Thursday, June 24, 2010

Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga


Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aai Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga

ek pal mai ek sadi ka maza hum se poochhye


ek pal mai ek sadi ka maza hum se poochhye
do din ki zindagi ka maza hum se poochhye

bholay hai rafta rafta unhai mudato mai hum
qisto mai khud kushi ka maza hum se poochhye

agaz-e-ashiqui ka maza aap janiye
anjam-e-ashiqui ka maza hum se poochhye

hansne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarha
hansiye magar hansi ka maza hum se poochhye

woh jaan he gaye k hume un se pyar hai
ankho ki mukhbari ka maza hum se poochhye

na doost banao Huzeifa, na qareeb lao kisi ko
doosto ki bewafai ka maza hum se poochhye

ai dil-e-raayegaaN udaas udaas


ai dil-e-raayegaaN udaas udaas
phir rahe ho kahaaN udaas udaas

chaaNd ek umr se safar meN hai
aasmaaN aasmaaN udaas udaas

jab bhii dekhaa hai jhaaNk kar dil meN
ho gayaa sab jahaaN udaas udaas

zindagii khel hai udaasii kaa
ham yahaaN, tum vahaaN udaas udaas

kyaa udaasii sivaa nahiiN kuch bhii
ai mere laa-makaaN udaas udaas

raat phir kyuuN jaagte ho aaKhir
is tarah merii jaaN udaas udaas

ek taraf Gham haiN ek taraf KhushiyaaN
aur maiN darmiyaaN udaas udaas

Udasee kay chehray perhaa mat karo


Udasee kay chehray perhaa mat karo
Ghazal ansoon se likha mat karo

behar haal yeh aag he aag hay
chiragoon ko aisay chuwa mat karo

Dua, Ansooon main khila phool hay
Kisy kay liye bad dua mat karo

tumhain loog kehnay lagay bewafa
zamanay se itny wafa mat karo

ager waqai tum pareeshan ho
kisi or se tazkira mat karo

Khuda k liye chandni raat main
akelay akelay phira mat karo

Jo Dil Main Dabbi Hay Ussay Awaz Kerday


Jo Dil Main Dabbi Hay Ussay Awaz Kerday
Tu Is Ishq Main Achoota Sa Ijaaz Kerday

Teri Pohanch Say Door Koi Manzil Nahin
Gar Tu Muqam e Ishq Sar Afraaz Kerday

Sada e Dil Ke Nigah Tarjuman Ho Jaai
Yeh Dil Kub Is Silsilay Ka Aghaaz Kerday

Majrooh Tha Per Chaha Hay Majzoob Ke Tarhan
Meri Parastish Kisi Taur Khuda Namaaz Kerday

Shab e Firaq Kisi Had Tak To Muhlat Day
Koi Hay Jo Yeh Rat Jagay Daraaz Kerday

Jo Dil Main Doob Ker Rooh Main Utter Jain
Koi Khayal Chand Alfaaz Tujhay Mumtaz Kerday

aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal kii tarah


aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal kii tarah
haath aaye na sitaare tere aa.Nchal kii tarah

raat jalatii hu_ii ik aisii chitaa hai jis par
terii yaade.n hai.n sulagate huye sa.ndal kii tarah

tuu ki dariyaa hai magar merii tarah pyaasaa hai
mai.n tere paas chalaa aa_uu.Ngaa baadal kii tarah

mai.n huu.N ik Khvaab magar jaagatii aa.Nkho.n kaa "Ameer"
aaj bhii log gavaa.N de na mujhe kal kii tarah

aaj bhii hai.n mere qadamo.n ke nishaa.N aavaaraa


aaj bhii hai.n mere qadamo.n ke nishaa.N aavaaraa
terii galiyo.n me.n bhaTakate the jahaa.N aavaaraa

tujh se kyaa bichha.De to ye ho ga_ii apanii haalat
jaise ho jaaye havaao.n me.n dhuaa.N aavaaraa

mere shero.n kii thii pahachaan usii ke dam se
us ko kho kar hue benaam-o-nishaa.N aavaaraa

jis ko bhii chaahaa use TuuT ke chaahaa
kam mile.nge tumhe.n ham jaise yahaa.N aavaaraa

suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii


suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
vo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hotii

go havaa-e-gulsitaa.N ne mere dil kii laaj rakh lii
vo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii

ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulsitaa.N muattar
magar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii

ye khule khule se gesuu inhe.n laakh tuu sa.Nvaare
mere haath se sa.Nvarate to kuchh aur baat hotii

go haram ke raaste se vo pahu.Nch gaye Khudaa tak
terii raahaguzar se jaate to kuchh aur baat hotii

dono jahaan terii mohabbat me.n haar ke


dono.n jahaan terii mohabbat me.n haar ke
vo jaa rahaa hai ko_ii shab-e-Gam guzar ke

viiraa.N hai maikadaa Khum-o-saaGar udaas hai
tum kyaa gaye ki ruuTh gaye din bahaar ke

duniyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa
tujh se bhii dil-fareb hai.n Gam roz-gaar ke

bhuule se muskuraa to diye the vo aaj "Faiz"
mat puuchh val-vaal-e-dil-e-naakardaakaar ke

aashiyaane kii baat karate ho


aashiyaane kii baat karate ho
dil jalaane kii baat karate ho

saarii duniyaa ke ranj-o-Gam de kar
muskuraane kii baat karate ho

ham ko apanii Khabar nahii.n yaaro
tum zamaane kii baat karate ho

zikr meraa sunaa to chi.D ke kahaa
kis diivaane kii baat karate ho

hadasaa thaa guzar gayaa hogaa
kis ke jaane kii baat karate ho

her shaks bewafa hai koi mutaber nahi


her shaks bewafa hai koi mutaber nahi
iss behasi k door main apna guzar nahi

wada kiya tah sath nebhane ka Umr bher
is guftago k bad woh aaya idhar nahi

kub se hon muntazer k woh aaega ek roz
meri to sham ho gai oss ke sahar nahi

woh tha hassen teri nazar main SHAFEH ossay
teri nazar lagi hai jahan ke nazar nahi

Kahin deep jale kahin dil


Kahin deep jale kahin dil
Zara dekh le aakar parwaane
Teri kaunsi hai manzil
Kahin deep jale kahin dil

Mera geet mere dil ki pukaar hai
Jahan main hoon vahin tera pyaar hai
Mera dil hai teri mehfil
Zara dekh le aakar parwaane
Teri kaunsi hai manzil
Kahin deep jale kahin dil
Na main sapna hoon na koi raaz hoon
Ek dard bhari aawaaz hoon
Piya der na kar aa mil
Zara dekh le aakar parwaane
Teri kaunsi hai manzil
Kahin deep jale kahin dil
Dushman hai hazaaron yahan jaan ke
Zara milna nazar pehchaanke
Kayi roop mein hai kaatil
Zara dekh le aakar parwaane
Teri kaunsi hai manzil
Kahin deep jale kahin dil  

pass gheroo ko humesha woh bethana chahay


pass gheroo ko humesha woh bethana chahay
mujh ko her bar he necha woh dekhana chahay

woh jo dkhta bhi nahi samne aata bhi nahi
Dil ossi shaks ko seene se lagana chahay

mera halka he mere qatal ka baes hoga!
mera halka he mujhi reh se hatana chahay

mere jazbon ke sadakat ne osse roka hai
Khat woh saray mere chupke se jalana chahay

hath range thay mere Khon se jis ne
abb woh turbat pe meri phol sajana chahay

phir kuchh is dil ko beqaraarii hai


phir kuchh is dil ko beqaraarii hai
siinaa zoyaa-e-zaKhm-e-kaarii hai


phir jigar khodane lagaa naaKhun
aamad-e-fasl-e-laalaakaarii hai


qiblaa-e-maqsad-e-nigaah-e-niyaaz
phir vahii pardaa-e-ammaarii hai


chashm-e-dallal-e-jins-e-rusavaaii
dil Khariidaar-e-zauq-e-Khvaarii hai


vahii sad_rang naalaa farsaaii
vahii sad_guunaa ashq_baarii hai


dil havaa-e-Khiraam-e-naaz se phir
mahashristaa.N-e-beqaraarii hai


jalvaa phir arz-e-naaz karataa hai
roz-e-baazaar-e-jaa.N_supaarii hai


phir usii bevafaa pe marate hai.n
phir vahii zindagii hamaarii hai


phir khulaa hai dar-e-adaalat-e-naaz
garm baazaar-e-fauj_daarii hai


ho rahaa hai jahaa.N me.n a.Ndher
zulf kii phir sarishtaa_daarii hai


phir diyaa paaraa-e-jigar ne savaal
ek fariyaad-o-aah-o-zaarii hai


phir hue hai.n gavaah-e-ishq talab
ashq_baarii kaa hukm_zaarii hai


dil-o-mizshgaa.N kaa jo muqadamaa thaa
aaj phir us kii ruub_qaarii hai


be_Khudii be_sabab nahii.n 'Ghalib'
kuchh to hai jis kii pardaadaarii hai

dil-e-naadaa.N tujhe huaa kyaa hai


dil-e-naadaa.N tujhe huaa kyaa hai
aaKhir is dard kii davaa kyaa hai

ham hai.n mushtaaq aur vo bezaar
yaa ilaahii ye maajaraa kyaa hai


mai.n bhii muu.Nh me.n zabaan rakhataa huu.N
kaash puuchho ki muddaa kyaa hai

jab ki tujh bin nahii.n koii maujuud
phir ye ha.ngaamaa, ai Khudaa kyaa hai


ye parii cheharaa log kaise hai.n
Gamazaa-o-ishvaa-o-adaa kyaa hai

shikan-e-zulf-e-ambarii kyo.n hai
nigah-e-chashm-e-surmaa saa kyaa hai

sabazaa-o-gul kahaa.N se aaye hai.n
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai

hamako unase vafaa kii hai ummiid
jo nahii.n jaanate vafaa kyaa hai

haa.N bhalaa kar teraa bhalaa hogaa
aur darvesh kii sadaa kyaa hai

jaan tum par nisaar karataa huu.N
mai.n nahii.n jaanataa duaa kyaa hai

mai.n ne maanaa ki kuchh nahii.n 'Ghalib'
muft haath aaye to buraa kyaa hai

bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaa.N honaaa

bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaa.N honaaa
aadamii ko bhii mayassar nahii.n insaa.N honaa

giriyaa chaahe hai Kharaabii mere kaashaane kii
dar-o-diivaar se Tapake hai bayaabaa.N honaa

waa-e-diiwaangii-e-shauq ke har dam mujh ko
aap jaanaa udhar aur aap hii hairaa.N honaa

jalvaa az_bas ke taqaaza-e-nigah karataa hai
jauhar-e-aaiina bhii chaahe hai mizaGaa.N honaa

ishrat-e-qatl_gah-e-ahal-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaaraa hai shamashiir kaa uriyaa.N honaa

le gaye Khaak me.n ham daaG-e-tamannaa-e-nishaat
tuu ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaa. N honaa

ishrat-e-paaraa-e-dil, zaKhm-e-tamannaa_Khaanaa
lazzat-e-riish-e-jigar Garq-e-namakdaa.N honaa

kii mere qatl ke baad us ne jafaa se taubaa
haaye us zod_pashemaa.N kaa pashemaa.N honaa

haif us chaar girah kapa.De kii qismat 'Ghalib'
jis kii qismat me.n ho aashiq kaa garebaa.N honaa
 

kab talak pyaas ke saharaa me.n jhulasate jaaye.n


kab talak pyaas ke saharaa me.n jhulasate jaayein
ab ye baadal jo uThe hai.n to barasate jaayein

kaun batalaaye tumhe.n kaise vo mausam hai.n ki jo
mujh se hii duur rahe.n mujh me.n hii basate jaayein

haaye kyaa log ye aabaad huye hai.n mujh me.n
pyaar ke lafz likhe.n lahaje se Dasate jaayein

aa_iinaa dekhuu.N to ik chehare ke be-rang nuquush
ek naadiiddaa-sii zanjiir me.n kasate jaayein

juz muhabbat kise aayaa hai mayassar ummiid
aisaa lamhaa ki jidhar sadiyo.n ke raste jaayein

ye aalam shauq kaa dekhaa na jaaye


ye aalam shauq kaa dekhaa na jaaye
vo but hai yaa Khudaa dekhaa na jaaye

ye kin nazaro.n se tum ne aaj dekhaa
ke teraa dekhanaa dekha naa jaaye

hameshaa ke liye mujh se bichha.D jaa
ye manzar baarahaa dekhaa na jaaye

Galat hai jo sunaa par aazamaa kar
tujhe ai baavafaa dekhaa na jaaye

ye maharuumii nahii.n paas-e-vafaa hai
ko_ii tere sivaa dekhaa na jaaye

yahii to aashnaa banate hai.n aaKhir
ko_ii naa_aashnaa dekhaa na jaaye

'Faraz' apane sivaa hai kaun teraa
tujhe tujh se judaa dekhaa na jaaye

saaqiyaa ik nazar jaam se pahale pahale


saaqiyaa ik nazar jaam se pahale pahale
ham ko jaanaa hai kahii.n shaam se pahale pahale

Khush huaa ai dil ke muhabbat to nibhaa dii tuune
log uja.D jaate hai.n anjaam se pahale pahale

ab tere zikr pe ham baat badal dete hai.n
kitanii raGabat thii tere naam se pahale pahale

saamane umr pa.Dii hai shab-e-tanhaa_ii kii
vo mujhe chhor gayaa shaam se pahale pahale 

sab log liye sang-e-malaamat nikal aaye


sab log liye sang-e-malaamat nikal aaye
kis shahar me.n ham ahal-e-muhabbat nikal aaye

ab dil kii tamannaa hai to ai kaash yahii ho
aa.Nsuu kii jagah aa.Nkh se hasarat nikal aaye

har ghar kaa diyaa gul na karo tum ke na jaane
kis baam se Khurashiid-e-qayaamat nikal aaye

jo dar_paa-e-pindaar hai.n un qatl_gaho.n se
jaa.N deke bhii samajho ke salaamat nikal aaye

ai ham_nafaso.n kuchh to kaho ahad-e-sitam kii
ik harf se mumkin hai hikaayat nikal aaye

yaaro mujhe masaluub karo tum ke mere baad
shaayad ke tumhaaraa qad-o-qaamat nikal aaye

ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun


ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun
zaKhm phuulo.n kii tarah mahake.nge par dekhegaa kaun

dekhanaa sab raqs-e-bismal me.n magan ho jaaye.nge
jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun

vo havas ho yaa vafaa ho baat maharuumii kii hai
log to phal-phuul dekhe.nge shajar dekhegaa kaun

ham chiraaG-e-shab hii jab Thahare to phir kyaa sochanaa
raat thii kis kaa muqaddar aur sahar dekhegaa kaun

aa fasiil-e-shahar se dekhe.n Ganiim-e-shahar ko
shahar jalataa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun

Aye ishq ye sab duniyawale bekar ki baatine karte hai,


Aye ishq ye sab duniyawale bekar ki baatine karte hain,
payal ke ghamon ka ilm nahi chhankar ki baatine karte hai.

Har dil me chhupa hai teer koi har paon mein zanjeer koi,
puchhe koi unke gam ke maze jo pyar ki baatine karte hain,

Ulfat ke naye deewanon ko kis tarha se koi samjaye,
nazron pe lagi hai pabandi deedar ki baatine karte hain,

Bhanwarne hai agar madhosh to kya parwane bhi hai khamosh to kya,
sab pyar ke nagme gate hai sab yaar ki baatine karte hain,

Zindgi pyar ka geet hai , ise har dil ko gana padega


Zindgi pyar ka geet hai , ise har dil ko gana padega,
zindgi gham saghar bhi hai, haske us paar jana padega.

Jis ka ho jitna aanchal yahan par , usko saugat utni milegi,
phool jivan mein gar na khile to, kaanto so bhi nibhana padega.

Hai agar dur manzil to kya, rasta bhik hai mushkil to kya,
raat taaron bhari na mile to dil ka dipak jalana padega.

Zindgi ek paheli bhi hai, sukh dukh ki saheli bhi hai,
zindgi ek vachan bhi to hai jise sabko nibhana padega.

Apne rukh par nigaah karne do Khoobsurat gunaah karne do


Apne rukh par nigaah karne do
Khoobsurat gunaah karne do

rukh se parda hataayo jaan-e-hayaa
aaj dil ko tabaah karne do

Rukh se zara naqaab utha do, mere huzoor
Jalwa phir ek baar dikha do, mere huzoor

Woh marmari se haath woh mehka huva badan
Takraaya Mere dil se, mohabbat ka ek chaman.
Mere bhi dil ka phool khila do, mere huzoor

Husn-o-jamaal aapka, sheeshe mein dekh kar
Madhosh ho chuka hoon main, jalwon ki raah par.
Gar ho sake to hosh mein laa do, mere huzoor.

Tum hamsafar mile ho mujhe is hayaat mein
mil jaaye jaise chand koyi sooni raat mein
Jaaoge tum kahaan yeh bata do, mere huzoor

Jab jab bahar aaye aur phool muskaraye mujhe tum yaad aaye


Jab jab bahar aaye aur phool muskaraye mujhe tum yaad aaye,
jab jab bhi chand nikla aur tare jagmagaaye mujhe tum yaad aaye.

Apna koi tarana maine nahin banaaya, tumne mere labon pe har ek sur sajayaa
jab jab mere taraane duniyane gungunaaye mujhe tum yaad aaye.

Ek pyar aur wafa ki tasveer maanta hoon, tasveer kya tumhe main taqdeer manta hoon,
dekhi nazar ne khushiyaan, ya dekhe gum ke saaye ujhe tum yaad aaye

Mumkin hai zindagaani kar jaaye bewafaai lekin yeh pyar woh hai jismein nahin judaai,
is pyar ke fasaane jab jab zuban pe aaye mujhe tum yaad aaye

Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain


kabhii kabhii mere dil meN Khayaal aataa hai
ke zindagii terii zulfoN kii narm chaaNv meN
guzarne paatii to shaadaab ho bhii saktii thii
ye tiirgii jo merii ziist kaa muqaddar hai
terii nazar kii shuaaoN meN kho bhii saktii thii
ajab na thaa ke maiN begaanaa-e-alam ho kar
tere jamaal kii raanaaiiyoN meN kho rahataa
teraa gudaaz badan terii niim-baaz aaNkheN
inhiiN hasiin fasaanoN meN mahv ho rahtaa
pukaartii mujhe jab talKhiyaaN zamaane kii
tere laboN se halaavat ke ghuuNT pii letaa
hayaat chiikhtii phirtii barhanaa-sar, aur mai.n
ghanerii zulfoN ke saaye meN chhup ke jii letaa
magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai
ke tuu nahiiN, teraa Gham, terii justujuu bhii nahiiN
guzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaise
ise kisii ke sahaare kii aarzuu bhii nahiiN
zamaane bhar ke dukhoN ko lagaa chukaa huuN gale
guzar rahaa huuN kuchh anjaanii raah-gaahoN se
muhiib saaye merii simt baRhte aate haiN
hayaat-o-maut ke pur-haul KhaarzaaroN se
na ko’ii jaadaa-o-manzil na roshnii kaa suraaG
bhaTak rahii hai KhaalaaoN meN zindagii merii
inhiiN KhalaaoN meN rah jaauuNgaa kabhii khokar
maiN jaantaa huuN merii ham-nafas magar yuuN hii
kabhii kabhii mere dil meN Khayaal aataa hai
Sahir Ludhianvi

Din aa gaye shabab ke aanchal sambhaliye


Din aa gaye shabab ke aanchal sambhaliye,
Hone lagi hai sehar mein hul chul sambhaliye,

Chaliye sambhal sambhal ke kathin rah-e-ishq hai,
Nazook badi hai aapki payal sambhaliye.

Sajdhaj ke aap nikle sar-e-rahe khair ho,
takra na jaye aap ka pagal sambhaliye

Ghar se na jao dur kisi ajnabi ke saath,
barsenge jor shor se badal sambhaliye,

Mile kisise nazar to samjo ghazal hui


Mile kisise nazar to samjo ghazal hui,
rahe na apni khabar to samjo ghazal hui.

Mila ke nazaron ko wale hana haya se pi,
juka le koi nazar to samjo ghazal hui.

Idhar machalkar unhe pukare junoon mera,
Dhadak uthe udhar dil to samjo ghazal hui.

Udas bistar ki silvate jab tumhe chubhe,
Na so sako raat bhar to samjo ghazal hui.

Woh badguman ho to sher suje na shayri,
Woh meharbaan ho “zafar” to samjo ghazal hui.

Socha nahin achha bura dekha suna kuchh bhi nahi


Socha nahin achha bura dekha suna kuchh bhi nahi,
maanga khudase raat din tere siva kuchh bhi nahi.

Dekha tuje, socha tuje, chaha, tuje puja tuje,
meri khata meri wafa, teri khata kuch bhi nahin.

jis par hamari aankh ne moti bichhaye raat bhar,
bheja wahi kagaz use humne likha kuchh bhi nahi.

Ek shaam ki dahliz par bethe rahe woh der tak,
aankhon se ki baaton munhse kaha kuchh bhi nahi.

Paon chhu lene do phoolon ko inayat hogi


Paon chhu lene do phoolon ko inayat hogi,
warna humko nahi inko bhi shikayat hogi.

Aap jo phool bichhaye unhe hum thukrayaN,
humko dar hai ka ye tohin-e-mohbbat hogi.

Dil ki bechan umangon pe karam farmao,
itna ruk ruk ke chalogi to qaymat hogi.

Sharm roke hai idhar shokh udhar khhinche hai,
kya khabar thi kabhi is dil ki yeah halat hogi.

Sharm gairon se hua karti hai apno se nahi,
sharm humse bhi karogi to musibat hogi.

ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii imkaan jaanaa


ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii imkaan jaanaa
yaad kyaa tujh ko dilaayen teraa paimaan jaanaa

yunhii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai
kis qadar jald badal jaatey hain insaan jaanaa

dil ye kahataa hai ki shaayad ho fasurdaa tuu bhii
dil kii kyaa baat karen dil to hai naadaan jaanaa

avval-avval kii muhabbat ke nashe yaad to kar
bepiye bhii teraa cheharaa thaa gulistaan jaanaa

aaKhir aaKhir to ye aalam hai ke ab hosh nahiin
rag-e-miinaa sulag uThii ki rag-e-jaan jaanaa

muddaton se ye aalam na tavaqqo na ummiid
dil pukarey hii chalaa jaataa hai jaanaan jaanaa

ham bhii kyaa saadaa the ham ne bhii samajh rakhaa thaa
Gam-e-dauraan se judaa hai Gam-e-jaanaan jaanaa

ab kii kuchh aisii sajii mahafil-e-yaaraan jaanaa
sar-ba-zaanuu hai koii sar-ba-girebaan jaanaa

har ko_ii apanii hii aavaaz se kaanp uThataa hai
har ko_ii apane hii saaye se hiraasaan jaanaa

jis ko dekho vahii zanjiir-ba-paa lagataa hai
shahar kaa shahar huaa daaKhil-e-zindaan jaanaa

ab teraa zikr bhii shaayad hii Gazal mein aaye
aur se aur huaa dard kaa unvaan jaanaa

ham ki ruuThii huii rut ko bhii manaa letey they
ham ne dekhaa hii na thaa mausam-e-hijraan jaanaa

hosh aayaa to sabhii Khvaab the rezaa-rezaa
jaise urratey huye auraaq-e-pareshaan jaanaa

GULLON MEN RANG BHARAY BAD E NO BAHAR CHALAY


GULLON MEN RANG BHARAY BAD E NO BAHAR CHALAY
CHALAY BHI AAO K GULSHAN KA KAROBAR CHALAY

QAFAS UDAS HAY YAARO SABA SAY KUCH TO KAHO
KAHEN TO BEHRAY KHUDA AAJ ZIKR E YAAR CHALAY

HOA JO TEER E NAZA NEEMKASH TO KIYA HASIL
MAZA TO JAB HAY K SEENAY K AAR PAAR CHALAY

JO HAM PE GUZRI SO GUZRI MAGAR SHAB E HIJRAN
HAMARAY ASHQ TERI AQEBAT SANWAR CHALAY

Na Gawaon Nawak e Neem Kash, Dil e Reza Reza Gunwa Diya


Na Gawaon Nawak e Neem Kash, Dil e Reza Reza Gunwa Diya
Jo Bachay Hein Sang Samet Lo, Tun e Dag Dag Luta Diya

Mera Charagar Ko Naveed Ho, Saf e Dushmana Ko Khabar Karo
Wo Jo Qarz Rakhtay Thay Jan Per, Wo Hisab Aj Chuka Diya

Karo Kaj Jabeen Pe Sar-e-Kafan, Mere Qatilon Ko Gumaan Na Ho
Ke Ghuroor-e-Ishq Ka Baankpan, Pas-e-Marg Hum Ne Bhula Dia

Udhar Aik Harf Ki Kushtni, Yahan Lakh Uzr Thaa Guftni
Jo Kaha To Sun Ke Ura Dia, Jo Likha To Parh Ke Mita Dia

Jo Rukay To Koh-e-Garaan Thay Hum, Jo Chalay To Jan Se Guzar Gaye
Rah-e-Yaar Hum Ne Qadam Qadam, Tujhay Yadgaar Bana Dia

Tanhaai mein bujh gayaa hai, mera dil jalte jalte


Tanhaai mein bujh gayaa hai, mera dil jalte jalte
saare khwaab pighal gaye hai, shab ke dhalte dhalte

jitna chalte hain, utni manzil door hoti jaati hai
ab to rastaa bhool gaye hain, tanha chalte chalte

shab ki hadh sehar hoti hai, yeh qismat ka mizaaj hai
yaqienan dhokha khaayega, too mujhko chhalte chhalte

shab bhar koshish kartaa hoon, subhaa tak tujhe bhulaane ki
par yaad aa hi jaati hai too shaam dhalte dhalte

zyaada na aazmaana mere sabra ke baandh ko
sona bhi jal jaata hai zyaada jalte jalte

Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono


Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono

Na Mein Tum Se Koi Umeed Rakhoon Dil Nawaazi Ki
Na Tum Meri Taraf Dekho Ghalat Andaaz Nazron Se
Na Merey Dil Ki Dharhkan Larhkharhaaye Meri Baaton Mein
Na Zaahir Ho Tumhari Kash Makash Ka Raaz Nazron Se
Taaruf Rog Ho Jaye To Us Ko Bhulana Behter
Taaluq Bojh Ban Jaye To Us Ko Torhna Acha
Wo Afsaana Jisey Takmeel Tak Lana Na Ho Mumkin
Usey Ek Khoob Soorat Morh De Kar Chorhna Acha
Tumhain Bhi Koi Uljhan Rokti Hai Pesh Qadmi Se
Mujhey Bhi Log Kehtey Hain Ke Ye Jalwey Paraaye Hain
Merey Hamraah Bhi RuswaaiyaaN Hain Merey Maazi Ki
Tumhaarey Saath Bhi Guzri Hoyi Raaton Ke Saaye Hain

Chalo Ek Baar Phir Se Ajnabi Ban Jaayein Hum Dono

badan me.n aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai


badan me.n aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai
ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai

kahaa.N vo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai

magar kabhii ko_ii dekhe ko_ii pa.Dhe to sahii
dil aa_iinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai

vo saamane hai magar tishnagii nahii.n jaatii
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai


‘Faraz’ sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahii
hame.n aziiz hai Khaanaa_Kharaab jaisaa hai

tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai


tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai

tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahii.n intazaar apanaa hai

mile ko_ii bhii teraa zikr chhe.D dete hai.n
ke jaise saaraa jahaa.N raaz_daar apanaa hai

vo duur ho to bajaa tark-e-dostii kaa Khayaal
vo saamane ho to kab iKhtiyaar apanaa hai

zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik Gam_gusaar apanaa hai

'Faraz' raahat-e-jaa.N bhii vahii hai kyaa kiije
vo jis ke haath se siinaa_fiGaar apanaa hai

Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain


Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain
Tum hoti to kaisa hota, tum yeh kehti, tum voh kehti
Tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hansti
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to vaisa hota
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain

Yeh raat hai, yeh tumhaari zulfein khuli hui hai
Hai chaandni ya tumhaari nazrein se meri raatein dhuli hui hai
Yeh chaand hai ya tumhaara kangan
Sitaarein hai ya tumhaara aanchal
Hawa ka jhonka hai ya tumhaare badan ki khushboo
Yeh pattiyon ki hai sarsaraahat ke tumne chupke se kuch kaha hai
Yeh sochta hoon main kab se gumsum
Ke jab ki mujhko bhi yeh khabar hai
Ke tum nahin ho, kahin nahin ho
Magar yeh dil hai ke keh raha hai
Ke tum yahin ho, yahin kahin ho

Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
Tanhaai ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahut kuch hai, magar kisse kahe hum
Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum
Dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha de
Deevaar jo hum dono mein hai, aaj gira de
Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi

Mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na maang


Mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na maang

Maine samjha tha ke tu hai to darakhshaan hai hayyaat
Tera gham hai to sham-e-dahar ka jhagra kya hai
Teri soorat se hai aalam mein baharon ko sabaat
Teri aankhon ke siwa dunya mein rakha kya hai
To jo mil jaye to taqdeer nigoon ho jaye
Yun na tha maine faqat chaha tha yun ho jaye
Aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
Rahatein aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa

Mujhe pehli si mohabbat mere mehboob na maang

Angeenat sadiyon ke taariq bahimanaa talism
Resham-o-atlas-o-kamKhwaab mein bunwaye hue
Jaa-ba-jaa biktey hue koochaa-o-bazaar mein jism
Khaak mein litharey hue, khoon mein nehlaaye hue
Jism nikaley hue amraaz ke tannuuron se
Peep behti hui jaltey hue naasuuron se
Laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya ki jiye
Ab bhi dilkash hai tera husn mager kya ki jiye
Aur bhi dukh hain mohabbat ke dukh ke siwa
Rahatein aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa

Mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na maang

Bahar aayee to jaisey yak baar laut aaye hain phir adum se


Bahar aayee

to jaisey yak baar laut aaye hain phir adum se

woh khaab sarey, shabaab sarey

jo terey honton pe mar mittey they

jo mit ke har baar phir jiye they

nikher gaye hain gulaaab sarey

jo teri yadon se mushkboo hain

jo terey ushaak ka lahoo hain

bahaar aayee

ubal parey hain azaab sarey

malaal-e-ihbay-e-doastaan bhi

tumharey aaghosh-e-mehvashaan bhi

ghubar-e-khatir ke baab sarey

tirey humarey sawaal sarey, jawaab sarey

bahaar aayee

to khul gaye hain

neye sirrey se hisaab sarey

neye sirrey se hisaab sarey
bahaar aayee
bahaar aayee

main pal do pal kaa shaayar hoon


mehfil men teri ham kuch or to na laye
naghmat men saja kar jazbat le k aaye

meri zindagi ki kahani alfaaz ki zubani

mai.n pal do pal kaa shaayar huu.N
pal do pal merii kahaanii hai
pal do pal merii hastii hai
pal do pal merii javaanii hai
mai.n pal do pal kaa shaayar huu.N ...
mujhase pahale kitane shaayar
aae aur aakar chale gae
kuchh aahe.n bhar kar lauT gae
kuchh naGame gaakar chale gae
vo bhii ek pal kaa kissaa thaa
mai.n bhii ek pal kaa kissaa huu.N
kal tumase judaa ho jaauu.Ngaa
vo aaj tumhaaraa hissaa huu.N
mai.n pal do pal kaa shaayar huu.N ...
kal aur aae.nge naGamo.n kii
khilatii kaliyaa.N chunane vaale
mujhase behatar kahane vaale
tumase behatar sunane vaale
kal koii mujhako yaad kare
kyuu.N koii mujhako yaad kare
masaruuf zamaanaa mere liye
kyuu.N vaqt apanaa barabaad kare
mai.n pal do pal kaa shaayar huu.N ...

shab e gham mujh se mil kar asay royee
mela ho jesay sadiyon bad koyee

hamen apni samajh aati nehen khud
hamen kiya khaak samjhayee ga koyee

kuch asay aaj un ki yaad ayee
meli ho jesay dolat aik khoyee

saja rakha faqat hay khoon o par se
k ab to bijliyan le aaye koyee

udaas ankhoon se ansoo nhin nikaltey hein


udaas ankhoon se ansoo nhin nikaltey hein
ye motiyoon ki tarah seepyoon mein pultey hein

ghaney doowein mein farishtey be ankh multey hein
tamam raat khajooroon ke pair jultey hein

mein shaah raah nhin,rastey ka pathar hoon
yahaan sawaar be piadal utar kar cultey hein

unhein kabi na batana mein unki ankein hoon
wo log phool samaj kar mujhe masultey hein

ye ek pair hai,aa is se mil kar ro lein hum
yahaan se tere mere rastey badultey hein

ka_ii sitaroon ko mein janta hoon buchpun se
kahin be jaoon mere saath saath chultey hein

chaand ke saath ka_ii dar pooraney nikley


chaand ke saath ka_ii dar pooraney nikley
kitney gham the jo tere gham ke bahaney nikley

fasl_e_gul ayi phir ek baar aseeran_e_wafa
apney khoon ke darya mein nahaney nikley

dil ne ik eent se tameer kiya taaj mehal
tu ne ek baat kahi laakh fasaan nikley

dasht_e_tanhai_e_hijraan mein khara sochta hoon
haye kya log mera saath nibhaney nikley

zindagi ka dar lekar inqlaab aya toh kya


zindagi ka dar lekar inqlaab aya toh kya
ek josheeda pe gurbat mein shabaab aya toh kya

ab toh ankhoon par gham_e_hasti ke pardey par gaye
ab koi husn_e_mujasim benaqaab aya toh kya

khud chaley atey toh shahid baat ban jaati koi
baad tark_e_ashqi khat ka jawab aya toh kya

mudtoon bichrey rahe phir be galey toh mil liye
hum ko sharm ayi toh kya un ko hijaab aya toh kya

ek tajali se munavar kijiye qatl_e_hayat
har tajali par dil_e_khana kharab aya toh kya

matala_e_hasti ki saazish dekhtey hum be
hum ko jub neend aa gayi phir mehtaab aya toh k

charaq_e_zindagi hoga frozaan hum nhin hoongey


charaq_e_zindagi hoga frozaan hum nhin hoongey
chamun mein ayegi fasl_e_bahar hum nhin hoongey

ab tumarey hath mein taqdeer_e_alam hai
tumein hoongey faroqh_e_bazm_e amkaan hum nhin hoongey

jiyein gey jo wo dekhein ke baharein zulf jana ki
sanwarey jaein gey gesoo doraan hum nhin hoongey

humarey doobney ke baad ubrein gey neye taarey
jabeen dhar par chatkey gi hum nhin hoongey

na tha apni hi qismat mein talooh_e_mehar ka jalwa
sehar ho jaye gi shaam_e_gareeban hum nhin hoongey

humarey dor mein dali khurd ne uljinein lakhoon
jinoon ki mushkilein jub hoongi asaan hum nhin hoongey

khin hum ko dikha doh ik kirn hi timtimati si
ke jis din jagmagaye ga sabistaan hum nhin hoongey

qareeb maut khari hai zara thehar jao


qareeb maut khari hai zara thehar jao
qazaa se ankh lari hai zara thehar jao

thaki thaki se fazaein bujhe bujhe se taarey
bari udaas gari hai zara thehar jao

nhin umeed ki hum ajj ki sehar dekhein
ye raat hum pe kari hai zara thehar jao

abi na jao ki taaroon ka dil darkta hai
tamam raat pari hai zar thehar jao

phir is ke bad kabi hum na tum ko rokein gey
laboon pe saans ari hai zara thehar jao

dum_e_firaaq mein ji bhar ke tum ko dekh loon
ye fesley ki gari hai zara thehar jao

ajj ashkoon ka taar toot gaya rishta_e_intzaar toot gaya


ajj ashkoon ka taar toot gaya
rishta_e_intzaar toot gaya

yoon wo thookra ke cul diye goya
ik khilona tha payar toot gaya

roye reh reh kar hichkiyaan lekar
saaz_e_gham baar baar toot gaya

app ki berookhi ka shikwa kya
dil tha na_paidaar toot gaya

dekh li dil ne besabati_e_gul
phir tilism_e_bahar toot gaya

kya chaar din ki ranjish se
itni mudat ka payar toot gaya

jub tera hukm mila tark mohabat kar di


jub tera hukm mila tark mohabat kar di
dil magar is pe wo darka ke qayamat kar di

tujh se kis tarah mein izhaar_e_tamana karta
lafz soojha toh mani ne bagawat kar di

mein toh samja tha ke laut atey hein janey waley
tu ne ja kar toh judai meri qismat kar di

mujh ko dushman ke iradoon pe bi payar ata hai
teri ulfat ne mohabat meri adat kar di

pooch betha hoon mein tujh se tere koochey ka pata
teri halat ne kesey teri surat kar di

kiss ko qatil mein kahoon kis ko masheeha samjoon


kiss ko qatil mein kahoon kis ko masheeha samjoon
sub yahan dost hi bethey hein kisey kya samjoon

wo be kya din the ke har wehum yaqeen hota tha
ab haqeeqat nazar aye toh usey kya samjoon

dil jo toota to ka_ii haath doua ko uthe
aesey mahol mein ab kis ko paraya samjoon

zulm ye hai ke hai yaqta teri beganaravi
lutf ye hai ke mein ab tak tujeh apna samjoon

maroon toh mein kissi cherey mein rung bhar jaoon


maroon toh mein kissi cherey mein rung bhar jaoon
kaash yehi ek kaam kar jaoon

ye dasht_e_tark_e_mohabat ye tere qurb ki pyaas
jo izaan ho toh teri yaad se guzar jaoon

mera wajood meri rooh ko pookarta hai
teri taraf chaloon toh tehar tehar jaoon

tere jamal ka paratau(saya)hai sub haseenoo par
kahan kahan tujhe dhoondoon kidar kidar jaoon

mein zinda tha ki tera intzaar khatam na ho
jo tu mila hai toh ab sochta hoon mar jaoon

ye sochta hoon ki mein but_parast kyoon na houa
tujhe qreeb jo paoon to khud se dar jaoon

kissi chaman mein bas is khof se guzar na houa
kissi kali pe na bhoolne se paoon dhar jaoon

ye jee mein ati hai takhleeq_e_fun ke lamhoon mein
ke khoon bun ke rag_e_sung mein utar jaoon

awara hein galyoon mein mein aur meri tanhai


awara hein galyoon mein mein aur meri tanhai
jayein toh kahan jayein har mor pe ruswai
mein aur meri tanhai

ye phool se cherey hein hanstey houey guldastey
koi be nhin apna beganey hein sab rastey
mein aur meri tanhai

armaan sulagtey hein seeney mein chitaa jesey
qatil nazar ati hai duniya ki have jesey
roti hai mere dil par bajti houi shehnai
mein aur meri tanhai

har rang mein ye duniya so rung badalti hai
ro kar kabi hansati hai,hans kar kabi gati hai
ye payar ki bahein hein ya maut ki angrai
mein aur meri tanhai

akaash ke mathe par taroon ka charaghaan hai
pehloon mein mere magar mere zakhmoon ka gulistaan hai
ankhoon se lahoo tapakta daman mein bahaar ayi
mein aur meri tanhai

Popular Posts