Thursday, June 24, 2010

bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaa.N honaaa

bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaa.N honaaa
aadamii ko bhii mayassar nahii.n insaa.N honaa

giriyaa chaahe hai Kharaabii mere kaashaane kii
dar-o-diivaar se Tapake hai bayaabaa.N honaa

waa-e-diiwaangii-e-shauq ke har dam mujh ko
aap jaanaa udhar aur aap hii hairaa.N honaa

jalvaa az_bas ke taqaaza-e-nigah karataa hai
jauhar-e-aaiina bhii chaahe hai mizaGaa.N honaa

ishrat-e-qatl_gah-e-ahal-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaaraa hai shamashiir kaa uriyaa.N honaa

le gaye Khaak me.n ham daaG-e-tamannaa-e-nishaat
tuu ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaa. N honaa

ishrat-e-paaraa-e-dil, zaKhm-e-tamannaa_Khaanaa
lazzat-e-riish-e-jigar Garq-e-namakdaa.N honaa

kii mere qatl ke baad us ne jafaa se taubaa
haaye us zod_pashemaa.N kaa pashemaa.N honaa

haif us chaar girah kapa.De kii qismat 'Ghalib'
jis kii qismat me.n ho aashiq kaa garebaa.N honaa
 

No comments:

Popular Posts