Thursday, August 15, 2013

Dil kay Lutnay ka sabab pooch Rahi Hai Duniya

Dil kay Lutnay ka sabab pooch Rahi Hai Duniya
Yaad Aaa jaaye na Aisay mein Tera Naam Mujhay....!!

Tark-e-Mohabbat Ko Aik Umer Hui Hai

Tark-e-Mohabbat Ko Aik Umer Hui Hai
Main Ab Bhi Soch Raha Hon K Bhool Jaon Usey

Aansuon ne ghamon se ghabra ker


Aansuon ne ghamon se ghabra ker
Gir k palkon se khudkushi ker lii...!!!

Her shab wo mere khabon mein chala aata hai

Her shab wo mere khabon mein chala aata hai
Khwahish hai jis se mujhe haqiqat main milne ki

Dostoon ki zuban to khulnay do

Dostoon ki zuban to khulnay do
Bhool jaogay zakhm khanjar k

ushi ka sehar wohi mudai wohi munsaf


Aaj To Aa Jao Zabt K Sare Bandhan Torh Kar

Aaj To Aa Jao Zabt K Sare Bandhan Torh Kar
Aaj Phr Arooj Par Hai Dard Bhi Barish Bhi Or Tanhai Bhi..

Haan Yaad Aaya Uske Aakhri Alfaaz Yahi Thay

Haan Yaad Aaya
Uske Aakhri Alfaaz Yahi Thay....

Ab Jee Sako To Jee Lena,
Par Mar Jao To Behtar Hai.......!!

Zindagi Yun basar Hui Tanha

Zindagi Yu'n basar Hui Tanha
Qaafila Saath aur Safar Tanha..

Apnon ki Chahton mein milawat thi iss qadar

Apnon ki Chahton mein milawat thi iss qadar
Main Tang aa K Dushmanu ko mana'ny nikal para..!!

Us Waqt Rag-e-Jaan Par Bari Chaot Lagay Gi

Us Waqt Rag-e-Jaan Par Bari Chaot Lagay Gi
Jab Tujhse Bichar Kar, Tere Hum-Naam Milain Gay

Raat k pichalay pehar

رات کے پـچـھلے پـہر  نِـیـند شِـکن تـنـہائـی

 کِـیسے کـرتـی ہے سـوالات  تُـجھے کـیا مـعلوم ؟؟

Jaanaa Paraa Raqiib Ke Dar Par Hazaar Baar

Jaanaa Paraa Raqiib Ke Dar Par Hazaar Baar
Ae Kaash Jaantaa Na Tere Rah-Guzar Ko Main

Teri aankhon ki tarha gehra tha

Teri aankhon ki tarha gehra tha
zakham bharnay mein bahut dair lagi !!

Meray To Muqadar Mai Teri Yaad Hai lekin

Meray To Muqadar Mai Teri Yaad Hai lekin
TU jIs Ka Muqadar Hai Usey Zindagi Mubarak !!

Tanhai ki jaan jalao yun hi saari raat

تنہائی کی جان جلاؤں یوں ہی ساری رات
خود ہی در پہ دستک دوں اور خود ہی پوچھوں،کون۔۔۔۔؟

Zabt Kehta He Khamoshi Main Basar Ho Jaaye

Zabt Kehta He Khamoshi Main Basar Ho Jaaye
Dard Ki Zid He K Duniya Ko Khabar Ho Jaaye..!!

Us K Honton K Tabassum Mein Thi Khushboo Gham Ki

Us K Honton K Tabassum Mein Thi Khushboo Gham Ki
Hum Ne Mohsin ko Bohat Dair Se Samjha Yaro

kuch na tha kuch bhi na tha

کچھ نہ تھا، کچھ بھی نہ تھا، جب میرے آثار کُھدے
ایک دل تھا، سو___ کئی جگہ سے ____ٹُوٹا نِکلا

Shidat-e-dard k Aalam mein bhi chup rehta hoon

Shidat-e-dard k Aalam mein bhi chup rehta hoon,
Muskuraaon to tera dard buraa manay ga.....!!

Zindagi Main To Musafir Hoon Teri Kashti Ka

Zindagi Main To Musafir Hoon Teri Kashti Ka
Tu Jahan Mujhse Kahegi Main Utar Jaaunga...!!!!

Ghata Hai Dil Ka Sakoon Umer Ki Tarha Sadaqat

Ghata Hai Dil Ka Sakoon Umer Ki Tarha Sadaqat
Barhay Hain Saye Ghamo K Zaroorato Ki Tarha...!!

Aur Aik Taaza Sitam Uss Ne Kiya hai Mohsin

Aur Aik Taaza Sitam Uss Ne Kiya hai Mohsin
Uss Ko Iss Baar Zara Khoob Dua Di Jaye

Aye Kash Tu Bhi Sunta Kabhi Aahto'n Ki Goonj

Aye Kash Tu Bhi Sunta Kabhi Aahto'n Ki Goonj
Tu Bhii Meri Tarha Se Kabhi Dhoondta Mujhe

Bewafaai Ka Dukh Nahi Hai Mujhe Mohsin

Bewafaai Ka Dukh Nahi Hai Mujhe Mohsin
Bus Kuch Log Aasy Thay Jin Se Umeedein Bahut Thein

Aaya Kuch Is Ada Se K Palkein Bhigo Giya

Aaya Kuch Is Ada Se K Palkein Bhigo Giya
Jhonka Tere Khiyal Ka Kitana Shadeed Tha

usay Kehna! Ye Shaam Ki Udaasiya Humein Achi Nahi Lagti

usay Kehna! Ye Shaam Ki Udaasiya Humein Achi Nahi Lagti
Agar Ho Sake To Ye Judaai Thori Si Mukhtasir Kar Do

Ishq Ki Aakhri Manzil Pe Aa Kar Soocha

Ishq Ki Aakhri Manzil Pe Aa Kar Soocha
Ab Teri Yaad Ko Darya Mein Baha Kar Dekhon

Har Sham Ye Sawal Mohabat Se Kiya Mila?

Har Sham Ye Sawal Mohabat Se Kiya Mila?
Har Sham Ye Jawab K Har Sham Ro Pare

Mera Afsurda Chehra Isliye Bhi Zard Rehta hai

Mera Afsurda Chehra Isliye Bhi Zard Rehta hai
Mujhe Apne Ilawa Bhi Kisi Ka Dard Rehta Hai

ek Adhoori Nazam K Misre Pe Aanso Dekh Ker

ek Adhoori Nazam K Misre Pe Aanso Dekh Ker
Kal Raat Meri Kitab Mein aik Titli Mar Gayi ..
Barish hui to ghar k dareechy se lag k
Chup chap sog'waar tujhe sochte rahe

Ye Muhabat Bhi aik Nayki Hai

Ye Muhabat Bhi aik Nayki Hai
Chalo Darya Mein Dal Aatay Hein...

Mar Jaate Kyu'n Na Subh Ke Hote Hi Hijr Mein

Mar Jaate Kyu'n Na Subh Ke Hote Hi Hijr Mein
Takleef Kaisi Kaisi Uthaai Tamaam Shab

Mohsin Usay Milna Hai To Dukhnay Do Ye Aankhain

Mohsin Usay Milna Hai To Dukhnay Do Ye Aankhain
Kuch Or Bhi Jaago K "wo Shaab Khaiz" Bhot Hai

Awaz mein thehrao tha ankhon mein nammi thi

Awaz mein thehrao tha ankhon mein nammi thi
Or keh raha tha k sab kuch bhula diya...

Samajh k maal e ganeemat mujh ko

Samajh k maal e ganeemat mujh ko
Teri yadoon nay be'pannah loota

jab hont si diye to qalam bolne laga

جب ہونٹ سی دیئے تو قلم بولنے لگا
یہ میری بے بسی مجھے شاعر بنا گئی

Ya Rab! Zamana Mujh ko Mitata Hai kis Liye

Ya Rab! Zamana Mujh ko Mitata Hai kis Liye
Lauh-E-Jahan Pe Harf-E-muqarrar Nahi Hoon Main !!

Hujoom-e-Shehar Se Milta Na Tha Mizaaj Us Ka

Hujoom-e-Shehar Se Milta Na Tha Mizaaj Us Ka
 Bichar K Bhi wo Laga Mujh Hu Ba-hu Mera

Dil Ki Tareef Or Kiya Ho Gi

Dil Ki Tareef Or Kiya Ho Gi
Ik Khilona Jo Toot Jata Hai...

kyun na aaj un ko pukara jaye

kyun na aaj un ko pukara jaye
dil e weeran ko sataya jaye

aaj phir un ko maana kar pal mein,
dil k zakhmon ko nikhara jaye

un ko phir aaj mana leynay ko
phool zulfon mein sajaya jaye

payaar aankhon sey ayaan hota hai
kyun bhala sab ko bataya jaye

payar ehsas hai,ik khail nahi
tum ko yeh kaisay dikhaya jaye?

Barsat kay Mosam Main Bheghtay Hoey Lamhoon Say

Barsat kay Mosam Main Bheghtay Hoey Lamhoon Say
Pehroon Main Nay Tanha Teray Ehsas Say Baten ki Hain

Itni shid'dat ki baghawat hai mere jazboon mein

Itni shid'dat ki baghawat hai mere jazboon mein
Main kisi roz Muhabbat se mukar jaunga ...!

aye yaad e dost aaj too jee bhar k dil dukha

ﺍﮮ ﻳﺎﺩِ ﺩﻭﺳﺖ، ﺁﺝ ﺗﻮ ﺟﻲ ﺑﮭﺮ ﮐﮯ ﺩﻝ ﺩﮐﮭﺎ
ﺷﺎﻳﺪ ﻳﮧ ﺭﺍﺕ ﮨﺠﺮ ﮐﻲ ﺁﺋﮯ ﻧﮧ ﭘﮭﺮ ﮐﺒﮭﻲ

Tere Waade Par Sitam-Gar Abhi Aur Sabr Karte

Tere Waade Par Sitam-Gar Abhi Aur Sabr Karte
Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar Hota

Sakoot Lab Per Ankhon Mein Intizar Liye

Sakoot Lab Per Ankhon Mein Intizar Liye
 Her Aik Shaam Teri Arzoo Rahi Mujh Ko

Munhasir Ehl-e-Sitam Per Hi Nahi "Mohsin"

Munhasir Ehl-e-Sitam Per Hi Nahi "Mohsin"
Log Apno Ki Inayat Se Bhi Mar Jatey Hein.!

Talab karein to main apni aankhein bhi unko de doon

طلب کریں تو میں اپنی آنکھیں بھی ان کو دے دوں

مگر یہ لوگ میری آنکھوں کے خواب مانگتے ھیں

adaatan suljha raha tha

عادتاً سلجھا رہا تھا_____ گتھیاں کل رات میں
دل پریشاں تھا بہت___ اور مسئلہ کوئی نہ تھا

Popular Posts