Sunday, March 6, 2011

ek arzoo si hay maan main


ek arzoo si hay maan main
kay main jab dobara tum say milon
tu tumhari narm goud main sar rakh kar
apnay dil kay tamam gham kah dalon
apni ankhon kay sab ansoo baha dalon
mohabaton kay tarsay man ko
ulfatoon say seerab kar lo
zindgi ki khezan ko
bahar main badal kay rakh don
lakin phir najanay kiyon
dil main yea khayal aaya
kay agar main tum say
ek bar phir na mil saki
tu dil kay sab gham
ankhon kay sab anson
zindgi ko aysi bangar zameen ki manand na kar day
kay jis main kabhi
phool nahin khila kartay.

No comments:

Popular Posts