Sunday, October 9, 2011

Janey kiyun wo bheer mein tanha lagta hai


Janey kiyun wo bheer mein tanha lagta hai
Jaise dasht may koi ghulab tanha khilta hai

Uski ghazlon ka unwaan hamesha firaaq hota hai
Phir bhi wo hurf vasl bar-haa likhta hai

Taqseem jab bhi hoti hai zaat meri tukroon may
Wo bhaut inhimak se bhikharne ki sada sunta hai

Jab bhi kisi dewane per waar kartey hain ahl-e-shehar
Sub teer wo apney seenay pe tanha sehta hai

Ab bhi wo sahil pe khada lehroon ko hasrat se taka karta hai
Janey kiyun wo samandar ko piyaasa likhta hai

Suna hai wo shehar mein aaya hai


Suna hai wo shehar may ayea hai
Suna hai wo saath wafa layea hai
Suna hai wo phool sung apne chand murjhaye layea hai
Suna hai wo askh bhari muskrahtain bhi layea hai
Uss se kaho
Yahan koi kheridar nahi
Yahan koi beqarar nahi
Yahan koi soguwar nahi
Uss se kaho
Lout jaye
Key
Ye shehar-e-khamooshan hai
Yahan sub basi khamosh hain
Yahan koi dard nahi koi chubhan nahi
Yahan bus meethi neend sotey hain
Teray chahney waley
Ab nahi rootey hain
Ab nahi rotey hain



_________________

Hum ne yun raat key phelu may yaadon ko sajaye rakha hai


Hum ne yun raat key phelu may yaadon ko sajaye rakha hai
Goya key wosaat-e-aasman may sitaron ko sajaye rakha hai

Wo hum se pochtain hain hamari muhabbat ka peymana
Hum ne tu lamhon may sadiyun ko sajaye rakha hai

Zindagi se kia gilla kia shikayet kartey jaanan
Bus lub si kr hum ne zakhmon ko chupaye rakha hai

Faqt tujh se hi nahi apne har dard se muhabbat ki hai
Ye taqaza-e-ishq hai key dard ke sub hawalon ko sajaye rakha hai

Log kaise jee letay hain bewafa hokar Qais
Hum ne tu dil key surkh lahoo hoti zameen ko wafaon se sajaye rakha hai

Meray zakham bhaut piyare hain


Meray zakham bhaut piyare hain mujh ko jaanan
Kiyun key
Ye atta hai teray
Ju faqt aakhri soghat hain
Teri ulffat may jo millay
Mai seenchta hon inhe apne lahoo se
Aur
Sajata hon inhey ghulaboon se
Bacha kr rakhta hoon inhe tapti hawaoon se
Ke
Jab tu loutey
Tu paish kar sakon
Teray agay key aakhir ye teri atta hain
jaanan

Raaton ko uth kr neer bahana acha nahi


Raaton ko uth kr neer bahana acha nahi
Aankhon ko sitaron se sajana acha nahi

Waqt ka pheyha kabhi rukta nahi
Kisi ke lout aney ki umeed lgana acha nahi

Ye pathron ka shehar hai naadan
Yahan aayina dekhana acha nahi

Zulmaton may basney waley kab taaib hotey hain
Noor ki yahan shama jalana acha nahi

Aajiz rahoon ke chalan wo kia janey
Garoor inkey matti may millana acha nahi

Kuch dair ko tehro chand nikalney ko hai


Kuch dair ko tehro chand nikalney ko hai
Shab-e-aakhir ka ye haseen pal guzrney ko hai

Taarey bhi rat-jaga manatey hain anjuman may meri
Kuch dair may ye rounaq-e-mehfil bhi harjai honey ko hai

Raat ka aanchal oorhey koi khanakti hansi phr gonji hai
Lagta hai jism-o-jaan ka rabt tootney ko hai

Mai nikal ayea hon bhaut dor yunhi besabab chalet chalet
Dor nazar may kaheen chiragh-e-sehar bhujnay ko hai

Sabab mujhey maalom nahe dharkan-e-dil kay beqaboo honey ka
Barsoon bad phr se wohi misl-e-bd-e-saba khawabon se guzrnay ko hai

Bheeg kar barsat ke pani may sham roti hai


Bheeg kar barsat ke pani may sham roti hai
Utar kar aangan may meray sham roti hai

Aik bar chand ko usney tanhai ka ehsas dillaya tha
Us roz se chandni meray dar-o-bam roti hai

Laboon ki janbhish pe jab naam mera ajaye
Wo ashkon key sub mooti meray naam proti hai

Rait pe sahil ke wo tasveer bnati hai
Phr lar kr lehroon se saveray sham roti hai

Aankhon may saja kar wo kitney hi sapney aati hai
Bholi itni hai key taabeerain sub unki meray naam karti hai

Jab jab teri rah dekhi


Jab jab teri rah dekhi
Jab jab tujhe tallasha
Jab jab teri sada ko pukara
Lout kr har nazr har sada har tallash
Meray ujray aangan may misl-e-khak
Bhikhar gaye
Aur
Faqt itna kaha
Tera mehboob aasman ki wusaaton may nahi
Zameen ki pataal gehraiyun may nahi
Shabnam ke oos qatron may nahi
Sagar kay motiyun may nahi
Haan
Wo tujhe miley ga
Fajar ki thandi hawa may
Asr ke dhaltey sooraj may
Shab-e-aakhir key chiragh-e-sehar may
Chaand ki chaandni may
Sawan ki pheli boond may
Wo milay ga tujhe teri apni nighaon may

Sabr key daman tar tar houay


Sabr key daman tar tar houay
Jo zulm teray ahl-e-watan bar bar houay

Zameen kaanp uthi aasman tarap gaya
Watan ki galiyun may baha jo lahoo tu insan zar zar rouay

Rab-e-kaaba ko sajda karna jurm tehra yahan
Shehar-e-butparston may but-shikan aye ahl-e-watan khar khar souye

Yun loota hai asbab rafiqoon nay yahan
Ke iss harkat-e-hevaniyat pe naadim dushman bhi zar zar rouye

Wo din bhi ata hai jub khon-e-maqtool pukarey ga Qais
Tu laakh apne hath lahoo se rangeen bar bar dohaye

Jab raat key daman mein siskiyean tarapti hain


Jab raat key daman mein siskiyean tarapti hain
Tub hinaie haathon may choriyan bhikharti hain

Shajr ghulabon key chamman may tarsaan hain
Hathon ka sonapun dekh kr kaliyan tarasti hain

Daman may uskey hain wafa ke moti bikhrey se
Qismat ki rekhaon may sadiyan sisakti hain

Sham key sayaon may khud ka saya bhi tanha sa lagta hai
Logon ke melay may aakhyian barasti hain

Benam se khat chand sookhey ghulab aur tasveer-e-jaanan
Dil kit apish may adohri muhabbat ki chand nishaniyan jalti hain

Zakhm-e-ulffat key sub nishan tamghey hain
Rah-e-wafa may mil jayen tu ahl-e-dard ki chahtiyan damakti hain

Sir se paa tak wo noor ka haala hai Qais
Choohna chahaon bhi tu hatheliyan jalti hain

Aye meharban hawa Kiyun chalti hai itna taiz


Aye meharban hawa
Kiyun chalti hai itna taiz
Aik piyaam bheeja hai sanam ke naam
Kaheen gum na ho jaye teri taizi se
Tham tham kr chal
Ke piyam hai piyam-e-vasl
Na poohancha tu hijr ki ye lambi raat
Aur gehri ho jaye gi
Phr
Na jane
Kab vasl ke mousam ayen ge
Kab shab-e-hijr ki saveer ho gi
Aye meharban hawa
Zara tham tham kr chal
Ke vasl ka har lamha
Tujhe duayen de ga
Teri madaah sarai mein aik umr guzar de ga

Hiyat-e-faani ke sood-o-ziyaan sub bhool chukka hoon main


Hiyat-e-faani ke sood-o-ziyaan sub bhool chukka hoon main
Jo bhi paya tha wo sub bhool chukka hoon main

Rabt hai mujhko aik dard-e-musalsal se logo
Shab-e-hijraan ke taarek lamhon may bhaut roo chuka hoon main

Kaanton ke bister per aik umr guzari hai
Awaz mat dena ab oorh kr phoolon ki chard soo chuka hoon main


Sabab ujarney ka sar-e-rah pooch liyea uss ney
Mousam sub khizaon ke utaar key andar unka ho chukka hoon main

Sanbhal rakhain hain kuch adhore se khawab aur kuch tarsti neendain
Ab lout kr mat ana shehar-e-khamoshan ka basi ho chukka hoon main

Rasm-e-muhabbat hai sub mutta lutta dena


Rasm-e-muhabbat hai sub mutta lutta dena
Taqaza-e-ishq hai sir tasleem-e-khum katta dena

Gr tammana ho duniya ke andheray mittaney ki
Pao jo khud ko be-bus tu dar-o-baam jala dena

Jin se khadsha ho nassheman ki barbadi ka
Un chiraghon ko sar-e-sham bhuja dena

Jo dagh-e-mufarqat dekr ja basain shehar-e-khamoshan may hum
Tum bhi bator-e-saza katbay pe likha naam mitta dena

Wazahtain mangney araha hai wo jo bawafa tha kabhi Qais
Muskra key milna tum hijr ki har zakhmi sham chuppa dena

Aik shakhs mousam-e-khizaan may khilay ghulab sa hai


Aik shakhs mousam-e-khizaan may khilay ghulab sa hai
Wo kuch un-khey sawaloon kay jawab sa hai

Samait lena bhikrey houay sherazey ko tum
Ke hurf hurf kitab-e-ishq ka nayab sa hai

Badley houay lehjey badley houay atwar ki wazahat zarori tu nahi
Mousamon ka yaksaan rehna bhi tu azaab sa hai

Be-noor ujaloon ne bhi aankhain kheera kar dalein
Wo chaand aasman ka tu mehaz saraab sa hai

Hum tu qafs-e-muhabbat ke aarzomand rahey Qais
Mili jo rehai tu pal pal attaab sa hai

Raat ajab aik sapna dekha Ghumzada koi apna dekha


Raat ajab aik sapna dekha
Ghumzada koi apna dekha

Tanha akela betha tha logon ki bheer may
Lub khamoosh mgr neer bahana dekha

Aankhon may udaasi liye bus magan tha
Per dharkan-e-dil ka karhana dekha

Jo khud roonaq-e-chamman raha baharon may
Aaj titiliyun ka bhi usay satana dekha

Toot kr bikhar jayen aisi chott kahai thi usney
Dard key hajoom may bhi uska muskrana dekha

Lout ayea wo harjai jb ho chuki sham zindagi ki
Khali hath tehi daman us ka phelana dekha

Zakhmon se choor tha dekh kar hal mehboob ka
Pachtawey ki aag may jalta na aisa dewana dekha

Dil passeej jata shayed us mehboob-e-harjai ka
Per guzrey barsoon ka hisaab mangna dekha

Ye sapna tha haqiqat thi ya dard may doba waqt tha
Subah ki thandi sabaa may khud ka neer bahana dekha



_________________

Aiyan hokar bhi hijaboon mein rahey


Aiyan hokar bhi hijaboon may rahey
Zuban thi magr bezubanoon may rahey

Ajab asol hain ahl-e-dard ke yahan
Zakham kah kr bhi muskrahaton may rahey

Dhondney waley sagar ki teh se motti nikal laye
Khouf-e-aab isqadr ghalib tha ke hum kinaroon may rahey

Do gaam chaltey tu kamraani qadam choom leti
Kuch log mehv-e-khawab thay soo khawaboon may rahey

Taj-o-takht qadmon may padey muntizr thay aik nazr-e-iniyat ke
Hum sadaa kay darwaish thay so faqiroon may rahey

Log tu gunah bhi sajatey hain seenon pe tamghon ki tarah
Hum se hoi lamhe ki laghsish tu barsoon sazaon may rahey

Fursat milti tu mita letay tehreer-e-hijr loh-e-taqdeer se
Aalm-e-be-khudi may bus guzrey chand anmol lamhon ki yaadon may rahey



_________________

Bagh-e-muhabbat mein aaj bhi wafa roti hai


Bagh-e-muhabbat mein aaj bhi wafa roti hai
Ab raat pheley se barh kr siyaah hoti hai

Ye raat ke sannatey may kaisi siskiyan sunai deti hain
Lagta hai takiye pe sir rakh kr koi be-zubaan sadaa roti hai

Chaloo aankh moond kr sojatey hain uske saya-e-zulf may
Suna hai neend wahan oorh kr haseen rida soti hai

Bin piye hi madhoshi chahai rehti hai aksr
Jab bhi uske shehar se aakr bad-e-sabaa chooti hai

Uske chehray ke rang badal jatey hain yakdum
Sar-e-mehfil jab bhi majrooh uski anna hoti hai

Rukhsar pe pheli qos-o-qazah ka nazara kartey


Rukhsar pe pheli qos-o-qazah ka nazara kartey
Bana kr naya aasman tujh ko sitara kartey

Husn-e-mahtaab per tu likh rakhein hain kitabain bhaut
Sub adab sub devaan dharey reh jatey gr tera nazara kartey

Ye loh-e-dil pe likhi taqder badal jati
Gr ashk teray koi ishara kartey

Ishq may teray junoon isqadr ghalib raha
Phr ahl-e-duneya se kiyun na kinara kartey

Doob jatey toofan-e-sagar may muskaratey houay
Ay saahil pe khade naazir tujh ko na koi ishara kartey

Humain tu dukh bhi itney aziz rahe ta-umr
Kisi zulf-e-meh-jabeen ki tarah inhey sanwara kartey

Shab-e-tanhai may diya bujh jata hai jb jaanan
Beqara ho kr bekhudi may tujh ko hi pukara kartey

Faslay aisey bhi hon gay Yun na hogey tum uss kinarey pe


Faslay aisey bhi hon gay
Yun na hogey tum uss kinarey pe
Yun chand chupa badloon may hoga
Yun rah-e-wafa may tanha hum reh jayen ge
Kabhi socha na tha
Kabhi chaha na tha
Kabhi manga na tha
Ye anjam-e-ulffat
Yun rait pe tera naam likh kr
Hawaon se adawat kar dalian ge
K
Piyam bhajain ge tujhe
Aur lout aye ga rah se
Mana ke tu dor hai bhaut
Phr bhi kalaam roz tujh se hota hai
Per jaanan fasley aise bhi hon ge
Kabhi socha na tha
Kabhi socha na tha
Kabhi socha na tha…………….



_________________

Darmiyan mein kaie sehra haiyal ho gaye


Darmiyan mein kaie sehra haiyal ho gaye
Mizaaj banjaara tha so hum bhi mayial ho gaye

Sar-e-maqtal dekh kr wo heraan hain bhaut hamian
Khud apni wafaon ki saza key saiyal ho gaye

Pehli baarish may maangi thi dua kehkashaon ki
Nangey paaon ab chaltey sangrezon pe ghaiyal ho gaye

Detay kia tumhain lafzon ki soghaat
Sakhi itne thay ke khud saiyal ho gaye

Sazaaon me kami tu shayed ho jati jaanan
Dukh may lazat itni thi ke khud hi haiyal ho gaye

Rah mein kaie moor hain sanbhal kar chalna


Rah mein kaie moor hain sanbhal kar chalna
Jo pao rasta unjaana sanbhal kr chalna

Yahan muskrahaton may chupey hain teer-o-khanjr
Bnana jo tum kisi ko aashna sanbhal kr milna

Yahan awazon pe pehrain hain har soo
Jo dil ki baat chaho kehna sunbhal kr boolna

Qaasid phir aaj sandeesa laya hai harjai ka
Lifafa ashkon se hai mehakta sunbhal kr kholna

Ab nahi paata khud may jeevan ki koi ramq baqi jan-e-Qais
Ab ke jo rooth kr ho chalna sanbhal kar chalna

Kabhi tum meray maqsood they Kabhi tum meray gharoor they


Kabhi tum meray maqsood they
Kabhi tum meray gharoor they
Kabhi tum meray mehboob they
Wo waqt guzr gaya
Charha darya bhi utar gaya
Wo jo deep teray naam ke jale they
Bhujh gaye
Wo jo hawa me mehak teri chahat ki thi
Badal gaye wo bhi maanind-e-simt-e-hawa
Tum tu ruk gaye they rah may
Hum gubar-e-rah me koh gaye
Tum ko wafa raas na ayi
Hum jafa bhi hans ke seh gaye
Tum ne palat ke bhi nahi dekha waqt-e-rukhsat
Hum ne tu apni aankhain hi rakh di thein wahan
Jahan teray aanchal ne unhain choha tha
Aye ba-wafa
Kabhi jo paltna tu dihyan rakhna
Rah me wo aankhain bichi hongi
Teri aik deed ko tarasti hoi beqarar aankhain



_________________

Sooch ke safr may nikley Kal shab hum apni justujo may nikley


Sooch ke safr may nikley
Kal shab hum apni justujo may nikley
Bhaut door talak gubar hi gubar tha
Koi bhi nishan koi chehra saaf na tha
Bus aankh may nami aur laboon pe muskan thi
Tujhey jaanan talash kia kartey
Hum tu khud hi gumshuda they
Anjani rahon ke musafir tehray they
Anjaam tu ye hona hi tha
Sooch ke safr may kitney karbnak unwaan nikley
Sub hi teri zaat-e-bemisaal se munsoob nikley
Ab tu loutna bhi mahaal tha
Sooch ke is safr may faqt sood-o-ziyaan hi tha

Zubaan chup thi magr lafz boltey rehay


Zubaan chup thi magr lafz boltey rehay
Yaad ke dareechon se kaie unwaan boltey rehay

Umr-e-rawaan tu tehri ghaflaton ki kitab
Zindagi ki sham may amaalon ke mezaan boltey rehay

Bikhar gaye nasheman ke tinkey hawaon may apne
Khade tanha usay smatney ke samaan soochtey rehay

Yaadon ki rah guzr par gubar-e-kaarwan raha
Hum udasiyun me manziloon ke nishan khojtey rehay

Silsilay wafaon ke ajeeb tarz ke thay Qais
Jinhe maqsod-e-hiyat jana wohi fana ke unwaan nikaltey rehay

Chand ne pocha mujh se


Chand ne pocha mujh se
Sabab meri udasiyun ka
Mai muskra diya
Aur
Faqt itna kaha
Mera chand koh gayea hai
Wo bola
Kia tera chand bhaut haseen hai
Jo tu yun ghamgeen hai
Do askh hatheli pe meray giray
Aur
Wo baadlon may chup gayea
Sabab udasiyun ka wo kia janey
Meray chand ka aks meray ashkon may dekha
Tu
Wo sharma kr badloon ki oot may ja betha

Usney aik din poocha Muhabbat mein jafa kiyun milti hai


Usney aik din poocha
Muhabbat may jafa kiyun milti hai
Kisi ki chahat may saza kiyun milti hai
Ulffat may dukhoon ki ridda kiyun milti hai
Mai muskra diya
Aur uski jheel si
Aankhon may dekh kr sirf itna kaha
Be-wafai ki zameen pe wafa nahi palti
Sehraa ki rait may saawan ki mehak nahi milti
Aur phr wo chup hogaye
Shayed usay meray ashkon may apna aks dekhai diya

Abhi tu aghaz-e-safr tha


Abhi tu aghaz-e-safr tha
Abhi tu bahar ka phela gulaab khilla tha
Abhi tu sawan ki pheli boond barsi thi
Abhi tu diyeoon may roshni baqi thi
Abhi tu khawab palkoon pe tehray thay
Abhi tu neendain kachi thien
Abhi tu ehad-o-pemaan honey baqi thay
Abhi tu roothna manana baqi tha
Abhi tu dharkanain be-tarteeb thien
Phr
Tum kahan tehar gaye jaanan
Tum kia tehray
Tehar gaye waqt kay sub lamhat
Tehar gaye meray aansu aankhon may
Tehar gaye raaton kay awara tarey
Tehar gaye sub behr-o-bar
Per jaanan
Tum kahan tehar gaye
Tum kahan tehar gaye

Popular Posts