Sunday, October 9, 2011

Raat ajab aik sapna dekha Ghumzada koi apna dekha


Raat ajab aik sapna dekha
Ghumzada koi apna dekha

Tanha akela betha tha logon ki bheer may
Lub khamoosh mgr neer bahana dekha

Aankhon may udaasi liye bus magan tha
Per dharkan-e-dil ka karhana dekha

Jo khud roonaq-e-chamman raha baharon may
Aaj titiliyun ka bhi usay satana dekha

Toot kr bikhar jayen aisi chott kahai thi usney
Dard key hajoom may bhi uska muskrana dekha

Lout ayea wo harjai jb ho chuki sham zindagi ki
Khali hath tehi daman us ka phelana dekha

Zakhmon se choor tha dekh kar hal mehboob ka
Pachtawey ki aag may jalta na aisa dewana dekha

Dil passeej jata shayed us mehboob-e-harjai ka
Per guzrey barsoon ka hisaab mangna dekha

Ye sapna tha haqiqat thi ya dard may doba waqt tha
Subah ki thandi sabaa may khud ka neer bahana dekha



_________________

No comments:

Popular Posts