awara hein galyoon mein mein aur meri tanhai
jayein toh kahan jayein har mor pe ruswai
mein aur meri tanhai
ye phool se cherey hein hanstey houey guldastey
koi be nhin apna beganey hein sab rastey
mein aur meri tanhai
armaan sulagtey hein seeney mein chitaa jesey
qatil nazar ati hai duniya ki have jesey
roti hai mere dil par bajti houi shehnai
mein aur meri tanhai
har rang mein ye duniya so rung badalti hai
ro kar kabi hansati hai,hans kar kabi gati hai
ye payar ki bahein hein ya maut ki angrai
mein aur meri tanhai
akaash ke mathe par taroon ka charaghaan hai
pehloon mein mere magar mere zakhmoon ka gulistaan hai
ankhoon se lahoo tapakta daman mein bahaar ayi
mein aur meri tanhai
No comments:
Post a Comment