tha main
kahan par a gaya tha main?
jahan pehchan ka apny
havala hi nahi milta tha
havadass k thapairoon say
sambhalla hi nahi milta tha
shubay tirrah say nikla tha
ojaloon ki tamana main
magar muj ko kissy janib
ojala hi nahi milta tha
magar himat nahin harry
magar himmat nahin harry
yahan tuck a gaya hoon main
jahan hur soo ojalla hai
mari pehchan hai apni,wattan mara hawala hai

Naqsh yaadon k mitati hy tou ro parti hai


Naqsh yaadon k mitati hy tou ro parti hai
Wo mery khat jo jalati hai tou ro parti hai


Khoon dakhta hai mere marte huey sapno ko
Khwab ankhon mein basati hai tou ro prti hai


Log puuchein jo kabhi gehri udasi ka sabab
Baat logon se chupati hai tou ro parti hai


Yaad karti hai mjhy toot kar us lamhy
Sham chehra jo dkhati hai tou ro parti hai

Wo bary zabt bary hosly wali larki
Gham ko tehreer banati hai tou ro parti hai ...

Main toot ker usse chahoon yeh ikhtiyar bhi ho


Main toot ker usse chahoon yeh ikhtiyar bhi ho
Samait le ga mujhe aisa aitbaar bhi ho,

Nai rutton mao woh kuch aur bhi qareeb aye,
Gai rutton ka sulagta sa intzaar bhi ho,

Mai uske saath ko her lamha muhabbat janu,
Woh humsafar hai to mujh sa bhi be-dayar bhi ho,

Mere khuloos ka yeh bhi andaaz sacha hai,
Rakhon rabt magar dosti shumaar bhi ho,

Safar pe niklu to rasm-e-safar badal jaye,
Kinara barh ker magar ke kabhi khud hi humknar bhi ho,

Udas Logun Se Pyar Karna Koi To Seekhe


Udas Logun Se Pyar Karna Koi To Seekhe
Sufaid lamhoon main Rang bharna Koi To Seekhe

Koi To Aaey Khizan Main Pattey Ugane Wala
Gulun Ki Khushboo Ko Qaid Karna Koi To Seekhe

Koi Dikhae Muhabbatun Ke Sarab Mujhko
meri Nigahun Se Baat karna Koi To Seekhe

Koi To Aaey Nai Rutun Ka Pyaam le Kar
Andheri Raatun main Chaand Ban-na Koi To Seekhe

Koi Pyambar, Koi Imam-e-zman Hi Aaey
Aseer Zehnun Main Soch Bharna Koi To Seekhe

Gulaab hath mein ho,Aankh mein sitara ho



Gulaab hath mein ho,Aankh mein sitara ho!
Koi wajood Mohabbat ka Iste'aara ho!!


Mein Gehrey pani ki is Ro'k sath behti Rahoon...!!
Jazeera ho k Muqabil koi Kinaara ho...!!


Kabhi kabhar ussey dekh lain,Kahein mil Lein...!!
Ye kab kha tha k wo khush badan hamara ho...!


Qasoor ho too hamaray hisab mein likh jaye..!!
Mohabbat mein jo Ehsaan ho ...Tumhara ho..!!


Ye itni Raat Gaey kon Dasta'kain de ga..???
Kahein Hawa ka hi us n Roop Dhaara ho...!!


Ufaq to kia hai Dar-e-kehkashaan be choo Ayien...!
Musafroon ko agr Chand ka Ishara ho...!!


Mein apne Hisse k Sukh jis k Naam kr Daloon...!!
Koi to ho jo mujhe is tarah ka Pyara ho...!!


Agr wajood mein Aahang hai to Wasal bhi hai...!!!
Mann chahe Nazam ka tukra,wo Nasar para ho...!!!

Mera saawan b Tum ho meri Pyaas b Tum ho


Mera saawan b Tum ho meri Pyaas b Tum ho,
Sehra ki baahon mein chupi Aas b Tum ho,

Tum yun to bohat door! bohat door ho Mujhse,
Ehsaas ye hota hai Mere paas b Tum ho,

Har Zakham ki Aaghosh mein ha dard Tumhara,
Har dard mein taskeen ka Ehsaas b Tum ho,

Kho jao to Veeran si ho jaati hein rahein,
Mil jao to phir Jeenay ka Ehsaas b Tum ho,

Likhta hoon to Tum hi utartay ho qalam se,
Parhta hun to Lehja b Tum, Aawaz b Tum ho…!

Suno Jana..! Judai Mot Hoti Hai


Suno Jana..!
Judai Mot Hoti Hai
Kabhi Fursat Mile To Dekhna Paton Ga Girna Tum
K Jab Yeh Shajar Se Gir Kar Zameen Par Aan Parte Hain
To Kaise Roonday Jate Hain.....!

Kabhi Kitaar Se Bichre Hui Konjon K Nohay Par Bhi Nigah Krna
K Kaise Ik Dooje Ki Judai Par
Tarap Kar Bain Karti Hain
To Phir Tum Jaan Joa Ge
"Judai Mot Hoti Hai"

Tanha Raat K Khamosh Lamhon Main
Kisi Akeli,Bebus,Bawafa,Khamosh Larki Ki
Kabhi Tum Siskian Sun'na

Kabhi Furst K Lamhon Main
Kisi Ki Aankh Se Larkharatay Hue Aansuon Ko Dekho GAY
To Shayid
Jan Jao Ge....
"Judai Mot Hoti Hai"

Abhi Tum Ne Mohabbat K Baraste, Bheegay Mosam Nahin Daikhay
Abhi Tum Titlion K Rang Mutthiyon Main Chupate Ho
Abhi Tum Muskurate Ho

Suno Jana.....
Kabhi Jo Zindagi Nay Ajnabi Wairan Rahon Par
Tumhari Yeh Hansi Cheeni
To Phir Aansu Bahao Ge
Tum Itna Jan Jao Gay...........

"JUDAI MOT HOTI HAI"

Itne Haseen duniya me rehte hain kaise kaise log


Itne Haseen duniya me rehte hain kaise kaise log,
Dhoka bhi tohfe ki terha has ker de jaate hai ye log.

Apne matlab k liye alfaaz-e-wafa istemaal kerte hai log,
jab garz khatam ho jaye to bewafai ki sab se badi daleel ban jate jate hai log

Mohabbat ke Jhoot, Maker-o-fareeb ko jayez ker rakha hai,
apne mafaad k liye kis hadd tak gir jaate hai log.

Shab-e-Hairan wo koi Ba-Wafa hi tha hoga,
jis per be tahasha zulm-o-sitam dha rahe the ye log.

Mai chah ker bhi khud ki madad na ker saka yaaro,
mai akela aur sainkdo the wo log

Hum jhoot fareeb Dhoka aur kya kya jheel ker yaha pohnche hai,
kitni asaani se has ker guzar jaate hai ye log

Jo likha hai so likha hai Dard-e-dil Ba khoob ayan hai,
lekin phir bhi na jaane kyun tanqeed ker dete hai ye log

Jab kalaam karo to nazre mila ker kalaaam karo Hussaini se,
lekin pata nahi kyun nazre jhuka lete hai ye log

Bohat muddat se asa hai K tum khamosh rahte ho


Bohat muddat se asa hai,
K tum khamosh rahte ho,
Koi gehra hay gham shayad,
Jisay chup chup sahte ho,
yunhi chalty huay tanha,
Koi gumghin sa naghma,
Tum aksar gungunaty ho,
Doran-e-guftagoo yunhi,
Milain nazron sy jab nazrain,
To batain bhool jate ho,
Kisi gum sum si halat main,
Yah phir barish k musaum main,
Fakat itna hi kehtay ho,
Udasi be waja si hay,
Bohat bojhal tabiyat hay,
Bhla sach q nahi kehtay,
Tumhain kisi se Muhabbat hay,

Kissi k yoon bicharnay se kissi ki yaad aanay se


Kissi k yoon bicharnay se
kissi ki yaad aanay se
hazaroon log rotay hain.
k rona ek rawaiyat hai.
main in gumnaam rahoon per.

gham e janaa se ghabra kar.

Rawaiyat tor jaata hoon.
tumhari yaad aanay per.

Main aksar muskrata hoon.

Main kachi neend main hoon


Main kachi neend main hoon.

Aor apnay neem khuwabeeda tanaffas main utarti.

chandni ki chaap sunti hoon.

Gumaan hai.

Aaj bhi shaid mere maathay pe.

Tere lab Sitaray Sabt kartay hain.

Mohabbat k mosam Zamanay k sab mosmoon se niraalay



Mohabbat k mosam
Zamanay k sab mosmoon se niraalay.
bahar o khazan in ki sab se Juda.
alag in ka sookha alag in ki ghataa....
Mohabbat k Khittay ki aab o Hawa.
mawraa un anaasar se jo.
mosmoon k taghayyar ki bunyaad hain.
yeh zamaan o makaan k kamm o baish se.
aisay azaad hain.
jaisay subaah Azal. jaisay shaam e fanna.

shab o roz e aalam k ahkaam ko.
yeh mohabbat k mosam nahi maantay.
zindgi ki musaafit k anjaam ko .
yeh mobbat k mosam nahi maantay.
rafaaqat ki khushboo se khaali ho jo.
yeh koi aisa manzar nahi dekhtay.

wafa k ilaawa kissi kaam ko.
yeh mobbat k mosam nahi maantay.

Hukam Tera Hai To Takmeel Kiye Dette Hain


Hukam Tera Hai To Takmeel Kiye Dette Hain
Zindagi Hijjar Mein Tehleel Kiye Dette Hein

Tu Meri Wasal Kis Khuwahish Pe Bigra Kyu Hai??
Raasta Hee Hai, Chalo Tabdeel Kiye Dette Hein

Aaj Sub Ashkon Ko Aankhon Kay Kinare Pe Bulao
Aaj Iss Hijjar Ki Hum Takmeel Kiye Dette Hein

Hum Jo Hanstay Huay Achay Nahi Lagtay Tujh Ko
Hukam Kar! Aankh Abhi Jheel Kiye Dette Hein

Rone se ishq main bebaak ho gaye


Rone se ishq main bebaak ho gaye
Dhoye gaye hum aise ki bus pak ho gaye.

Kehta hai kaun naala-e- bulbul ko beaser
Perde main gul ke laakh jiger chaak ho gaye.

Pooche hai kya vajudo-adam ahle-shauk ka
Aap apni he aag se khasho - khashaak ho gaye.

Kerne gaye unse hum tagaful ka gila
Ki ek he nigaah ki, bus khaak ho gaye

Sitaray baant'ta hai wo zyan taqseem karta hai


Sitaray baant'ta hai wo zyan taqseem karta hai
Suna hai habs-e-mosam main hawa taqseem karta hai

Usi ki apni beti ki hatheli khushk rehti hai
Jo boorha dhoop main aksar hina taqseem karta hai

Koi roke usay ja kar sarasar hai yeh paagal pan
Jo behron k muhalle main sada taqseem karta hai

Usi se maang tu mohsin k baqi chor de sab ko
Jo pathar main bhi keeray ko ghiza taqseem karta hai

do pal k liye apni jaga humy rakhn or Zara Mehsoos kro


do pal k liye apni jaga humy rakhn
or
Zara Mehsoos kro! ye kafiyat e Jang!
Ye dard
Ye Baichiain
Ye Tarap
Kuch es trha jis trha hm Krty hai Mehsoos kro
Apni ankhon ko jukhao sary pardy dinon se Hatao!
or
Ab Mehsoos Kro!
Sans pal pal mai okhar jaye tu kiya hota hai?
Dard ankhon se jalakh jaye tu kiya hota hai?
Log bat kry or sochon mai kho jayen tu kiay hota hai?
Koi naam ly le or machal jayen tu kiya hota hai?
Zara Mehsoos Kro!
Jab Doriyan apas mai Barh jaye tu kiya hota hai?
Zara sa b awaz ki sargoshi ho jaye tu kiya hota hai?
Kanhi tasveer bhi dikh jaye or daikh k hasraty sar takraye tu kia hota hai?
zara in kuch se kafiyaton ko mehsoos kro!
Phir
Dekho kiya hota hai!
Roz k Roz kisi ka ager wisaal ho jaye tu kia hota hai?
Jeta Jaagta insan ek putla ban jaye tu kia hota hai?
Khaqi se Khaakster ho jaye tu kia hota hai?
Zara Mehsoos Kro!
or
Zara Zara Mehsoos Kro kia Hota hai?

Barishoon k mosam main Dil ki sarzaminoo per


Barishoon k mosam main.
Dil ki sarzaminoo per
Gard kioon bikharti hai.?
Is tarha k mosam main
phool kioon nahi khiltay.
log kioon nahi miltay?
kioon faqat yeh tanhai.
sath sath rehti hai.?
Itni tez barish se
Dil k ayenay per se
Aks kioon nahi dhultay?
Zakham kioon nahi siltay ?
Neend kioon nahi aati.?
Barishoon k mosam main
Aankh kioon barasti hai.?
Ashk kioon nahi thamtay?

Barishoon k mosmoon main
Log kioon nahi miltay.?

Ye dil tujhe itni shiddet se chahta kyon hai


Ye dil tujhe itni shiddet se chahta kyon hai
Her saans ke saath tea hi naam aata kyon hai.

Tu kitna bhi mujse telke taaluk rakhle,
Jikre phir bhi tera juban pe aata kyon hai.

Teri furket main tarefne ki aadet ho chuki hai
Tere door hone ka phir bhi ehsaas rulata kyon hai.

Ye jante hue ki nahin kerta mohabbat mujhse,
Phir bhi labon pe tera naam aata kyon hai.

barish ki in bondon ny jab dastak di darwazy pe


barish ki in bondon ny jab dastak di darwazy pe
mehsos hua tum aaye ho ANDAZ tumhry jaisa tha

hawa k halky jhonky ny jab aahat ki khirki per
mehsos hua tum chaly ho ANDAZ tumhry jaisa tha

meiny bondonko apny hath per tapkaya tou
ik sard sa ehsas hua LAMS tumhry jaisa tha

mein tanha chala jab barish mein ik jhony ny sath diya
mein samjha tum sath ho mery EHSAS tumhry jaisa tha

phir ruk gai wo Barish bhi ,rahi na baqi ahat bhi
mein samja mujy tum chor gaye ANDAZ tumhry jaisa tha

andaz tumhry jaisa tha...............

Main na mil sakon jo tum se, meri justujo na karna



Main na mil sakon jo tum se, meri justujo na karna
Tumhain meri hi qasam hay, meri arzoo na karna

Mujhe jis se thi muhabbat, use thi ajab si adat
Kabhi mounh phair lena, kabhi guftugo na karna

Maine chaha tha kisi ko, mera haal kya hai dekho
Jo kiya qusoor maine, wo tum kabhi na karna

Meri ho agar buraayi to naa denaa tum safaai
Mere saath khud ko ruswaa kabhi koobako na karna

Tumhain meri hi qasam hai, meri arzoo na karna
Main na mil sakon jo tum se, meri justujo na karna

Koi poochhe badnaseebi ki hai intihaa bhi koi
To meri misaal denaa to mujhe namona karna.. ..

Bohat Umeed Rakhna Aur Phir Be-aas Hona Bhi


Bohat Umeed Rakhna Aur Phir Be-aas Hona Bhi
Bashar Ko Maar Detta Hai Bohat Hassas Hona Bhi

Sunno Ek Kaan Se Aur Dossray Se Phenk Do Bahir
Bohat Takleef Detta Hai Sahib-e-Ehsas Hona Bhi

Yunhi To Abbr-e-Rehmat Ki Tallab Karta Nahi Koi
Zaruri Hai Muqaddar Mein Zarra Si Payas Hona Bhi

Bohat Se Qalb Ruk Jatay Hein Khushiyun Ki Khabar Pa Kar
Hamein To Khoob Jachta Hai Ghammon Ka Raas Hona Bhi

phir chaand khila, phir raat thami



phir chaand khila, phir raat thami

phir dil ne kaha, hai teri kami

phir yaadon ke jhoole mehak gaye

phir dil ke arman behak gaye

phir jannat si lagti hai zamin

phir dil ne kaha, hai teri kami

phir guzre lamhon ki baatein

phir jaagi jaagi si raatein

phir thehar gayi palkon pe nami

phir dil ne kaha, hai teri kami!

Kahin sehra main sookhay shajar achay nahin lagtay



Kahin sehra main sookhay shajar achay nahin lagtay
Mujhe ab khwaab zaaron k safar achay nahin lagtay

Jawabi khat main yun us ne mere bare main likha tha
Bura bhi keh nahin sakte magar achay nahin lagtay

Nahin masroof main itna k ghar ka rasta bhoolon
Koi jab muntazir na ho to ghar achay nahin lagtay

Samundar tairti lashon se kehta raha shab bhar
Mujhe bhi doobne walo bhanwar achay nahin lagtay

Nahin aisa k ab parwaz ki taaqat nahin baqi
Mere umeed k panchi ko par achay nahin lagtay...........!

bicharr gaya hai to ab us se kuch gila bhi nahi


bicharr gaya hai to ab us se kuch gila bhi nahi

jo sach kahoon to woh aek shaks mera tha bhi nahi


main chahta hoon ussay aur chaahne ke siwa

mere liye to koi aur raasta bhi nahi


tere siwa bhi kayi dost baney to yeh raaz khula

mera to shehar mein koi tere siwa bhi nahi!

Hamaara Yeh tum ko salaam aakhri hai


Hamaara Yeh tum ko salaam aakhri hai
Suno! Aaj tum se kalaam aakhri hai


Agar ho sake to bhula dena hm ko
Yehi ek chota sa kaam aakhri hai,


Abhi aarzuon k sehraa hain peyaase
Magar aansuon ka yeh Jaam aakhri hai,


Mareez mohabbat ki ay chaara'saazo
Tumhare shehar mein yeh shaam aakhri hai,


Zra dair thehro qaza k Farishton
Labon pe hamare payaam aakhri hai,


Koi mil sake ga na mere Jaisa,
Tere Husn ka yeh Ghulaam aakhri hai...

Yeh Adhoorapan Jaise Aadhi Kaali Raat


Yeh Adhoorapan,
Jaise Aadhi Kaali Raat,
Jaise Aadha Chand,
Jaise Bin Sooraj Kiran,
Jaise Bin Badal Barsaat,
Jaise Jungal Mein Tanha Hiran,
Jaise Beawaz Koyal,
Jaise Sookhi Kali,
Jaise Thehra Hua Paani,
Jaise Bin Paani Machhli,
Jaise Andha Raahi,
Jasie Bikhri Zulfein,
Jasie Dulhe Bin Baraat,
Aise Hi Tum Bin Main,
Aur Mera Ye Adhurapan..

Aao k ab nai zindgi ka aghaz kartain hain



Aao k ab nai zindgi ka aghaz kartain hain
Kuch khushi k guzre paloon ko yad kertain hain.

Bhula k kul talkihan zamane ki .
sherenie- ae zeest ko yad kartey hain.

Jo ho guzra use bholne ki koshish kartey hain.
Phir se ujrey weranay ghar ko aabad kartain hain.

Main janta hoon howi kuch ghaltian hum se bhi.
Buhla do tum jo in ko to nai shroaat kartain hain.

tumhari sub khataoon ko main khatir nahin lata.
chalo is baat ka hum tum se iqrar kartain hain.

Joo phir se jora hai wohi rishta zara mushkil nazarta hai.
Hamian bhi to dekh jo ab bhi wohi aetmad kartain hain.

Bhla na paya tha na paya hoon na payoon ga tujhe
Bas ise baat ko hum zindgi ki bunyad kartain hain.

Mohabbat naam ka jo jazeera hai


Mohabbat naam ka jo jazeera hai.
wahan jana paray jo tum ko.
hamari yaad ko saath le lena.

Suna hai is jazeeray per kabhi do hans rehtay thay.
woh ek doojay ki aankhoon main khuwaab chuntay thay.
wafa k tanay banay reshmi batoon se buntay thay.
phir ek roz ki tajdeed bhi kartay thay.
magar rutt k badaltay hi hua aisay.
woh donu mukhtalif samtoon main chal niklay.
suna hai phir ek saath donu ko nahi dekha.

Mohabbat naam ka jo jazeera hai.
wahan jana paray jo tum ko.
to uss tanha shajar k pass bhi jana.
k jis ki sari shakhoon k libaadoon per
har janib kissi ka naam likha hai.
suna hai likhnay wala zindgi bhar kuch nahi likh paya.
woh apni unglioon per khoon ki mohrein laga baitha hai.
moqaddar daar kar baitha. woh khud ko haar baitha.

Mohabbat naam ka jo jazeera hai. waha jana paray jo tum ko...................

Barkha barsi, aangan utri ik albaili shaam


Barkha barsi, aangan utri ik albaili shaam.
aisi shaam k atay hi yaad aaye tera naam.

Kitnay piaaray pawan jharokay kitnay piaaray geet.
In geetoon k suntay hi yaad aaye mann ka meet.

Sawan ki pur kaif hawaaein. jab jab rang lutaaein.
Aisay main kuch beeti baatein. yaad mujhe aa jaaein.

Pichli rutt aor iss rutt ka hai yoon to ek mazaaj.
Pichlay sawan pass tha koi, door hai lekin aaj.

Suna hai waqat badal jaata hai. bhar jaatay hain ghaao.
Shaid aglay sawan main tum itna yaad na aao.

Izzatoun se bardh kar to aur kuch nahi hota


Izzatoun se bardh kar to aur kuch nahi hota
chahatoun ki dori bhi
torni hi parti hai
manziloun ki kashti
bhi morni hi parti hai
bhoolna hi parta hai
khud se pyare loungo ko
aur dil ke aangan mei
naqsh un ki tasweerien
kuch haseen lafzoun ki
kuch haseen tahreerien
paaoun jin mei jakre hon
kholna hi parti hai
khoobsoorat aankhoun mei
basne waale kwaaboun ko
nochna hi parta hai
dil se milta her rishta torna hi parta hai
kyun ke........
izzatoun se barh ke to aur kush nahi hota..

Gham Ko Chupaanay Ki Aadat Si Hai Mujhe


Gham Ko Chupaanay Ki Aadat Si Hai Mujhe
Khud Ko Sataane Ki Aadat Si Hai Mujhe,

Jaan Le Na Koi Haal-E-Dil Is Dar Se
Bewajha Muskurane Ki Aadat Si Hai Mujhe,

Youn To Tere Dar Se Namuraad Lauta Hoon
Qismat Ko Aazmaane Ki Aadat Si Hai Mujhe,

Mein Jantaa Hoon Ke Too Laut Kar Na Ayegaa
Dil Ko Behlaane Ki Aadat Si Hai Mujhe,

Chaand Gham Na Kar Mein Bhi Tera Saathi Hoon
Ke Ratjagae Manane Ki Aadat Si Hai Mujhe,

Kabhi To Woh Bhi Sochain Ge Acha Nahi Hua
Khush Fehmian Jagane Ki Aadat Si Hai Mujhe...

Mere Humsafar ! Teri nazar hain Meri Umar Bhar ki Yeh daoltein


Mere Humsafar ! Teri nazar hain Meri Umar Bhar ki Yeh daoltein.
Mere sheir meri sadaqtein.Meri dharknein, meri chahtein.

Tujhe jazb kar loon main lahoo mein, Main k faraaq ka na rahay khatar.
Teri dharknoon main utaar doon main yeh khuwaab khuwaab rafaaqtein.

yeh radda e jaan tujhay sonp doon, na k dhoop tujh ko karri lagay.
tujhay dukh na de mere jeetay g. sarr e dasht gham ki tamaztein.

Meri subaah teri sada se ho, meri shaam teri zaya se ho.
yahi tarz e parsish e dil rakhein. teri khushbuoon ki safartein.

koi aisi bazm e bahaar ho, main jahan yaqeen dilla sakoon.
K tera hi naam hai fasal e Gul, K tujhi se hain yeh qaramtein.

Tera qarz hain mere roz o shab mere paas apna to kuch nahi
Meri rooh meri mataa e fun. Mere saans teri amaantein.

Har kis ko duniya mei shohratin nahi milti


Har kis ko duniya mei
shohratin nahi milti
zindgi ke lamhoun ki
keemtein nahi milti
fatah ki kwahish mei
amal bhi to lazim hai
sirf kuch iraadoun se
manzilein nahi miltien
faisle ye chahat ke
aasman pe hote hai
do diloun ke milne se
kismatein nahi miltien
deen aur dunya ko
saath rakhna
masjidoun mei baithne se
jannatein nahi milti
maan lo is zamaane mei
aur bhi huye hum jaise
ke hasb-e-aarzoo jinko
chahtein nahi milti ....

Najane Kun tum ko sochta hoon main


Najane Kun tum ko sochta hoon main.
Tareeq Raat me uffawq pe chand dhondta hoon main.

Tera hasool hai mera paghal pan.
Jane kun ye khuwab aksar dekhta hoon main.

Chupaye hain kuwab apne sare zamane se.
Jane kun raz apne tum pe kholta hoon main.

Teri berukhi hai qaim ik karb ki manind.
Jane kun iss karb ko har rooz jheelta hoon main.

Shayid K awo mere khawab main tum.
jane kun iss umeed ko nahin torta hoon main.

Kia khabar k tumhar hall bhi aesa hi hoo.
bus iss umeed pe ye rishta jorta hoon main.

Meri chahatoon ko sabaat de meri ulfatoon ka hissab de


Meri chahatoon ko sabaat de meri ulfatoon ka hissab de.
Tu ne kun hai mujh ko thukra dia bas iss bat ka jawab de.

Mere ishq ke tone na ki qadar na hi qurbatoon ka kia khiyal.
rahi meri koshishain kun be samar bas iss bat ka jawab de.

jo dekhe thaye hum ne tum ne khwab un khawaboon ka sanam kia huwa.
Main jo ajj lota hoon be murad bus iss bat ka jawab de.

Tere sath guzre lamhoon ko kese mumkin hai k bhula doon main.
Kia tone who sab bhula dia bas iss bat ka jawab de.

Dil ye kehta hai tu saath na le chel mujhko


Dil ye kehta hai tu saath na le chel mujhko,
Jaa ke waan, tere kaaboo se nikel jaaonga.

Dil leke uski bazm main jaya na jayega,
Ye Muddaee bagal main chupaya na jayega.

Ye na jaana tha ki us mehfil main dil reh jayega,
Hum ye samjhe the, ke chale aayenge dum bher dekh ke.

Yuoon taref ke dil ne terfaya sare-mehfil mujhe,
Usko katil kahne wale keh uthe kaatil mujhe.

visaal_o_hijar main. ya khuwaab se mehroom aankhoon main.



visaal_o_hijar main.
ya khuwaab se mehroom aankhoon main.
Kissi Ehd -e - rafaqat main.
k tanhaai k jungle main.
khiaam khaal -o-khadd ki roshni k gehray badal main
chamkati dhoop main ya phir.
kissi be abbar saye main.
kaheen barish main bheegay jism-o-jaan k nasar paroon main.
kaheen hontoon pe sheiroon ki mehkti abshaaroon main.
charaghoon ki sajji shamoon main.
ya be noor ratoon main
sahar ho roonuma jaisay batoon hi batoon main.
koi lipta hua ho jis tarha.
Sandal ki khusbuoon main.
Kaheen per titlioon k rang tasweerein banatay hoon.
kaheen jugnuoon ki muthioon main roshni khud ko chupaati ho.

kaheen kaisa hi manzar ho.
kaheen kaisa hi mosam ho.
tere saray hawaloon ko.
teri saari misaloon ko
Mohabbat yaad rakhti hai.

khwaab ab Husn-e-tasavvur ke ufaq se haiN pare


khwaab ab Husn-e-tasavvur ke ufaq se haiN pare
dil ke ek jazbaa-e-ma’suum ne dekhe the jo khawaab
aur ta’beeroN ke tapte hue sehraaoN meN
tashnagii aabla-paa, sh’ola-bakaf mauj-e-saraab
ye tau mumkin nahiin bachpan ka ko’ii din mil jaaye
yaa palat aaye ko’ii sa’aat-e-naayaab-e-shabaab
phuuT nikle kisii afsurdah tabassum se kiran
yaa damak uTThe kisii dast-e-buriidah meN gulaab
aah ! patthar kii lakiireN haiN ke yaadoN ke nuquush
kaun likh saktaa hai phir umr-e-guzishtaa kii kitaab
beete lamHaat ke soye hue tuufaanoN meN
tairte phirte haiN phuuTii huii aaNkhoN ke Habaab
taabish rang-e-shafaq, aatish ruu-e-Khurshiid
mal ke cHehre pe saHar aayii hai KhuuN aHbaab
jaane kis moR pe, kis raaH meN kyaa beetii hai
kis se mumkin hai tamannaoN ke zakhmoN ka Hisaab
aastiinoN ko pukaareNge kahaaN tak aaNsuuN
ab tau daaman ko pakaRte haiN lahuu ke gardaab
dekhtii phirtii hai ek ek ka munh khaamoshii
jaane kyaa baat hai sharmindah hai andaaz-e-Khitaab
dar-ba-dar thokareN khaate huve phirte haiN savaal
aur mujrim ki tarah unse gurezaaN haiN javaab
sarkashii, phir maiN tujhe aaj sadaa detaa huN
maiN teraa shaa’iir-e-aawaaraa-o-be-baak-o-Kharaab
pheNk phir jazbaa-e-betaab ki aalam pe kamand
ek khwaab aur ai himmat-e-dushwaar pasand

Shaam Ka Dalta Soraj, Kuch Kehte Kehte Doob Giya



~*~SHAAM KA DHALTA SORAJ~*~
Shaam Ka Dalta Soraj, Kuch Kehte Kehte Doob Giya,
~*~
Tanhai k ik roz Aalam main,
~*~
Udasi k ik Din Manzar main,
~*~
Ghum k Gehrey saaye main,
~*~
Shaam Ka Dalta Soraj, Kuch Kehte Kehte Doob Giya...
~*~
Chal rahi thi Pursooz Hawa,
~*~
Lagta tha k Jaise.....
~*~
Koi Saada zoor se Ghonje gi,
~*~
Koi Chekhy ga Chalaye ga,
~*~
Rang Faluk bhi apna Badle ga,
~*~
Ek Surkhi har so Phailey gi,
~*~
Main ne Dekha jo Daltey Soraj ko,
~*~
Ek Karb ka Manzar waizey tha,
~*~
Ek dard ka Fasaana Roshan tha,
~*~
Ek Rang tha sirf Udaasi ka,
~*~
Ek Ehsaas tha sirf Bezaari ka,
~*~
Lagta tha Jaise.....
~*~
Sadihon pe Phaili Kahani ka,
~*~
Aaj Raaz to Afshaa ho ga,
~*~
Aaj saari Duniya Dekhe gi,
~*~
Aaj khob Tamasha hoga,
~*~
Youn Lagta tha k Jaise.....
~*~
Aaj Dil khol k Soraj Roye ga,
~*~
Tab chain ki Neend ye Soye ga,
~*~
Is Dil sooz Hawa main jaise,
~*~
Aaj bohot se Fasaly hone Hain,
~*~
Lekin Fasaly ki is Ghari main,
~*~
Waqt ne barri Na-Insaafi ki,
~*~
Main ne Aankh utha k Dekha jo,
~*~
Bari Hasrat se Majbori se,
~*~
Meri Aankhon main Aankhen daaley,
~*~
SHAAM KA DHALTA SORAJ, KUCH KEHTE KEHTE DOOB GIYA...!!!

Mere watan ko amaan de.


Dhuwaan dhuwaan hai zindagi.
Har taraf ab aag hai.
Rawan dawan thi yeh zindgi.
urr rahi phir kioon khaak hai.
aag_o_khoon k kheil main.
mar rahay hain log yoon.
bain kartay sab k bhaag hain.
kal talak thya juda juda.
chehray sab hi ab ek hain.
jallay kattay bas jism hain.
aor malbay k dheir hain.
Mere maalik Reham kar de.
Mere watan ko amaan de.
Shaan Izzat aor aan de.
(Ameen)

Darichay say tapa-tap Muztarib boundein


Darichay say tapa-tap
Muztarib boundein
Meri iss maiz per
Jis per meray kaghaz hain
Un kaghazon per likhay Ashaar gilay hain
Mager wo barish ki boundoon say nahi
Ashkon say bheegay hain
Tumhein maloom tu hoga
Sada tanhai aur barish mein
Taza hijar ka sadma
Bohat beychain rakhta hai

Kuch yaadaun hain un lamhon ki



Kuch yaadaun hain un lamhon ki
Jin lamhon main hum saath rahe
Khushion se bhare jazbat rahe
Ik umar guzari hai hum ne
Jahan rote hue bhi hum hanste thay
Kuch kehte thay kuch sunte thay
Hum roz subha jab milte thay
To sab k chehray khilte thay
Pur lutf wo manzar hota tha
Sab mil kar baatain karte thay
Hum socho kitna hanste thay
Wo goonj hamare hansne ki
Ab aik purani yaad rahi
Yeh batain hain un lamhon ki
Jin lamhon main hum saath rahe..........!

Aik do pal to zara aor rukk


Aik do pal to zara aor rukko.
Aisi jaldi bhi bhala kia hai chalay jana tum.
Shaam mehki hai abhi aor na palkoon pe sitaray jagay....
Hum sarr_e_ Raah achanak hi sahi.
Muddatoon baad millay hain to na milnay ki shikayat kaisi.
Fursatein kis ko mayassar hain yahaan.
aao do chaar qadam aor zara saath challein.
Shehr_e_ afsurda k mathay pe bujhi shaam ki raakh.
Zard pattoon main simti dekhein.
Phir issi khaak_e_bad amaan pal se.
Apnay Guzray huay kal ki Khushboo.
Lamhaa_e_ haal main Shamil kar k.

Apni be khuwaab musaafat ka azaala kar lein.
Aao iss shehr ki pur shor guzar gahoon per
Aor kuch deir abhi.
haath main dalay huye haath.
Apnay honay ka yaqeen
Aor na honay ka tamaasha kar lein.
Aaj ki shaam Sitaara kar lein.

Teri yadon ki mehak sath liye akser hum


Teri yadon ki mehak,
sath liye akser hum ,
door khwabo k jazeeray main uter jatey hain,
kyun k main janti hoon,
hum aur tum
sirf khwabo main he mil saktey hain,
mainay socha hai is baar tumharay humrah,
aik aisi jaga utroongi,
aur tumhain apnay paas bitha ker,
aankho main aakhain daal ker,
bari himmat ker k tum say keh doongi,
tumsay keh doongi k tum meray ho
tum jo chahho to,
meri yakterfa mohabbat ko sahara dey do,
zindagi yun to bohut thori hai mohabbat k liye
tum jitna bhi pyar mujhay dey sako sara dey do,
kuch to bolo,
kuch to bolo
kahin aisa na ho k sehar hotey he hum wapis us dunya mian lout jain
bus yehi chund khiyalaat liye
teri yadoon ki mehak sath liye
akser hum door khuwabo k jazeray main uter jatey hian
kyun k hum aur tum sirf khwabo main he mil saktey hain

Barre anjaan mosam main


Barre anjaan mosam main.
bohat be rang Lamhoon main.
Bina aahat bina dastak.
Bohat masoom sa sapna
uttar aaya hai aankhoon main.
Bina sochay Bina samjhay.
Kaha hai dil ne chupkay se.

Haan iss nanhay se sapnay ko
Aankhoon main Jagah de do
Bina rokay Bina tokay
Raggoon ka khoon ban,nay do.
saansoon main mahknay do

Hamesha ki tarha ab bhi
bina uljhay Bina bolay
Jhuka diya hai sir hum ne.
Magar tabeer kiya ho Gi?
yeh Hum jaanein ya dil jaanay.

Bas maloom hai itna.
K dil k faislay Aksar
Humein kam raas aatay hain.

Teray Shehr Se Paaya Bhi To Kya Paaya Main Ne


Teray Shehr Se Paaya Bhi To Kya Paaya Main Ne,
Bhanwer Mein Doob Geya Sahara Nahi Paaya Main Ne.

Ro Ro k Apni Aankhein Andhi Kar Li Main Ne,
Teray Janay ka Ye Sog Manaaya Main Ne.

Bohat Roya Meray Aanay Par Wo Peepal Ka Drakht,
Naam Jis Pe Tera Likh K Mitaaya Main Ne.

Saari Umer Teray Pyaar ko Dua Di Main Ne,
Ye Ehad Tha Teray Saath Jo Nibhaaya Main Ne.

Apni Mohabbat Pe Naaz Kiyun Na Karon,
K Aaj Tak Us Ka Piyaar Na Bhulaaya Main Ne

koi Bey Rabt Sa Unwaan hota Ja Raha hOn


kOii Bey Rabt Sa Unwaan hOta Ja Raha hOn
miaN Sab Kuch Jaan Kar Anjaan hOta Ja Raha hOn

wO Apni Soch kO Kitna Badalta Ja Raha hAi
maiN Us Ki Soch Par Hairaan hOta Ja Raha hOn

Merii Tehnii Pey Khush Aawaaz PanChtii Baith-tey They
pUraana paiRr hOn Sunsaan hOta Ja Raha hOn

mUjhey Andar Sey dUkh Mera mUsalsal Khha Raha hAi
bOhet Shadaab Tha Veeraan hOta Ja Raha hOn

yahaN Key Aam lOgoN Ki Soch Sey Maavra Tha
Magar Kuch Soch Kar Aasaan hOta Ja Raha hOn

kahieN khUd Khho Gya hoN Pas e Manzar mieN Shayed
Aur Us Key Naam Ki PehChaan hOta Ja Raha hOn

Chashm-e-be'khuwab pe khuwabon ka asar lagta hai


Chashm-e-be'khuwab pe khuwabon ka asar lagta hai,
Kaisa pat jharr hai ke shakhon pe samar lagta hai,

Mohlat-e-umar bas itni thi ke guzra huwa waqt ,
Aik dhalkay huwey aansu ka safar lagta hai ,

Kahin kuch aur bhi ho jaon na raiza raiza ,
Aisa toota hon ke jurrtey huwey darr lagta hai ,

Zehan ki jheel se yadon ki dhanak phoot'ti hai,
Aik mela hai jo har sham idhar lagta hai.....

Zabt Ki Konsi Manzil Thi Kiss Maqam Pe Aa Kay Haaray Hein



Zabt Ki Konsi Manzil Thi Kiss Maqam Pe Aa Kay Haaray Hein
Itna To Tumhein Maalom Hee Hai Tere Naam Pe Aa Kay Haaray Hein

Kabhi Khud Per Jabbr Kiya Hum Ne Kabhi Khud Ko Yun Be-mol Kiya
Hum Subhon Ko Lotnay Walay Thay Ek Shaam Pe Aa Kay Haaray Hein

Ek Dard Musalsal Hota Hai Ek Baarish Andar Hoti Hai
Kay Heeron Jese Log Yahan Ilzam Pe Aa Kay Haaray Hein

Kab Jeet Ka Dawa Hum Ne Kiya Yeh Azal Ab'ad Ka Qissa Hai
Hum Be-khabri Kay Aalam Mein Anjaam Pe Aa Kay Haaray Hein

SATH roti thi mery sath hansa krti thi


Sath Roti Thi Mery Sath Hansa Karti Thi
Vo Larki Jo Mery Dil Mein Basa Karti Thi

Meri Chahat Ki TalabGaar Thi Iss Darjah k
Vo Musalley Pe Namazon Mein Dua Karti Thi

Ek Lamhay Ka Bicharrna b Giraan Tha Usko
Rotay Hue Mujhko Khud Se Juda Karti Thi

Mery Dil Mein Raha Karti Thi Darrkan Ban Kar
Aur Saye Ki Tarah Sath Raha Karti Thi

Rog Dil Ko Laga Baithii Anjaney Mein
Meri Aagosh ein Marney Ki Dua Karti Thi

Baat Qismat Ki Hay Sirf,Juda Ho Gaye Hum
Warna Vo To Mujhay Taqdeer Kaha Karti Thi...!!!

Main to madhosh hoon mujhe hosh ka kia pata



Main to madhosh hoon mujhe hosh ka kia pata.


main to khawab
hoon mujhe need ka kia pata.


main to mohabbat hoon mujhe
nafrat ka kia pata.


main to khushboo hoon mujhe gulab ka kia
pata.


main to manzil hoon mujhe raston ka kiya
pata.


main to uss ka hoon mujhe auron ka kia pata.

Youn rah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthany ka shukriya


Youn rah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthany ka
shukriya^Barra purkhatar tha ye rasta, tere lout janay ka
shukriya


Teri yaad kiss kiss bhais mein mere
shair-o-nagma mein dhal gyi^Ye kamaal hai teri yaad ka, mujhe
yaad anay ka shukriya

Jo udas hain teri yaad
mein,jinhain bhoj lagti hai zindgi^Sar-e-bazm youn inhain dekh
kar tere mounh chupanay ka shukriya


Jo zamanay bhar
ka asool tha,wo asool tou ne nibha diya^Yahi rasam thehray gi
mohtabar MUJHE BHOL JANAY KA SHUKRIYA

Agar Aansu Baha Detay To un k Pas kya Rehta


Agar Aansu Baha Detay To un k Pas kya Rehta,

Wo Hum Ko Hosla Detay To Un K Pas Kya Rehta,

NishaN Hum ko Nahi Milta koi Un Tak Pohnchne ka,

Humein Apna Pata Detay To Un k Pas kya Rehta,

Wo Is Mein tha K Jis k Dam Par Wo Zinda Hai,

Hum Un ka Dil Dukha Detay To Un k Pas kya Rehta,

MusafiR Saray Phool Khila k Apni Rah Chal Detay,

Shajar Tehni Juhka Detay To Un k Pas Kya Rehta

Humari YadoN Ne He Ab Tak Unhein Abad Rakha Hai,

Wo hum ko B Bhula Detay To Un k Pas Kya Rehta,

tujhase naaraaz nahi zindagi, hairaan hoon main


tujhase naaraaz nahi zindagi, hairaan hoon main
o hairaan hoon main
tere masoom savalon se pareshaan hooN main
o pareshaan hoon main

jeene ke liye socha hi na tha, dard sambhalane honge
muskuraoon to, muskurane ke karz utaarne honge
muskuraoon kabhi to lagata hai
jaise hontonn pe karz rakhaa hai
tujhase ...

aaj agar bhar ayi hai, boondein baras jaayengi
kal kya pata inke liye aakhen taras jayengi
jaane kahan gum kahan khoya
ek aansu chhupake rakha tha
tujhase ...

zindagi tere gum ne hamain rishte naye samajhaye
mile jo hamain dhoop main mile chhaanv ke thande saaye

o tujhase ...

Popular Posts