zindagi ka dar lekar inqlaab aya toh kya
ek josheeda pe gurbat mein shabaab aya toh kya
ab toh ankhoon par gham_e_hasti ke pardey par gaye
ab koi husn_e_mujasim benaqaab aya toh kya
khud chaley atey toh shahid baat ban jaati koi
baad tark_e_ashqi khat ka jawab aya toh kya
mudtoon bichrey rahe phir be galey toh mil liye
hum ko sharm ayi toh kya un ko hijaab aya toh kya
ek tajali se munavar kijiye qatl_e_hayat
har tajali par dil_e_khana kharab aya toh kya
matala_e_hasti ki saazish dekhtey hum be
hum ko jub neend aa gayi phir mehtaab aya toh k
No comments:
Post a Comment