Monday, September 7, 2009

Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono,

Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono,
Na main tum say koi umeed rakhoon dil nawazi kee,
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say,
Na meray dil kee dharkan larkara'ay meri baathon say,
Na zaahir ho tumhaari kushma-kush ka raaz nazron say.
Tumhain jo koi anjuman roktee hai paish qadmi say,
Mujhey bhi log kehtay hain kay yeh jalway para'ay hain.
Meray humrah bhi ruswa'eeyan hain meray maazi kee,
Tumharay saath bhi guzree hu'ee raaton kay sa'ay hain.
Ta'aruff rog ho ja'ay tau usska bhoolna behtar,
Ta'alluq bojhe bun ja'ay tau usska torna acha.
Woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin,
Ussay ek khoobsoorat mor day kar chorna acha.
Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono . . .

phir kisi yaad ne raat bhar hai jagaya mujhko

phir kisi yaad ne raat bhar hai jagaya mujhko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujhko

Din ko aaram hai na rat ko hai chain kabhi
Janay kis khaak say kudrat nay banaya mujhko

Dukh to yeh hai keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hai woh mila ban ke paraya mujhko

Jab koi bhi na raha kandha mere ronay ko
Ghar ki deewaron ne seenay say lagaya mujhko

aab to umeed-e-wafa tum say nahein hai koi
Phir charaghon ki tarah kis ne jalaya mujhko

Bewafa zindagi ne jab chor diya hai tanha
Maut ne pyaar say pehloo main bithaya mujhko

Woh diya hoon jo mohabbat ne jalaya tha kabhi
Gham ki andhi ne subah aur shaam bujhaya mujhko

kaisay bhoolon ga tere saath guazare lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujhko.....

dunya jo chahti thi tamasha nahi kiya

la haasili ka ishq mai charcha nahi kiya
dunya jo chahti thi tamasha nahi kiya

ham maslehat pasand thai barbaad ho gaye
jo kuchh bhi jis tarah se bhi socha nahi kiya

zardar o be_nawa se kiya aik sa sulook
dil ne koi lihaz kisi ka nahi kiya

kar k dikhai ham ne usey be_wafai bhi
uss k husool k liye kya kya nahi kiya

manzar se hatt k kar diya aasa'n judai ko
iss faisley mai bhi usey tanha nahi kiya

khush fehmio'n mai khoob guzar sakti thi magar
ham ne khud apne aap se dhoka nahi kiya

yaad uski itni khoob nahi thi ba_kaul Meer
lekin usey bhula k bhi atcha nahi kiya

Tairay badal jany ka mujhay gila nahee he

tairay badal jany ka mujhay gila nahee he
mairee wafaaon ka lekin ye sila nahee he

jo muntazir tha gulistaan me tariy deed ka
wo gul moasam e bahaar me khila nahe he

may bilkul tanha raha ye shikwa ghalat he
milay the boht lekin koi tum sa mila nahe he

tum hay abb kis kay pas ja kay mangoo'n me
me toheed ka hon qail maira koi or ila nahe he

yaar bashee bhee kuch kaam na ayee  faysal
galay milay loag mgar koi dil say mila nahe he

Hum Aftaab Se Dhaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Hum Aftaab Se Dhaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Khud Apni Agg Mai Jaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Jo Sang Tout Na Paye Jahan Ki Kosish Se
Humaray Ghum Mai Pighaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Tabahiyoo'n Pay Humari Jo Kal Tak Khush Thay
Sunna Hai Hath Wo Maltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Tumhari Raah Mai Ankhain Bichaa Rahay Thay Kabhi
Jo Ajj Raah Badaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Bulandiyoo'n Pay Na Dhoondho Kay Johar-e-Nayaab
Zamee'n Ki Goud Mai Paltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Zamaana Jaisay Behalta Hai Meri Jaa'n Hum Se Bhi
Usi Terhan Se Behaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Hum Aabb-e-Saaim Ki Manind Sari Raat  faysal
Bina Tumharay Machaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain


Sitaara Hoon Mager Yion Hai

Sitaara Hoon Mager Yion Hai, Chamakna Bhool Betha Hoon
Mai Khud Apnay Taaruf Ka Hawala Bhool Betha Hoon

Jisay Mad-e-Nazer Rakh Kar Chala Tha Janib-e-Manzil
Saffer Kay Dermiyaa'n Mai Wo Sitaara Bhool Betha Hoon

Abhi Musroof Hoon Kafi Kabhi Fursat Mai Sochoon Ga
Kay Tujh Ko yaad Rakhnay Mai, Mai Kia Kia Bhool Betha Hoon

Najanay Kia Dekhaye Gi Yeh Meri Kam-Nighahi Bhi
Guzishta Yaad Rakhnay Mai, Mai Ferda Bhool Betha Hoon

Faramoshi Bhi Naimut Hai Mager Yeh Kia Howa  faysal
Kay Mai Teri Judaai Ka Khasaara Bhool Betha Hoon

HUM APNE AAP SE ITNI MORAWAT KER HI LETE HAIN

HUM APNE AAP SE ITNI MORAWAT KER HI LETE HAIN


KABHI TANHAI MAIN KHOD KO MALAMAT KER HI LETE HAIN


UNHEN ILZAM KYA DEN JIN K ZEHAR AALOOD HAIN LEHJE


KAHIN THORI BOHT HUM B TO GHAIBAT KER HI LETE HAIN


KOI TOTA HOWA DIIL JOR DETE HAIN MOHABBAT SE


NAMAZI TO NAHI LEKIN IBADAT KER HI LETE HAIN


DILON MAIN UON AGER IK DOSRE SE PYAR BERTA HAI


CHALO IK DIN BICHER JANE KI HIMAT KER HI LETE HAIN

HUM SE CHAHAT NA ZIYADA JATAYA KARO

HUM SE CHAHAT NA ZIYADA JATAYA KARO
DOOR RAHTE HO KION PAAS AAYA KARO

TERA JALWA KABHI HUM NE DEKHA NAHIN
KABHI CHEHRA HUMEN TO DIKHAYA KARO



ROZ GHERON KI MAJLIS MAIN JATE HO TUM
KABHI TO APNO KI MAHFIL SAJAYA KARO

HUM RANJEEDA BHI HAIN NEEM DEEDA BHI
AA KE DIL TUM HAMARA BEHLAYA KARO



TERI MAJBOORION KI KHABAR HAI MUJHE
BAAT BAAT PER KASMEIN NA KHAYA KARO

TERE WAADE PE HUM NE BHAROOSA KIA
KUCH TO ULFAT KA TUM BHI HAQ NIBHAYA KARO



CHAHNE WALE KI CHAHAT PE KAR LO YAKEEN
ROSHNI MAIN DIYE NA JALAYA KARO

HUM BHI HUM RAAZ HAIN TUM BHI HUM RAAZ HO
DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO

Banwar Ki Gaud Mein Jasay Kinara Sath Rahta Hai

Banwar Ki Gaud Mein Jasay Kinara Sath Rahta Hai
Kuch Aisay He Tumara Or Hmara Sath Rahta Hai
Muhabat Ho K Nafrat Ussi Say Mashwra Ho Ga
Meri Her Kafiat Mein Istahara Sath Rahta Hai
Safer Mein An-Mumkin Hai K Mein Hud Ko Chor Don Lkn
Doaain Krnay Walon Ka Sahara Sath Rahta Hai
Meray MOLA Na Muj Ko Muhabton Ke Saltanat Day Di
Mager Pahli Muhabat Ka Hasara Sath Rahta Hai
Ager Meray Labon Pa Muhabat He Muhabat Hai To
Phir Ya Kis Liay Nafrat Ka Dhara Sath Rahta Hai

hum ney tu khair tujh se shikayat kabhi naa ki

hum ney tu khair tujh se shikayat kabhi naa ki
aisa nahin k dil ney baghawat kabhi naa ki


kis haal main hain tere satyee howe ye log
tu ney poochney ki bhi zehmat kabhi naa ki


mehsoos kaya kary ga woh oroon k dard ko
jis ney khud apney aap se ulfat kabhi naa kii


chaha hai main ney jiss ko barii shidatoon k saath
iss tarah uss ney mujhy se muhabat kabhii naa kii


her dastan terii bohat ghor se sunii
lakin bayan apnii shikayat kabhi naa kii


ek khawab tha jo apnii shaboon per raha muheet
kaya khawab tha?kisi se wazahat kabhii naa kii


ek aag thii k jalty rahy jis main umer bher
ek dard tha k jis main khayanat kabhii naa kii

Wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa

Wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa
dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon gaa

aana ho to aa jao ruswayee nahi ho gee
dekhe ga nahi koi palkon main chupa loon gaa

jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye
her gham ki tarha tujh ko seene se laga loon gaa

weeran agar dil ho ankhon main andhera ho
yaadon ke diye apni palkon main saja loon gaa

manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko
main beth ke sahil se toofaan utha loon gaa

naraaz agar wo hain mere nasheman se,
main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon gaa

kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye
baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon gaa

Badalta Waqt Kaa Aik Silsila Sa Lagta Hai

Badalta Waqt Kaa Aik Silsila Sa Lagta Hai
Ke Jab Bhi Dekhon Ose Dusara Sa Lagta Hai

Mara Husn Kisi Admii Kaa Husm Nahi
Kisi Buzurg Ki Sachchi Dia Sa Lagta Hai

Teri Nigaah Ko TamizRang-O- Nuur Kahan
Mujhe Tu Khun Bhee Rang-E-Hina Sa Lagta Hai

Damag-O-Dil Hon Ager Mutnain Tu Chaon
Hai Dhup ThapeDaLu Ka BHi Thandi Hawa Sa Lagta Hai

Woh Chhat Pe Agaye Betab Ho ke Akhir
Khuda Bhe Ajj Sharik-e- Dua Sa Lagta Hai

Tumhara Hath Jo Aya Hai Haat main Mare
Ab Aitabar Ka Musam Hara Sa Lagta Hai

Nikal Kar Dekho kabhe Nafraton Ke Pinjare Say
Tamam Shahar Ka Manzar Khula Sa Lagta Hai

MaiN kab kahtaa huN vo acchaa bahut hai

MaiN kab kahtaa huN vo acchaa bahut hai
Magar us ne mujhe chaaha bahut hai

Khudaa is shah’r ko mahfuuz rakhe
Ye bachhoN ki tarah haNstaa bahut hai

MaiN har lamhe meN sadiyaaN dekhtaa huN
Tumhaare saath ek lamhaa bahut hai

Meraa dil baarishoN meN phuul jaisaa
Ye bacchaa raat meN rotaa bahut hai


Vo ab laakhoN diloN se kheltaa hai
Mujhe pehchaan le, itnaa bahut ha

Khuda Karay Kay Meri Arz-e-Pak Pay Utray

Khuda Karay Kay Meri Arz-e-Pak Pay Utray
Woh Fasl-e-Gul Jissay Andesha-e-Zawwal Na Ho...

Yahan Jo Phool Khillay Khila Rahay Sadiyon...
Yahan Say Khizan Ko Guzarnay Ki Majaal Na Ho...

Yahan Jo Sabza Ugay Hamesha Sabz Rahay..
Aur Aisa Sabz Kay Jisski Koi Misaal Na Ho...

Khuda Karay Kay Na Kham Ho Sir-e-Wiqar-e-Watan
Aur Iss Kay Husn Ko Tashweesh-e-Mah o Saal Na Ho..

Har Aik Fard Ho Tahzeeb-o-Fun Ka Aouj-e-Kamaal..
Koi Malool Na Ho, Koi Khasta Haal Na Ho...

Khuda Karay Meray Aik Bhi Ham Watan Kay Liyay...
Hayat Jurram Na Ho, Zindagi Wabaal Na Ho

woh sheher ju hum se chota tha woh sheher hamara kesa hai

woh sheher ju hum se chota tha woh sheher hamara kesa hai
sab dost hamien piyaray hein mager woh jaan se piyara kesa hai
shab bazem e hariffan sajti hai ya shaam dhely so jatay hein
ab mehfil e yaaran kesi hai, her anjuman ara kesa hai
kiya ko e nigaraan mein ab bi ashaaq ka mela lagta hai
dil waloun ne qatal ke liye muqtal ku sanwara kesa hai
kiya ab bi hamary ghaoun mein gungaroun hein hawa ke paoun mein
ya aag lagi hai chaoun mein, ab waqat ka dhara kesa hai
her aik kasheeda e qamet per kiya ab bi kamandaien perti hein
jab se woh masihadaar hua, her derd ka mara kesa hai
kehtay hein ke her gher ab zindaan hein, kehtay hein zindaan ab muqtal hein
yeh jaber khuda ke naam pe hai, yeh zulm khudara kesa hai
kiya pichlay peher ab bi aankhain bher ati hein, kurlati hein
her lakhat e jiger per kiya guzri, her aankh ka tara kesa hai
yeh shaam e sitam katti hee nahiin, yeh zulamat e shab ghutti hee nahiin
meray badqismat logoun ki qismat ka sitaara kesa hai
panadaar salamat hai ke nahiin bas yeh daikho, yeh mat poocho
jaan raiza raiza kitni hai, dil para para kesa hai
woh pass nahiin ehsaas tu hai, ik yaad tu hai ik aass tu hai
dirya e juddai mein daikho tinkay ka sahara kesa hai
mulkoun mulkoun ghoomay hein bohat jagay hein bohat roye hein
ab tum ku bataien kiya yaro dunya ka nizara kesa hai
aye dais se anay walay mager tum ne tu itna bi na poocha
woh kawi jisay bin baas mila woh derd ka mara kesa hai

Kaha Nhi Tha!

Kaha Nhi Tha!
K Ahd-E-Frda smaj K Baando
Kaha Nhi Tha!
Nibaa Sko Gay?
Muja Zmanay Ke Tmazton Sa
Bachaa Sko Gay?
Bahut kaha Tha!
Sbaahton Mn Bahal Na Jana!
Muja Gira K Sambal Na Jana!
Badalti Ruton Mn Kahien
Badal Na Jana!
Bahut Kaha Tha!
Kaha Nhi Tha!
Sambal Gay Na!
Wohi Howa Na!
Badal Gay Na!

Teray Bad!

Teray Bad!
Jane kis ser-zamin ko jata hai
Yeh Samunder ka damen-e-Jabrot
Char so hawabnak wosat
Waqt Weran, Rastay Mabhot

Dam badem rahi hein sahil say
Kashtiyan ajnabi Jazeron ko
Rastay ka suragh hak milay
Manzil hawab k aseeron ko

Zindgi qaid hai taswer mein
Kaisay kaisay Hayal atay hein
Munzilein sb fraib hotey hein
Rastay gumrahi ko jatay hein

Sai ki trha mit.ty Jati hai
Tere nfrat b, Muhabat b
Ab to kuch b nain raha dil mein
Pehlay Afsos b tha Hairet b

Din guzr jai, Shub guzr jai
Derd Baidar he nain hota
Jaisay ab tuj say tere Ulfat say
Kuch sr-0-kar he nain hota

***mai ku tarkey taaluq ki ibtidaa karta***

***mai ku tarkey taaluq ki ibtidaa karta***

Main Kiyon Na Tark-E-Ta'aluq Ki Ibteda Karta
Wo Dur Dais Ka Baasi Tha Kiya Wafa Karta ?

Wo Mere Zabt Ka Andaza Karne Aaya Tha
Main Has Ke Zakhm Na Khata Tu Aur Kiya Karta ?

Hazar Aiena Khano'N Main Bhi Na Pa Saka
Wo Aiena Jo Mujhe Khud Se Aashna Karta

Dar-E-Qafas Pe Qayamat Ka Habs Tha Warna
Saba Se Zikr Tera Main Bhi Sunn Liya Karta

Meri Zamee'N Too Agar Mujh Ko Raas Aa Jaati !
Main Rifato'N Main Tujhe Aasma'N Sa Karta

Gham-E-Jaha'N Ki Muhabbat Lubha Rahi Thi Mujhe
Main Kiss Tarha Teri Chahat Pe Aasra Karta ?

Agar Zuba'N Na Kat Ti Tu Shehar Main MOHSIN
Main Pathro'N Ko Bhi Ik Rooz HamNawa Karta

andheron ka tasalsul mukhtasar honay nahin deta

andheron ka tasalsul mukhtasar honay nahin deta
sahar ka naam leta hay, sahar honay nahin deta

woh shab fitrat hay us ko roshni achhi nahin lagti
kisi gher main ujalon ka guzer honay nahin deta

woh dehshat banTta hay khowf kay manzar bhi deta hay
koi shakh e tamanna baarawer honay nahin deta

woh saray faislay hasb e zaroorat aap kerta hay
kisi ka herf, Harf e mu'taber honay nahin deta

hamesha doosron main faslay taqseem kerta hay
woh logon ko bahem sheer o shaker honay nahin deta

ameer e karawaN rehnay ka itna showq hay us ko
keh danista bhi takmeel e safar honay nahin deta

***Mere Dostoon Se Poocho***

***Mere Dostoon Se Poocho***

Mere Dard Ki Kahani Meri Hasraton Se Poocho
Main Luti Ho Kis Tarah Mere Dosto Se Poocho

Jo Khuda Tha Mere Dil Ka,mera Dil Usi Ne Tora
Ye Gumo Ki Sarhado Pe Mje Kisne La Chora

Use Mene Kitna Chaha Dharkano Se Pocho
Main Luti Hoo Kis Rtarah Mere Doston Se Poocho

Ye Saza Mere Naseb Ne Di Meri Ashique Ki,
Dia Jisko Dil Usi Ne Mere Dil Se Dillagi Ki

Mai Kahan Kahan Jali Hun Meri Hasratoon Se Poocho
Main Luti Ho Kis Tarah Mere Dostoon Se Poocho.......

Apne hone ka ham iss tarha pata dete thai

Apne hone ka ham iss tarha pata dete thai
khak muthhi mai uthhate thai urha daite thai

be samar jaan k ham kaat chuke hain jo shajar
yaad aate hain k be chare hawa daite thai

uski mehfil mai wahi such tha wo jo kuch bhi kahey
ham bhi gungo'n ki tarah haath uthha daite thai

abb se pehle jo qatil thai boht achhey thai
qatl se pehle jo pani tau pila daite thai

wo hamain kosta rehta tha zamane bhar mai
aur ham apna koi shair suna daite thai

ghar ki ta'meer mai ham barso'n rahe hain pagal
roz deewar uthhate thai gira daite thai

hamm bhi abb jhoot ki paishani ko bosa daingey
tum bhi sach bolne waley ko dua daite thai

Mujhe us KHUDA ki talash hai ...

Mujhe us KHUDA ki talash hai ...

ye zara zara si baat pe,tarha tarha k azab kyun?
jo kisi se bhi khafa na ho mujhay us KHUDA ki talash he

mujhe laghzashon pe har ghari koi tokta ha bar bar?
jissy ker k dil ko dukh na ho mujhay us GUNAH ki talash he

bina hamsafar k kab talak koi musafton main laga rahe?
jahan koi kisi se juda na ho mujhay us RAHH ki talash he

mujhe dekh ker jo aik nazar mere sare derd samajh sake
jo is qadar ho chara-gar mujhay us NIGAH ki talash he

Main wafa ki raah par jo chal parra

Main wafa ki raah par jo chal parra,na main barrh saka na palat saka
Mainay khud hi kiya tha yeh faisla,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Tera piyar ik fareb tha,mujhe jiss ka ilm na ho saka
Chalo! Khair chhorro yeh tazkira,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Main udaas hoon tu hai shaadmaan,main hoon khasta jaan tu hai kaamraan
Hai naseeb sab ka juda juda,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Thay gilay tau us se hazaar ha,sar-e-raah woh jab bhi magar mila
Main nazar chura k yeh keh utha,mujhe tum se koi gila nahin
.
.
Woh jo aaya faysal ki qabar par,kaha thaam kar yeh dil-o-jigar
Tumhain,Haif main na samajh saka,mujhe tum se koi gila nahin....!!!

"sham bahut udas hey"

"sham bahut udas hey"


Koi tou guftgoo kero...........sham bahut udas hey
Tum merey paas he raho.....sham bahut udas hey

Kuch bhi tou boltey nahin, khoul yeh tourtey nahin
Mein nein kaha, suno zara....sham bahut udas hey

Mujh sey nah tum milo mager , mujh sey nah kuch kaho mager
Sham sey aa key kuch kaho..sham bahut udas hey

Deikhoo , Bahut hey ser giraan umer e rawan ki dastaan
Iss mein nah aour ghum bhero sham bahut udas hey

Itna hey iztraab kion, karb mein hein junab kion
Milna hey ger tou aa milo.......sham bahut udas hey

Maana keh tum khafa nahin,kehney kou kuch bacha nahin
Acha sa sheir he perho...........sham bahut udas hey

Koi nahin idher udher , sarey khamoush baam o darr
Kis sey kahein dua karo .........sham bahut udas hey

Kuch tou ilaj e gham kero , Saber e khasta jaan sunoo
Aaj kissi kou khatt likhoo......... sham bahut udas hey

Mujhe apne zabt pe naz tha, sar e bazm, raat ye kya hua

Mujhe apne zabt pe naz tha, sar e bazm, raat ye kya hua
Meri aankh kaise chhalak gayi, mujhe ranj hai ye bura hua


Meri zindagi ke chiragh ka ye mizaj koi naya nahin
Abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bhuja hua


Mujhe jo bhi dushman e jaan mila, wohi pukhta kaar e jafa mila
Na kisi ki zarb ghalat pari, na kisi ka teer khata hua


Mujhe aap kiyun na samajh sake ye khud apne dil hi se poochiye
Meri daastaan e hayat ka to warq warq hai khula hua


Jo nazar bacha ke guzar gaye, merey samney se abhi abhi
Ye merey hi shehar ke log they, mere ghar se ghar hai mila hua


Mujh ek gali mein para hua kisi badnasseb ka khat mila
Kahin khoon e dil se likha hua, kahin aansuo'n se mita hua


Mujhe hamsafar bhi mila koi to shikasta haal meri tarah
Kai manzilon ka thaka hua kahin raastey mein luta hua


Humein apney ghar se chaley huey sar e raah umr guzar gayi
Koi justujoo ka silaa mila na safar ka haq hi adaa hua

***Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai***

***Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai***
************************************

Zaban Khamosh Hoti Hain Nazar Se kaam Hota Hai
Isi Mahool Ka Shayad Mohabbat Naam Hoti Hai


Andaz bahakne Lagta Hai, Baton Me shararat Hoti Hai
Ankhon Se pata Chal jata Hai Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai


Jab unse kaha ki tasavur me Dil Aapko Sajde Karta hai
Vo Kahne Lage Tum Karte Raho Ye Khas Ibadat Hoti Hai


Dil Torte Hain Phir Jorte Hain, Rula Ke humen bahlate Hain
Yeh Raaz Khula Dilvalon Me Reulvane Ki Aadat Hoti Hai

Main Roi To Nahi Hoon

Main Roi To Nahi Hoon
......................
Najaney Kiyoon Mera Kajal
Jab Bhi Dalo Ankhon Main
Ab Aksar Phail Jata Hai
Main Roi To Nahi Hoon...

Tum To Jantey Ho In Dino
Bohat Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Surkh Meri Naak
Main Roi To Nahi Hoon...

Kaha To Hai Yunhi Buss
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fiker Mat Karo
Main Roi To Nahi Hoon...

Nahin, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baies
Thakawat Ho Hi Jati Hai
Main Roi To Nahi Hoon...

Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi
Nahin Aata To Na Aaye
Ab Us Ki Yaad Mai Dekho
Main Roi To Nahi Hoon...

Bata Dena Us Ko Ja Ker
Koi Khush-Fehmi Na Palley
Waisey Hi Surkh Hain Ankhin
Main Roi To Nahi Hoon...

CHALO....! Ik Nazam likhty hein

CHALO....!
Ik Nazam likhty
hein
kisi k naam karty
hein

magar ye sochna
hai ab?
k us mein zikr kis ka
ho?
k us mein baat kis ki
ho?
k us mein zaat kis ki
ho?
aur ye ye bhi farz
karty hein
k jis p nazam likhty
hein,,,,
humein us se
muhabbat hai
hamary sary jazbon ko
bus us ki hi zaroorat
hai,,,,

chalo ik kaam karty
hein
k hum jo nazam likhty
hein

"TUMHARY NAAM KARTY HEIN"
TUM hi unwan ho
is ka
TUMHARA zikr hai
is mein
TUMHARI baat hai
is mein
TUMHARI zaat
hai is mein...!!!

Popular Posts