charaq_e_zindagi hoga frozaan hum nhin hoongey
chamun mein ayegi fasl_e_bahar hum nhin hoongey
ab tumarey hath mein taqdeer_e_alam hai
tumein hoongey faroqh_e_bazm_e amkaan hum nhin hoongey
jiyein gey jo wo dekhein ke baharein zulf jana ki
sanwarey jaein gey gesoo doraan hum nhin hoongey
humarey doobney ke baad ubrein gey neye taarey
jabeen dhar par chatkey gi hum nhin hoongey
na tha apni hi qismat mein talooh_e_mehar ka jalwa
sehar ho jaye gi shaam_e_gareeban hum nhin hoongey
humarey dor mein dali khurd ne uljinein lakhoon
jinoon ki mushkilein jub hoongi asaan hum nhin hoongey
khin hum ko dikha doh ik kirn hi timtimati si
ke jis din jagmagaye ga sabistaan hum nhin hoongey
No comments:
Post a Comment