Thursday, September 17, 2009

us k pyar ki sodagari


us k pyar ki sodagari bhi bari ajeeb thi "faysal"
wo dil to khareed raha tha magar ansooun k daam se

main ik aansoo hi sahi


main ik aansoo hi sahi hoon bohat anmol magar faysal
yun no palkon se gira ker mujhe matti mein mila

koi na aey ga zindagi mein

koi na aey ga zindagi mein tere siva "faysal"
ik mout hai jis ki hum kasam nahi detay

barish ki in boondon mein

barish ki in boondon mein
naa jaanay kis kis k aansoo hain "faraz"

sadiyon pehlay shayad koi
sadiyon beth k roya hai

lo aaj phir rone laga


lo aaj phir rone laga hai aasman ban k barish "faysal"
shayad aaj usko phir ehsas hua hai meri tanhaiyon ka

tu khuda hai na mera ishq

tu khuda hai na mera ishq farishton jesa
dono insaan hain to kyun itnay hijaabon mein milain

magroor hamain kehti hai

magroor hamain kehti he to kehti rahy dunya faysal
hum mur ke kisi shaks ko dekha nahi kartye

tairay naam se hi saji


tairay naam se hi saji hoyii meri zindagi ki kitab hay faysal
tujhe dekhna hi yakeen hay baqi sara saraab hay..

us shokh se bichar k

us shokh se bichar k faysal apni zindagi
jesay makan ho koyii deewar k baghair

toheed k qayeel hain


hum muhabbat main bhi toheed k qayeel hain faraz
aik he shaks ko mehbob banaye rakna

kiyon may kaday mein

kiyon may kaday mein baith kar bantay ho paarsa faysal
nazren bata rahen hen k niyat kharab hay...........

saza malum hai..


Muje dard-e-ishq ka maza malum hai,
dard-e-dil ki inteha malum hai,

zindgi bhar muskrane Ki dua na Dena muje,
Muje pal Bhar muskrane Ki saza malum hai..

zaroorat torr deti hai

zaroorat torr deti hai guroor-e-beniyazi ko faysal
na hoti koi majboori to har banda wafa kerta

ana parast to apni jaga


ana parast to apni jaga pe hum bhi hain "faysal"
sirf un k guroor ka hum ehtram karte hain

sakoot-e-qarb mein


sakoot-e-qarbmein utro to yaad ker lena
kabhi jo toot k bikhro to yaad ker lena

mana k tum guftgu k mahir ho faysal
wafa k lafz pe atko to yaad ker lena

zawal-e- shab mein


zawal-e- shab mein sitaron ne saath chor diya
saba chali to chiragho ne saath chor diya

mila jo moqa un se baat kerny ka
mere naseeb k lafzon ne saath chor diya

so bar marna chaha


so bar marna chaha nigahon mein dhoob kar "faysal"
wo nigahein juka leta hai humein marnay nahi deta

mere haathon ki lakeeron ko


mere haathon ki lakeeron ko us ne gour se daikha "faraz"
phir hans k bola tujhe zindagi mein sub kuch milay ga
"IK MERE SIVA"

nahi kuch gila mujhe

"FARAZ"doston say nahi kuch gila mujhe
barbaad kar gaya mera zoaq-e-wafa mujhe

jin doston nay haal na pocha tammam umer
rahi aaj tak onhi say umeed-e-wafa mujhe

be-wafai karo


duniya ka bhi ajeeb dastur hai "faysal"
be-wafai karo to rote hain wafa karo to rulate hain

mohabbat mein sar ko

mohabbat mein sar ko jhuka dena koi mushkil nahi "faysal"
roshan suraj bhi chand k liye doob jata hai

lakeeron per yaqeen kerna

main ne qismat ki lakeeron per yaqeen kerna chor diya hai "faysal"
jab insan dhoka de sakta hai to ye lakeerein kyun nahi

kabhi samjta hoon

kabhi samjta hoon k bas tum hi ho chareg-e-manzil
par kabhi lagta hai k rah ki dewaar ho tum

ye bhi acha hua k

ye bhi acha hua k usay paa na sakay "faysal"
humara ho k agar bicharta to "QAYAMAT"hoti

wo kehta rehta hai

wo kehta rehta hai bari Majboorian hain waqt ki "faysal"
saaf lafzon mein wo khud ko be-wafa nahi kehta

wohi husan wohi ghuroor


wohi husan wohi ghuroor kal raat chand hu-ba-hu tujh jaisa tha "faysal"
wohi husan wohi ghuroor or wohi doori

Halaat ne tor diya


Halaat ne tor diya kachay dhagay ki tarha warna "faysal"
mere waday bhi kabhi zanjeer hua kartey thay

tere bakshy huay ghum

tere bakshy huay ghum ka karishma hay "faysal" K
ab mujhey har ghum apnay mayaar se kam lagta hai

chajnay walay muqaddar se

chajnay walay muqaddar se mila kartay hain "faysal"
uss ne iss baat ko tasleem kia mere janay k baad

Hum tum thay ajnabi

chalo us moar se shuru karain phir ye zindagi "faysal"
har shay jahan haseen thi hum tum thay ajnabi

Mujh jaisa ahi-e-dil


mujh jaisa ahi-e-dil tujhey kahan milay ga "faysal"
jo tera sitam bhi sahay or tujhey duaaien bhi day

main wafa ka kon sa saleeka


main wafa ka kon sa saleeka ikhtyaar karoon "faysal"
usay yakeen hoojaye k mujhay wo har ek se pyara hai

uski khushi ki khatir

uski khushi ki khatir main ne kitnay ghum chupaey "faysal"
agar main aik baar rota to uska shehr doob jata

teri kashti-e-mohabbat mein


teri kashti-e-mohabbat mein kiya sawaar huway "faysal"
samandar-e-ishq bhi khushk ho gaya humari pyaas dekh kar

us ko rab se

us ko rab se itni bar manga hai "faysal"
ke ab hum sirf haath uthatay hain to sawal farishtey khud hi likh detay hain

wo mere sab kuch hai

wo mere sab kuch hai mera muqadar nahi "faysal"
kash wo mera kuch na hota bas mera muqader hota

Dasht-e-rehber

Talaash mujh ko na kar Dasht-e-rehber mein "faysal"
nigaah-e-dil se zara dekh tere pass hoon main

mohabbat mein nahi hai Qaid


mohabbat mein nahi hai Qaid milne ya bicharne ki "faysal"
ye in khud-gharz baton se bohat aagay ki duniya hai

Aaeeney se tootney ki wajhaa

Aaeeney se tootney ki wajhaa na pooch "faysal"
wo bhi meri tarha patharon ko dost samajhta hoga

hazaaron tukre keyay


hazaaron tukre keyay us ne mere dil k "faysal"
khud hi roo para har tukre per apna naam dekh kar

kuch iss liye bhi


kuch iss liye bhi doston se raabta kamrakhta hoon "faysal"
k kal mar bhi jaon to kisi ki aankh num na hoo

kabhi wo samny aa kar


kabhi wo samny aa kar mujhy mila bhi nahi
main uss se baat karon itna hosla bhi nahi

wo mangta hai sitaron ki roshni "faysal"
mere pass to miti ka ik diya bhi nahi

wafa k naam

wafa k naam se wo anjaan thay
kisi ki be-wafai se shayad pereshan thay

hum ne wafa deni chahi topata chala
hum khud be-wafa k naam se badnaam thay

mohabbat ki ibtida kardo


chalo tum hi mohabbat ki ibtida kardo
nafratoon k iss dour mein wafa kardo

mujh ko louta do ek baar mera dil
ya khud ko meri sansoon mein fanaa kardo

tujh pe Qurban ho jaon

apni khushiyan luta ke tujh pe Qurban ho jaon
kash kuch din tere shehr mein mehman ho jaon

tu apna dil mujh ko de aur Wapis mang ley
main mukar jaon aur be-eman ho jaon

teri "MEHFIL" mein

ajab andher hai teri "MEHFIL" mein ae saqi
kisi ne dil bhi jalaya or roshni na hui

MERI SAANSEIN HI


CHAL AAB MERI SAANSEIN HI ZAMANAT RAKH LAY TU "FAYSAL "
SHAYAD ISS TARHAN BAN JAUN MAIN TERE AITABAAR KE QABIL

KUCH ZAKHAM


KUCH ZAKHAM SADIYON BAAD BHI TAAZA REHTEHAIN "FAYSAL "
WAQT K PAAS BHI HAR MARZ KI DAWA NAHI HOTI

ZAROORI TO NAHI


ZAROORI TO NAHI SOORAJ SAWA NEZAY PAY AA JAYE " FAYSAL "
KOI APNA BADAL JAYE TO BHI QAYAMAT HOTI HAI

RAFTA RAFTA


WHO RAFTA RAFTA BHOLTA JA RAHA HAI MUJHE " FARAZ "
KABHI JO KEHTA THA K TUM SAANSO K SATHCHALTE HO

Popular Posts