Monday, September 7, 2009

Mujhe apne zabt pe naz tha, sar e bazm, raat ye kya hua

Mujhe apne zabt pe naz tha, sar e bazm, raat ye kya hua
Meri aankh kaise chhalak gayi, mujhe ranj hai ye bura hua


Meri zindagi ke chiragh ka ye mizaj koi naya nahin
Abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bhuja hua


Mujhe jo bhi dushman e jaan mila, wohi pukhta kaar e jafa mila
Na kisi ki zarb ghalat pari, na kisi ka teer khata hua


Mujhe aap kiyun na samajh sake ye khud apne dil hi se poochiye
Meri daastaan e hayat ka to warq warq hai khula hua


Jo nazar bacha ke guzar gaye, merey samney se abhi abhi
Ye merey hi shehar ke log they, mere ghar se ghar hai mila hua


Mujh ek gali mein para hua kisi badnasseb ka khat mila
Kahin khoon e dil se likha hua, kahin aansuo'n se mita hua


Mujhe hamsafar bhi mila koi to shikasta haal meri tarah
Kai manzilon ka thaka hua kahin raastey mein luta hua


Humein apney ghar se chaley huey sar e raah umr guzar gayi
Koi justujoo ka silaa mila na safar ka haq hi adaa hua

No comments:

Popular Posts