Sunday, October 9, 2011

Aiyan hokar bhi hijaboon mein rahey


Aiyan hokar bhi hijaboon may rahey
Zuban thi magr bezubanoon may rahey

Ajab asol hain ahl-e-dard ke yahan
Zakham kah kr bhi muskrahaton may rahey

Dhondney waley sagar ki teh se motti nikal laye
Khouf-e-aab isqadr ghalib tha ke hum kinaroon may rahey

Do gaam chaltey tu kamraani qadam choom leti
Kuch log mehv-e-khawab thay soo khawaboon may rahey

Taj-o-takht qadmon may padey muntizr thay aik nazr-e-iniyat ke
Hum sadaa kay darwaish thay so faqiroon may rahey

Log tu gunah bhi sajatey hain seenon pe tamghon ki tarah
Hum se hoi lamhe ki laghsish tu barsoon sazaon may rahey

Fursat milti tu mita letay tehreer-e-hijr loh-e-taqdeer se
Aalm-e-be-khudi may bus guzrey chand anmol lamhon ki yaadon may rahey



_________________

No comments:

Popular Posts