Sunday, March 6, 2011

aaj phir saahil par khari dekhoun doobta sooraj


aaj phir saahil par khari dekhoun
doobta sooraj
aasmaan par phaili taiz laali ko
ik qadam uthaana hai
jaana hai sooraj ki aur
ban kay ik gehra raaz
phaila hai yeh wasse-o-areez samandar
manzil hai woh doobti roshni
rasta hai yeh dolti lehrain
har qatray mein hain chuppay toofaan
na bheegtay huway
guzarna hai anjaanay paaniyon say
ik muajzay tak jaanay ko
ik muajzay say jaana hai
hai yeh ik hairaan-kun pahaili
roshni kay doobnay say pehlay
roshni ki aur qadam uthaana hai

No comments:

Popular Posts