Wednesday, September 16, 2009

MAIN KHUDA KI NAZROON MEIN

MAIN KHUDA KI NAZROON MEIN KAISE NA GUNAHGAR HOTA " FARAZ "
SAJDON MEIN BHI WHO YAAD ANAY LAGAY.....

jo batain keh nahi sakta

jo batain keh nahi sakta unhein main farz kerta hoon
chalo main farz kerta hoon mujhe tum se mohabbat hai
..........................

Yunhi chalte chalte


ek roz yunhi chalte chalte main ne pucha us se?
kon hoon main or kon hoo tum?

who thehra muskuraya or bola
jism hoon main or jan hoo tum.....


.................

who baat baat pe


who baat baat pe deta hai prindon ki misaal "faysal"
saaf saaf yeh kyu nahi kehta k maira shehr chor do


......................

kisi ki yaad ne


kisi ki yaad ne zakhmon se bhar diya seena "faysal"
har ek saans pe shak hai k aakhri hoo gee


...................

humari aana ko qatal na

mohabbaton mein hawas k aseer hum bhi nahi
ghalat na jaan k itney haqeer hum bhi nahi
humein bujha day
"MAGAR"
humari aana ko qatal na kar

woh kehta tha tujh se


woh kehta tha tujh se bichar ke veeran ho jain gay hum faysal
aaj pooray shrhar mein sab se roshan ghar uska mila......

aaj kal ke phoolon se


aaj kal ke phoolon se to kaante hi ache hain "faysal"
jo khusboo nahi dete magar daman pakar lete hain

uljhi hoi zaat ko


uljhi hoi zaat ko panne ki zid na karo
jo na ho apna use apnane ki zid na karo

iss samundar main tufan bohat aate hain faysal
iss ke sahil pe ghar banane ki zid na karo

Qadam ruk se gaye hein


Qadam ruk se gaye hein phool biktay deikh kar "FARAZ"
main aksar us se kehta tha mohabbat phool hoti hai

jab bicharna bhi

jab bicharna bhi to hanstay howe jana
warna har koi ruth k jane ka sabab puchay ga......

aey Qabristan teri aagosh

aey Qabristan teri aagosh mein itna sannata kyu hai
log to apni jaan day ker tujhe aabaad kartay hain

Koi Ujra Huaa Aaye

Dil se Luut Kar Bhi Sakhawat Ki Tamnna Na Gayi, faysal
Koi Ujra Huaa Aaye To Duaa Le Jaaye.................!!

shesha-e-dil pash pash

sochon to jor loon kehi totty howe mazaj
dekhon to apna shesha-e-dil pash pash hai

yun kis tarah kattay


yun kis tarah kattay ga kadri dhoop ka safar faysal
sar pay khiyalay yar ki chadar hi lay challoo.

Aankh Kisi Ke Chehre Pe

Aankh Kisi Ke Chehre Pe Aur Dil Mein Dhyaan Kisi Ka,
Hum Bhi Kya Hai Baat Kisi Se Wahemo Gumaan Kisi Ka...

uljhi hoi zaat ko

uljhi hoi zaat ko paane ki zid na karo
jo na ho apna use apnane ki zid na karo

iss samundar main tufan bohat aate hain
iss k sahil pe ghar banane ki zid na karo


*************************

uski jafaon ne


uski jafaon ne mujhe ik tehzeeb sikha di hai "faysal"
main Rootay huwe soo jaata hoon per shikwa nahi kerta


*****************************

kuch tujh ko muhabbat pe


kuch tujh ko muhabbat pe yaqeen tha na wafa per
kuch dukh meri taqdeer main likha bhi bohat hai

kirdar say mehroom tha yea shaher to us nay
hum ko dar o dewaar pe likha bhi bohat hai!

Humare Bad Nahi Ayga Usay


Humare Bad Nahi Ayga Usay Chahat Ka Aysa Maza "faysal"

Wo Logo Se Khud Kehta Phire Ga Mujay Chaho Us Ki Tarha.

Aankhein rahein gi


Aankhein rahein gi sham-o-seher muntazir teri
Aankhon ko sonp dein ge tera intezar hum

bohat ujra howa dil hay


bohat ujra howa dil hay mager apna Aqeeda hai "faysal"
jahan mehkein teri yaadein wo sehra hoo nahi sakta

shoq-e- wisal ke lamhat tumhein baad mein dengay...


shoq-e- wisal ke lamhat tumhein baad mein dengay...
who madhosh chandni raat tumhein baad mein dengay...


pehle zameen ki nafraton ka mushahida to kar lo.....
mohabbat ki soghat tumhein baad mein dengay...


jisay parh kar main tumhein jhat se mil jaaon...
who wird wo aayat tumhein baad mein dengay...


abhi to hijar ka karrwah zehar tum bhi piyoo...
qurbat ka aab-e- hayyat tumhein baad mein dengay...


tum bhi piyasa reh kar jeene kafun sikhoo...
iss sagar se barsat tumhein baad mein dengay...



......................................

chartay suraj ke pOOjari

chartay suraj ke pOOjari to hazaroon hain "FARAZ"
doobtay waqt hum ne suraj ko bhi tanha dekha....


...............

deewangi se kum na thi


deewangi se kum na thi kuch apni justujo...
hum be-wafa jahan mein wafa dhoondtay rahay...

mehromion ke doar mein hasratoon ke saath faysal...
hum pathron ke dil mein khuda dhoondtay rahay....



.................................

mohabbat mein fanna


hasti ko mohabbat mein fanna kon kere gaa...
ye farz siwa mere aada kon kere gaa...
haathon ki lakiron ko zara dekh najomi...
ye dekh mere saath wafa kon kere gaa....



...................

beetey din"o ki baat ab rehne do...


beetey din"o ki baat ab rehne do...
ye pal do pal ka saath ab rehne do....
chalo mere sang jahan tak sang chalana hai...
sari umar ka saath ab rehne do...
matt maangoo mujh se merichahat dobara...
pyar mohabbat ki baat ab rehne do....
pehle meri wafaon ka bharam tum rakh na sake....
phir se meri chahat ki umeed ab rehne do...
juda howay thay pehle bhi ab bhi hongay...
hum qadam hone ki soch ab rehne do....



..........................

raabta toot chuka hai

raabta toot chuka hai to ye sada"en kaisi?
ab jo milna hi nahi to wafa"en kaisi?
apni yaadein or who aansuoo wapis lelo
nahi koi jurm mera to ye saza"en" kaisi


...............

ye zameen ki fitrrat hai

ye zameen ki fitrrat hai ke har cheez ko jazb ker leti hai "FARAZ"
warna mere aansuoon ka aik aalag samandar hota

..........................

tum se bichre to

tum se bichre to maloom hua ke mout bhi koi cheez hai...
zindagi who thi joo hum teri mehfil mein guzaar aaye.....

...........

......ANMOL.......


......ANMOL.......

aankhoon mein jo tehreerain theen...
honton pe who bal na thay...
hum thayus kepyar ke aashiq...
bas haathoon mein kashkol na thay...
hum ne us ko toot ke chaha...
ye us ka haq tha lakin....
HUM ITNAY ANMOL NA THAY.............

......................................

kuch iss liye bhi

kuch iss liye bhi who raat ko ghar se nikal aata hai
sardiyon ke chand ko ehsas na hoo tanhayi ka

.....................

bhula dena kabhi wada


bhula dena kabhi wada kabhi taqmeel kar lena.....
kabhi yoonhi murawwat mein meri tameel kar lena.....
shab-e-tareek rastey mein jo aa jaye to ye aankhein....
kabhi jugnoo kabhi taarey kabhi qandeel kar lena...
yehi apna shaoor-e-zindagi rakhna........
joo rastaa aam hoo jaye usay tabdeel kar lena.....

......................................

mohabbat mein hum ne


mohabbat mein hum ne kia kuch nahi luta dia"faraz"
unhein pasand thi roshni or hum ne khud ka jala dia

...................

wo apne faide ki


wo apne faide ki khatir phir aa mile thay hum se faraz
hum nadan samjhe k humari duaon mein asar hai
................................

kabhi zindagi mein

kabhi zindagi mein kisi ke liye mat rona
kyu ke wo tumharay aansuon k qabil nahi hoon gay

or wo jo iss qabil hoon gay
wo tumhain kabhi ronay nahi dain gay
.............................

siskiyaan ley ley kar


aaj phir koi siskiyaan ley ley kar roo raha hai faraz

lagta hai mohabbat mein phir judai ka morr aaya hai

...............

mushkil waqt mein

mushkil waqt mein kon kis ka sahara banta hai faraz
sookhy patto ko to darakht bhi gira daitay hain

.........................................

tu who zalim hai

tu who zalim hai jo dil mein reh kar bhi mera na ban saka "FARAZ"
aur dil wo kaafir jo mujh mein reh kar bhi tera ho gaya

........................

muskara k milta hai

na jane kyu who mujhe muskara k milta hai
andar k sare ghum chupa k milta hai

janta hai aankhain sach bolti hai
shayd isi liye aankhain jhuka k milta hai
....................

wafa kerte hain

hum to bejaan cheezon se bhi wafa kerte hain faraz
uss mein to phir bhi meri jaan basi hai

...........................

mujhe sab kuch kabool hai

mujhe sab kuch kabool hai aay falak
ghum-e-yaar mujh se talb na kar

main usay kaisey dil se juda karoon
jo meri umar bhar ki talash hai

.........................

raat Dhalne lagii


raat Dhalne lagii hai siinoN meN
aag sulgaao aab-giinoN meN

dil-e-ushshaaq kii Khabar lenaa
phuul khilte haiN in mahiinoN men

Ishq Aesaa ke


Ishq Aesaa ke Zamany ko Bataa bhi Naa Sakoon
Main usay Bholna chahoon to Bhola bhi Na Sakoo

Aesaa Aks ke Taswar se Nikltaa bhi Nahi
Aesi Tasver ke Hatoon se Bana bhi Naa Sakoon..........

Ghazal rudaad hai

Ghazal rudaad hai naakaamiyon ki
Ghazal mehrumiyon ki daastaan hai

Ghazal riste hue zakhmon ka marham
Ghazal ek chaaraa-e-dard-e-nihan hai

Ghazal ka husn hi hai, husn-e-aalam
Ghazal ka noor hi noor-e-jahan hai

Tumhare saath bhi tanha hoon

Tumhare saath bhi tanha hOON tum na samjhoge
mai apne khwab ka saya hOON tum na samjhoge

mila kar ankh churati hoOON tum nazar jisse
mai aaine ka wo chehra hOON tum na samjhoge

Aalam-e-zaat main


Aalam-e-zaat main darwaish Bana Deta hai
Ishq Insaan Ko Pagal Nahi Honay Deta

Hunsi Laboon Pe Sajaye

Hunsi Laboon Pe Sajaye Udass Rehta hai
Yeah Kon hai Jo mairay ghar ke pass Rehta hai

—————————————-

Ab use Rozana na sochoon to

Ab use Rozana na sochoon to Badan Toote Jata hai Faraz
Ik Umer Ghuzri hai uski yaad ka nasha kertay Kertay

————————————

Aaj Hi To Kisi Se


Aaj Hi To Kisi Se Bhichray hain
Aaj ki Raat chandni Kion hai

—————————————-

Wo Milla To Sadioon bad


Wo Milla To Sadioon bad bhi Mairay Lab per koi Gilla na tha
Use mairy chup ne Rula Diya Jise Guftagu Main Kamal Tha

—————————————-

Popular Posts