Sunday, October 9, 2011

Zubaan chup thi magr lafz boltey rehay


Zubaan chup thi magr lafz boltey rehay
Yaad ke dareechon se kaie unwaan boltey rehay

Umr-e-rawaan tu tehri ghaflaton ki kitab
Zindagi ki sham may amaalon ke mezaan boltey rehay

Bikhar gaye nasheman ke tinkey hawaon may apne
Khade tanha usay smatney ke samaan soochtey rehay

Yaadon ki rah guzr par gubar-e-kaarwan raha
Hum udasiyun me manziloon ke nishan khojtey rehay

Silsilay wafaon ke ajeeb tarz ke thay Qais
Jinhe maqsod-e-hiyat jana wohi fana ke unwaan nikaltey rehay

No comments:

Popular Posts