Monday, September 7, 2009

woh sheher ju hum se chota tha woh sheher hamara kesa hai

woh sheher ju hum se chota tha woh sheher hamara kesa hai
sab dost hamien piyaray hein mager woh jaan se piyara kesa hai
shab bazem e hariffan sajti hai ya shaam dhely so jatay hein
ab mehfil e yaaran kesi hai, her anjuman ara kesa hai
kiya ko e nigaraan mein ab bi ashaaq ka mela lagta hai
dil waloun ne qatal ke liye muqtal ku sanwara kesa hai
kiya ab bi hamary ghaoun mein gungaroun hein hawa ke paoun mein
ya aag lagi hai chaoun mein, ab waqat ka dhara kesa hai
her aik kasheeda e qamet per kiya ab bi kamandaien perti hein
jab se woh masihadaar hua, her derd ka mara kesa hai
kehtay hein ke her gher ab zindaan hein, kehtay hein zindaan ab muqtal hein
yeh jaber khuda ke naam pe hai, yeh zulm khudara kesa hai
kiya pichlay peher ab bi aankhain bher ati hein, kurlati hein
her lakhat e jiger per kiya guzri, her aankh ka tara kesa hai
yeh shaam e sitam katti hee nahiin, yeh zulamat e shab ghutti hee nahiin
meray badqismat logoun ki qismat ka sitaara kesa hai
panadaar salamat hai ke nahiin bas yeh daikho, yeh mat poocho
jaan raiza raiza kitni hai, dil para para kesa hai
woh pass nahiin ehsaas tu hai, ik yaad tu hai ik aass tu hai
dirya e juddai mein daikho tinkay ka sahara kesa hai
mulkoun mulkoun ghoomay hein bohat jagay hein bohat roye hein
ab tum ku bataien kiya yaro dunya ka nizara kesa hai
aye dais se anay walay mager tum ne tu itna bi na poocha
woh kawi jisay bin baas mila woh derd ka mara kesa hai

No comments:

Popular Posts