Sunday, March 6, 2011

Jitna berasna tha aankhoon sey baras gaye hain


Jitna berasna tha aankhoon sey baras gaye hain
iss bharey jhan mein muhabatoon ko taras gaey heyn
yahi sach hey
chaltey chaltey thak gaey heyn
aur kisi sayal ki tarha
janey kiss chorahey pey
aa kharey heyn
dil hey key sarey aanna toour key
sadda pey sadda lagga raha hey
[mujhey ik lamha-e-muhabbat uddhaar dey do
bholey hi sey sahi piyaar dey do]
muggar koi naheyn,,,,,,,,,
janey kiyoon koi rukta hi naheyn
dil ki saddaeyn koi sunta hi naheyn
ab to aas ka deya bujhney ko hey
waqt jeysey rukney ko hey
karb sarey hi shaar gaey heyn
khud sey bhee haar gaey heyn
ab to,,,,,,,,,,,,
tanhai jeysey duhaeei deyti hey
ik hook si sunaeei deyti hey
munaao ab lamha-e-farhat sagar
yeh zeest humeyn rehaeei deyti hey,

No comments:

Popular Posts