kabhii kabhii mere dil meN Khayaal aataa hai
ke zindagii terii zulfoN kii narm chaaNv meN
guzarne paatii to shaadaab ho bhii saktii thii
ye tiirgii jo merii ziist kaa muqaddar hai
terii nazar kii shuaaoN meN kho bhii saktii thii
ajab na thaa ke maiN begaanaa-e-alam ho kar
tere jamaal kii raanaaiiyoN meN kho rahataa
teraa gudaaz badan terii niim-baaz aaNkheN
inhiiN hasiin fasaanoN meN mahv ho rahtaa
pukaartii mujhe jab talKhiyaaN zamaane kii
tere laboN se halaavat ke ghuuNT pii letaa
hayaat chiikhtii phirtii barhanaa-sar, aur mai.n
ghanerii zulfoN ke saaye meN chhup ke jii letaa
magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai
ke tuu nahiiN, teraa Gham, terii justujuu bhii nahiiN
guzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaise
ise kisii ke sahaare kii aarzuu bhii nahiiN
zamaane bhar ke dukhoN ko lagaa chukaa huuN gale
guzar rahaa huuN kuchh anjaanii raah-gaahoN se
muhiib saaye merii simt baRhte aate haiN
hayaat-o-maut ke pur-haul KhaarzaaroN se
na ko’ii jaadaa-o-manzil na roshnii kaa suraaG
bhaTak rahii hai KhaalaaoN meN zindagii merii
inhiiN KhalaaoN meN rah jaauuNgaa kabhii khokar
maiN jaantaa huuN merii ham-nafas magar yuuN hii
kabhii kabhii mere dil meN Khayaal aataa hai
Sahir Ludhianvi
No comments:
Post a Comment