Ye sune mein to hai asaan
magar kerne mein hai mushkil
Uthatay hain bare toofaan
samjhte hain jo is ko khail
Faqat sooda nahin dil ka
ye sooda jism-o-jaan ka hai
ye gulshan hai to phoolon ka
magar kantoon ka pehra ahi
samandar dost hai is ka
per sholoon sa jalta hai
khushi daita hai jab ye aik
to ansoo char lata hai
safar to hai ye kantoon ka
magar phoolon sa mehekta hai
hai janat ki hawa is mein
magar dozakh sa jalta hai
ye sune mein to hai asaan
magar kerne mein hai mushkil
laikin......... MOHOBBAT EK EBADAT HAI
Aur...mohobbat ka sila to baas
JANAT KE SIWA KUCH BHI NAHIN
No comments:
Post a Comment