Sunday, March 6, 2011

Ranhoon main bikhri dhuoool ke bhanwar main


Ek tareeq rah guzr par
kamzor c ek halki kiran ko
jana main nai anjane main
apni manzil ka nishan
ghubar-e-rah main kho kar
bujh gai jab woh temtemati kiran
mit gaya jab nishane manzil
mare maan ko yaqeen na aya kabhi
apne par biaty is sitam par
madham madham se qadam mare
kisi sang mayl ki talsah main
inhi injan tareeq ranhoon par
bhatak rahein hain aaj bhi
lakin....
yeh dil dewwana kya jane
umangoon ke chaman
tou yunh hi sada
bharoon ka intzar karty karty
ugarty hain
ugarty rahien gay
jo kho gai manzeelian
un manzeloon ki talash main
qadam hum jaise musafiroon ke
rahoon maon bhikhri
dhooul ke bhanwar main
bhatkty rahein hain
bhatkaty rahein gay

Jitna berasna tha aankhoon sey baras gaye hain


Jitna berasna tha aankhoon sey baras gaye hain
iss bharey jhan mein muhabatoon ko taras gaey heyn
yahi sach hey
chaltey chaltey thak gaey heyn
aur kisi sayal ki tarha
janey kiss chorahey pey
aa kharey heyn
dil hey key sarey aanna toour key
sadda pey sadda lagga raha hey
[mujhey ik lamha-e-muhabbat uddhaar dey do
bholey hi sey sahi piyaar dey do]
muggar koi naheyn,,,,,,,,,
janey kiyoon koi rukta hi naheyn
dil ki saddaeyn koi sunta hi naheyn
ab to aas ka deya bujhney ko hey
waqt jeysey rukney ko hey
karb sarey hi shaar gaey heyn
khud sey bhee haar gaey heyn
ab to,,,,,,,,,,,,
tanhai jeysey duhaeei deyti hey
ik hook si sunaeei deyti hey
munaao ab lamha-e-farhat sagar
yeh zeest humeyn rehaeei deyti hey,

ek arzoo si hay maan main


ek arzoo si hay maan main
kay main jab dobara tum say milon
tu tumhari narm goud main sar rakh kar
apnay dil kay tamam gham kah dalon
apni ankhon kay sab ansoo baha dalon
mohabaton kay tarsay man ko
ulfatoon say seerab kar lo
zindgi ki khezan ko
bahar main badal kay rakh don
lakin phir najanay kiyon
dil main yea khayal aaya
kay agar main tum say
ek bar phir na mil saki
tu dil kay sab gham
ankhon kay sab anson
zindgi ko aysi bangar zameen ki manand na kar day
kay jis main kabhi
phool nahin khila kartay.

Ussay Tha Ishq PhooloN se


Ussay Tha Ishq PhooloN se
Mujhay Woh Phool Kehta Tha
Main Khush Thee,
Sochti Thee Uss ke Jevan ko SajaooN gee
Mager Main Bhool Baithi Thee
K Uss ke Dairy tu Khusk PholooN ka Thikkana Hai
Jinhain Woh Rakh K Bhola Hai
Aur ab Main bhee,
Aaj Un k Dermiyaan Hoon
Sochti HooN
Ussay Tha Ishq PhooloN se
Mujhay Woh Phool Kehta Tha

Mujhey ik lamha chaho to sahi yun he kabhi


Mujhey ik lamha chaho to sahi yun he kabhi
Zindagi ki naveed ban jao tum yun he kabhi

Gar kabhi aankh yeh meri jo nam ho jaye
To meray ansoon ko pe jao tum yun he kabhi

Gar kabhi mayos jo hojaon zindagi say apni
To mera maseeha ban tum jao yun he kabhi

Gar kabhi zuban meri sath mera na day
To meri zuban ban jao tum yun he kabhi

Gar sirf dukh ka hisaar paon mein gird apnay
To chand lamhay ke khushi ban jao tum yun he kabhi

Gar safar lamba ho mera aur sath na ho koi
To meri humsafar ban jao tum yun he kabhi

Gar mein kho gaya aur manzal ka taeyan na ho
To meri manzil ban jao tum yun he kabhi

Gar TANHA kabhi tanha hojaye is duniya mein
To meri tanhai ban jao tum yun he kabhi

Udas Aankhien,khamosh ansoo


Aoo......
dekhaoon tumhein
in udas aankhoon main
apni arzooun ka
surah khoon main jalty hoye
agar dakh sako to....
dakho idhar
is wayran dil main
mare gumnam aramanoon ki
seyah rakh urty hoye
in khamosh ansooun main
mari muhhabt ko....
be-sahara dobty hoye
aur.... suno zara
is bikhari sansoon ko
hain jin main aheen
us be rang jewan ki
jis ke sab rang ......
tum nai chura liye
na itbar kar
mari is khokhli hansi ka
koi jane bhi kya
in khamosh hontoon ko
khosheiyoon ki rah takty takty
ek adat se par gai hai
ansooun ke sang muskorane ki
sun to rahy ho gay tum
is hansi ke parde main
mari us muhhabt ki seskiyan
jo ansoon main bah kar.....
khak main mil gai
woh haak jo tujh bewafa ke.....
qadmoon taly rondi gai

KITNA KHUSH QISMAT HO GIYA HOON MEIN


KITNA KHUSH QISMAT HO GIYA HOON MEIN
SOCHTA HOON TO DIL BHAR AATA HEY
IK NAKARDA JURM KI SAZA PATEY PATEY
THAK GIYA THA MEIN
TOOT GIYA THA MEIN
JANEYEY KAB QABOLEYET-E-DUAA KEY DAR KHULEY
MEIN SARSHAR HO GIYA MUHABBATOON
CHAHTOON KI BARISH MEIN
KITNA KHUSH QISMAT HO GIYA HOON MEIN
SOCHTA HOON TO DIL BHAR AATA HEY

meri maut hai meri hamsafar meri zindagi bhi ajeeb hai


meri maut hai meri hamsafar meri zindagi bhi ajeeb hai
meray charo'n tarrf hai jalwa garr teri be rukhi bhi ajeeb hai

mera dard hai lab e aashna teri ranjisho'n k azaab say
meray shair hain meray chara garr meri dil lagi bhi ajeeb hai

jo hai ta'ana zann meri zaat par mujhay unsay koi gila nahee'n
mujhay jaan say hain azeez tarr meri dosti bhi ajeeb hai

mai lahoo jigar say guzar kar, tujhay naql karta hoo'n warq warq
hai qalam ki nauk say mukhtasar teri aagahee bhi ajeeb hai

mai peher ki tapti hawao'n say, karhi dhoop mai kharha be khabar
saray reh-guzar tera muntazar, meri be basi bhi ajeeb hai

Mere Hastee main jo likha hay mitaon kaysay


Mere Hastee main jo likha hay mitaon kaysay
Abb tum hi batao kay tumhain bhulaon kaysay

Log kahtay hain kay main jo hon wo tum hi to ho
tayray honay ko main sab say chupaon kaysay

Jagtee ankhon say bhi daykhon tu tera sapna daykhon
apni ankhon main kissi or kay khab sajaon kaysay

main jo chahon bhi tu kah na paon kouch bhi tum say
mayri jo halat hay wo main tough ko sunaon kaysay.

aaj phir saahil par khari dekhoun doobta sooraj


aaj phir saahil par khari dekhoun
doobta sooraj
aasmaan par phaili taiz laali ko
ik qadam uthaana hai
jaana hai sooraj ki aur
ban kay ik gehra raaz
phaila hai yeh wasse-o-areez samandar
manzil hai woh doobti roshni
rasta hai yeh dolti lehrain
har qatray mein hain chuppay toofaan
na bheegtay huway
guzarna hai anjaanay paaniyon say
ik muajzay tak jaanay ko
ik muajzay say jaana hai
hai yeh ik hairaan-kun pahaili
roshni kay doobnay say pehlay
roshni ki aur qadam uthaana hai

Ye sune mein to hai asaan


Ye sune mein to hai asaan
magar kerne mein hai mushkil
Uthatay hain bare toofaan
samjhte hain jo is ko khail


Faqat sooda nahin dil ka
ye sooda jism-o-jaan ka hai
ye gulshan hai to phoolon ka
magar kantoon ka pehra ahi


samandar dost hai is ka
per sholoon sa jalta hai
khushi daita hai jab ye aik
to ansoo char lata hai


safar to hai ye kantoon ka
magar phoolon sa mehekta hai
hai janat ki hawa is mein
magar dozakh sa jalta hai


ye sune mein to hai asaan
magar kerne mein hai mushkil
laikin......... MOHOBBAT EK EBADAT HAI
Aur...mohobbat ka sila to baas
JANAT KE SIWA KUCH BHI NAHIN

anna kay rastoon ka main musafir


anna kay rastoon ka main musafir
mohabatoon ka shikar ho ker
ajeeb muskil main par gia hoon
anna ko choroon to piyar paoon
mujhey yay dur hay batak na jaoon

aey meray muala tu tham layna
qadam meray dagmaga na jaeen

mujhay yaqeen;hay kay taree qudret
tamam chezoon say mawara hay
nawaz mujh ko kuch is trah say
jo chata hoon mujhay dila day
bahwener main sahel talash ker day
TU CHAHATOON KO ANNA BANA DAY

kabhi main wo tha


kabhi main wo tha
kay mujh ko apna hi app lay kar
sakoon say rahnay ka fun tha aata
kisi ki ahat jo mujh ko ati
too khud ko aisay tha main chupaataa
kay jaisay wo mujh ko mujh say lay kar
kabhi bhi wapis nahi karayga
tumhay jo paya
to main nay jana
kay aitbaar ki had bohoot bari hay
har aik ahat buri nahi hay
main aik chooti si had main rah kar hi jee raha tha
hadooon ko main nay waseee karna tumhi say seekha
or aj jab tum nay jo yay kaha hay
hadooon main rahna to seekh loo tum
hadoon ka taanaa hay jab mila to
main apni duniya main lout aya
magar yahan bhi sakoon nahi hay
ajeeb si ik tashnagi hay
mujhay yay tanhaiii kah rahi hay
tu ajnabi hay
tu ajnabi hay

reh rahee hai jo dermian


reh rahee hai jo dermian,
jism o jaan ki doorian,
khuda kare ke na hoon tamam,
yeh khizan se shanasaiaan,

yeh undekhay faslay,
yeh higer ka mausam,
aur shidatoon ka hajoom,
abke jo milay tu der hai mujhay,
ke shidatoon ka hajoom bhiker na jai,
qareeb aye tu kahin dur hi na chalain jain,

yeh teri yaad hi buhat hai,
zad-e-rah buhat hai,
manzil na mili tu kia howa,
manzil ka nishan hi buhat hai.

Tum kehtay ho to such ho ga


Tum kehtay ho to such ho ga
Aag mein gul khil saktay hongay
mil kar dil kho saktay hongay
kho kar dil mil saktay hongay

Tum kehtay ho to such ho ga
rang-birang  kay saaray panchi
mil jul kar urr saktay hongay
Aan hee Aan mein jeevan sapnay
toot k phir jurr saktay hongay

Tum kehtay ho to such ho ga
Yeh sab kuch ho sakta ho ga
lekin baat ik aur bhee hai
meray ilawa bhee kya koi
tum ko yun such maanay ga?

Mishalen derd ki seenon mein jalaaey rakhna


Mishalen derd ki seenoN meiN jalaaey Rakhna
Apney KaandhoN pe saleeboN ko uthaaey rakhna

Khak jalwoN sey na ho jaaey kaheeN toor-e Khayal
Bazm-e jaanaN meiN nazar apni Jhukaaey rakhna

Jaaney phir saqi-o mey khana mileN ya na MileN
Apni saansoN mein mehek mey ki basaaey rakhna

Rehzan-e waqt kaheeN ye bhi mataa'a loot na ley
Apney seeney meiN mera derd chupaaey rakhna

Jaaney kab lot ke aa jaaey wo bhatka raahi
Raat bher shama dareechey meiN jalaaey rakhna

Jab talak ho na tulu seena-e zulmat sey Qamar
apni palkowN pe sitaarowN ko sajaaey rakhna

Popular Posts