Sunday, October 9, 2011

Janey kiyun wo bheer mein tanha lagta hai


Janey kiyun wo bheer mein tanha lagta hai
Jaise dasht may koi ghulab tanha khilta hai

Uski ghazlon ka unwaan hamesha firaaq hota hai
Phir bhi wo hurf vasl bar-haa likhta hai

Taqseem jab bhi hoti hai zaat meri tukroon may
Wo bhaut inhimak se bhikharne ki sada sunta hai

Jab bhi kisi dewane per waar kartey hain ahl-e-shehar
Sub teer wo apney seenay pe tanha sehta hai

Ab bhi wo sahil pe khada lehroon ko hasrat se taka karta hai
Janey kiyun wo samandar ko piyaasa likhta hai

1 comment:

Popular Posts