Sunday, August 8, 2010

Aik do pal to zara aor rukk


Aik do pal to zara aor rukko.
Aisi jaldi bhi bhala kia hai chalay jana tum.
Shaam mehki hai abhi aor na palkoon pe sitaray jagay....
Hum sarr_e_ Raah achanak hi sahi.
Muddatoon baad millay hain to na milnay ki shikayat kaisi.
Fursatein kis ko mayassar hain yahaan.
aao do chaar qadam aor zara saath challein.
Shehr_e_ afsurda k mathay pe bujhi shaam ki raakh.
Zard pattoon main simti dekhein.
Phir issi khaak_e_bad amaan pal se.
Apnay Guzray huay kal ki Khushboo.
Lamhaa_e_ haal main Shamil kar k.

Apni be khuwaab musaafat ka azaala kar lein.
Aao iss shehr ki pur shor guzar gahoon per
Aor kuch deir abhi.
haath main dalay huye haath.
Apnay honay ka yaqeen
Aor na honay ka tamaasha kar lein.
Aaj ki shaam Sitaara kar lein.

No comments:

Popular Posts