Aik shakhs mousam-e-khizaan may khilay ghulab sa hai
Wo kuch un-khey sawaloon kay jawab sa hai
Samait lena bhikrey houay sherazey ko tum
Ke hurf hurf kitab-e-ishq ka nayab sa hai
Badley houay lehjey badley houay atwar ki wazahat zarori tu nahi
Mousamon ka yaksaan rehna bhi tu azaab sa hai
Be-noor ujaloon ne bhi aankhain kheera kar dalein
Wo chaand aasman ka tu mehaz saraab sa hai
Hum tu qafs-e-muhabbat ke aarzomand rahey Qais
Mili jo rehai tu pal pal attaab sa hai
No comments:
Post a Comment