Thursday, August 20, 2009

Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay,

Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay,
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay !


Tum aankhon ki barsaat bachayay huey rakhna,
Kuch log abhi aag lagana nahin bhoolay !


Yeh baat alag haath kalam ho gayey apnay,
Hum aap ki tasveer banana nahin bhoolay !


Ik umar huee main to hansi bhool chuka hoon,
Tum ab bhi meray dil ko dukhana nahin bhoolay !



Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay,
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay ! 






******************************************************************

mUjhay HairatOn Say hAi WaSta Meray Dil Ka Qissa Ajeeb hAi

mUjhay HairatOn Say hAi WaSta Meray Dil Ka Qissa Ajeeb hAi
jO Visaal rUtt Mein BiChr Gaya wO tO jAan Say Bhi Qareeb hAi

mUjhay hOsh Tha tO Khabar Na Thi Main jUnOo Mein Tha tO Pata Chala
wO jO Meray Dil Ka MakeeN hAi wOhii Jism o jAan Ka HaSeeb hAi

tUjhay jAnta Bhi Nahien kOii Mera Harf hAi mOa'atbir 
tUjhay Zar Mila mUjhay ShOratien Yeh Bhi Apna Apna NaSeeb hAi

mUjhay kOn tUjh Say Rehaaii Dey mUjhay Apna Aap Dikhaii Dey
Meray Dil Mein Ab Bhi Gharii hOii Terii AarzOo Ki Saleeb hAi

Main mUhabbatOn Ka Safeer hOn Mera Kaam KhUsbOo Bikhairna
Nahien Is Say kOii Bhi mUaamla K wO dOor hai Ya Qareeb hAi

mUjhay Zindgii Mein SakOon Milay Yahii AarzOo hAi Meray KHUDA
mUjhay Teergii Say Nijaat Dey K tOo rOshnii Ka NaQeeb hAi.......

Charaagh apne thakan kii koii safaaii na de

Charaagh apne thakan kii koii safaaii na de 
Wo tiiragii hai ke ab Khawaab tak dhikhaaii na de 


Bohat sataate hain rishte jo toot jaate hain 
Khudaa kisii ko bhii taufiiq-e-aashanaaii na de 


Main saarii umr andheron main kaat saktaa huun 
Mere diiyon ko magar roshnii paraaii na de 


Agar yahii terii duniiyaa kaa haal hai Maalik 
To merii qaid bhalii hai mujhe rihaaii na de 


Duaa ye maangii hai sehame huay mu'arrik ne 
Ke ab qalam ho Khudaa surKh raushnaaii na de 

********************

AANKHAIN KHULI RAHAIN GI TOH MANZAR BHI AYENGAI!!--

AANKHAIN KHULI RAHAIN GI TOH MANZAR BHI AYENGAI!!--

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai

Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai

Aye shehr yaar dasht say fursat nahi -- magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai

*faysal* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai...

Dil he tau hey na Sang-o-Khez* Dard say bhar naa aaye kyun

Dil he tau hey na Sang-o-Khez* Dard say bhar naa aaye kyun
Royengey hum hazaar baarKoi humei sataye kyon

Deir* nahi,Haram* nahi, Dar nahin aasta nahi
Bethey hey hum rehguzar pay hum Geir humey uthaye kyon

Jab wo jamaal-E-Dilfaroz* Suuratey mehrey neemroz
Aap he ho nazara soz* Pardey mei munh chupaye kyon

Qeidey hayaato* bandey* gham Asal mei dono eik hey
Maut say pehley aadmi Gham say nijaat paaye kyon

Husn or uspay Husn-e-zan* Rah gayi bul hawas* ki sharam
Apney pay etimaad hey Gair ko aazmaye kyon

Haan nahi who KhudaParast Jao wo Be-wafa he sahi
Jiska Ho deen-o-dil azeez Uski gali mei jaaye qyo

‘Ghalib-e-Khasta’ key bager Konsay kaam band hey
Roeye zaar zaar kya Kijiye Hi Hi kyon

apnay hone pay na hone ka ghuma hota hy

apnay hone pay na hone ka ghuma hota hy
lamha lamha mujhe ehsas-e-ziyan hota hy,

koi hota hy jo karta hy kahin pay sazish,
ter ki pusht pay qirdar-e-kaman hota hy,

bhool jana usay muskil tu nahi hy laykin
kam assan bhi magar hum say kahan hota hy,

main nay dekha hy kisi khuf ka khadsha dil main
raat k pechlay pehar barh kay jawan hota hy,

dil main hoti hy baharon ki kasak bhi laykin,
is k hisay main magar khuf-e-khizan hota hy......!!

apni marzi se kahan apne safar ke hum hain

apni marzi se kahan apne safar ke hum hain 
Rukh hawaaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain 

Pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai 
Apne hi ghar mein kisi doosre ghar ke hum hain 

Waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon tak 
Kisko maloom kahan ke hain kidhar ke hum hain 

Chalte rehte hain ki chalna hai musafir ka naseeb 
Sochte rehte hain ki kis raahguzar ke hum hain 

Gintiyon mein hi giney jaate hain har daur mein hum faysal
Har qalamkaar ki benaam khabar ke hum hain

Aao hum mil kar ek naya Jahan Banain

Aao hum mil kar ek naya Jahan Banain
Duniya se Duur Pyar ka ek Nagar Banain

Jahan Mohabbat ka Raaj ho
Sar Par Khushi ka Taj ho

Zindagi pay na Khauf tari ho
Hifazat aik doojy ki Zimaydari ho

Nafrat ki Jahan Ghuttan na ho
Zindagi jahan Kathin na ho

Chalo mill kar iss Khwab ki tabeer Dhondhain
Iss Jahan mein Mohabbat ki Jaggir dhondhain

Aao hum mill kar ek naya Jahan Banain
Duniya se Duur Pyar ka ek Nagar Banain

Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko Kabhi Humkinaar Karna

Gham-e-Hijar Se Na Dil Ko Kabhi Humkinaar Karna
Mein Phir Aaoyoun Ga Palat Kar Mera Intezaar Karna

Mujhe Darr Hai, Mere Aansoo Teri Aankh Se Na Jhalkien
Zara Sooch Kar Samajh Kar Mujhe Sogawaar Karna

Ussey Dhoond Sab Se Pehlay Jo Mila Nahien Hai Tujh Ko
Yeh Sitarey Aasmaan Kay Kabhi Phir Shumaar Karna

Mere Shaher Ki Fiza Mein Koi Zahar Bhar Gaya Hai
Tere Husn Par Hai Laazim Ussay Khusgawaar Karna

Mein Uthayoun Gaa Na Ihsaan Tere Baad Na-Khuda Ka
Mujhe Tu Ney Hi Daboya, Mujhe Tu Hi Paar Karna

Mere Bad-Naseeb sathi, Teri Zindagi Hi Kya Hai
Na Kisi Sey Dil Lagaana, Na Kisi Sey Pyaar Karna

Kabhi Iqtidaar Bakhshey Jo Khuda FAYSAL Tujh Ko
Jo Rawish Hai Qatiloon Ki, Woh Na Ikhtiyaar Karna

Kab talak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay

Kab talak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
Woh musafir jo bharay shehar mein ghar ko tarsay

Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai
Dil woh reh'roo ke samandar kay safar ko tarsay

Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub e sukhan
Jab koi ehal e hunar, arz e hunar o tarsay

aab kay iss toor musallat howa andhaira har soo
Hijar ke raat mairay deeda e tar ko tarsay

Umar itni tu ataa kar mairay fun ko khaliQ
Maira dushman mairay marnay ki khabar ko tarsay

Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain
Jaisay paani mein koie seep, gauhar ko tarsay

na'shana'sayee kay mousam ka asar tu daikho
Aaina khaal o khad e aaina gar ko tarsay

Aik dunia hai kay basti hai teri ankhon me
Woh tu hum thay jo teri ik nazar ko tarsay

Shoor e sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai FAYSAL
Mousam e gul mein wohi shaakh samar ko tarsay

" Hai Umr-e-RavaaN In AankhoN Mein "


" Hai Umr-e-RavaaN In AankhoN Mein "

Tha ishq jawaaN in aankhoN mein
They khwaab ravaaN in aankhoN mein

Milte huey dekha phir, un ko
Phir, un ki judaai dekhi thi
Tha zabt nehaaN in aankhoN mein
Rehti thi dua in honToN par
Milne ka gumaaN in aankhoN mein

Phir, aas ko marte dekha tha
Tha zabt jahaaN in aankhoN mein
They ashk ayaaN in aankhoN mein

Phir, jal k bujhe diye ashkoN k
Phirta tha dhuaaN in aankhoN mein

Ab waqt hua un baatoN ko
Un subhoN ko aur un raatoN ko
Mujh mein jo sulagta rehta ho
Aaisa to nahi hai ab kucH bhi !

CHaai hai amaaN in aankhoN mein
Par neend kahaaN in aankhoN mein...!!!

* * * * * * * * *


" Khud-Gharzi Ki Eik Nazm "

Ye mere dil ka charaagh bujh kar
DhuaaN wo de ga
K tum ko dunia k rang
Pheeke lagein ge saare!
Ye mere dil ka charaagh bujh kar
Tumhaari dunia mein teergi ka
Ik aaisa khole ga baab jis mein
Kisi bhi jaanib se
Raushni ka
Guzar na hoga!
Ye mere dil ka charaagh bujh kar
Tumhaari aankhoN ka noor le ga!
Ye mere dil ka
Charaagh
Aakhir ko bujh to jaaye ga yaar!
Lekin
Tumhaare dil ka
Qaraar le ga!
Tumhaari raatoN ki neend le ga
Tumhein jo de ga
Wo teergi k siva to kucH bhi nahi hai janaaN!
So is ko bujhne se tum bachaana!
K mere dil ka
Charaagh
Raushan raha to phir ye
Hamaari aankhoN ka noor hoga!
Hamaare dil ka qaraar hoga!
Isi k dam se to hoN gi raushan
Hamaari subhein,
Hamaari shaamein
So is ko bujhne se tum bachaana
Nahi to phir ye charaagh bujh kar
DhuaaN wo de ga
K tum ko dunia k rang
Pheeke lagein ge saare...!

* * * * * * *



NeikiyoN mein gar tere ash'aar sab tole gaye!

Chaar(4) cHe(6) she'roN mein kitne jhooT sach ghole gaye
Kab kisi tak apne dil ki aag k sho'le gaye................ !!!

Dard sun kar aap ka, ye dil hi itna dukh gaya
Dard se do bol hamdardi k na bole gaye

Ikhteyaar aate hi kam-zarfoN ki jholi phaT gaee
MunsifoN k jism se insaaf k chole gaye

Aa gaya lo inqalaab-e-waqt, jis ka shor tha
MujrimoN ki beiRiyaN, zindaan sab khole gaye

Ye sukhan-var ho gaye is daur-e-na-qadri mein kiyuN!
Kis se poocHein, kiyuN gohar ye khaak mein role gaye!

Kis qadar mushkil se lauTe they zamiN ki or ham
Phir uRa kar khwaab tere raat ham ko le gaye

Tu bhi faysal dekh hi le ga dar-e-jannat ka muNh!
NeikiyoN mein gar tere ash'aar sab tole gaye!

* * * * * * * * *

Chaahe kam-aagahi k zahaanat pe saaye hain

Chaahe kam-aagahi k zahaanat pe saaye hain
BooNdoN se main ne ilm k darya bahaaye hain

Jaane ghamoN ne itna kahaN se lia khuloos!
Jab-k ye wo jaga hai k apne, paraaye hain

Kya vasl hai k bujh gaee jismoN ki tishnagi
Tuf hai, ye ham ne kis k liye dukh uThaaye hain

MuNh se chali jo baat to muNh tak hi aa gaee
Ghazlein suna suna k ye luqme kamaaye hain

Sab muflisi k marz they aur us pe vaid ne
Ham ko kaee hazaar k nuskhe bataaye hain

Pur-peich raah-e-kaar-e-jahaN chaahe irtakaaz
Aur wo k yaad aaye jaaye, aaye jaaye hain

Farq-e-hayaat o maut hai fankaar hi ka dam
faysal! ye log khwaab ki ik aabnaaye hain

* * * * * * * * *

Ab to kehte hain ye tanhaai se haare hue ham

Ab to kehte hain ye tanhaai se haare hue ham
Gham hi ho jayeN hamare k tumhaare hue ham

Ism-e-aa'zam sa koi apni zubaN par aya
Aap ka naam lia charkh k taare hue ham

Sirf hamraah-e-haqiqat to kaThin tha hona
Safha-e-dehr pe khwaboN k sahaare hue ham

Ishq mein eik zara maat hui hai ham ko
Aaise baiThe hain k hain jaan bhi haare hue ham

Wo to katraa k havadis hi nikal jate hain
Varna har aan adam ko hain sidhaare hue ham

Jaan dete hain kahiN hijr k maare hue log
Sher likhte hain yahaN paaoN pisaare hue ham

Aakhri daur-e-zamana hai or ab aaye hain
Waqt-e-kohna ki sadaaoN k pukaare hue ham

Koi dushvaar zubaN hain koi dushvaar sukhan
Khaam, be-fikr dimaaghoN pe utaare hue ham

Umr faysal ki nahi sirf shumar-e-shab o roz
Eik jivan hain mohabat mein guzaare hue ham

* * * * * * * * *

Chaarah-gar mere pehlu mein sota raha, dard hota raha

Chaarah-gar mere pehlu mein sota raha, dard hota raha
Khud hi nishtar badan mein chubhota raha, dard hota raha

Daal kar aaj baaNhoN mein baaNhein sabhi log haNste rahe
Main akela hi kamre mein rota raha, dard hota raha

Ishq ki daastaN main sunaauN to kya, sab ko ma'loom hai
Dinba-din, dam-ba-dam chain khota raha, dard hota raha

YooN hi eik eik kar k bhale kirchioN mein badalte gaye
Phir bhi ankhoN mein main khwaab bota raha, dard hota raha

Dil bhi aata raha, zakhm milte rahe, saaNs chalti rahi faysal
Dard hota raha, dard hota raha, dard hota raha

* * * * * * * * * * * * 

Aariza laahaq hua hai aariz-e-gulfaam se

Aariza laahaq hua hai aariz-e-gulfaam se
Bas usi ki soch mein baiThe hain tanha shaam se

Ishq ki baatein kiye jaate ho khaas o aam se !
Dar nahi lagta tumhein Mansoor k anjaam se !

Shehr bhar k aaene toRe gi ye be-pardagi
Ghar se mat nikle, kaho us aaena-andaam se!

'Pyar dein ge", wo hamein kehte hain, 'pehle jaan do'
Main to muflis hi bhala aaise kisi ikraam se

Qissa-e-ulfat mein zikr-e-sar-khushi, aasoodgi
Ishq k ilzaam tak hai, vasl k ayyaam se

Mere ghar mein neem-shab hoti hain mehv-e-guftgu
Wehshatein, tanhaaiyaaN, deevaar o dar se, baam se

Mai na ho to aansuoN se bhar lia karte hain ham
Kya bataayeN, kis qadar uljhan hai khaali jaam se

Baadah-khwari ki tavaqqo aap se hargiz na thi !
Haif Zaamil ! aap bhi ghabraa gaye aalaam se

Aao faysal se zara milvaayeN tum ko, ye hain wo
Dehr mein badnaam se aur ishq mein nakaam se

* * * * * * * * 

Yaad hai, na kucH gumaan-e-hijr hai

Yaad hai, na kucH gumaan-e-hijr hai
Ye bhi shayad imtehaan-e-hijr hai

Wo jo bicHRa hai to hai jaaN par bani
HaaN magar wo hi to jaan-e-hijr hai

Hai mujhe wehshat jo apne aap se
Rog kab hai, ye to shaan-e-hijr hai

Neem-shab karni hain girya-zaariaaN
Aao deewaano! azaan-e-hijr hai

Wo to mere chaar-su hai jalwa-gar
KiyuN bhala mujh ko gumaan-e-hijr hai!

Dard le lo! ashk le lo! khwaab lo!
Muft hai sab, ye dukaan-e-hijr hai

Zulm ye hai, jo gavaah-e-vasl thi
Ab wohi shab raazdaan-e-hijr hai

Ishq ka qissa wohi hai jaavidaaN
Asl mein jo daastaan-e-hijr hai

Saath faysal k mana lo shaam-e-gham
Sar dhuno yaaro! bayaan-e-hijr hai

* * * * * * * * *

YooN mujh se zamaane ki tarah tu na milaa kar!

YooN mujh se zamaane ki tarah tu na milaa kar!
Aa mujh se meri heich maeeshat ka gilaa kar !

Pat-jhaR mein mujhe apni ada yaad dilaa kar
Ban kar tu mere chehre pe muskaan, khilaa kar!

Ki zeest so ab Daal de gardan mein ye baaNhein
Is haar ko sadioN ki aseeri ka silaa kar!

HarfoN ki bhi doori nahi hoti hai gavaara
LikkhuN jo tere naam se naam apna milaa kar

Kya jaaniye kis gaam pe uR jaayeN parakhche!
Kis jism ki tadfeeN ko kafan rakhein silaa kar!

Wo kya hain khazaane k jo niklein ge azeezo!
Baarood-e-adaavat se zameeN apni hilaa kar

SajdoN ki inaayat ho jo, us daagh ko Maula!
Ghaflat se aTi tang jabeenoN ki jilaa kar!

TooTe huey patte ki tarah cHoR gaee hai
Sehra mein hawa mujh ko tere shehr ki laa kar

faysal! hai muzir "sochna" be-hadd k isi ne
Suqraat ko cHoRa tha kabhi zehr pilaa kar

Khaama-e-dil ko thaam likhta hooN

Khaama-e-dil ko thaam likhta hooN
Taj k duniaa k kaam likhta hooN

HaaN ba-sad ehtaraam likhta hooN
Yaar-e-yaraaN! salaam likhta hooN

Is muraqqa-e-fikr-e-a'laa par
Apna adnaa kalaam likhta hooN

Meri kam-zarfioN ko jaane do!
YuN hi tohfe pe naam likhta hooN

Kho gaye kaaghazi khatoN k din
Ab to barqi payaam likhta hooN

Tum na sunte to main bhi kiyuN likhta
Ye jo main subh o shaam likhta hooN

Kar k Naasir ka zikr, aai faysal
She'r-e-aali-muqaam likhta hooN 

Kabhie Yun BHi aa meri Ankh mein k meri nazar ko khabar na ho

Kabhie Yun BHi aa meri Ankh mein k meri nazar ko khabar na ho
Mujhe ek raat nawaz da magar us ke baad sehar na ho

Woh bara rahim o karim hai mujhe yeh sifat bhi ata kare
Tujhe bhoolne ki dua karon Tu dua mein meri asar na 

Kabhii din ki dhuup mein jhuum ke kabhii shab ke phuul ko chuum ke 
Yuhi saath saath chalein sadaa kabhii khatm apanaa safar na ho 

Mera pass meray habib aa zara aur dil ke kareeb aa
Tujhe Darhkano mein basa lon k bicharne ka kabhie darr na ho

Tu hai gar mujh se khafa khud se khafa hoon main bhi

Tu hai gar mujh se khafa khud se khafa hoon main bhi
mujh ko pehchan ke teri hi ada hoon main bhi 

sabt hoon dast-e-khamoshi pe hina ki soorat
na-shunida hi sahi tera kaha hoon main bhi

mujh ko paana ho to har lamha talab kar na mujhay
raat ke pichhlay pahar maang du'a hoon main bhi

jaanay kis raah chaloon kaun se rukh murr jaoon faysal
mujh se mat mil ke zamaanay ki hawa hoon main bhi

Mairi Ankhon Ko Ankhon Ka Kinara Kon Day Ga

Mairi Ankhon Ko Ankhon Ka Kinara Kon Day Ga
Samandar Ko Samandar Main Sahara Kon Day Ga?

Mairay Chehray Ko Chehra Kab Inayat Kar Rahay Ho
Tumhain Mairay Siwa Chehra Tumhara Kon Day Ga?

Muhabbat Neela Mosam Ban Kay Aa Jaye Gi Ik Din
Gulabi Titliyon Ko Phir Sahara Kon Day Ga?

Mairi Awaz Main Awaz Kis Ki Bolti Hai
Mairay Geeton Ko Geeton Ka Kinara Kon Day Ga?

Badan Main Aik Sehra Jal Raha Hai Bujh Raha Hai
Mairay Dariyaon Ko Qaiser Ishara Kon Day Ga


ye husn-e-raaz muhabbat chhupaa rahaa hai koii

ye husn-e-raaz muhabbat chhupaa rahaa hai koii 
hai ashk aaNkhon mein aur muskuraa rhaa hai koii 

nazar nazar mein tajallii dikhaa rahaa hai koii 
nafaz nafaz pe mujhe yaad aa rahaa hai koii 

taKhayulaat ke dhoke hain sab shab-e-vaadaa 
na aa rahaa hai koii aur na jaa rahaa hai koii 

ye husn-o-ishq kii tasviir ke hain do manzar 
ki ro rahaa hai koii muskuraa rahaa hai koii 

hashr men pahuNche to ham ne kyaa dekhaa 
kisii ke haath se daaman chhuDaa rahaa hai koi


pani tabeer-e-tamanna kay sarabon main utar ja


pani tabeer-e-tamanna kay sarabon main utar ja
aey mairay khaab naey bastee kay raston main utar ja

tujh ko paa lain na kaheen dasht kay weeraanay yeh
chaand ban kar tuu samandar ki hi lehron main utar ja

har taraf dhond rahee hain tujhey zaalim si khizaain
aks-e-khushbu main badal aur meri sanson main utar ja

jin ki khatir koe suraj hi nahin chamka kabhi
chandni raat main tu unn kay dareechon main utar ja

tuu "Behar Zaad" hai " Parwarda-e-Khurseed" na ban
tuu key dhal rait main sahil ki gharondon main utar ja

woh jo larkee tujhey dehleez pay miltee hai rozana
raat ka rang pehan uss kay hi baloon main utar ja

pairahan ourhh lay masoom si ek khahish ka
ban key aa taiz hawa us kay dupatton main utar ja

tuu rida dhaanp lay khush rang gulaboon ki tarha
zaiqa ban kay sanwar chupkay say honton main utar ja

tuu sanwar qous-e-qazah ki tarha aflaak say aa
uss key aanchal kay mehaktay huey rangon main utar ja

uss kay kamray ki puranee kissi khirkee say nazar kar
ek ghazal ki tarha faysal kay khiyaloon min utar ja

badnaam mere naam ka afsaana hua hai,

badnaam mere naam ka afsaana hua hai, 
deewane bhi kehte hai ke deewana hua hai, 

rishtey thhey kisi ke saath, jo ab toot gaye, 
mera dil bhi mujhse kuch begaana hua hai, 

tanhaiyi zindagi ki saza hogayi hai dooston, 
ghar mera jaise ek maikhana hua hai, 

sirf berukhi ki ummidein rakhta hu duniya se ab, 
Aitbaar kisi pe karke zamaana hua hai, 

dhoondta hu usey jo mil nahi sakta, 
phir bhi wo mere jeene ka bahana hua hai



zubaan, bejaan se khandharo ka yeh jungle hai,

zubaan, bejaan se khandharo ka yeh jungle hai,
Yaha har ghadi main na jaane kya dhundhata hu,

Bheed main bhi jahan har shaksh akela sa hota hai,
Waha Ek hum saaya, ek humsafar, dhundhata hu,

Subah se shaam hoti, shaam se subah hoti hai
Yaadon ke sahare se koi apna sa dhundhata hu,

Raah par karvaan to hazaar nazar hote hai,
Karvaan main koi chehra pehchana dhundata hu.

Parchaiyaan mandarati si aaspaas nazar aati hai,
Badle hue chehro main pehchana dhundhata hu,

Bhavheen negahoon ka mela har taraf hai,
Nazar nazar main, main ?pyaar dhundhata hu.

Suraj bhi dhal ne ko, munn bhi kahi khoya hai,
Apne khayalo main koi chandni dhundhata hu,

naa'ey gham ki khushi maiN khwab-e-rafta kho dee'ya hum ne

naa'ey gham ki khushi maiN khwab-e-rafta kho dee'ya hum ne
mila wo chaand tu aa'pna sita'raa khoo dee'yaa hum ne

kahaiN kis se k hum ne be tumhaRay khawab dekhaY theY
huwa phiR yuuN k sapnoo'N ka aasaasa khoo de'ya hum ne

makaa'N taaReek tha tu khaal-o-khud maiN be tawazaN tha
nazaR maiN chandni utRi tu chehra khoo dee'ya hum ne

bhala pehchaaN kesaY ho jahaN itni sadaa'yeN hooN
na'moO k shooq maiN resham sa lahja khoo dee'ya hum ne

ghaana taaReek jungal hai aur aa'ho k tuu'aqaab maiN
ab itni dooR aa' niqlaY k rastaa khoo dee'ya hum ne


Guzray hain teray badh bhi kuch logh idhaR say

Guzray hain teray badh bhi kuch logh idhaR say
Lain teri khusHbu na gayE rah-e-guzaR say

Kyu doBti bujhti huwi ankhoo-N main hai roshaN
Ratoo-n ko shikayat hai to itni sehar say

Larza tha badaN is ka meray hath say choo kaR
Dekha tha is nay Mujhay ajaB mast nazar say

Kya thaaN kar nikla tha kaha akay para hai
Pochay to koi is dil-e-sharminda nazaR say

Aya hai bohat daiR main woH shakS par is ko
Jazbaat ki is bheer maiN dekho maiN kidhaR say

Asa to nahi, meri tarha sar-e-lub-e-juu
QadmooN main khra ho kisi aftaaD kay dar say

Din thay kay hamay shehr-e-badaN tak ki khabaR thi
Aur ab nahi agaH teri kher khabaR say 

"faysal" na qadaM rok, kay woH door ki maziL
Niklay gi kisi roZ isi gard-e-safar say

Yeh hadain na tourr dainaa, meray daairey mein rehnaa


Yeh hadain na tourr dainaa, meray daairey mein rehnaa
Mujhey apney dil mein rakhnaa, meray haafzzey mein rehnaa

Meray mazaroun mein bassnaa, meri guftugoo mein hounaa
Meray lamss mein samaana, meray zaaiqey mein rehnaa

Kabhi dhoop kay nagar mein,mera saath chhour jaana
Kabhi meraa akss ban ker meray aainey mein rehnaa

Kabhi manziloun ki soorat, meri dastarass sey baahir
Kabhi sang-e-meel ban ker meray raastey mein rehnaa

Meray haath ki lakeerain tera naam ban kay chammkain faysal
Meri khwaahishoun ki khushboo meray zaaichey mein rehnaa

Popular Posts